βββββββββββ
GHUSL..yani.. NAHAANA
βββββββββββ
π 1β£
βͺGUSL me kitne farz hai...?
β Ghusl me 3 farz hai agar unme se aik me bhi kami hui to ghusl nhi hoga.
β Munh bhar kulli karna...ayse k hont se halaq ki jad tak...daadhon k piche gaalon ki teh mein...danton ki jad or gaps mein har jaga pani beh jaye..
β Naak mein paani chadhana...ayse k dono nathunon ka jahan tak naram hissa hai wahan tak paani pohonch jaaye....baal k baraabar bhi jaga dhulne se reh na jaaye..naak k andar agar riinth sukh gayi ho to uska chhudaana farz hai..
β Tamam zahiri badan yani sar k balon se pairon k talwon tak jisam k har purze har rongte par paani bahaana..
BAHARE SHARIYAT
FATAWA AALAMGIR
AHKAME NAMAAZ
MAKHUZ AZ FATAWA RAZWIYA
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
: π QAADRI FAIZ π - GHUSL - π
βββββββββββ
GHUSL KA SUNNAT TARIQA
βββββββββββ
π 2β£
βͺGHUSL ka sunnat tariqa..
β Ghusl-khaane me dakhil hone or be-libas hone se pehle niyyat or Bismillah or dua padh lein..
β Pehle dono haath gatton tak 3
baar dho lein..
β Fir peshaab paakhaane ki jaga dho
lein chaahe gandgi lagi ho ya na
lagi ho..
β Fir badan par kahin bhi gandagi
lagi ho use duur karein..
β Fiir wuzu kare fir badan par tel ki
maalish ki jati hai is tarah paani
masle khas kar thandi k mosam
mein..
β Fir 3 baar sidhe kandhe par se
paani bahaayein..
β Fir 3 baar ulte kandhe par se paani
bahaayein..
β Fir sar or tamaam body..badan par
3 baar paani
bahaayein..
β Nahaate huwe kisi tarah ki
batachit na karein..
β Nahane k baad foran kapde pahen
lein.
BAHARE SHARIYAT
AHKAAME NAMAAZ
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
: π QAADRI FAIZ π - GHUSL - π
βββββββββββ
IN BATON KA DHYAN RAKKHEIN
βββββββββββ
π 3β£
βͺGHUSL mein in baaton ka khaas khayal rakkhein...
β Agar mard k baal gundhe huwe hon to unhein khol kar jad se nok tak paani bahaana farz hai..
β Awrat ko sirf baalon ki jad tar kar lena zururi hai kholna zururi nahi...
Agar choti itni fit gundhi hui ho k khole baghair jadein tar na hogi to kholna zururi hai..
β Agar kaano mein baali ya naak me nath ka hole ho or wo band na ho to usme paani bahaana farz hai..wuzu mein sirf naak or ghusl me kaan k hole me bhi pani bahaaein..
β Haathon ko utha kar baghlein dhoein..
β Pet me jo silwatein ( motaape..jaadepan ki wajah se ) ho to unhein utha kar dhoein..
β Naaf (dooti ) me bhi paani dalein or behne me shak ho to ungli dal kar dhoein..
β Dono surhin ( badan k jis hisse par ham bethte hain ) un dono k milne ki jagah par khaas tawajjo se dhoein jab khade ho kar shower me naha rahe ho..
β Zakar ( mard ki peshab ki jaga ) or unsayain ( pote..goliyan ) dono chizon k bich ki jaga jad tak dhoein..
β Jiski khatna na hui ho or uski chamdi chad sakti ho to chamdi chadha kar pani ponhchayein..
βββββββββββ
AWRATON k liye khaas ahtiyaat
βββββββββββ
β Jhuki hui pistanon ( siino ) ko utha kar paani bahaein..
β Pet or pistaan k jod ki lakir khaas dhoein..
β Agar nail polish nakhunon par lagi hui hai to usko chhudaana farz hai warna ghusl nai hoga..
β Aaj kal baalon ko mukhtalif rangon se rangne ki fashion chal padi hai..suna hai k wo jo chemicals hote hai wo baalon par cover ki tarah chadh jaate hai to agar aysa hai to baalon tak pani ponhchega hi nahi to ghusl kaise hoga...to tehqiq kar k aysi chizein istimaal karein..
β Albatta mehndi ho to us k rang mein koi haraj nhi..
β Farje Khaarij O daakhil ( matlab sharm gaah k baahar O andar ) ehtiyaat se paani pohnchayein Or khaas kar jab Haiz O Nifaas k baad ghusl karein to narm kapde ya cotton se andar k hisse se khoon ka asar zarur saaf karein. ( behtar paaki k liye or bimariyon se bachne k liye )
BAHARE SHARIYAT
AHKAAME NAMAAZ
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
π QAADRI FAIZ π - GHUSL - π
βββββββββββ
KIN BAATON SE FARZ HOTA HAI
βββββββββββ
π 4β£
βͺGHUSL kin baaton se farz hota hai.
β 5 baton se gusl farz hota hai...
β Mani ka apni jaga se shehwat ( josh ) k saath juda ho kar uzwu ( mard ki peshab ki jaga )se nikalna..
β Ahtilaam..Matlab...Nind ki haalat mein mani ka nikal jana..
β Awrat ki sharm gaah mein HASHFA ( mard ki peshab ki jagah ka oopar ka jissa..Supari ) dakhil ho jaana...Chaahe shehwat ( josh ) ho k na ho...INZAAL ( josh se mani nikalna ) ho ya na ho...dono awrat O mard par ghusl farz hai..
β Awrat par Haiz se faarig hone k baad..
β Awrat par Nifaas se faarig hone k baad..
β NIFAAS... matlb bachche ki paidaish k baad awrat ko jo khoon aata hai use nifaas kehte hai..
β NIFAAS ki zyada se zyada muddat 40 din hai...Agr 40 din k baad bhi band na ho to bimaari hai..
β 40 din pure hote hi ghusl kar le...Agar 40 din se pehle band ho jaaye to ghusl kare or namaaz shuru kar de.
BAHARE SHARIYAT
AHKAAME NAMAAZ
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
π QAADRI FAIZ π - GHUSL - π
βββββββββββ
GHUSL K KUCH AUR MASAAIL
βββββββββββ
π 5β£
βͺGHUSL k kuch aur masaail..
β Agra mani shehwat k sath na nikle bl k..Wazan uthane se...Ya Unchi jaga se girne se.....Ya paakhaane karne mein taaqat lagane se to in wujuhaat se ghusl farz nahi hoga..
β Agar mani patli pad gayi or peshaab k waqt ya waise hi baghair josh k nikle to ghusl farz nahi hoga..lekin wuzu toot jayega..
β Agar nind mein ahtilaam hona yaad hai magar kapde par koi nishaan nahi to ghusl farz nahi..
β Apne haathon se maaddaa nikaalne se ghusl farz ho jata hai...matlb....apne haath se peshab ki jaga masal kar mani nikaalne se..
βͺMafhume Hadis...
Mushte zani ( haath se masal kar ) karne wala MAL-OON hai...Yani us par laanat hai..
β Aysa karne se mardaana kamzori paida hoti hai or aksar dekha gaya k aysa karnewale SHADI k laayaq nahi rehte.
βͺSiyedi AalaHazrat....alyhirrahmatu warridwaan...is tarah k aik sawal k jawab me farmate hai...K Aysa karne wala gunahgaar hai...Faasiq hai...or Hashr mein ayse logon ki hatheliyan HAAMELA hongi or itne bade majma e aazam me uski ruswaayi hogi agar TAUBA na kare...fir ILAAJ tehrir farmate hai....
β Ayse logon ko chahiye k khub zyada lahol sharif padhe...or Jb bhi shaitan is kam ki taraf bulaye foran lahol padhe....
β Namazon ki pabandi kare...or namaaze fajr k baad surae IKHLAAS padhe....QUL HUWALLA HU AHAD...puri surat padhe.
FATAWA RAZWIYA
AHKAAME NAMAAZ
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
π QAADRI FAIZ π - GHUSL - π
βββββββββββ
GHUSLE JANABAT Kise kehte hai
βββββββββββ
π 6β£
βͺGHUSLE janaabat kise kehte hai
β Shohar or biwi ki khaas mulaqaat...( wazifa e zaujiyat ) k baad jo ghusl kiya jaata hai use ghusle janaabat kehte hai..
β Ghusle janaabt farz hai...or Jab bhi farz ho foran ghusl kar lein k Itni der hargiz na kare k namaaz qaza ho jaaye..
β Is tarah ka ghusl jis par farz hai use JUNUB kehte hai...
β Jis ghar mein junub...kutta...ya taswir ho us ghar mein rehmat k fariste nahi aate.
BAHARE SHARIYAT
AHKAAME NAMAAZ
HAMARA ISLAAM
βββββββββββ
DARIYA - TAALAAB - BAARISH
βββββββββββ
βͺDARIYA or TAALAAB or BAARISH me GHUSL kaise karein ?
β Darya ya naher mein ghusl karne k liye sirf...thodi der saare jisam ko paani me dubaa kar ruke rahein ghusl ho jayega.......kulli zurur karein or naak mein paani bhi chadayein..
β Taalaab..ya hoz mein ya koi thehre huwe paani me ghusl k liye paani mein utar kar apne badan ko 3 baar harkat dein ya jaga badlein or kulli or naak mein paani chadayein..
β Baarish me khade ho gaye or saare badan par paani pohonch gaya or kulli or naak mein paani chadha lein ghusl ho jayega.
AHKAAME NAMAAZ
BAHARE SHARIYAT
HAMAARA ISLAAM
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
π QAADR FAIZ π TAARIIFAAT π
βββββββββββ
MANI - MAZI - WADI
βββββββββββ
β MANI...ka matlab...
Wo safaid laisdaar maaddaa jo uzwu e tanaasul ( mard ki peshab ki jaga ) se inzaal ( chhoot ) k waqt uchhal kar josh se nikalta hai...
β MAZI...ka matlab...
Wo patla chikna maaddaa jo shehwat ( josh..masti ) k ghalbe k waqt nikalta hai..( sexul masti k waqt ...ya kisi ladki ya awrat ko buri nazar se dekhte waqt nikle..ya biwi se khaas mulaaqaat k shuru mein )..
β WADI...ka matlab...
Peshaab karne k baad kabhi safed chikna maadda nikle...use wadi kehte hai.
BAHAARE SHARIYAT
QAANUNE SHARIYAT
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
: πQAADRI FAIZπBAALIGH KONπ
βββββββββββ
BAALIGH KISE KEHTE HAI...?
βββββββββββ
β LADKE....ko 12 se 15 saal ki umar k darmiyan AHTILAAM hona...ye BAALIGH hone ki nishaani hai...
β LADKI...ko 9 se 15 saal ki umar k darmiyaan HAIZ aana...ye BAALIGH hone ki nishani hai.....
βββββββββββ
AHTILAAM KISE KEHTE HAI..?
βββββββββββ
β Ladke ko nind ki haalat mein peshaab ki jagah se chikna gaadha maadda ( ragde ki trah ) shehwat k saath nikle.... Isko AHTILAAM kehte hain...
β Chaahe koi khwaab dekh kar ho ya khwaab na dekha magar kapde par ayse nishan dekhe to bhi ye ahtilaam hai.....
βββββββββββ
HAIZ KISE KEHTE HAI...?
βββββββββββ
β LADKI ko 9 se 15 saal ki umar mein peshaab ki jagah se kam se kam 3 din ya zyada se zyada 10 din khoon ka aana.... Ise HAIZ kehte hai...
β Jitne waqt haiz ki haalat mein rahegi itne waqt namaaz maaf hai jaise hi haiz se farigh hogi foran us waqt se fir namaaz padhna shuru kar de.....
β Agar 3 din se kam ya 10 din se zyada hai to ye ISTIHAAZA ( bimaari ) hai....
β Agar 10 din se zyada hai to 10 din k baad awrat ko namaaz padhni hai chahe khoon jari ho tab bhi..
βββββββββββ
β Agar BAALIGH hone ki umar tak
koi nishaani zaahir na ho to..?
βββββββββββ
β Agar ladke ki umar 15 saal ho gayi or AHTILAAM na huwa tab bhi BAALIGH kehlayega or islami qaanun k hisaab se ab tamaam ahkamaat par amal karna hoga warna gunahgar hoga...
β Agar ladki ki umar 15 saal ho gayi or HAIZ na aaya tab bhi ab wo BAALIGH hai or islaam k tamaam qaanun us par naafiz ho jayenge....
HAMAARA ISLAAM
γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°γ°
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO