JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

JUMM'AH KE BAARE ME SPECIAL POST..

                           "JUMM'AH KE BAARE ME SPECIAL POST"

 🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - A*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣3⃣ 🌺

*DURUD SHARIF KI KASRAT AUR*
*JUMUAH KI KUCH KHOOBIYAN*

▪Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. farmate hai K..
      Jis ne muj par jumah k din 200 baar durud padha us k 200 saal k gunah maaf ho jayenge.
 ★ Jumah eid ka din hai.
 ★ Jumah sab dinon ka sardar hai.
 ★ Jumah k din jahannam ki aag
       jalaai nahi jaati.
 ★ Jumah ki raat jahannam k
      darwaaze nahi khulte.
 ★ Jumah ko qayamat k din dulhan
      ki tarah uthaya jayega.
 ★ Jumah k din marne wala
      sha-hadat ka rutba pata hai.
 ★ Jumah k din marne wala qabr k
      azaab se bach jata hai.
 ★ Jumah ko hajj ho to uska sawab
      70 hajj k barabar hai.
 ★ Jumah ki aik neki ka sawab
      sattar nekiyon se ( 70 times
      more ) zyada hai.
 ★ Jumah k roz gunah ka azaab bhi
      70 gunahon ki tarah hai.
▪Allah ham ko or tamam musalmanon ko jumah ka faiz hasil karne ki tofiq ata farmaye or is muqaddas din mein gunah se bachaaye.. Aameen.

*KANZUL UMMAAL*
*Jild..1..Safa..206*
*MIRAAT..jild..2..Safa..332*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Ilam se tedhe bhi sidhe ho jate hai.. haq aur sachchai k sath dalil dene se ghaalib aa jaate hain.(63).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2016/10/qadri-faiz-namaz.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - B*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣4⃣ 🌺

 JUMUAH K FAZAAIL.

 ★ Allama Naimuddin.. alayhir rehmah.. farmate hai..K Aaqa.. sallallahu alyhi wasallam.. Jab hijrat kar k madine mein tashrif laaye to 12 Rabiul Awwal din Piir ko chaasht k waqt maqaame Qubaa mein ruke.. Piir.. Mangal.. Budh.. Jumaraat.. Usi jaga ruke or Masjid ki buniyaad rakkhi or jumuah k din madine ka iraada farmaya..
     Bani saalim ibne Auwf k batn-e-waadi mein jumuah ka waqt aaya.. Us jaga ko logon ne masjid banayi.. Aur wahan jumuah ada farmaya.. Aaj bhi us jaga par shaandaar masjide jumah qaaem hai.
 ★ Mufti Ahmed yaar khaan naiimi.. alayhir rehmah.. farmate hai..k Isi din mein tamam makhluqaat jama hui.. Hazrate Adam.. alayhis salaam.. ki mitti isi din jama hui.. Is din mein log jama ho kar namaaze jumuah ada karte hai.. Isi wajah se ise jumuah kehte hai.
 ★ Hamare Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. ne taqriban ( lag bhag ) 500 jumeh ada kiye.. Isliye k jumuah hijrat k baad shuru huwa jis k baad 10 saal zaahiri hayaat sharif rahi or is arse mein itne jumeh hote hai.

*KHAZAAINUL-IRFAN*

*JUMAH NAAKHOON-AMAA-MAH*

 ★ Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. farmate hai.. K Jo bhi 3 jumuah susti ki wajah se chhod de Allah us k dil par mohar kar dega.
 ★ *Jumuah farze aain hai.. Aur is ki farziyat ka inkaar karne wala kaafir hai..*
      Farze aain ka matlab.. Shartein paayi gayi aur koi sharaii majburi nahi to har haal mein padhna hi hai.
 ★ Aaqa.. sallallahu alyhi wasallam.. farmate hai k.. *Beshak Allah aur us k fariste jumah k din amaama ( saafaa.. turban ) baandhne waalon par durud bhejte hai.*
 ★ Marvi hai k.. *Jo bhi jumah k din apne naakhun katta hai Allah taala us-se bimaari nikaal kar shifa daakhil kar deta hai.*

*AL-MUS-TAD-RAK-*
*jild..1..safa..89*
*DURRE MUKHTAAR MAA-*
*RADDUL MOHTAAR*
*Jild..3...safa..3*
*MAJ-MAUZ-ZAWAA-ID-*
*jild..2..safa..394*
*IBNE ABI SHAIBA-*
*jild..2..safa..65*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sahi kaam karne se salaamti milti hai.. Ghalat kaam karne se badnaami milti hai.. aur..
     Utaawal karne se hamesha aakhir mein afsos hota hai.(64).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2016/10/qadri-faiz-namaz.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - C*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣5⃣ 🌺

 *JUMAH K DIN NAAKHUN KAATNE*
 *K BARE MEIN KUCH MAALUMAAT*

 ★ Allama Amjad Ali aazmi.. alayhirremah.. farmate hai k.. Hadise paak mein hai K..
      *Jo jumah k din naakhun tarashwaye Allah us ko dusre jumeh tak balaa-on se mehfuz rakkhega aur 3 din zyada yani 10 din tak aur aik riwayat mein hai k.. Jo jumah k din naakhun tarashwaaye to rehmat aayegi gunah jayenge.*

▪ *NOTE...Hajaamat banwana or*
      *naakhun tarashwana jumah k*
      *baad afzal hai.*

 ★ Allama sahab farmate hai.. Jumah k din naakhun tarashwana mustahab hai.. Haan Agar zyada badh gaye hon.. To jumeh ka intizaar na karein.. *k naakhun bada hona achcha nahi kyun ki naakunon ka bada hona Rozi.. Rizq mein kami lata hai.*

*TAZKIRATUL MAWZUAAT*
*TANZIYATUS SHARIYAH*
*DURRE MUKHTAAR-*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *FARISHTON K REGISTER - PEHLI*
 *SADI ( century ) K MUSALMAAN*

 ★ Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. farmate hai.. K Jab jumah ka din aata hai to masjid k bahar darwaaze par farishte aane wale ko likhte hai.. Jo pehle aaye us ko pehle likhte hai..
      *Jaldi aane wala us shakhs ki tarah hai jo Allah ki raah mein aik uunt ( camel ) sadqa karta hai.. Us k baad aane wala us shakhs ki tarah hai jo aik gaay ( cow ) sadqa karta hai.. Us k baad aane wala us shakhs ki tarah hai jo mendha sadqa kare..*
      Fir jo aaye wo aysa k jo murghi ( hen ) sadqa kare.. Fir us ki tarah hai jo anda ( egg ) sadqa kare.. Aur jab imaam khutbe k liye beth jaata hai to farishte aamaal naame ko lapet lete hai or aa kar khutba sunte hai.

*SAHIH BUKHAARI*
*Jild...1...safa..128*

 ★ Mufti Ahmed yaar khaan naimi.. alayhir rehmah.. farmate hai..
      Baaz ulma ne farmaya.. Farishte jumah k din tulu-e-fajr se khade hote hai.. kuch k nazdik suraj chamakne se.. Magar Haq ye hai k suraj dhalne se shuru hote hai kyun ki.. Usi waqt se jumah ka waqt shuru hota hai.. Malum huwa k fariste sab aane waalon k naam jaante hai..
      *Yaad rahe k Agar pehle aane waalon mein 100 aadmi aik saath masjid mein aaye to sab k sab pehle hai.*
 ★ Imaam ghizaali.. alayhir rehmah.. farmate hai.. K.. Pehli sadi ( century ) mein sehri k waqt aur fajr k baad raaste logon se bhare hote the.. Log chiraagh le kar jaame masjid ki taraf jaate jayse eid k din ho.. 
      *Afsos ab subha sawere ham baazaaron ki taraf jaate hai.. aur kitne to 9 baje k baad hi jaagte hai.. Allah se dua k Dil O Nazar ki paakiizgi ata farmaye.. Aameen.*

*IHYAA-UL-ULUM..jild..1..safa..246*
*MIRAAT...jild..2..safa..340*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sabar karna aqal-mandi ki nishani hai.. Be-qarari se nuqsaan k siwa kuch nahi milta.(65).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2016/10/qadri-faiz-namaz.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - D*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣6⃣ 🌺

 *NAMAAZE JUMAH KI PEHLI SHART*
 *SHEHER ( city ) HONA*

 ★ Imaame Aazam.. alayhir-rehmah.. k nazdik sheher us imaaraat waali aabaadi ko kehte hain *jis mein kayin koonche ( corner-nukkad ) hon.. Permenent ( daayemi.. hamesha k ) baazaar hon.. Us k under ( maa-tehet ) mein kayin gaanw hon.. Us mein haakim ho.. logon  k jhagdon aur muamlaat k faisle hote hon.. Aur logon ko insaaf milta ho.. Aur insaaf par qudrat ho.. Chaahe wo naa-insaafi karta ho.. badlaa na leta ho.*

*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA RAZVIYAH*

 *JUMAH AUR GAANW K MASLE*

 ★ *Jo log sheher k qariib gaanw mein rehte hon un ko sheher mein jumah padhne jaana chahiye.*
 ★ *Gaanw ( village ) mein jumah naa-jaaiz hai.. Agar padha to gunahgaar honge.. Aur padhne walon par zohar baaqi rahegi.*
 ★ Jin gaanwon ( villages ) mein jumah nahi hota wahan jumah na padhaya jaaye.. Aur jin gaanw-won mein pehle se padhaya jaata ho wahan band na karaaein.
 ★ Jo log gaanw mein jumah padhte ho un ko roka na jaaye k aam log jis tarah bhi Allah o Rasool ka naam lein un ko lene dein k.. Agar un ko roka to wo dusri namaazein bhi chhod dete hain.
 ★ Jis Maqaam.. Jaga k sheher yaa gaanw hone mein ikhtilaaf ho Yaa shak ( confusion ) ho aysi jaga k liye Ulmaaye Kiraam ne hukm diya k 4 rakat zohar ki bhi padhein.. Aur jumah bhi padhein.. Lekin ye hukm khaas logon k liye hain ( us ilaaqe k sar karda aur diini rehnuma ) aam log jin ko zyada ilm na ho to un k liye nahi.

*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA RAZWIYAH*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Hoshiyari se dil mein roshni paida hoti hai..Aur Ghaflat o Kotaahi aur Susti se ghuroor paida hota hai.(66).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - E*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣7⃣ 🌺

 *NAMAZE JUMAH KI DUSRI SHART*
 *SULTAANE ISLAAM HONA.*

 ★ Masjid mein 5 waqt ki namaazon k liye jo imaam hota hai wo jumah k liye bhi muqarrar hote hai..
      Jinhein aam log imaamat k liye rakhte hai ya trust k rakkhe huwe par razamand hote hai isliye un ko jumah ka khutbe aur imaamat ka haq haasil hai..
 ★ Jis tarah namaaz k liye wuzu zaruri hai lekin paani par qudrat ( milna mumkin.. possible ) na ho to tayammum us ka badal hai..( option )..
      Isi tarah Sultaane islaam k badle jumah k liye musalmanon ka kisi ko nakki karna Sultaan k nakki karne jaysa hai.. Ayse imaam ka qaaem kiya huwa jumah jaaiz hai.

*FATAWA RAZWIYAH*
*Jild..3..safa..718..682*

 *NAMAZE JUMAH KI TISRI SHART*
 *ZOHAR KA WAQT HONA.*

 ★ *Jumeh k khutbe aur namaaz k liye zohar ka waqt hona shart hai.. Agar zohar ka waqt shuru hone se pehle khutba padh liya to khutba na huwa aur jab khutba na huwa to jumah na huwa.*
 ★ Agar jumeh ki namaaz mein itni der kar di k zohar ka waqt khatam ho gaya to jumah baatil ( na hona ) huwa.. zohar padhni hogi.

 *NAMAZE JUMAH KI 4 thi*
 *SHART - KHUTBA*

 ★ *Khutba zikre Ilaahi ka naam hai.. Agar aik baar khutbe ki niyyat se..AL HAMDU LILLAAH.. Yaa.. SUBHALLAAH.. Yaa.. LA ILAHA ILLALLAAH.. kaha to khutbe ka farz ada ho  jayega magar aysa karna makruh hai.*
 ★ *Jumah ki namaaz k liye khutba shart hai.. khutbe k baghair namaaz e jumah baatil ( na hona ) hai.*

*BAHAARE SHARIYAT*
*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FATAWA RAZWIYA*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Aqal se sab kaam sahi tarah se kiye jaa sakte hai.. aur.. Jahalat se har tarah ki buraai paida hoti hai.(67).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - F*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣8⃣ 🌺

 *NAMAZE JUMAH KI 5 vi(n)*
 *AUR 6 thi SHARTEIN*
 *NAMAAZ SE PEHLE KHUTBA*
 *HONA AUR JAMA'AT HONA*

 ★ Khutba waqt par hona or namaaz se pehle hona shart hai.. *Agar jumeh ki namaaz k liye khutba huwa hi na ho yaa namaaz k baad padha to namaaz na hui.*

*DURRE MUKHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*

 ★ Jumeh ki namaaz ki jamaat k liye kam az kam 3 muqtadi hona zaruri hai.. Dusri namaazon ki tarah 1 yaa 2 muqtadi se jumah ki jamaat qaaem nahi ho sakti..
      *Jumeh ki jamaat k liye imaam k ilawa kam az kam 3 mard muqtadi hona  zaruri hai.*
      Agar 3 mard se kam muqtadi honge to jumeh ki jamaat sahih nahi..

*AALAMGIRI*
*TANWIRUL ABSAAR*
*FATAWA RAZWIYA*
*Jild ..3...safa..683*

 *JUMAH KI 7 vi SHART*
 *IZNE AAM HONA..AAM IJAZAT*
 ( kisi ko bhi aane se roka na jaaye )

 ★ *Izne aam matlab aam ijaazat ho k jo bhi musalman chaahe jumah padhne aaye.. kisi ko rok tok na ho..*
 ★ Agar masjid mein jumah padhne k liye jama ho gaye aur masjid ka darwaaza band kar k namaaz padhi to jumeh ki namaaz na hui.

*AALAMGIRI*

 ★ Jo bhi masjid mein aa kar apni zabaan se logon ko taklif deta ho us ko masjid se nikaalne ka hukm hai..
      Kyun ki jis ki wajah se naa haq fitna uth-ta ho use masjid se rokna zaruri hai.

*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sule-rehmi ( rishte daaron se achcha suluk ) se be-shumar neamatein milti hai..aur..
     Jab k Qate-Talluq ( rishte kaatna ) se tarah tarah ki taklifein aur azaab naazil hote hain.(68).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - G*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣9⃣ 🌺

 *JUMAH PADHNA KIN PAR FARZ*

 ★ Ye 7 shartein jin mein paayi jaayegi un par hi jumah farz hai..
   ■ Huriyat ( Aazaad hona ).
   ■ Zakurat ( Mard hona ).
   ■ Aqal hona.
   ■ Baaligh hona.
   ■ Muqiim hona ( Musafir na ho )
   ■ Itna tandrust k hazir ho kr jamaa-
      -at mein shaamil ho sake.
   ■ Dushmn ka Khauf.. Zaalim haakim ka dar..Khub Zodaar Baarish.. Aandhi Toofaan.. Ye saari baatein na ho..
 ★ *Ye Tamam Shartein jin mein paayi gayi un par jumah farz hai.*

*DURRE MUKHTAAR*
*FATAWA RAZWIYAH*
*Jild..3...safa...746*

 *JUMAH FARZ HONE KI 7* 
 *SHARTON KI TAFSIL*

 ★ *AZAAD HONA*.. Ghulaam na ho.. Is dor mein ab ghulaami ka riwaaj khatm ho gaya.. ab sab aazaad hi hai.
 ★ *MARD HONA*...k awrat par jumah farz nahi..jumah k din awrat zohar padhe.
 ★ *BAALIGH HONA*...k naabaaligh par jumeh ki namaaz farz nahi.
 ★ *Jumah paagal par farz nahi.. Shart nmbr 3 Or 4..AAQIL aur BAALIGH HONA.. Ye shartein har ibaadat k waajib hone k liye zaruri hai..*
      *Naabaaligh jumeh mein sharik ho sakta hai.. Naabaaligh Jumeh ki Namaaz ki Imaamat bhi nahi kar sakta aur Khutba bhi nahi padh sakta.*
 ★ *MUQIM HONA*...k Musafir par Jumah Farz nahi.
 ★ *TANDRUST HONA*.. Bimaar na ho.. Wo biimaar k jo masjid tak na jaa sake ya gaya to bimaari badhegi ya der me achchi hogi.
 ★ Agar jumah padne jata hai to ghair haazri mein maal saamaan chori hone ka yaqin ho aur Aysa koi maujud nahi k jis ko sonp kar jaa sake to juma farz nahi..
      *Yaani aysa koi amr ( kaam ) na ho jo shadiid nuqsaan se do chaar kar de.. Jayse.. Qaid hona.. Zaalim Haakim ka Dar..Kisi ne Zabardasti roka ho.. Aandhi.. Toofaan.. k.. Masjid tak jaa na sake.*

*AALAMGIRI*
*BAHAARE SHARIYAT*
*FATAWA RAZWIYA*
*RADDUL MOHTAAR*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sadqa-Khairaat aik mehfuz ( safe ) khazaana hai.. Jo qayaamat k din kaam aayega.(69).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - H*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣0⃣ 🌺

 *QURAAN KI AAYAT*
 *JUMUAH KI RAKATEIN*
 *MAFHUME AHAADIIS*
 *JUMUAH K AHKAAM*

 ★ Aye immanwalo jab namaaz ki azaan ho jumah k din to Allah k zikar ki taraf daudo aur kharid o farokht chhodo.. ( kaarobaari len den )

*( Kanzul imaan ( Quraan )*
*Para..28..sure..jumah...*
*Aayat number...9 )*

        *MAFHOOME AHAADIIS*
   ■ Jis ne achchhi tarah wuzu kiya fir Jumah padha.. Khutba suna.. Chup raha.. Us ke wo gunah maaf kar diye jayenge jo is jumah aur isse pehle k jumah k biich huwe..
   ■ Mene socha k aik aadmi ko namaaz e jumah padhane ka hukm dun aur jo jumah k liye na aaye un k gharon ko jalaa dun..
   ■ Jo 3 jumah susti ki wajah se chhode Allah us k dil par mohar kar dega..
   ■ Jo 3 jumah baghair sharaii majburi k chhode wo munaafiq hai..
   ■ Jo 3 jumah baghair uzr ( wajeh ) chhode wo munafiqon mein likh diya gaya..
   ■ Jo 3 juma mu-sal-sal ( without gap ) chhode us ne islam ko piith k piiche phaink diya.( thrown )..
   ■ Jumah ki azaan hote hi kharid o farokht ( kaarobari len den ) Haraam ho jata hai.. Aur duniya k Wo tamaam kaam jo Allah k zikar se be-parwah kare.
      Sab kaam is me aa gaye.. Un tamaam kaamon ko chhod dena zaruri hai.
 ★ Jumah farze-aain hai or is ki farziyat zohar se zyada hai.. Jumuah k farz hone ka inkaar karne wala kaafir hai..
 ★ *Jis desh mein musalmanon ki hukumat hai Yaa thi Aur Ab ghairon ka qabza hai Aur Islaam ki pehchan k kaam baghair kisi taklif k chal rahe hai.*
      *Jaise Hindustaan Aur Bangla desh k Tamaam Sheher hai Ye sab Islami Cities hai.. In mein jumah farz hai.*

 *JUMUAH KI RAKATEIN*

 ★ 4 rakat sunnate muakkadah
 ★ 2 rakat farz
 ★ 4 rakat sunnate muakkadah
 ★ 2 rakat sunnate muakkadah
 ★ 2 rakat nafl
      Kul 14 rakatein hai.

*KANZUL IIMAAN*
*ABU DAAUUD*
*NISAAII WA TIRMIZI*
*IBNE MAAJAH*
*BEHRUR RAAIQ*
*TAFSIRE KHAZAA INUL IRFAN*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Hiras ( jalaan ) ranj o gham ki sawaari hai.. aur.. Laa-lach musibaton ki chaabi hai.(70).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - I*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣1⃣ 🌺

 *JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (1)*

 ★ Jo log sheher k qariib gaanw mein rehte hon un ko chahiye k city mein aa kar jumah padh jaaye.
 ★ Gaanw ( village ) mein jumah naa-jaaiz hai.. Agar padhenge gunahgaar honge.. Aur zohar un par baaki rahegi.
 ★ *Jis gaanw mein jumah nahi hota wahan shuru nahi karna chahiye.. Aur..* 
      *Jahan hota hai wahan band nahi karna chahiye..k awaam jis bhi jaaiz tariqe se Allah ko yaad karte hon karne dein.. K.. rokne se mumkin hai wo zohar bhi chhod de.*
 ★ Masjid mein jo khatiib o imaam nakki hai fix hai us ki ijaazat k baghair koi dusra khutba nahi padh sakta..
     *Agar padhega khutba jaaiz na hoga.. Aur khutba na hoga to namaaz bhi na hui.. k khutba sharte jumah hai.*
 ★ Khatib ka khutbe k waqt haath mein asa ( danda jo aam tor par masjidon me mimbar k qariib rakkha hota hai ) kuch ulma ne sunnat likha hai aur kuch ne makrooh likha hai.
 ★ Sunnat ye hai k 2 khutbe padhe jaayen.
 ★ Khutbe mein quraan ki aayat na padhna ya dono khutbon k biich mein na bethna makrooh hai.
 ★ Dono khutbon k biich mein imaam ko dua maangna jaaiz hai or muqtadi dil mein dua mange.. Zabaan ko harkat na de to jaaiz hai.

*SHAR-HE WI-QAAYA*
*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA RAZWIYA*
*Jild..3...safa..*
*684..723..764..728*
*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Laa-lach zyada ho to hiras bhi badhta hai.. Aur ye dinn ki kamzori se paida hoti hai.(71).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
========================== 

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - J*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣2⃣ 🌺

 *JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (2)*

 ★ *Jo kaam namaaz ki haalat mein karna haraam O Mana hai Wo khutbe mein bhi karna Mana o Haraam hai.*
 ★ *Khutba sunna farz hai aur is tarah sunna farz hai k poore tor par dhyaan usi taraf ho kisi kaam ki taraf na ho.. Jisam k tamam aaza ( parts of body ) usi taraf mutawajjeh rakkhein..Ye waajib hai..*
      Agar kisi khutba sunne wale tak aawaaz na pohonchti ho tab bhi use chup rehna aur mutawajjeh rehna waajib hai.. *Kisi bhi kaam mein mashghul rehna Haraam hai.*
 ★ Khutbe k waqt khutba sunnewala do zaanu ( namaaz mein bathte hai waise ) ho kar bethe..
Aur aalti paalti ( palaathi.. falaati ) se bhi baith sakte hai.
 ★ *Khutbe k waqt sunne wale ko aik ghoont paani piina bhi Haraam hai Aur kisi taraf gardan ghuma kar dekhna bhi Haraam hai.*
 ★ Khutbe k waqt salaam ka jawab dena bhi haraam hai.
 ★ Khutbe ki jo azaan hoti hai us ka jawab dil mein dein zabaan se na dein..
      Aaqa ka naam sun kar anguthe na chume.. dil mein hi durud padhein zabaan se kuch na padhe.. K us waqt  khaamosh ( chup rehna ) rehna farz hai..
      *Us waqt wazife padhna jaaiz nahi Aur nafl namaaz padhna bhi gunah hai.*
 ★ Khatiib khutbe mein dua kare to sunne walon ko haath uthana ya aamiin kehna mana hai.. karenge to gunahgaar honge.
 ★ Khutba sunne k doraan harkat mana hai.. Khade ho kar sunna sunnat k khilaaf hai..
      *Awaam ( public ) mein dekha gaya hai k khutbe k aakhri alfaaz.. Wala Zikrullaahi taala.. Par hi khatib hota hai aur log khade ho jaate hai..Ye haraam hai.. k abhi khutba khatm nahi huwa.*

*DURRE MUKHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA RAZWIYA*
*Jild...3..safa..*
*697..683..384..*
*759..709..704..743*
*JAAMEUR RUMOOZ*
*AALAMGIIRI*
*FATHUL QADIIR*
*RADDUL MOHTAAR*
*GHUNIYA*
*FATAWA RAZWIYA*
*Jild..3...safa.*
*695..698..696*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sab se bura bhai wo hai jo khush haali aur nemat mein tujse mel-jol rakhe.. aur.. Tangdasti aur taklif mein tuje chhod kar chala jaaye.(72).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
==========================

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - K*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣3⃣ 🌺

 *JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (3)*

 ★ Kisi ne khutbe se pehle ki 4 rakat sunnat shuru ki aur khatiib ne khutba shuru kar diya to 2 rakat par hi salaam pher de.. Aur Khutba.. Farz Namaaz.. Aur baad ki sunnaton k baad ye 4 sunnat padhe.
 ★ *Jumeh ki namaaz mein agar sajda-e-sahw waajib huwa Aur Agar imaam ye sajda karta hai to muqtadiyon mein gadbadi aur fitna phelne ka dar hai to ulma ne in sajdon ko chhodne ( na karne ki ) ki ijaazat di hai.. Bl k jumah mein sajda e sahw chhodna behtar hai.*
 ★ Jumah ki pehli 4 sunnat chhoot gayi to jamaat k baad wali sunnat k baad..Ye 4 sunnat padhe.. Ye adaa hogi qazaa nahi.
 ★ *Jin masjidon mein jumah nahi hota un masjidon ko zohar k waqt band rakkha jaaye.*
 ★ Gaanw mein jumah k din masjid mein zohar ki namaaz azaan o iqaamat k sath baa-jamaat padhe.

*AALAMGIIRI*
*BEHRUR RAAIQ*
*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*Jild..3..4..safa...99..102*
*FATAWA RAZWIYA*
*Jild..3...safa..689*
*619..461..611*

 ★ Murtad.. Munaafiq.. Gumraah Aur bad-aqidah firqe k log jo Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. ki shaan mein gustakhiyan aur be-adabiyan karte hai aur bhole bhaale musalmanon ko apne fareb mein phansa kar un ka imaan tabah karte hai.. Ayse logon ko masjid mein aane se rokna chahiye.

       MAFHUME AHAADIIS..
 ★ *Un se alag raho.. unhein apne se duur rakkho.. Kahin wo tum ko behka na dein.. kahin wo tumhein fitne mein na daal dein.*

*MUSLIM SHARIF*

 ★ Har moozi ko masjid se nikaalna.. Apni taaqat bhar waajib hai.. Chaahe sirf Zabaan se takliif dene wala ho.. khaas kar bad-mazhabiyat phelane wale ko aur gumraahi phelaane wale ko.
 ★ *Murtad ka saf mein khada hona jaaiz nahi.. Un ki namaaz namaaz hai hi nahi.. To jis ki namaaz namaaz hi nahi to Us ka saf mein khada hona saf ko kaat dega.. Aur ye haraam hai.. Lihaza jo taaqat rakhte hon Un par farz hai k wo un murtadon aur munaafiqon ko masjid mein aane se roke aur musalmano ki namaazon ko kharab hone se bachayein.*
 ★ Is dor k Munaafiqin Aur Murtadiin mein Wahaabi.. Dewbandi.. Ghair-Muqallid ( salfi )..Najdi.. Mirzaaii.. waghaira baatil firqon ka shumaar hota hai.. inki pehchaan k liye.. Hus-saamul Hara-main.. kitab mein is ki tafsil padhein.

*FATAWA RAZWIYA*
*Jild..6..safa...103..*
*106..109..433..448*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Sab se bura dagha-baaz.. dhoke-baaz bhai wo hai jo duinya kamane aur maal sametne ki dawat to deta ho.. aur..
     Teri aakhirat se tuje ghaafil kar k use barbaad kare.( matlab.. diin k kaam aur neki k kaam mein madad na kare.. saath na de )(73).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

=======================================================

🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *KUCH JUMUAH K BAARE MEIN - L*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣4⃣ 🌺

 *JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (4)*

 ★ *Jo bhi mariiz ka timaar-daar ( dek-rekh karne wala ) hai aur jaanta hai k jumah k liye jayega to mariiz takliif me aa jaayega aur koi tawajjeh nahi dega to us par jumah farz nahi.*
 ★ Wo naa-biina ( andha ) jo khud masjid tak taklif k baghair jumah k liye na ja sake us par jumah farz nahi..
      *Kuch naa-bina baghair taklif k aur kisi ki madad k baghair baazaaron aur raaston par phirte hai aur jis masjid chaahe baghair puchhe jaa sakte hai.. Un par jumah farz hai.*
 ★ Jis ka aik pair kat gaya Yaa faalij ( laqwah.. paralysis ) ki wajah se be-kaar ho gaya.. Agar wo masjid tak jaa sakta hai to us par jumah farz hai.. Warna nahi.
 ★ *Jo bhi kisi wajah se jumah na padh sake wo baghair azaan o iqaamat  zohar ki namaaz akele - akele padhein.. Chaahe jitne bhi log ho.. Un ko bhi zohar ki namaaz jamaat se padhna mana hai.*
 ★ Maa-zuur matlab wo jis k paas koi jumah na padhne ka sharaii majbuuri hai.. Us k liye bhi behtar ye hai k wo zohar ki namaaz.. Jumah ki jamaat k baad padhe.. k jumah se pehle padhna makrooh hai.
 ★ *Jumah ki namaaz k liye jaldi jana.. Miswaak karna.. Achche safed kapde pehenna.. Tel aur khushboo lagaana Mustahab hai.. Jumah k din Ghusul karna sunnat hai.*
 ★ *Hajaamat banwana aur naakhun tarashwana ( katwana ) jumah ki namaaz k baad afzal hai.*

*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*GHUNIYAH*
*BAHARE SHARIYAT*
*Jild..4..safa..102*
*RADDUL MOHTAAR*
*MOMIN KI NAMAAZ*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Taqwa ( faraaiz o waajibaat adaa karna aur Gunahon se bachna ) ho to gunah se bacha jaa sakta hai.. aur..
     Logon k gunah maaf karne se Allah ki rehmat naazil hoti hai.(74).

*AQWAALE HAZRAT ALI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
  ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

      QAADRI FAIZ K JUMUAH topic
      ki sabhi post eik sath padhne
      ke liye is link par visit karein.

http://sik7405457791.blogspot.in/2017/03/jummah-ke-baare-me-special.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

===============================================