JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡


 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      JHOOT - JHAGDA - AKHLAAQ
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jo jhoot chhod de us k liye jannat k kinaare par ghar banaya jaayega...
 โ˜… Jo haq par hote huwe ladaai jhagda chhod de us k liye jannat k biich me ghar banaya jaayega...or..
 โ˜… Jis k akhlaaq achche hon to us k liye jannat k oopar k hisse mein ghar banaya jaayega.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
 ALLAH SE DAR OR ACHCHE AKHLAQ
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Kya tum jaante ho k jannat mein log zyada kis wajeh se jaayenge ?..fir farmaya...dar or achche akhlaaq ( sulook..bartaao..wehwaar )...
 โ˜… Kya tum jaante ho aag mein ( jahannam ) log kis chiz ki wajeh zyada daakhil honge ?..fir farmaya..2 khaali chiizein...munh or sharamgaah.
 โ˜… Musalmano mein kaamil iimaan waale wo hain...jin k akhlaaq achche hain.

TIRMIZI..ABU DAAUD
IBNE MAAJAH..ZIYAUL HADIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
 SACH K FAYDE OR JHOOT K WABAAL
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Hamesha sach bolo k...sach neki ki taraf le jaata hai or neki jannat ki taraf le jaati hai...aur jisne hamesha sach bola or sach ki talaash me raha to Allah use sachchon mein likh deta hai...
 โ˜… Jhoot se bacho k...jhoot buraai ki taraf le jaata hai or buraai jahannam ki taraf le jaata hai..aur jab insaan jhoot bolta rehta hai or jhoot ki hi talaash mein hi rehta hai to Allah usko jhoota likh deta hai.

BUKHAARI...MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      SACH BOLNA OR AIB BATANA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Sauda ( deal ) karne waale alag hone se pehle mukhtaar hai ( authorised ) sauda karne walon ko sach bol kar apni chiiz ka aib bata dena chaahiye..isse unki tijaarat ( dhande ) mein barkat hogi...or
      Agar aib chhupayenge to or jhoot bolenge to un k kaarobaar mein barkat na rahegi.

BUKHAARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             SACHCHAAI OR JHOOT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Shak waali chizon ko chhod do or aysi chizein apnaao jo shak waali na ho...
 โ˜… Sachchaaii sukoon O aman deti hai or...
 โ˜… Jhoot shak O shubha paida karta hai.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       AGAR 4 KHOOBIYAN HON TO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Jab tuj mein 4 khoobiyan hon to tuu kisi baat ki parwah na kar chaahe saari duniya tujse alag ho jaaye..
 โ˜… amaanatdaari...
 โ˜… sach bolna...
 โ˜… achchi aadat...
 โ˜… halaal khaana...

AHMED..ZIYAUL HADIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    MUSIBAT - PARESHANI SE RUTBE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jab Allah kisi bande ko aala ( ooncha ) rutba dena chaahta hai jisko wo ( banda ) nekiyon se nahi paa sakta hai to...
      Allah usko jaan...maal...awlaad...ki pareshaniyon mein daal deta hai...or bande ko sabar bhi deta hai or banda wo ooncha rutba hasil kar leta hai.

AHMED..
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       SABAR KA AJAR O SAWAAB
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Qayamat k din jab musibat uthaane waalon ko ajar..badla..diya jaayega to...wo log jo duniya mein musibaton or pareshaniyon se bache huwe honge....
      Wo ye tamanna karenge k..kaash hamare jism ( body ) ko duniya mein qenchiyon ( sesors ) se kaat diye jaate. ( hamko bhi ayse ajar O sawaab milte ) .

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
         PARESHANI OR KAFFAARAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 5โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jab kisi bande k gunah zyada ho jaate hain or us k paas itni nekiyan nahi hoti k un gunahon ka kaffaara ho jaaye to...
      Allah usko pareshaniyon mein daal deta hai k us k gunahon ka kaffaarah ho jaaye.

AHMED..
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   TAKLIF..BIMARI..THAKAAN..GHAM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Musalmaan ko thakaan...biimaari...gham...takliif..waghaira pohnche..yahan tak k kaanta bhi chubh jaaye to Allah us k badle us k gunah mitaa deta hai.

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   KHUSHI-SHUKR or GHAM-SABAR
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 6โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Momin ka mamla ajib hai..is k har kaam mein bhalaai hai..ye sharaf ( kamaal ) momin k siwa kisi or ko hasil nahi hai..k..
 โ˜… Agar ise khushi mile or us par Allah ka shukr kare to isme iski bhalaai hai...aur...
 โ˜… Agar musibat aaye or is par sabar kare to isme bhi is k liye bhalaai hai.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      ALLAH KI MARZI MEIN RAAZI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Insaan ki bhalaaii isi mein hai k jo kuch Allah ne is k liye muqaddar kiya ( nasib mein likh diya ) us par raazi rahe...or...
 โ˜… Insaan ki bad bakhti isme hai k..Allah se bhalaai maangna chhod de or Allah ne jo uska muqaddar kiya ( nasib mein likha ) us par ghamgiin ( raazi na ho ) rahe.

AHMED...TIRMIZI
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   MAALDAR O GHARIB...KO DEKHO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 7โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jab tum kisi ayse bande ko dekho jise Allah ne maal..daulat..tandrusti dii ho...to..
      Ayse bandon ko bhi dekh le k jinko Allah ne ( apni hikmat se ) ye neamatein nahi dii.

BUKHARI...MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       NAA SHUKRE KI PEHCHAAN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Jo log...logon ka shukriya ada nahi karte...Wo Allah ka bhi shukr ada nahi karte.
{โ–ชMatlab..Jo kisi insaan k ehsaan ka shukr nahi kare..Wo Allah ka bhi shukr nahi karenge }
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      TAWAKKAL - ALLAH KAAFI HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 8โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jo banda Allah par tawakkal kare or apne tamaam kaamon ko Allah k hawale kar de to Allah us k liye kaafi hai.

IBNE MAAJAH SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             TAWAKKAL OR ROZI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Agar tum log Allah par ayse tawakkal kar lo k jaysa karna chaahiye to..
 โ˜… Allah tumko ayse rozi dega jayse parindon ( birds ) ko deta hai...K..
 โ˜… Wo subha me bhooke nikalte hain or shaam ko shikam sayr ( pait bhar kar ) ho kar waapas aate hain.

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    DUNIYA CHHODNA-YE KYA HAI..?
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 9โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Duniya ki halaal chizon ko apne oopar haraam kar lena or maal ko barbaad kar dena...ye tarke duniya ( duniya chhodna ) nahi hai...bl k..
      Duniya se be raghbati ( duniya chhodna ) ye hai k jo kuch maal daulat tere haathon mein hai is par bharosa na kar...Aur bharosa us par kar..jo Allah k daste qudrat ( Allah k ikhtiyaar me ) mein hai.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
        DIIN K KHAADIM KI FAZILAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...k zamaana e aqdas mein 2 bhai the aik Aaqa ki khidmat mein haazir rehra ir dusra koi kaam karta tha...
 โ˜… Kaam karne waale ne Aaqa se apne bhai ki shikayat ki..to..Aaqa ne irshad farmaya...k..
 โ˜… Shaayad tujhe isi bhai ki wajeh se rizq diya jaata hai.
๐Ÿ”ป[ Iska matlab ye hai k Aaqa ne is baat ki taraf ishara diya k jo diin ki khidmat karta hai ya diin siikhta hai uski duniya Allah apne zimma e karam par le leta hai. ]

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      SHARM O HAYA OR BE HAYAAII
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ ๐Ÿ”Ÿ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Haya bhalaai hi laati hai..
 โ˜… Sharm O Haya iimaan ka hissa hai or iimaan waala jannat mein jaayega..
 โ˜… Fahash goi ( nangaapan..be hayaaii ) buraai ka hissa hai or buraaii waala jahannam mein jaayega.

AHMED...TIRMIZI...BUKHARI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       IMAAN O HAYA SATH SATH HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Iimaan O Haya dono aik dusre k saathi ( dost ) hain...jab in mese aik chala jaata hai to dusra bhi utha liya jaata hai.

BAIHAQI..MISHKAAT
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
            NARMI OR MEHERBAANI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ1โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jo shakhs narmi se mehroom rakkha gaya Wo bhalaai se mehroom kar diya gaya.
 โ˜… Allah meherbaan hai or meherbaani ko pasand karta hai.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       MIZAAJ ME NARMI K FAAYDE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Jisko narmi dii gayii usko duniya or aakhirat ki bhalaai mese hissa diya gaya...or...
 โ˜… Jo narmi se mehroom raha Wo duniya or aakhirat k hisse se mehroom raha.

MISHKAAT SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
               AIK CHUP OR NAJAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ2โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jo khamosh ( chup ) raha Wo najaat paa gaya.

AHMED...TIRMIZI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             ZABAAN - GHAR - GUNAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAik sahaabi ne arz ki...Najaat ka zariya kya hai ?....To....Aaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Apni zabaan ko qaabu ( control )
      mein rakkho...
 โ˜… Bina zarurat k ghar se na niklo..
 โ˜… Apne gunahon par rote raho..

AHMED..TIRMIZI
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     ZABAAN SE SARE BADAN KI ARZ
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ3โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jab subha hoti hai to insaan k saare aaza ( body parts ) zabaan se arz karte hain k...Hamare baare mein Allah se dar...K..
 โ˜… Ham tere saath hain...Agar tu siidhii rahegi to ham siidhe rahenge Or Agar tu tedhi hogi to ham tedhe honge.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   AMAL ME HALKI-MIZAN PR BHARI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Hamesha chup rehna Or achchi aadat...ye 2 chizein amal mein halki Or mizaan par bhaari ( wazandaar ) hain.

BAIHAQI...MISHKAAT
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    AMAANAT  OR  WAADA KHILAAFI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ4โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHazrat Anas...radiyallahu anhu...kehte hai k...Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...hamko baar baar irshaad farmate..K...
 โ˜…Jo amaanatdaar nahi uska iimaan
      nahi..Or..
 โ˜…Jo waade ka paaband nahi Uska
      diin nahi.
โ–ช[ Khulaasa...Is hadis ka khulasa ye hai k jisme amaanatdaari nahi wo musalmaan to hai..lekin uska iimaan kaamil darje ka nahi...Or
      Jo waada na nibhaaye uska diin nahi..se murad ye hai k wo diine islaam mein to hai...lekin diine islaam par uska poora amal nahi hai.]

BAIHAQI...MISHKAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
         JHAGDA - MAZAAQ - WAADA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Apne bhai se jhagda na karo Or..
 โ˜… Na uska mazaaq udaao Or...
 โ˜… Na usse aysa waada karo jo poora
      na kar sako.

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale acbhche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
           INKI-SAARI  OR   TAWAAZO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ5โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Allah ne muje wahi farmayi K..Inki-saar ( aajizi..khaak-saari..narmi ) karo...Or...
 โ˜… Koi kisi par fakhr ( ghuroor..naaz.)
      na kare...or..
 โ˜… Na koi kisi par zulam ( naa-insaafi.
      ..zabar-dasti ) kare.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       SADQA - MAAFI - TAWAAZO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Sadqa dene se maal kam nahi
      hota..
 โ˜… Maafi or darguzar ki wajeh se
      Allah bande ki izzat badhata hai..
 โ˜… Allah usko buland ( ooncha..izzat badhna ) karta hai jo Allah k liye tawazo ( khud ko kamtar or dusron ko apne se behtar samajna ) karta hai.

MUSLIM SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       TAWAAZO OR ACHCHA LIBAAS
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ6โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jo banda..taaqat k baa wujood tawazo ( aajizi..khaaksaari ) k liye achcha ( mehnga..khubsurat..attractive ) libaas chhod de to...
 โ˜… Allah qayamat k din ahle mehshar k saamne  usko bulaa kar ikhtiyaar ( authority ) dega k iimaan ka jo libaas chaahe pehen le.( matlab ye k..Jo roohani rutba..mansab chaahe wo le kar jannat mein chala jaaye ) .

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   APNE BAAP - DAADA PAR FAKHAR
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Aye logo apne baap-daada par fakhar na karo..k jo jahannam ka koyla ban gaye...warna Allah k nazdiik gandagi mein lotne waale kiide se bhi zyada zaliil ho jaaoge...
 โ˜… Beshak Allah ne tumko jahaalat k takabbur or baap-daada par fakhar karne se najaat dii..to..
 โ˜… Ab insaan ya to momin-muttaqi hai...ya faajir-badkaar hai..sab log Aadam ki awlaad hai or Aadam mitti se bane the.
...Alayhimussalatu wassalaam...

ZIYA UL HADIIS
TIRMIZI..ABU DAAUUD
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       MAAF KARNE WALE KA RUTBA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ7โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Hazrate Moosa..alayhissalaam..ne arz kii..Aye mere parwardigaar kon tere nazdiik zyada izzat waala hai...To...
      Farmaya...Wo k...Jo badla lene ki taaqat rakhta ho fir bhi maaf kar de.

BAIYAQI...MISHKAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     GHUSSE KO PII JAANE KA FAYDA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Jo bhi ghusse ko pii jaaye ( jab k taaqat ho k ghussa dikha kar badla le sakta ho ) To...Allah qayamat k din usko sardaaron mein bulaayega or ikhtiyaar dega k..Jo hoor chaahe lele.

ABU DAAUUD
TIRMIZI..ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       JAHANNAM KI AAG HARAAM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ8โƒฃ

      Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Kya mein tumko us chiiz ki khabar na dun jo aag par haraam or aag us par haraam hoti hai ( matlab..wo jahannam mein na jaayegi )..fir farmaya...
 โ˜… Har naram tabiyat...
 โ˜… Naram zabaan...
 โ˜… Logon se qariib..( mil-jul kar
      rehne waala )..
 โ˜… Dar-guzar karne waala..
      ( maaf karne waala )

AHMED...TIRMIZI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      AASAANI IKHTIYAAR KARTE THE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นSiyeda Aaisha...radiyallahu anha...kehti hain...k..Aaqa...alayhissalaatu wassalaam...ko jab koi bhi 2 kaamon ka ikhtiyaar diya gaya to...
 โ˜… Aapne aasaan kaam ikhtiyaar kiya...Or Aaqa gunah se hamesha bohot duur rahe..
 โ˜… Aapne kabhi apni zaat k liye kisi se badlaa nahi liya..Lekin Allah k ehkaam ki be-hurmati hoti to Aaqa us k liye badlaa lete.

BUKHAARI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       IIMAAN - RIZQ  OR  QANAA-AT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 1โƒฃ9โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Wo banda kaamyaab ho gaya...Jo musalmaan huwa...Jisko zarurat bhar rizq diya gaya Or jisko Allah ne use diye huwe par Qanaa-at ( jo mil jaaye us par raazi rehna ) dii.

MUSLIM HADIIS
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       ASLI DAULAT MAND KON HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Daulat mand wo nahi jis k paas maal O asbaab zyada hota hai..bl k...
Daulat mand wo hota hai jiska nafs ghani ho.( matlab..Jo mila us par raazi ho ).

BUKHAARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      THODA RIZQ  OR  THODA AMAL
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ0โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jo Allah k diye huwe thode se rizq par raazi hoga...Allah us k thode amal par raazi hoga.

BAYHAQI...MISHKAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      SUBHA KA WAQT OR FARISHTE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Jab bhi suraj nikalta hai..us k dono taraf 2 farishte pukaarte hain..( insaan or jinnaat k siwa sab sunte hai ) K..Aye logo apne Rab ki taraf aao..
 โ˜… Jo thoda ho or kaafi ho...
 โ˜… Wo usse achcha hai...k...
 โ˜… Jo zyada ho or ghaafil kar de.

ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
 ALLAH KI RAH MEIN KHARCH KARNA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ1โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Banda kehta hai..mera maal..mera maal..haalan k us k maal sirf 3 hai...
 โ˜… Jo khaa kar khatm kar de..
 โ˜… Ya pehen kar khatm kar de..
 โ˜… Ya Allah ki raah mein de kar jamaa kar de...
      Jo maal Is k alaawa hai wo to jaane waala hai or logon k liye chhodne ( bachchon k liye warse mein ) waala hai.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             APNA MAAL  OR  WARSA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Tum mein Kon hai jisko apne maal se zyada apne waaras daaron ka maal pyara ho ?...Arz ki sahaba ne..Ya Rasulallah...Ham mein aysa koi nahi..to farmaya...
      Uska maal wo hai jo Allah ki raah mein kharch kar de...or jo maal chhod jaaye wo us k waaras daaron ka hai.

BUKHAARI SHARIF
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      3 HIKMAT KI BAATEIN OR MAAL
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ2โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Duniya uska ghar hai jiska koi ghar na ho...or..( jo jannat ko apna ghar na samje )...
 โ˜… Uska maal hai jiska koi maal na ho...or..( jisne Allah ki raah mein kharch na kiya ho )...
 โ˜… Duniya ko wo jama karta hai jisme aqal na ho.( Allah ki raah mein kharch na kare or jamaa kare ).

AHMED...
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
        RAAHE KHUDA MEIN KHARCH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Allah farmata hai...Aye Aadam ki
      awlaad Tuu meri raah mein
      kharch kar...
 โ˜… Mein tujh par kharch karunga.

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             KON HAM ME SE NAHI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ3โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Wo ham mese nahi...
 โ˜… Jo hamare chhoton par rehem
      na kare or...
 โ˜… Hamare badon ki taaziim
      na kare or...
 โ˜… Achchi baaton ka hukm na de or.
 โ˜… uri baaton se na roke.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   JO LOGON PAR REHEM NAHI KARE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Allah us par rehem nahi karta...
 โ˜… Jo logon par rehem nahi karta.

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       YATIIM KO PAALNE KI FAZILAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ4โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Mein aur yatiim ko paalne waala...chaahe wo yatiim apna ho k ghair ka ( rishtedaar ho ya or kisi ka ho ) ho...Wo or mein jannat mein is tarah honge..
      Ye keh kar Aaqa ne kalme or biich ki ungli ko milaa kar kuch duur kiya.

BUKHAARI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
  MUSALMAN KAYSA HONA CHAHIYE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Tum musalmaano ko Rehmat..Muhobbat..or Meherbaani mein aik jism ki tarah dekhoge...
      Jayse aik uzva ( jisam ka aik hissa ) biimaar ho jaaye to jisam k saare aazaa ( saara jisam ) aik dusre ko nind ki kami ( be chainy ) or bukhaar ki taraf bulaate hain.( biimaar ho jaate hain )
[โ–ชKya aaj k musalmaano ka ye haal hai ?...Nahi...To aaj hamaara amal is par kyun nahi hai...hamein is par amal ki sakht zarurat hai k aaj har qaum muttahid hai agar nahi hai to sirf musalmaan ]

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     ALLAH K LIYE MIHOBBAT KARNA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ5โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Allah qayamat k din farmayega...Kahan hai meri khaatir aapas mein aik dusre se mohobbat karne waale...
      Aaj mein unko apni rehmat mein jaga dunga aur aaj mere saaye k siwa koi saaya nahi.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   LILLAH MOHOBBAT KARNE WALE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
๐Ÿ”นAllah k kuch bande ayse hain k..Jo Nabi nahi hai...Shahiid nahi hai...lekin qayamat k fin un par Ambiya or Shohada un ka rutba dekh kar rashk kaeenge...
๐Ÿ”ธArz kii..Ya Rasulallah..Wo
      log kon honge ?...to..
๐Ÿ”นFarmaya...Ye wo log honge jinki aapas mein koi rishtedaariyan ( relative ) nai hongi or na koi aapas mein len-den ( buisness relation ) honge...Fir bhi ye aik dusre se Allah k Quraan ki wajeh se mohobbat karte honge...
๐Ÿ”นAllah ki qasam un k chehre noor k honge or wo khud noor par honge...
 โ˜… Jab log darenge ye na darenge..
 โ˜… Jab log ghamgiin honge to ye ghamgiin na honge..or fir Aaqa ne ye aayat tilaawat farmaayi..
๐Ÿ”ปKhabardaar ho...Beshak..Allah k waliyon par na kuch khauf hai na kuch gham.

ZIYA UL HADIIS
QURAAN...ABU DAAOOD
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
             CHUP REHNE KI FAZILAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ6โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Insaan ka hamesha chup rehna ( baghair zarurat k na bole ) or is par qaayim rehna 60 saal ki ibaadat se afzal hai.

BAYHAQI..MISHKAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     KYA GUNAH SE BACH SAKTE HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
๐Ÿ”นKya koi aysa aadmi hai k Jo paani par chale aur us k pairon ko paani na lage ?
๐Ÿ”ธArz ki..Nahi Ya Rasulallah...to
๐Ÿ”นFarmaya...Isi tarah duniya daar gunahon se bach hi nai sakta.
[โ–ชAysa duniya daar Jo Allah k Faraaiz..Waajibaat ko un k waqton par ada na karta hai or Bandon ka haq bhi ada na kare ]

ZIYA UL HADIIS
BAYHAQI..MISHKAAT
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    TANHAAII-MEHFIL..CHUP-BOLNA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ7โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHazrat Umar...radiyallahu anhu...kehte hai k..Mein Hazrat Abu Zar k paas gaya to mene dekha k wo kaale kambal odh kar akele tekaa lagaa kar bethe hai..Mene kaha..Abu Zar ye is tarah kone ( corner ) mein kyun ?...To Abu Zar ne farmaya...k.. 
 โ˜… Mene Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ko irshaad farmate suna k...
 โ˜… Tanhaaii ( akele rehna ) bure
      saathi se achchi hai...
 โ˜… Or Achcha saathi Tanhaaii se
      achcha hai...
 โ˜… Achchi baat bolna..chup rehne se
      achcha hai...
 โ˜… Or Bura bolne se..chup rehna
      achcha hai.

BAYHAQI...MISHKAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      AAQA K DOST KON LOG HAIN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Mere doston mein wo momin sabse achcha hai jo kam saamaan waala or khoob namaaz padhne waala ho...
 โ˜… Wo apne Rab ki achchi tarah
      ibaadat kare...
 โ˜… Chhup kar Allah ki farmaa bardaari
      kare...
 โ˜… Logon mein chhup kar rahe..bohot
      mash-hoor na ho...
 โ˜… Uska rizq zarurat jitna hi ho...or wo
      us par sabar kare..Fir Aaqa ne
      chutki bajaa kar farmaaya...
 โ˜… Uski maut jaldi aa jaaye...
 โ˜… Us par rone waaliyan kam hon..
 โ˜… Uska warsa bhi kam ho.

AHMED..IBNE MAAJAH..
TIRMIZI..ZIYAUL HADIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   GUNAH -SAZAA - MUSIBAT -AZAB
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ8โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jab Allah kisi bande k saath bhalaaii ka iraada karta hai to duniya mein hi usko sazaa de deta hai..or..
 โ˜… Jab kisi bande k saath buraaii ka iraada farmata hai ( us k gunahon ki wajeh se ) to us k gunah k baa-wujud uski sazaa ko qayamat tak rok deta hai or us din poori poori sazaa dega...
 โ˜… Jis par musibat zyada aati hai uska sawaab bhi zyada hota hai...or..
 โ˜… Allah jis qaum se mohobbat karta hai us qaum ko aazmaata hai to Jo us aazmaaish mein sabar kar k khush rahe to Allah usse raazi hota hai..or...
      Jo us aazmaaish mein be sabri kare or naa-khush ho to Allah usse naraaz hota hai.

TIRMIZI SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      KHWAAHISHAAT OR TAKAALIIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Aag ( jahannam ) khwaahishaat se chaaron taraf se gher di gayi or...
 โ˜… Jannat takliif se chaaron taraf se gher dii gayi.
โ–ช{ Jisne apni nafsaani khwaahishaat yani gunaahon par amal kiya to jahannam mein jaane ka kaam kiya or...Jisne Allah taraf se dii hui takliifon or aazmaaishon par sabar kiya to usne jannat mein jaane ka kaam kiya }

BUKHARI..MUSLUM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      DUNIYA MOMIN K LIYE JAIL HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 2โƒฃ9โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Duniya momin ka qaid khaana hai or kaafir ki jannat hai.
[โ–ชMatlab ye k...Agar hamko yahan takliif pareshaani ho to ye samajh lein k ye hamare liye jail hai...Or kaafir ko aish mein khush haal dekho to koi tajjub nahi k ye us k liye jannat hai...baad mein hamesha ka azaab hi hai ]

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
          BHALAAII OR MUSIIBATEIN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Allah jisse bhalaaii ka iraada farmaata hai usko musibaton mein daal deta hai.
[โ–ชMusibat mein banda Allah ko zyada yaad karta hai or Dil se yaad karta hai...To Allah jiski bhalai ka iraada karta hai usko musibat mein daal kar apni rehmat k qariib kar leta hai ]

BUKHAARI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       AQALMAND   OR   BE WAQOOF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ0โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Aqalmand wo hai jo apne nafs ka dhyaan rakhta hai ( khud ghor kare k gunah karta hun k neki karta hun )..or marne k baad ki zindagi ki taiyaari karta hai ( achche aamaal kare )...Or..
 โ˜… Be wo waqoof hai jo gunaahon ki taraf bhagta hai or Allah se muaafi ki ummiid rakhta hai.
โ–ช[ Matlab...Un logon ko ghor karna chahiye k jo apne aap ko sudhaarte nahi or jo be khauf ho kar gunah karte hain or kehte hain k Allah maaf kar dega.]

TIRMIZI...IBNE MAAJAH...
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       TANDRUSTI   OR   FARAAGHAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      2 chiizein aysi hai k jin k baare mein bohot se log nuqsaan mein hai..
 โ˜… Tandrusti........
 โ˜… Faraaghat.......
โ–ช[ Matlab...Jab tandrusti hoti hai to qadar nahi karte or sehet barbaad hone k baad afsos karte hain...Or...Jab waqt hota hai kuch achche kaam kar lene ka to waqt barbaad karte hain or baadme jab kuch karna chahte hain to ab waqt nahi hota or kar nahi paate.]

BUKHAARI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       SABSE AFZAL MOMIN KON HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ1โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นAik shakhs ne Arz kii Ya Rasulallah...kon afzal hai ?...To...Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Wo momin jo apni jaan-maal k saath Allah ki raah mein jihaad karta hai...arz kii...is k baad ?...
      Farmaya...Wo momin jo kisi ghaati ( aysi jaga jo aabaadi duur ho ) mein Allah ki ibaadat karta hai or logon ko apne shar ( kharaabiyon ) se logon ko bachaata hai.
[โ–ชMatlab...Aabaadi se duur ibaadat kare or logon se kam se kam mel jol rakkhe...taa k logon ko khud uski wajeh se koi takliif na ho.]

BUKHARI...MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     HIKMAT OR ZABAAN MEIN ASAR
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Wo banda duniya se be raghbat ho jaata hai...Allah jis k dil mein hikmat ( aqal mandi or hoshiyaari ) ugaa deta hai...
      Uski zabaan mein asar de deta hai...use duniya k aib or iski bimaariyan or un k ilaaj dikha deta hai or duniya se salaamti k sath nikaal deta hai.

BAYHAQI..MISHKAAT
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
         SAJDE KI AHEMIYAT SAMJO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ2โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Banda sajde mein apne Rab k zyada qariib hota hai to sajde mein khoob dua maanga karo.

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
  NEMAT-SHUKR  OR  BHOOK-SABAR
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Muj par mere Rab ne ye ikhtiyaar pesh kiya k makke sharif zamiin ko sone ( gold ) ki banaa diya jaaye to mene yun arz kii...
      Yaa Rab meri ye tamanna hai k aik din pet bhar kar khaaun or teri hamd o taariif karun or shukr adaa karun...aur..
      Aik din bhooka rahun or tere liye aajizi karun or tuje khoob yaad karun.

AHMED...TIRMIZI
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     KHAANA KITNA KHANA CHAHIYE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ3โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Pet se bura koi bartan nahi jisko bharaa jaata ho...insaan k liye chand luqme..niwaale kaafi hain jo insaan ki kamar ko siidha rakkhein...
      Fir bhi agar zyada khaane ki zarurat ho to tihaaii pet khaana...tihaaii pet paani...or tihaaii pet saans k liye rakkho.( tihaaii ka matlab hai...Kul ka tiisra hissa...1/3... ya...33 % )

TIRMIZI..IBNE MAAJAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    INSAAN KA KIN CHIIZON ME HAQ
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Insaan ka in 3 chizon k siwa kisi chiiz mein haq nahi...
 โ˜… Wo ghar jis mein rahe...
 โ˜… Wo kapda jisse satar chhupaaye..
 โ˜… Roti ka tukda or paani..

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    AAQA KI NAZAR OR IBRAT KI BAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ4โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Mein wo dekhta hun jo tum nahi dekhte...or wo sunta hun jo tum nahi sunte..
 โ˜… Aasmaan charcharaa raha hai or use charcharaana chahiye...Us zaat ki Qasam jis k qabze mein meri jaan hai.
      Aasmaanon mein 4 ungliyan jitni jaga bhi nahi k jahan farishte Allah ko sajda na kar rahe ho...
 โ˜… Allah ki qasam jo mein jaanta hun wo tum jaante to tum kam haste or zyaada rote...bistar par apni biwi se mazaa na lete...
 โ˜… Allah ki panah maangte huwe jangalon ki taraf chale jaate...
 โ˜… Ye sun kar Hazrat Abu Zar...radiyallahu anhu...ne kaha k...Kaash mein jhaad hota or kaat diya jaata.( matlab ye k insaan na hota to mujse hisaab na liya jaata )

AHMED..TIRMIZI..IBNE MAAJAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
  ALLAH K KHOF SE AANSU NIKALNA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Koi momin banda aysa nahi jiski aankhon se Allah k khauf se aansoo nikle...or wo aansoo chehre par beh jaayein...
      Chaahe wo aansoo makkhi k sar k baraabar hon to bhi Allah use jahannam ki aag par haraam kar dega.

TIRMIZI..BAIHAQI
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     ALLAH KI YAAD OR KHAUF...dar..
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ5โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
Allah qayamat mein farmayega...k
 โ˜…Jis bande ne muje aik din bhi yaad kiya ho...ya..
 โ˜… Aik baar hi sahi...mujse dara ho...to use jahannam ki aag se nikaal liyaa jaaye.
โ–ช{ Matlab...meri yaad ki wajeh se ya mere dar ki wajeh se gunah ko chhod diya ho to usko aag se nikaal liya jayega.}

TIRMIZI..BAIHAQI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
  AAKHIRAT K LIYE NEKI OR MEHNAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Jo darta hai wo andhere mein bhi jaagta ( ibaadat karta hai ) rehta hai or mazil par pohonchta hai ( kaamiyaab ho jaata hai )...
 โ˜… Khabardaar Allah ka sauda mehnga hai...khabardaar Alkah ka sauda jannat hai.( matlab...jannat ko hasil karne k liye khoob nekiyan karo or khoob ibaadat kiya karo )

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
 MAIYAT K SATH US K AAMAL HONGE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡3โƒฃ6โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Maiyat k saath 3 chizein jaati hain...2 chiizein waapas aati hai or 1 saath reh jaati hai...
 โ˜… Us k ghar waale..or...
 โ˜… Uska maal...waapas aate hai..
 โ˜… Us k aamaal saath jaate hai...or saath hi reh jaate hai.

BUKHARI...MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    JAHANNAM SABSE HALKA AZAB
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
      Jahannam mein sabse halka azaab ye hoga k aag k joote honge or joote ki 2 dori hogi...or Is azaab se dimaagh ubalta hoga jayse haandi ubalti hai...or..
      Jisko ye azaab diya jaa raha hoga wo ye samjega k sabse zyada azaab muje hi diya jaa raha hai ( isse takliif itni hogi )...Jab k ye azaab sab se halka azaab hoga.

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   QABAR K HAALAAT K BAARE MEIN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ7โƒฃ

      Mafhume Hadis...
๐Ÿ”นJab Huzur ne logon ko haste dekha to...Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya..
      Duniya ki lazzaton or hasi ( hasna ) ko khatam karne or rok dene waali Maut ko khoob yaad karo...K...Rozaana Qabar bolti hai or kehti hai...K...
 โ˜… Mein musaafiron ka ghar hun..
 โ˜… Mein akelepan ka ghar hun...
 โ˜… Mein mitti ka ghar hun...
 โ˜… Mein kiidon ( kiide ) ka ghar hun...or...Jab momin dafan kiya jaata hai to Qabar usse kehti hai...
๐Ÿ”ธTera aana mubaarak ho k muj par chalne waalon mein tu muje bohot pyaara tha ( momin or nek tha isliye ) aaj mein tujse bohot achcha bartaao karungi...Or murde ki qabar mein jitni duur tak nazar jaayegi utni duur tak qabar phail jaayegi...Or...
๐Ÿ”นJab badkaar ( bure kaam karne waala...gunahgaar ) ya kaafir dafan kiya jaata hai to Qabar usse kehti hai...Mujme aana tuje mubaarak nahi...k meri piith par chalne waalon mein tu muje bohot naa-pasand tha...( kufr or gunah ki wajeh se ) aaj mein tuje bataa dungi...tu mera bartaao dekh le...Or Qabar tang ( sikudna...chhoti hona ) hona shuru hoti hai...itni tang ho jaati hai k murde ki pasliyaan aik dusre mein aapas mein ghus jaayegi...Ye farmaa kar Aaqa ne apne haathon ki ungliyon ko aik dusre mein daal diya...Or...
      Farmaaya...Us murde ko 70 patle saanp ( snake...saanf ) azaab denge...Un saanpon mese agar aik saanp bhi zamiin par phoonk maar de to uski phoonk ki wajeh se Qayamat tak zamiin se koi chiiz na ooge ( kheti k qaabil na rahe ) ayse saanp us murde ko kaat-te or nochte hain or azaab dete hain...
๐Ÿ”ปFir farmaya...
 โ˜… Qabar yaa to jannat k baaghichon mese aik baagicha hai...Ya...
 โ˜… Qabar jahannam k gaddhon mese aik gaddha hai.
[โ–ชAye Allah hamein gunaahon se bachne ki or nek kaam karne ki tofiq ataa farma...Or Qabar O hashar k tamaam azaabon se hamaari...hamaare ghar waalon ki hifaazat farma...Aameen Summa Aameen.]

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
           MAUT AUR MAAL KI KAMII
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ8โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      2 chiizon ko insaan pasand nahi karta...aik maut ko...jab k maut momin k liye fitne se behtar hai...
      Or dusre...maal ki kamii pasand nahi karta...jab k maal ki kamii hisaab ( qayamat k hisaab ko ) ko kam kar deti hai.

AHMED...
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
 MAUT - INSAAN - LAMBI UMMIDEIN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne...aik lakdi apne saamne gaadii or dusri us k paas or tisri bohot duur gaadi...
      Fir farmaya...Kya tum jaante ho ye kya hai ?...sahaaba ne arz kii...Allah O Rasool jaante hai...to...
      Farmaya...Ye insaan or ye maut hai...( 2 lakdi paas paas thi unki taraf ishaara kiya )...or Wo ( tisri jo duur thi ) ummiid hai...insaan ummiidon mein mash-ghool ( busy ) rehta hai lekin ummiidein poori hone se pehle hi maut aa jaati hai.( aur aakhirat ki taiyaari or nekiyaan nahi kar paata )

MISHKAAT SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     ALLAH KI REHMAT O MAGHFIRAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 3โƒฃ9โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Allah farmata hai...Jo aik neki kare mein use 10 guna ( multiply..gunaakaar ) ya usse bhi zyada sawaab dunga...or...
 โ˜… Jo gunah kare to us aik  gunah ki saza aik hi dunga ya muaaf kar dunga...
 โ˜… Jo mujse aik baalisht ( billas..haath k panje jitna ) bhar mere qariib aata hai to meri rehmat aik haath bhar ( kohni se panje tak ) qariib ho jaati hai...or..
 โ˜… Jo aik haath bhar meri rehmat k qariib aata hai to meri rehmat 2 haath us k qariib ho jaati hai...
 โ˜… Jo banda mere paas chal kar aata hai to meri rehmat uski taraf daudti hai...or..
 โ˜… Jo kisi ko mera shariik na kare ( Allah k baraabar...ya Allah k siwa kisi aur ko ibaadat k laayeq na maane ya na kahe ) or zamiin bhar kar gunah le kar mere paas aaye to mein us k gunaahon k baraabar maghfirat k saath usse milunga.( matlab usko muaaf kar dunga )

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   MOMIN OR KAAFIR-JAZA OR SAZA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Agar momin ko Allah k azaab ka chal jaaye to uski jannat mein jaane ki ummiid hi baaqi na rahe...or...
 โ˜… Agar kaafir ko Allah ki rehmat ka pata chal jaaye to koi kaafir jannat mein jaane se naa-ummiid na rahe.

MUSLIM...BUKHAARI
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๎‘€ QAADRI FAIZ๎‘€MUNAJJIYAT ๎‘€
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   ALLAH BANDON PAR MEHERBAAN
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ0โƒฃ

      Mafume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...k paas kuch qaidy aaye...un mese aik qaidy awrat  daudti firti...Jab wo kisi bachche ko dekhti to siine se lagaa leti or doodh pilaane lagti...Aaqa ne irshaad farmaya...
      Kya aysa ho sakta hai k ye awrat apne bachche ko aag mein daal de ?...arz kii gayi...K hargiz nahi...to...farmaya...Allah apne bandon par isse zyada meherbaan hai k jitni ye awrat apne bachche par meherbaan hai.( Allah bhi apne bandon ko maaf farma dega )

BUKHARI..MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
          ALLAH K ZIKR KI FAZILAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshad farmaya...
 โ˜… Allah farmata hai...Mein apne bande k gumaan k saath hun...
 โ˜… Jab mera banda muje yaad karta hai to mein us k saath hota hun...
 โ˜… Agar wo muje apne dil mein yaad kare to mein bhi use yaad karta hun...or...
 โ˜… Agar wo muje jamaa-at mein ( group mein ) yaad kare to Mein use usse behtar jamaa-at mein yaad karta hun.( farishton ki jamaa-at )

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat..ka matlab najaat
      dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    ALLAH K ZIKAR KARNE K FAAYDE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ1โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Allah k farishte Allah ka zikar karne waalon ko dhundhte rehte hain...to Jab wo kisi zikar karne walon ko dekhte hain to apne paron se unko aasmaan tak dhaanp lete hain...fir..
      Jab ye farishte Allah ki baargaah mein haazir hote hain to Allah sab kuch jaante huwe bhi poochta hai...k..
๐Ÿ”นMere bande kya kar rahe the ?...Farishte arz karte hain k...Teri tasbiih-takbiir or teri taariif or buzurgi bayan kar rahe the...Allah farmata hai...Kya unhone muje dekha hai ?...to wo arz karte hain...k Nahi...to...Allah farmata hai...Agar wo muje dekh lein to kya ho ?...to arz karte hain...
 โ˜… Agar tuje dekh lein to teri khoob ibaadat-tasbiih or buzurgi bayan karein...
๐Ÿ”นAllah farmata hai...Wo kya maang rahe the ?...to arz karte hain...k Jannat...to...Allah farmata hai...Unhone jannat dekhi hai ?...to arz karte hain...Teri qasam jannat nahi dekhi...Allah farmata hai...Agar wo jannat dekh lein to kya ho ?...arz karte hain...
 โ˜… Agar wo jannat dekh kein to unki aarzoo-talab or raghbat bohot zyada badh jaaye...to...
๐Ÿ”นAllah farmata hai...Wo kis chiiz se panah maang rahe the ?...to arz karte hain...k Jahannam se...Allah farmata hai...Kya unhone jahannam ko dekha hai ?...to arz karte hain...k Nahi...to Allah farmata hai...k Agar dekh lein to kya ho ?...to arz karte hain...
 โ˜… Agar wo dekh lein to aur zyada bhaagein or darein...fir Allah irshaad farmata hai...k
๐Ÿ”นMein tumko gawah karta hun k Mene un sab ko muaaf kar diya...to...un mese aik farishta arz karta hai...k Un mein aik banda to kaam se aaya tha...zikar k liye nahi...to Allah farmata hai...k..
       YE WO LOG HAIN K IN K SAATH BETHNE WAALA ( zikar karne waalon k sath )  BHI MEHROOM NAHI REHTA.( inki sohbat ki barkat se dusre bhi bakhshe jaate hain )

BUKHAARI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
  ZIKR KARE TO ZINDA WRNA MURDA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ2โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
      Jo Allah ka zikar kare Wo Zinde ki tarah hai Or Jo Allah ka zikar na kare Wo Murde ki tarah hai.

BUKHARI...MUSLIM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
       ZIKAR O DUROOD NA KARE TO
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Kuch log kisi jaga majlis mein jamaa ho or Allah ka zikar na kare Or Nabi par durood na padhe...to...
 โ˜… Ye majlis un par afsos or hasrat ka sabab hogi ( matlab ye k aakhirat mein wo nuqsan uthayenge or afsos karenge k kaash hamne Zikar O Durood kar liya hota ) Ab agar allah chaahe to unko azaab de yaa maaf kare..( Sallallahu alayhi wasallam )

TIRMIZI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   TAUBA SE ALLAH RAAZI HOTA HAI
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ3โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jab banda tauba karta hai to Allah uski tauba se...us shakhs se bhi zyada " khush " hota hai...k...
 โ˜… Jiski sawari bayaabaan ( jangal..wiraana ) mein us k sath ho...us par paani-khaana bhi ho or wo sawari bhaag jaaye...or wo shakhs maaus ho kar kisi darakht ( jhaad..ped ) k saaye mein so jaaye...
 โ˜… Achanak uski sawaari us k paas aa jaaye...or wo shakhs uski lagaam pakde or khush ho kar ye keh de...k..Ya Allah Tu mera banda or mein tera Rab...banda bohot zyada khushi ki wajeh se ghalti kar gaya ( matlab ye k Wo kehna chahta tha...k...Mein tera banda or Tu mera Rab hai magar khushi mein ulta bol gaya ).

MUSLIM SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jab banda gunah qubool kar leta hai or sachchi tauba kar leta hai to Allah taala uski tauba qubool farma leta hai.

MUSLIM...ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
   GUNAH PR AFSOS OR ISTIGHFAAR
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ4โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Momin jab gunah karta hai to us k dil par kaala dhabba lag jaata hai...agar wo tauba kare or maafi maang le to uska dil saaf ho jaata hai....
 โ˜… Or agar zyada gunah kare to ye kaalak badh jaati hai...yahan tak k poora dil kaala..yahi wo zang ( kaat ) hai jiska Allah ne zikar farmaya k...Un k bure aamaal ne un k dilon par zang laga diya.

TIRMIZI...AHMED
IBNE MAAJAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jo bhi paabandi se istighfaar kar le...to...
 โ˜… Allah usko har tangi se chukaara or har gham se najaat dega...or...
 โ˜… Usko aysi jagah se rozi dega...jahan se usko gumaan bhi na hoga.

ABU DAUUD...IBNE MAAJAH
AHMED...ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
     NEKI-JIHAAD-GUNAH SE ROKNA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ5โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Neki ki taraf bulane wale ko...neki karne wale k baraabar sawaab milta hai.( neki karne wale k sawaab kuch bhi kami nai hoti )

MUNAD IMAAM AAZAM
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jab kisi qaum mein koi gunah karta hai or dusre log taaqat mein hone k ba wujud bhi usko gunah nahi rokte to...
โ˜… Un par ( na rokne walon par ) marne se pehle duniya mein hi Allah ka azaab musallat ( ghaalib..haawi ) kar diya jaata hai.

ABU DAUUD...IBNE MAAJAH
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wasallam...ne farmaya...
 โ˜… Behtarin jihaad ye hai k zaalim baadshah k saamne Haq ( sach baat kahe...chahe badshah ki hi ghalti kyun na ho ) baat kahi jaaye.

MUSNAD IMAAM AAZAM
TIRMIZI...ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
GUNAH SE NA ROKNA-RAAHE KHUDA
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ6โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Bani-israaiil k sheher k log Allah ki naa farmaani karte the...unki zyada buraaiyon ki wajeh se Allah ne Jibriil...alayhissalaam...ko hukm diya k...
 โ˜… Falaane sheher ko us ki aabaadi k sath hi ulta kar k tabah kar do...
 โ˜… Hazrate Jibriil ne arz ki...Un logon mein aik banda aysa hai jo aik second bhi teri yaad se ghaafil nai hota..hamesha tuje yaad karta hai...
 โ˜… Allah ne irshad farmaya...Usko sabse pehle azaab dena fir dusron ko...kyun k us k saamne log gunah karte hain lekin aik second k liye bhi us k chehre par naa-gawaari k asaraat zaahir nai huwe or usne kabhi bhi dusron ko gunah se roka nahi.
( ALLAHU AKBAR )

MISHKAAT SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jis bande k paaun ( pair ) Allah ki raah mein gard aalood ( ret..mitti waale ) ho jaayein..to...
 โ˜… Us par jahannam ki aag haraam hai.

TIRMIZI...ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
    TNDRUSTI - KHAANA - KHAIRAAT
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ7โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Jo shakhs tum me se subha is haal me kare k Us k dil mein aman O amaan ho..Jisam mein tandrusti ho Or us k paas din ka khaana ho to..Samaj le k Us ko Allah ne sari duniya jamaa kar di.

TIRMIZ SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Tum mese kon hai jisko apne waaris ( awlaad ) ka maal apne maal se zyada pyara ho ?..To arz ki..Ya Rasulallah..Ham sab ko apna maal zyada pyara hai..To farmaya...
      Tumhara maal wo hai Jo tum aage bhej do ( Allah ki raah me kharch karo ) Or waaris ka maal wo hai Jo chhod jaaye.( marne k baad )

TIRMIZI..ZIYAUL HADIIS
โ–ชMatlab ye k Allah ki raah mein jis qadar ho sake zyada kharch karna chahiye.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ๐ŸŽ‡ QAADRI FAIZ๐ŸŽ‡MUNAJJIYAT ๐ŸŽ‡
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
      AAKHIRAT OR ALLAH OR BANDE
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐ŸŽ‡ 4โƒฃ8โƒฃ

       Mafhume Ahaadiis...
๐Ÿ”นHuzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Aye logo jannat ko paane k liye khoob mehnat ( ibaadat O neki ) karo..Or jahannam se bachne ki bohot fikar karo..kyunki..
      Jannat aysi chiiz hai k usko chahne wala so nahi sakta Or Aag bhi aysi chiiz hai k jisse darne wala be-amal ho nahi sakta..
      Aakhirat ( jannat ) aysi chizon se gher di gayi k jinko banda pasand nahi karta ( musibat O aazmaaish se )..Or duniya lazzaton or khwahishon se ghiri hui hai..To..
      Ye duniya ki lazzatein or khwahishein tumko aakhirat se ghaafil na kar dein.( Duniya k chakkar mein phas kar aakhirat ko bhool mat jaana )

TIBRAN SHARIF
โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–โž–
๐Ÿ”นAik sahaabi ne arz ki..Aye Allah k Nabi Muje aysa amal batayein k  jab Mein wo karun to Mujse Allah bhi muhabbat kare or log bhi..To...
      Aaqa...alayhissalaatu wassalaam...ne irshaad farmaya...
 โ˜… Duniya se be-raghbat ho jaao ( maal ki laalach chhod do ) Allah tumse muhabbat karega..Or..
      Logon se kisi bhi chiiz ki ummiid chhod do log bhi tumse muhabbat karenge.

IBNE MAAJAH...
TIRMIZI..ZIYAUL HADIIS
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
 โ˜… Munajjiyaat...ka matlab najaat
       dilaane waale achche aamaal.
ใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐใ€ฐ
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO