JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

Intakhaabe Barraaq


Intakhaabe Barraaq


Allah Tabarak-o- Ta'aala Ka Hukm Suna To Hazrat Jibreel (Alaihissalam) Jannat Main Tashreef Legaye.
Jakar Dekha To Waha 40_Hazaar Baraaq Moujood Hain.
Sab Ke Sab Khoobsurath Ek Se Ek Badh Kar Haseen , Tamam Ke Tamam Dil-Fareb-o- Dilkash Saare Ke Saare Chaak-o- Chouband Aur Taz Tarraar.


Unko Bhi Ma'aloom Hochuka Tha Ke Aaj Hame Us TaajDaare KuNain Ki Sawaari Ka Sharf Hasil Hone Wala He Jis Ke Liye Arsh-o-Aasmaan Ke Makeen Aur Khud Tamaam Cheezo(n) Ki Takhleeq Farmane Wale Rabbe KaayeNaat Bhi Muntazire Raah He.
Is Tasawwur Ke Sath Har Barraaq Apne Apne Maqaam Per Musarrat -o- Shaad Maani Main Doba Huwa Nazar Aata He.
Kyun Na Hota Un Main Se Kisi Ek Khush Naseeb Ko TaajDaare Ambiya ﷺ Ki Sawari Banna Tha.


🌹SubhanAllah🌹


Mehbobe Khuda ﷺ Ki Sawari Ke Liye Kisi Aise Barraaq Ka Intekhaab Karna Tha , Jo Aapki ShaaYaane Shaan Ho.


Hazrat Jibreel (Alaihissalam) Ke Liye Bhi Ajeeb Imtihaan Ka Waqt Tha Ke Har Baraaq Be-Misaal -o- Ba-Kamaal He Aur Har Ek Ki Khwahish He Ke Sayyadul Mursaleen ﷺ Ki Sawari Ke Liye Mera Intekhaab Kar Liya Jaye.


Hazrat Jibreel (Alaihissalam) Ne Ek Bar Phir Un Sabka Jaaiza Liya ,
To UnKa Maslah Hal Hogaya Aur Unhe Ek Aisa Buraaq Nazar Aaya Jo
Huzoor Sayyadul Mursaleen ﷺ Ki Sawari Banne Ke Laayiq Tha ,

Wo Barraaq Tha , To Unhi 40_Hazaar Main ,
Magar Uski Kaifiyat Un Sab Se Alag Thalag Thi.
Dusre Barraaq Machal Machal Kar Izhaare Musarrat Kar Rahe The.
Magar Us Barraaq Ki Aankho(n) Se Aanso Rawaa(n) The.
Dusre Barraaq Gardan Otha Otha Kar Apne Naaz -o- Andaaz Ka Muzahira Kar Rahe The ,
Magar Us Barraaq Ne Apni Gardan Nichi Dal Rakhi Thi.
Dusre Barraaq Shaad Aur Masroor The , Wo Barraaq Gamzadah Aur Ranjor Tha ,
Wo ShaadMaan The ,
Ye Pareshaan Tha.
Unke Chehro(n) Per Musarrat Thi , Iski Aankho(n) Main Aanso The.


Khuda Wand Quddoos Ne To Use Pehle Hi Pasand Farma Rakha Tha ,
Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Ki Tawajjuh Bhi Udhar Hi Hogayi Aur Usse Pochne Lage : Ye Rone Ka Konsa Mauqa He , Sabke Sab Barraaq To Khushiyaa(n) Mana Rahe He Ho, Magar Tum Kyun Aanso Baha Rahe Ho?


Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Ka Sawaal Suna , To Buraaq Ki Aankho(n) Se Behne Wale Ashko(n) Ke Selaab Main Mazeed Rawaani Aagayi , Ro Ker Kehne Laga ,
Yaha 40-Hazaar Aala Se Aala Barraaq Moujood Hain ,
Magar Mehboob ﷺ Ki Sawari Ke Liye To Sirf Ek Ki Zarurat He. Is Liye Ro Raha Hon Ke Un 40-Hazaar Main Se Meri Bari Kaisi Aasakti He?


Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Mizaaje Shanaase Mustafa ﷺ The.

Aap Jante The Ke Mehbube Kibriya Alaihis Salaat Wassalaam Tamaam Sifaat Arfaa -o- Aala Ke Maalik Hone Ke Ba-Wajood Tawaaze'a -o-Inkasari Farmate Hain.
Saari Kaainaat Ke Maalik Hoker Bhi Tamaam Kaayenaate Aalam Se Zyada Aajizi Farmate Hain.


Chunancha Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Ne Barraaq Ko Paikare Ajz -o-Inkasaari Bana Huwa Dekha Aur Muhabbate Rasool-E- Anaam ﷺ
Main Mus'tag'raq Paayaa , To Isi Ko Mehbube Khuda ﷺ Ki Sawari Ke Liye Muntakhib Kar Liya. Aise Hi kisi Maqaam Ke Liye Sha'ir Ne Kaha He.......


● Naaz Kiran Jey Chode Waaliyaa(n) Te Dhatkaariyaa(n) Jaawan ●
● Aajiz Huwan Jey Chakkad Bhariyaa(n) Qurb Huzuro(n) Paawan ●


Buraaq Ko Apni Ajz -o- Inkasaari Ki Puri Puri Qimat Wasool Ho chuki Thi , Agar Wo Barraaq Tamam Barraaqo(n) Se Zyada Haseen -o- Jameel Aur Tez Tarraar Tha , Magar Kaam Uska Aajizi Ne Hi Banaya Tha.



*Behre Haal*  Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Us khush Qismat Barraaq Ko Lekar Huzoor Sakaar Du Aalaam ﷺ
Ke Aastana-E- Aqdas Per Hazir Hogaye. Dekha To Mahbube Laa-Nayaam Qalbi ki Kaifiyat Main Istaraahat Farma Rahe Hain.


Huzoor Sarware Konain ﷺ
Aajki Shab Apna Arsh Baree(n) Par Jana Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Se Zyada Jante The ,
Lekin Us Waqt Aaram Farma Ne Ke Liye Letna Bhi Ek Adaye Mahbubana Thi.


Huzoor Mehwe Istaraahat Hain Aur Jibra'eele Ameen BarGahe Aezdi Main Arz Karte Hain :
Maula Tere Mahboob Ka Mu'aamila He ,
Tera Hukm He Ke Mahboob Ko Jald Le Kar Aao(n). Jaldi Karta Hon To Mahboob Ki Be-Adbi Ka Dar He , Tuhi Bata Kaise Tere Mahboob Ko Jagaa'o(n) ???


●*Hukme Khuda Wandi Huwa* :
يا جبر يل قبل قدميه
"Ae Jibra'eel Mahboob Ke Qadmo(n) Ko Choom Lo ".


Hazrat Jibra'eel (Alaihissalam) Aahistagi Se Huzoor Sarware Kaayenaat ﷺ
Ke Mubarak Qadmo(n) Ke Qareeb Beth Gaye Aur Aap Ke Nuraani Qadmo(n) Ka Bosa Le Liya.


Hazrat Jibra'eel (Alaihissalam) Ke Kaafuri Labo(n) Ki Thandak Pohchi , To Huzoor Sarware Kaayenaat ﷺ
Ne Chashmaane Mubarak Khol Kar Farmaya : Jibra'eel Kaise Aana Huwa?
Arz Kiya Huzoor ﷺ : Khaaliqe Kaayenaat Ne Aapko Yaad Farmaya He Aur Main Aapko Lene Ke Liye Hazir Huwa Hon.


● Arz Kiti Jibra'eel Talyaa(n) No(n) Mil Ke Chalo Aaqa Haq Daa Payaam Aagaya Aey ●
● Sawari Liye Darte He Barraaq Aaya , Tey WaaGaa(n) Pharan No(n) Gulaam Aagaya Aey ●

(📙 Na'eemi Khutbaat, J-1, S-280:282)