JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

Ramzaan Ke Saare Masaail..








RAMZAN
MUBARAK HO AAP SABHI KO..

IS POST KO KHUB PADHE AUR AAGE SHARE BHI KARE
JAZAKALLAH KHAIR !!
JAYADA MALUMAAT KE LIYE 
CONTACT KARE. +91-7405457791




  QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       *KUCH ROZEH K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Rozah kis par farz hai ?*
 ★ Ramazaan k roze har 
      musalmaan..
      *Mard O Awrat..*
      *Aaqil O Baaligh..*
      par farz hai.
 ★ *Rozah farz hone ka inkaar*
      *karnewala kaafir hai.*
 ★ Baghair sharai majboori k chhodne-wala *gunahgaar aur dozakh ka sazawaar hai..*
      Bachche rozah rakh sakte hon to un ko rakhwaya jaaye.. *aur mazboot aur taaqatwar ladke aur ladkiyon ko maar kar rakhwaya jaaye.. ( agar na rakhein )*
 ★ *Ramazaan k poore mahine k*
      *rozeh farz hai.*
 ★ Roze 10 Shaabaan 2 hijri mein
      farz huwe.

*DURRE MUKHTAAR*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Rozah kisko kehte hai ?*
 ★ Shariyat ki nazar mein rozeh ka
      matlab hai k..
      *Allah ki ibaadat ki niyyat se subha saadiq se le kar suraj dubne tak.. maghrib tak.. khaane piine aur jimaa.. matlab.. biwi se mulaaqaat ( ham-bistari ).. se apne ko rok rakhna.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Rozeh farz hone ki wajeh*
      *kya hai ?*
 ★ Huzur.. sallallahu alayhi wa aalihi wasallam.. ne kuch din ramazaan k mahine mein ghaare hiraa mein guzaare..
      Aur un dinon mein khaane se parhez karte aur raat Zikrullah ( Allah ki yaad ) mein guzaarte..
      *To un dinon ki yaad taaza karne k liye roze farz kiye.. taake Allah k Rasool ki sunnat qaayem rahe.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Kya haiz O nifaas wali awrat par
      bhi rozah farz hai..?
 ★ Awrat par haiz O nifaas ki haalat
      mein rozah sahih nahi..
      *Lekin haiz O nifaas wali awrat par.. in dinon ( haiz k din ) k guzarne k baad.. paak hone k baad.. in chhute huwe rozon ki qazaa farz hai.*
 ★ *Naa baaligh par rozah farz nahi.*

*QAANUNE SHARIYAT*
*FAIZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH ROZE KI NIYAT K BARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣ ๐ŸŽ

 ★ Jis tarah namaaz.. zakaat.. k liye niyat shart hai.. *isi tarah rozeh k liye bhi niyat shart hai..*
      *Agar Niyat k baghair koi subha saadiq se sooraj doobne tak kuchh bhi khaane piine se ruka rahe tab bhi us ka rozah na hoga.*
 ★ Ramazaan ka rozah ho..
 ★ Ya nafl ho..
 ★ Ya nazre-mu-aiyan ka rozah ho..
      In tiino qisam k rozon k liye.. ghurube aaftaab ( sooraj doobne ) se le kar nisfun-nahare-sharai ( subha saadiq se maghrib k biich ka perfect waqt ) se pehle tak jab bhi niyat kar le rozah ho jayega.
      *Aur agar ye waqt ho jaaye aur ab nisfun-nahre-sharai k baad niyat kare.. to ab in tiin tarah k rozon ki niyat nahi ho sakti.*

*RADDUL MOHTAAR*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ In 3 qisam k siwa aur qisam k rozon ki niyat k liye zaroori hai k..
      Raato raat.. matlab.. maghrib se le kar subha saadiq tak hi kar lein.. agar subha saadiq ho gayi to ab niyat na ho sakegi.. aur wo rozeh ye hain..
 ★ Ramazaan ka qaza rozah.
 ★ Kaffaareh k rozeh.
 ★ Nafl rozeh ki qaza.
 ★ Rozah nazre-ghaire-mu-aiyan.
      *In sab rozon ki niyat karne mein itni der ho gayi k subha saadiq ho gayi to ab niyat nahi ho sakegi.*

*RADDUL MOHTAAR*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *NAZRE MU-AIYAN..*
      Matlab.. Allah k liye kisi khaas din k rozeh ki mannat maani ho.. aur wo rozah rakhna ho.
 ★ *NAZRE GHAIRE MU-AIYAN..*
      Matlab.. Allah k liye rozeh ki mannat to maani ho magar din koi nakki na kiya ho.. Aur wo rozah rakhna ho.

*RADDUL MOHTAAR*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Niyat dil k iraade ka naam hai.. Zabaan se kehna shart nahi.. Magar zabaan se keh lena mustahab hai.*
 ★ Sehri khaana niyat hi hai.. chahe ramazaan k rozeh k liye ho.. ya kisi aur rozeh k liye.

*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       *KUCH SEHRI K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣ ๐ŸŽ

      *MAFHOOME AHAADIIS..*
▪Aaqa.. sallallahu alayhi wa aalihi wasallam farmate hai k..
 ★ Sehri khaaya karo.. K.. sehri mein barkat hai.
 ★ Allah aur us k farishte sehri khaane walon par rehmat naazil farmate hai.
  ■  { Huzur jab kisi sahaabi ko sehri k liye bulate to ayse farmate.}.. *Aao barkat ka khaana khaa lo.*
 ★ Rozah rakhne k liye sehri khaa kar taaqat haasil karo.. Aur din mein aaraam ( Qay-loo-la ) kar k raat ki ibaadat k liye taaqat haasil karo.
 ★ *Sehri barkat ki chiiz hai jo Allah ne tum ko ata ki.. is ko chhodna mat.*
 ★ Sehri poori k poori barkat hai.. to.. ise chhodo mat.. *chaahe aik ghoont paani hi pii lo.. be shak Allah aur us k farishte sehri karne walon par rehmat bhejte hai.*

*SAHIH MUSLIM*
*ABU DAAWUD*
*IBNE MAAJAH*
*ATTARGHIB WATTARHIB*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Sehri rozeh k liye zaroori nahi.. sehri baghair bhi rozah ho sakta hai.. magar jaan bujh kar sehri na karna aik bohot badi sunnat se mehromi bhi hai.*
 ★ Sehri mein khajoor aur paani sunnat hai.. Huzur.. alayhis-salaam.. khud farmate hai.. K..
      khajoor behtriin sehri hai.
 ★ Sehri der se karna afzal hai.. aur der se sehri karne ko Allah k Nabi ne pasand farmaya..
 ★ *Sehri ka aakhri waqt.. subha saadiq ka hona hai.. ( subha saadiq hote hi sehri ka waqt khatm ho jata hai )..*
      kuch log fajar ki azaan tak k waqt ko sehri ka waqt samajte hai.. *Ye ghalat hai.. subha saadiq k baad kuch bhi khaaya piya to rozah na hoga.*

*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                *ROZEH KI FAZILAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 4⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Mafhume Ahaaadis..*
      Aaqa.. alayhis-salaam...
      ne farmaya..
 ★ *Jis ne ramazaan ka rozah rakkha.. us ki hadon ko pehchana.. ( koi gunah na kiye ) aur jis chiz se bachna chahiye us se bacha to jo bhi gunah pehle kar chuka hai.. us ka kaffaarah ho gaya.*
 ★ Jis ne aik din ka rozah Allah ko raazi karne k liye rakkha.. Allah use jahannam se itna duur kar dega.. k..
      *Jitna aik kawwa jo apne bachpan se udna shuru kare yahan tak k boodha ho kar mar jaaye.*
      ( Kawwe ki umar 500 saal tak hoti hai.. Allahu Akbar.. aap sochein kawaa 500 saal tak udta rahe to kitna faasla tay kar sakta hai.. sayad laakhon kilometer..
      *To jab aik rozeh ki ye barkat hai.. to 30 rozeh agar gunahon se bach kar achche tariqe se rakh lein to beshumaar inaam aur Allah ki rehmaton k haqdaar ban jaayenge.* Allah samaj ki tofiq ata kare.. aameen )
 ★ Rozahdaar ka sona ibaadat aur..
 ★ Us ki khaamoshi tasbih karna..
 ★ Us ki dua qubool aur..
 ★ Us ka amal maqbool hota hai.

*SAHIH IBNE HABBAAN*
*MUSNADE ABI YAALI*
*SHOBUL IIMAAN*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Kawwe ki umar 500 saal tak* 
      *hoti hai.*

*GHUNIYATUT TAALIBIIN*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   *ROZAH NA RAKHNE KA NUQSAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 5⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Mafhume Ahaadiis..*
      Aaqa.. alayhis-salaam...
      ne farmaya..
 ★ Jis ne ramazaan k aik din ka rozah baghair rukhsat.. baghair marz ( bimaari ) iftaar kiya ( tod diya ) to..
     *Zamaane bhar ka rozah bhi us ki qaza nai ho sakta.. chaahe baad me rakh bhi le.. ( tab bhi ).*
 ★ Mein so raha tha to 2 log khwaab mein aaye aur muje aik pahaad par le gaye.. jahan badi sakht aawaazein aa rahi thi.. poochne par bataya gaya.. k..
      Ye jahan-nami-yon ki aawaaz hai.. fir kuchh aage jaane k baad dekha..
      *Kuchh logon ko un k takhnon ( pair k panje aur pindli k bich ki ragon se ) ki ragon se baandh kar latkaya gaya tha.. un k jabde phaad ( faad ) diye gaye the.. jin se khoon nikal raha tha..*
      *Muje bataya gaya.. Ye wo log hai jo waqt se pehle hi rozah iftaar kar lete the.( tod dete the )*
▪ *KHULASA..*
      Pehli hadis.. matlab jo fazilat ramazaan mein rozah rakhne ki hai.. wo to us ko haasil hogi hi nahi..
      Dusri hadis.. matlab ye k rozah to rakkha magar koi sahi majboori k baghair hi tod diya.. to baghair sharai majboori k tod dene walon ki saza batayi gayi.

*SAHIH BUKHARI*
*SAHIH IBNE HABBAAN*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
           *ROZEH MEIN AHTIYAAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 6⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Mafhume Ahaadiis..*
      Aaqa.. alayhis-salaam...
      ne farmaya..
 ★ Jo rozdaar buri baat kehna aur us par amal karna na chhode to..
      *Us ka bhooka pyaasa rehne ki Allah ko kuchh zarurat nahi.*
 ★ Sirf khaane aur piine se ruk jaane ka naam rozah nahi.. *bal k rozah to ye hai k.. laghw ( fuzool.. bekaar ) aur be-hooda baaton se bhi  bachaa jaaye.*
 ★ Tum se agar koi ladaai kare.. gaali de.. to tum us se keh do.. K.. *Mein rozeh se hun.. ( ladaai karne se bache ).*

*SAHIH BUKHAARI*
*AL MUSTADARAK*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปIn ahaadis ka nichod yahi hai k.. *Har us kaam se apne aap ko bachao.. k.. jis k karne se Allah ne roka.. jis k karne ko Allah ne pasand na kiya..*
      *Yahi rozeh k aadaab O zarurat hai.. aur qubul hone ki nishani hai.*

*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *KUCH IFTAARI K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 7⃣ ๐ŸŽ

 ★ Jab sooraj ghurub hone ka yaqin ho jaaye to iftaar karne.. rozah kholne mein der nahi karni chahiye.
      *MAFHUME AHAADIIS*
▪Huzur.. sallallahu alayhi wa aalihi wasallam.. ne farmaya K...
 ★ Allah farmata hai.. Mere bandon mein muje zyada pyara wo hai.. jo iftaar mein jaldi kare.
 ★ *Ye diin ( islaam ) hamesha ghaalib rahega.. jab tak log iftaar mein jaldi karte rahenge.. K.. yahoodi aur iisaai der karte hain.*
 ★ Meri ummat meri sunnat par rahegi jab tak iftaar mein sitaaron ka intizaar na karein.
 ★ *Jab iftaar karo to khajoor ya chuhaare ( sookhi khajoor.. khaarak ) se iftaar karo.. k is mein barkat hai.. aur ye na mile to paani se kare k ye paak karne wala hai.*

*SAHIH IBNE MAAJAH*
*TIRMIZI SHARIF*
*SUNANE ABU DAAWUD*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *IFTAAR KARWANE KI FAZILAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *MAFHUME AHAADIIS*
▪Huzur.. sallallahu alayhi wa aalihi wasallam.. farmate hai.. K..
 ★ Jis ne halaal khaane ya paani se rozahdaar ko iftaar karwaya.. to..
      *Farishte ramazaan mein us k liye Allah se bakhshish ki dua karte hai.. aur Jibriil.. alayhis-salaam.. shabe qadar mein us k liye istighfaar karte hai.. aur..*
 ★ Aur shabe qadar mein jibriil.. alayhis-salaam.. *us se haath milate hai.. aur jis se jibriil haath milaye us ki aankhein Allah k khauf se rone lagti hai.. aur dil naram ho jata hai.*
 ★ Jo rozahdaar ko paani pilayega.. Allah use mere hauz se pilayega.. jisse jannat mein daakhil hone tak pyasa na hoga.
▪ *Be shak rozahdaar ki iftaar k waqt ki dua jo hoti hai.. wo rad nahi kii jaati.*

*ATTARGHIB WATTARHIB*
*JAAME TIRMIZI*
*KANZUL UMMAAL*
*SAHIH IBNE KHUZAIMAH*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZAH TODNE WALI BAATEIN- 1⃣*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 8⃣ ๐ŸŽ

 ★ Khaana khaane se..
 ★ Paani piine se..
 ★ Ham bistari karne se..
      ( biwi se khaas mulaqaat ).. *jab k rozadaar hona yaad ho.. to rozah toot jayega..*
 ★ *Mard ne awrat ko bosa liya (kiss li)*
      ya chhuwa..
      ya hambistari ki..
      ya gale lagaya.. aur
      *inzaal ( chhoot ) ho gaya to rozah jata raha..*
      *Aur agar awrat ne mard ko chhuwa aur mard ko inzaal ho gaya to rozah na toota.*
 ★ Awrat ko kapde k oopar se chhuwa aur kapda itna mota.. jaada hai k badan ki garmi maloom na hui to rozah na toota.. chahe inzaal ho gaya ho.
 ★ *Huqqa ya Hukka.. Sigaar.. Sigrate..  Chirot ya Churat.. in sab k piine se.. rozah toot jayega..*
      chahe ham ko aysa lage k.. halaq tak dhuwaan na pohoncha..
 ★ *Paan.. Ya sirf Tambaaku ( tobacco ) ko khaane se.. rozah toot jayega..*
      Chaahe paan ko chabaate huwe baar baar thukte raho.. kyun ki is k baariik zarre halaq tak pohonchte hi hai..
 ★ Shakar..( sugar.. khaand ) waghaira.. aur aysi chiizein jo munh mein rakhne se ghulti hain..
      *Munh mein rakkhi aur thook nigal gaye.. to rozah jaata raha.*
 ★ Daanton k biich koi chiiz chane k baraabar.. ya us se zyada thi.. aur us ko khaa gaye.. to..
      *Ya chane se kam thi lekin munh se nikaal kar fir khaa li.. to rozah jata raha.*

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHAARE SHARIYAT*
*QAANUNE SHARIYAT*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *ROZAH TODNE WALI BAATEIN-*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 9⃣ ๐ŸŽ

 ★ Daanton se khoon nikal kar halaq se niiche utra aur khoon thook se zyada.. ya kam.. ya baraabar ( matlab jitna thook utna hi khoon ) tha.. magar..
      *Us ka taste.. mazaa halaq mein mehsoos ( feel ) huwa to rozah jata raha.. ( agar mazaa na aaye to na toota )*
 ★ Rozah yaad tha fir bhi Huqna liya.. ya naak k zariye dawa chadhai.. to rozah jata raha..
      *{๐Ÿ”ปHuqna matlab.. qabz ki shikayat ki wajah se paakhaane ki jaga se..*
      *pichkaari k zariye dawa chadana ya is jaga se batti chadana.. k pait saaf ho jaye }*
 ★ Awrat ne peshaab k maqaam mein rooi ( cotton ) ya kapda rakkha ( koi biimaari ya kisi bhi wajeh se ) *aur bilkul bahar na raha to rozah toot gaya..*
      Aur sookhi ungli kisi ne paakhaane k maqaam mein rakkhi ya awrat ne sharamgaah mein rakkhi to rozah na gaya.. *aur agar ungli bhigi thi ya us par kuch laga ( koi ointment.. ya paani wali ) tha to rozah toot gaya.*
 ★ Agar rozahdaar hona yaad hai aur.. kulli kar rahe the k.. be khyaali mein paani halaq se utar gaya..
      *Ya naak mein paani chadhaya aur dimaagh tak chadh gaya.. to tozah jata raha*
      ( Agar rozadaar hona yaad na ho to na toota.. *bl k yaad na hone par jaan boojh kar bhi aysa kare tab bhi na tootega* )
 ★ Rozedaar ki taraf kisi ne koi chiiz phenki aur rozah daar k halaq mein chali gayi.. to rozah jata raha.
 ★ Rozah daar so raha tha.. k nind ki halat mein paani pii liya ya kuch khaa liya..
      Ya munh khula tha.. paani ka qatra ( tipa.. drop ) ya baarish ka ola halaq mein chala gaya.. to rozah jata raha.
 ★ Dusre ka thook nigal liya ya apna hi thook haath mein le kar nigal liya.. to rozah jata raha.
      *{๐Ÿ”ปjab tak thook ya balgham munh k andar ho aur nigal jaayein.. to rozah nahi jaata..*
      *Aur baar baar thookte rehna zaroori nahi }*

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*AALAMGIIRI*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *ROZAH TODNE WALI BAATEIN-*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® ๐Ÿ”Ÿ ๐ŸŽ

 ★ Munh mein rangiin dora waghaira rakkha.. *jisse thook rangiin ho gaya.. fir wo rangiin thook nigal gaye.. to rozah jata raha.*
 ★ Aansoo munh mein chala gaya aur use nigal liya..
      *Agar aik ya do tiipe ho to rozah na gaya.. aur agar itna zyada tha k us ka khaarapan poore munh mein mehsoos huwa to rozah jaata raha.*
 ★ *Yahi hukam pasine ka bhi hai.*
 ★ Fuzle ka maqaam ( pakahane ki jaga ) baahar nikal aaya.. to hukam ye hai k khoob achchi tarah ponch kar uthein taa k paani ki tari us jaga par baaki na rahe..
      *Agar kuch paani us par baaqi tha aur khade ho gaye.. jis ki wajeh se paani andar chala gaya to rozah faasid ho gaya..*
      Fuqhaae kiraam farmate hai k.. Rozah daar istinja karne mein saans na le.. ( paakhaane ki jaga se paani chadhne ka andesha.. chance.. hai )
      {๐Ÿ”ปFuzle ki jaga matlab paakhaane ki jaga..
      *Ye takliif un logon ko zyada hoti hai k jin ko hamesha qabz ki shikayat rehti hai..*
      Yaani taaqat lagaye baghair pait saaf nahi hota.. *ayse log is masle ki taraf dhyaan dein.* }
 ★ Kisi rozahdaar ne raan par.. ya pait par.. jimaa ( chhoot ) kiya..
      Ya bosa liya ( kiss li )..
      Ya awrat k hont chuse..
      Ya awrat ka badan chhuwa.. chahe badan par kapda ho.. magar fir bhi badan ki garmi maloom hoti ho.. aur..
      *In sab surton ( position ) mein ( ooper bataayi saari surtein ) inzaal ( chhuut ) bhi ho gaya to rozah toot gaya.*
 ★ Kisi rozahdaar ne haath se ( peshab ki jaga haath se masal kar ) mani nikali.. *ya mubaa-shirate faahesha  ( mardon ka aapas mein.. ya orton ka aapas mein aik dusre ki sharmgaah takraana ) se inzaal ho gaya to rozah toot gaya.*

*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*BAHAARE SHARIYAT*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH VOMIT { ulti } K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣1⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Mafhume Hadiis*
      Huzur.. sallallahu alayhi wa aalihi wasallam.. ne farmaya..
      *Jis ko ramazaan mein rozeh ki haalat mein khud ba khud ulti hui.. us ka rozah na toota..*
      *Aur jis ne jaan bujh kar ulti ki.. us ka rozah toot gaya..* aur farmate hai..
      *Jis ko khud ba khud ulti hui.. us par qazaa nahi.. aur jis ne jaan bujh kar ki..wo rozeh ki qaza kare.*

*KANZUL UMMAAL*
*TIRMIZI SHARIF*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Rozeh mein khud ba khud chaahe jitni ulti ho jaaye.. *us se rozah nahi tootta.*
 ★ Agar rozah yaad hone k baa wujud *jaan bujh kar ulti ki.. to.. aur agar.. munh bhar kar hai.. to rozah toot jayega.*
 ★ Jaan bujh kar ulti ki to bhi rozah usi waqt tootega.. k ulti mein.. *Khaana.. Paani.. Ya Safra.. matlab kadwa paani.. Ya Khoon.. nikle..*
 ★ *Agar ulti mein sirf balgham nikle to rozah nahi tootega.*
 ★ Kisi ne jaan bujh kar ulti ki magar thodi si hi ulti hui.. *munh bhar k na hui.. to rozah na toota.*
 ★ Kisi ko munh bhar se kam ulti hui.. aur munh se hi waapas chali gayi.. ya khud hi wapas lotaa di.. *in dono surton mein rozah nahi tootega.*
 ★ Munh bhar ulti be-ikhtiyaar ( khud ba khud ) ho gayi.. to rozah to na toota.. lekin.. *Is ulti mein se chane k baraabar bhi wapas lota di.. to rozah toot jayega..*Aur chane se kam ho to rozah na toota.

*DURRE MUKHTAAR*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*MUNH BHAR ULTI...ka matlab kya..?*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปMUNH BHAR ULTI ka matlab hai..
      *Aysi ulti k.. bilaa takalluf na roka jaa sake..*( matlab.. aasaani se roka na jaa sake )

*AALAMGIIRI*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Wuzu ki halat mein munh bhar ulti ho jaaye ya apni marzi se kare..
      *Agar ulti mein.. Khaana.. Paani.. Safra Yani Kadwa Paani.. aaya to wuzu toot jayega.. ( aysi ulti naapaak bhi hai.)*
      *Agar munh bhar ulti mein balgham nikla to wuzu na tootega.*

*AALAMGIIRI*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZAH NA TODNE WALI BATEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣2⃣ ๐ŸŽ

 ★ Bhool kar khaaya.. piya.. ya jima ( biwi se mulaqat ) kiya.. *to rozah faasid na huwa.. chaahe rozah farz ho ya nafl.*
 ★ *Makkhi.. Ghubaar.. ya Dhuwaan halaq mein chale jaane se rozah nahi tutta..*
      chaahe ghubaar aate ka ho ya traffic mein vehicle ka dhuwaan ho.
 ★ Agarbatti sulag rahi hai aur *us ka dhuwaan naak mein gaya to rozah nahi tutega..* Lekin..
      *Agar lobaan ya agarbatti jal rahi ho aur rozah yaad hone k bawujud munh qarib le jaa kar us ka dhuwaan naak se khincha to rozah faasid ho jayega.* ( ramazaan mein lobaan agarbatti maghrib k bad hi karein ) 
 ★ Tel ya surma lagaya to rozah na gaya chaahe uska maza ( taste ) halaq mein mehsoos hota ho..
      *Bl k thook mein surme ka rang bhi dikhayi deta ho jab bhi rozah nahi tootta.*
 ★ Ghusl kiya aur paani ki thandak andar mehsoos hui jab bhi rozah nahi toota.
 ★ Kulli ki aur paani poora thook diya.. sirf kuch tari munh mein baaqi reh gayi thi.. *thook k saath use nigal liya to bhi rozah nahi tootta.*
 ★ *Dawa kooti ( piisii ) aur halaq mein us ka mazah mehsoos ( feel ) huwa.. to rozah nahi tootta.*
 ★ Kaan mein paani chala gaya to bhi rozah nahi tootte.. *bl k khud paani daala jab bhi na toota.*

*AALAMGIRII*
*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZAH NA TODNE WALI BATEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣3⃣ ๐ŸŽ

 ★ Tinke se kaan khujaya aur us par kaan ka mel lag gaya.. fir wahi mel laga huwa tinka kaan mein daala.. *baar baar aysa kiya to bhi rozah na toota.*
 ★ Daant ya munh mein mamuli chiiz reh gayi k thook k sath pait mein utar gayi *to rozah nahi toota.*
 ★ Daanton se khoon nikal kar halaq tak pohoncha *magar halaq se niiche na utra to rozah na gaya.*
 ★ Makkhi halaq mein chali gayi to rozah na toota.. *aur jaan bujh kar nigal li to toot gaya.*
 ★ Bhool kar khaana kha rahe the.. yaad aate hi niwaala pheink diya to rozah na gaya.. *Aur agar munh ka niwaala ya paani ka ghoont yaad aane k baad bhi nigal gaye to rozah jaata raha.*
 ★ Sehri kar rahe the.. waqt khatm hote hi munh ka niwaala ugal diya to rozah na gaya.. *Aur agar munh ka niwaala nigal liya to rozah na raha.*
 ★ Kisi ki ghibat ki to rozah na gaya.. *lekin ghibat ki wajeh se rozeh ki nooraaniyat jaati rehti hai.*
 ★ Subha jaaga to ghusl farz tha.. bl k saare din junub raha tab bhi rozah na gaya.. lekin..
      *Der tak ghusl na karna k namaaz qaza ho jaaye gunah O haraam hai..*
      Aaqa.. alayhis-salaam.. farmate hai.. K. *Jis ghar mein junub ho us ghar mein rehmat k farishte nahi aate.*
 ★ Til ya til k jitni hi koi chiiz chabaaii aur thook k saath halaq se utar gayi rozah na gaya.. lekin.. *Agar us ka maza halaq mein mehsus huwa to rozah jata raha.*
 ★ Thook ya balgham munh mein aaya *fir us ko nigal liya to rozah na gaya.*
 ★ Isi trah naak mein riinth jama ho gayi.. *saans k zariye khiinch kar nigal gaya to bhi rozah na toota.*

*AALAMGIRII*
*DURRE MUKHTAAR*
*FATHUL QADIIR*
*BAHARE SHARIYAT*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
           *ROZEH K MAKROOHAAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣4⃣ ๐ŸŽ

๐Ÿ”ปAb Rozeh k makroohaat ka zikar K jin k karne se rozah ho to jata hai.. magar us ki nooraaniyat chali jaati hai.
 ★ *Jhoot.. Chughli.. Ghibat.. Bad nigahi.. Gaali dena.. Dil aazaari.. Daadhi mundna-mundaana..*
      Ye sab kaam wayse bhi haraam hai.. *rozeh mein aur zyada haraam aur inki wajeh se rozeh mein karaahiyat aati hai aur rozeh ki nooraaniyat chali jati hai.*
 ★ Baghair kisi majboori k kisi chiiz ko chakhna chabana makrooh hai.. chakhne k liye ye wujoohaat hai..
     ■  Shohar garam dimagh hai to awrat ko khaane chakne ki ijazat hai K *zaban par rakkhe aur chakh kar thook de.. pait mein na utaare..*
     ■  Itna chhota bachcha hai k roti chaba nahi sakta aur koi naram khaana hai nahi aur na koi haiz o nifaas wali ya koi aysa nahi k.. us ko chaba kar de.. *to chaba kar de sakte hai.. pait mein na jaane paaye.*
 ★ *Biwi ka bosa ( kiss ) lena aur gale lagana aur badan ko chhuna makrooh nahi..* lekin
      Agar ye dar ho k *inzaal ho jayega ya jima tak mamla badh jayega to in chiizon se bache.*
  ★ Honth aur zabaan chusna.. aur mubaa-shirate faaheshaa ( matlab sharam-gaah se sharam-gaah takraana ) makrooh hai.
 ★ Gulaab.. Mushk.. Itr ( attar ) sunghna.. lagaana.. daadhi mooch mein tel lagana aankhon mein surma lagana makrooh nahi.
 ★ Rozeh mein miswaak karna makrooh nahi bl k sunnat hai..
      *Agar miswaak chabaane se us k raishe chhute ya us ka taste mahsoos ho to aysa ( tez ) miswaak rozeh mein nai karna chahiye.*
      Agar rozah yaad hote huwe *miswaak ka raisha ya chhilka halaq se niiche utar gaya to rozah toot jayega.*
 ★ Rozeh ki haalat mein kulli karna naak mein paani chadhana thandak k liye nahana.. badan par bhiiga huwa kapda lapetna makrooh nahi.
 ★ *Thook jama kar k pii jaana makrooh hai lekin rozah tootega nai.*
๐Ÿ”ปRamazaan k dinon mein aysa kaam ( dhanda.. kaarobaar.. service ) karna jaaiz nahi k *jis ki wajeh se aysi kamzori aaye k rozah todne ka yaqiin ho jaaye.*

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZA NA RAKHNE K UZR(wajeh)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣5⃣ ๐ŸŽ

 ★ Kuchh majbooriyan aysi hain k jin ki wajeh se ramazaan k rozeh na rakhne ki ijazat hai.. lekin..
      *Majboori mein rozah maaf nahi.. majboori khatm hone k baad un chhute huwe rozon ki qaza rakhna farz hai.. aur is qaza ka gunah nahi hoga.*
  ■  Safar.. ( travelling )
  ■  Hamal.. ( pait mein bachcha ho ) 
  ■  Bachche ko doodh pilana..
        ( doodh pilane wali awrat ) 
  ■  Biimaari..
  ■  Budhaapa..
  ■  Mar jaane ka dar ( yaqiin ho )
  ■ *IKRAH..* Matlb *koi waqeii jaan se maar daalne ki dhamki de.. Ya badan k kisi hisse ko kaat daalne ki dhamki de.. ya sakht maar maarne ki dhamki de..* aur kahe k tod do rozah..
      *Aur rozah daar janta ho k.. Ye jo keh raha hai wo kar daalega to..*
      Aysi soorat mein rozah *faasid kar dena.. ya chhod dena ( tod dena ) gunah nahi.. isi ko.. Ikrah.. kehte hain.*
  ■  Nuqsaane aqal ka matlab..
        ( paagal hone ka dar )..
  ■  Jihaad..
       Ye sab rozah na rakhne k uzr hai.. *in wujuhaat se agar koi rozah na rakkhe to gunahgaar nahi.*
 ★ IN WUJUHAAT KI ZYADA TAFSIIL AGLE MASSAGE MEIN POST HOGI.

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SAFAR ( travelling ) kise kehte hain ?*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Shariyate mutah-harah ki nazar mein *musaafir ( traveller ) wo hai jo 3 din ki duuri tak jaane k iraade se apni basti se safar k liye nikle.*
 ★ 3 din ki duuri ka matlab hai 57.50 mile ki duuri k iraade se apni basti se nikle wo MUSAAFIR hai aur... namaaz 4 rakat wali QASR matlab 2 padhega..
  ■  57.5o mile.. matlab.. 
        92.54 kilo meter huwa..
  ■  1 mile = 1.60934 k.m. 
  ■  57.5 mile ka matlab..
        92.53705 k.m = 92.54 k.m.
 ★ Ab jo itne safar k iraade se apne ghar se nikle *us ko rozah na rakhne ki ijazat hai.*

*MOMIN KI NAMAAZ*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZA NA RAKHNE K UZR(wajeh)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣6⃣ ๐ŸŽ

 ★ Musafir ko rozah rakhne ya na rakhne ka ikhtiyaar hai.
 ★ *Agar khud musafir aur sath wale ko koi nuqsaan na hota ho to safar mein bhi rozah rakhna behtar hai..*
      Aur kisi aik ko bhi nuqsaan hota ho to na rakhna behtar hai.
 ★ Kisi ko rozah todne par majboor kiya ( ikrah ) to tod sakta hai.. *magar sabar kiya to ajar milega.*
 ★ *Saanf ( snake ) ne das liya aur jaan khatre mein pad gayi to rozah tod de.*
 ★ Jin logon ne in majbooriyon ki wajeh se rozah toda *un par farz hai k un rozon ki qaza rakkhe.*
 ★ Hamal wali awrat ( jis k pait me bachcha ho ) ya doodh pilaane wali awrat ko *agar apni ya bachche ki jaan jaane ka sahih andesha hai ( confirm ) to ijazat hai k us waqt rozah na rakhe.*
 ★ Bhook aur pyaas aysi ho k jaan jaane ka khauf ( yaqin ) ho ya nuqsaane aqal ( dimaagh par asar padna ) ka andesha ho to rozah na rakkhe.
 ★ Mariz ki biimaari badh jaane ka ya der se achcha hone ka.. ya tandrust ko biimaar ho jane ka gumaan ghaalib ho to ijazat hai k us din rozah na rakkhe.
 ★ Oopar bataye gaye haalaat mein ghaalibe gumaan hona zaroori hai..
      *Sirf wehem ho to ijazat nahi.. Aur Ghaalib gumaan hone ki ye 3 surtein hain..*
     ●  Us ki zaahiri nishaani
           paayi jaati ho..
     ●  Us aadmi ka zaati tajruba ho..
     ●  Kisi musalmaan doctor ne jo faasiq ( khullam khulla gunah karne wala ) na ho.. *( Agar ayse doctor ne  kaha ho )*..
      Aur agar aysa na ho ( ye nishaniyan na ho ) aur rozah tod de.. to.. *rozeh ki qaza k saath sharaait paaye gaye to kaffaarah bhi laazim aayega.*
๐Ÿ”ปISI TOPIC PAR ZYADA TAFSIL AGLE MASSAGE MEIN POST HOGI.

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ROZA NA RAKHNE K UZR(wajeh)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣7⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Haiz ya nifaas ki haalat mein*
      *namaaz.. rozah.. haraam hai.*
     Haiz o nifaas wali awrat ko ikhtiyaar hai k chhup kar khaaye ya zaahir mein.. Rozah daar ki tarah rehna us k liye zaroori nahi.. *Lekin haiz waali k liye chhup kar khaana behtar hai.*
 ★ *SHAIKHE  FAANI* matlab wo buzurg ( budha ) jin ki umar itni badh gayi.. k ab wo bechare roz ba roz kamzor hote chale jayenge.. *aur ab kabhi itni taaqat nahi aayegi k rozah rakh sake..*
      In ko ab rozah na rakhne ki ijaazat hai.. *lihaza har rozeh k badle ( fidiye k tor par ) 1 sadqae fitar kisi miskiin ko de dein.*
      ( aik sadqae fitar.. matlab.. *2 kilo 50 gram gehun.. ya us ka aata.. ya utne gehun ki raqam* )
 ★ Agar aysa budha jo garmi k mausam mein rozah na sakta ho to na rakhe magar us k badle sardiyon ( thandi.. winter ) k mausam mein rakkhe..
      *Agar fidiya dene k baad rozah rakhne ki taaqat aa gayi to un rozon ki qaza rakkhein.*
 ★ Fidiya dene mein ikhtiyaar hai k *shuru ramazaan mein ya aakhir mein ya rozaana aik fidiya de.. Kisi aik miskiin ko ya kayin miskin ko dein..* jayse chahe dein.

*AALAMGIRII*
*BAHARE SHARIYAT*
*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH NAFL ROZEH K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣8⃣ ๐ŸŽ

 ★ *Nafl rozah rakh lene k baad ab poora karna waajib hai.. Agar tod diya to qaza waajib hai.*
 ★ Jaan bujh kar na toda bl k be-ikhtiyaar toot gaya.. *jayse rozah rakkha aur awrat ko haiz aagaya.. tab bhi us ki qaza waajib hai.*
 ★ Nafl.. Mannat.. Aur Qasam k rozeh awrat baghair shohar ki ijazat k na rakkhe.. *Aur agar rakh liye to shohar tudwa sakta hai..*
      Magar todne par *us ki qaza waajib hogi.. Aur us qaza bhi shohar ki ijazat k baghair na rakkhe.*
 ★ Agar rozah rakhne mein shohar ko koi nuqsaan ya rukaawat na ho.. jayse.. *shohar safar mein hai.. ya biimaar hai.. ya ehraam mein hai to.. In haalaton mein baghair ijazat k rozah rakh sakti hai.. Bl k wo roke tab bhi rakh sakti hai.*
 ★ Ramazaan k rozeh aur ramazaan ki qaza rozeh k liye shohar ki ijazat ki zaroorat nahi.
 ★ Agar aap kisi k yahan Service.. Nokri karte hain to us ki ijazat k baghair nafl rozah nai rakh sakte.. *kyunki rozeh ki wajeh se kaam mein susti aayegi..*
      Agar rozah rakhne k baad bhi aap routine matlab *roz karte ho wayse hi kaam kar sakte ho to ijazat ki zaroorat nahi.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*KAB ROZAH RAKHNA HARAAM HAI*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪EID ul fitar * ( ramazaan ki Eid ) aur BAQRA EID k 4 din.. 10..11..12.. 13.. chaand..
      *In 5 dinon mein rozah rakhna haraam hai.. bl k agar kisi ne rakh liya to tod dena waajib hai.*

*RADDUL MOHTAAR*
*DURRE MUKHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH QAZA ROZEH K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 1⃣9⃣ ๐ŸŽ

 ★ Ye socha k *abhi rozah shuru hone ka waqt nai huwa Aur Khaa liya.. Pii liya.. Ya jimaa ( biwi se khaas mulaaqaat ) kiya.. fir pata chala k waqt shuru ho chuka tha to rozah na huwa..*
      Is rozeh ki qaza karein aur aik rozah qaza rakkhein.
 ★ Bhool kar Khaaya.. Piya.. Ya Jimaa kiya.. Ya dekhne se Inzaal ( chhoot ) huwa.. Ya Ahtilaam huwa.. Ya Vomit ( ulti ) hui..
      *( in surton mein rozah tootta nahi ) aur ye samja k rozah jata raha.. Aur fir Khaana kha liya.. to sirf rozeh ki qaza farz hai.*
 ★ Rozeh mein naak mein dawa chadhai to rozah toot gaya.. aik rozah qaza kare.
 ★ Baarish ka paani ya ola halaq mein chala gaya to rozah toot gaya.. qaza rakkhe.
 ★ *Bohot saara pasina ya aansoo nigal liya to rozah toot gaya.. qaza rakkhe.*
 ★ Iftaar ka waqt ho gaya *ye samaj kar Khaa liya.. fir pata chala k waqt nai huwa tha to rozah toot gaya.. qaza karein.*
 ★ Wuzu kar rahe the naak mien Paani Chadhaya Aur Dimaagh tak Chadh gaya ya Halaq mein Utar gaya to..
      *Agar rozah daar hona yaad tha to toot gaya.. qaza rakkhe.. Aur Agar yaad na tha to rozah na toota.*

*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         *KAFFAARE K AHKAAM *
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣0⃣ ๐ŸŽ

๐Ÿ”ปRamazaan ka rozah rakh kar baghair kisi sahih majboori k jaan bujh kar tod dene se kabhi to sirf qaza aik rozah rakhna hota hai aur kabhi..
      *Qaza rozeh k sath KAFFAARAH bhi ada karna padta hai.*
 ★ Rozah todne ka kaffaarah ye hai k *aik ghulaam ya baandi aazaad kare.. ab aaj kal ye mumkin nahi..*
      *Ye nahi ho sakta to pey dar pey matlab aik par aik 60 rozeh rakkhe ( non stop without gap )..*
      Agar ye bhi mumkin nahi to *60 miskino ko pait bhar kar dono waqt khaana khilaye.. Aur ye zaroori hai k jis ko aik waqt khilaaye dusre waqt bhi usi ko khilaye.*
      *Ya fir 60 miskinon ko aik aik sadqae fitar ya utni raqam ka maalik kar diya jaaye. ( aik sadqae fitar matlab.. 2 kilo 50 gram gehun.. ya utni raqam )*
 ★ Agar koi kaffareh k 60 rozeh rakhna shuru kare aur biich mein aik din ka bhi gap ho jaye.. chhoot jaaye to fir se 1 se ginti shuru hogi.. yani jahan se chhoota wahan se fir 60 rozeh rakkhe.. chahe kisi bhi majboori se chhoota ho.
      *Sirf awrat ko haiz k dino ki rukhsat hai.. matlab haiz k pehle aur baad k rozeh mila kar 60 ki ginti poori kar le.*
 ★ Jis bhi soorat mein kaffaarah laazim aata hai us mein ( aaqil.. baaligh.. muqiim hone k sath sath ) shart ye bhi hai k..
      *Raat hi se rozeh ki niyat kii ho.. agar din mein niyat kii ho aur tod diya to kaffaarah laazim nahi.. sirf qaza kaafi hai.*
 ★ Ramazaan mein kisi aaqil.. baaligh.. muqiim.. ne ramazaan k rozeh ki niyyat ki aur *fir baghair kisi sahih majboori k jaan bujh kar jimaa ( miya biwi ki khaas mulaqat ) kiya ya karwaya.. ya koi chiiz lazzat k liye khaayi ya pii to rozah toot gaya aur kaffaarah bhi laazim aaya. ( 60 rozeh )*
 ★ Ahtilaam huwa aur use malum bhi tha k rozah na gaya.. *fir bhi us ne khaa liya to ayse par kaffaarah laazim. ( 60 rozeh )*
 ★ Ulti ( vomit ) hui ya bhool kar khaaya.. piya.. ya jima kiya aur *in sab surton mein use maloom tha k rozah na gaya fir bhi khaa liya to kaffaarah laazim nahi.*

*RADDUL MOHTAAR*
*DURRE MUKHTAAR*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

===============================================
  QAADRI  FAIZ   - ROZAH - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         *KAFFAARE K AHKAAM *
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣1⃣ ๐ŸŽ

 ★ Agar 2 rozeh tode to dono k liye 2 kaffaare dene honge.. chaahe pehle ka kaffaarah ada na kiya tha..
     *Agar dono kaffaare aik hi ramazaan k hon aur pehle ka kaffaarah ada na kiya ho to aik hi kaffaara dono k liye kaafi hai.*
 ★ Kaffaara laazim hone k liye zaroori hai k *rozah todne k baad koi aysa kaam na huwa ho k jis ki wajeh se rozah chhodne ki ijazat hoti hai* ( ya rozah todne ki rukhsat hoti hai ).. jayse..
     ●  Awrat ko usi din k jis din rozah toda.. haiz ya nifaas aa gaya..
     ●  Ya aysi bimaari ho gayi.. ya bimaar ho gaya k jis biimaari mein rozah na rakhne ki ijazat hai.. *to kaffaara saaqit ho jayega.. ( matlab.. aysi position mein ab kaffaara nahi hoga )* 
      *Lekin safar se kaffaara saaqit na hoga.. isliye k ye ikhtiyaari kaam hai.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   *KAFFAARA KAB LAZIM HOGA...?*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Rozedaar ne jaan bujh kar koi Dawa.. Ya Ghiza ( Khaane ki chiiz ).. Khaaii.. Ya Paani piya.. Ya koi chiiz Lazzat ( maze ) k liye Khaaii.. Pii.. to kaffaara dena hoga.
 ★ Rozdaar ne kisi aadmi ( mard ho ya awrat ) jo qaabile shehwat ho ( jis ko dekh kar shehwat ubhre ).. Ayse ( mard ya awrat.. ladka ya ladki ) k agle ya pichle maqaam mein jimaa kiya.. Ya khud rozdaar ne aysa kaam  karwaya.. to..
      *( chaahe inzaal ( chhoot ) huwa ho ya na huwa ho ).. In sab soorton mein rozeh ki qaza aur kaffaara dono lazim hai.*

*AALAMGIIRII*
*DURRE MUKHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*QAANUNE SHARIYAT*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**
 QAADRI  FAIZ  TARAAWIH 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH TARAWIH K BAARE MEIN *
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣2⃣ ๐Ÿ

 ★ *Taraawih har Aaqil.. Baaligh.. Mard O awrat k liye sunnate muakkadah hai.. Is ko chhodna jaaiz nahi.*
▪ *SUNNATE MUAKKADAH*
       Wo amal hai jis ko Huzur.. alayhis-salaam.. ne hamesha kiya.. kabhi hi chhoda ho..
      Ada karna zaroori aur karne mein bada sawab hai.. aik baar chhodne mein bhi Allah ki Narazgi aur Azaab ho sakta hai.. Ye hukm mein waajib k qariib hai.
 ★ Taraawih ki 20 rakatein hai.. Hazrate Faaruqe aazam.. radiyallaho anhu.. k zamaane se 20 rakatein jamaat se padhi jaati hai.
 ★ *Is ki jamaat sunnate muakkadah alal kifaayah hai.. Agar masjid k saare logon ne chhod di to sab isaa'at k murtakib huwe ( matlab.. bura kiya )* 
      Aur agar kuch logon ne baa jamaat padh li to akela padhne wala jamaat ki fazilat se mehroom raha.
 ★ *Is ka waqt ishaa k apne farz padhne k baad se subha saadiq ( sehri k waqt tak ) tak hai.. Agar isha se pehle padhi to na hogi.*
 ★ Taraawih agar na padhi aur waqt
     guzar gaya to is ki qaza nahi.
 ★ Baghair majboori k taraawih baith kar padhna makrooh hai.. bl k kuch Fuqhae kiraam k nazdik to hoti hi nahi.
 ★ Taraawih masjid mein baa jamaat
     adaa karna afzal hai..
      *Agar ghar mein baa jamaat adaa ki to jamaat chhodne ka gunah nahi.. lekin waysa sawab na milega jo masjid mein padhne ka hai.*
 ★ Isha ki farz namaaz masjid mein jamaat k sath padhne k baad.. Ghar ya hall waghaira mein taraawih padh sakte hai.
      Lekin agar baghair sharai uzr k masjid k bajaaye ghar ya hall mein isha ki farz ki jamaat qaayem ki to masjid mein haazri ki barkaton se mehroomi hogi.
 ★ *Baaligh ki tarawih ( bl k koi bhi namaaz yahan tak k nafl bhi ) naa baaligh k piichhe nai hoti.. Isliye tarawih ka imaam bhi baaligh hi ho.*
 ★ Taraawih mein poora quraane majid aik martaba khatm karna sunnate muakkadah hai.
 ★ Agar baa sharaait haafiz na mil sake to taraawih mein koi bhi soortein padh sakte hai.. chaahe to Alamtra se Wannaas 2 baar padh lein.
 ★ *Agar kisi wajeh se tarawih ki namaaz Faasid ho jaye to.. Jitna quraan un rakaton mein padha tha un ko fir se padh lein k.. Quraan khatm mein koi kami na reh jaaye.*

*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*BAIYAQI SHREEF*
*FATAWA RAZWIYA*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**
 QAADRI  FAIZ  TARAAWIH 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KUCH TARAWIH K BAARE MEIN *
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣3⃣ ๐Ÿ

 ★ Taraawih alag alag masjid mein bhi padh sakte hai.. agar khatme quraan mein nuqsaan na ho..
     *Jayse.. 3 masjid aysi hai k har roz sawa ( aik aur paaw ) paarah hi padha jaata hai to tino masjid mein baari se jaa sakte hai.*
 ★ Salaam pherne k baad *kisi ne kaha 3 hui.. kisi ne kaha 2 hui to.. Imaam ko jo yaad ho us par amal kare.. Aur agar Imaam bhi ta-zab-zub ( confusion ) mein ho to jis par imaam ko bharosa ho us ki baat maan le.*
 ★ Agar logon ko shak ho k 20 hui k 18 to 2 rakat akele akele padh lein.
 ★ Agar muqtadiyon ( musalliyon ) ko giraani hoti ho ( bhaari padta ho ) to tashahhud k baad..
      *ALLAHUMMA SALLE ALA*
      *MUHAMMADIW WA AALIHI*
      Par hi iktifa kare. ( matlab.. qaade mein sirf itna hi padh kar salaam pher dein ) *[ DURRE MUKHTAAR ]*
 ★ Agar 27 wi ko ya us se pehle *Quraan khatam ho gaya to bhi ramazaan ki aakhri taarikh tak tarawih padhte rahna sunnate muakkadah hai.*
 ★ Har 4 rakat par itni der aaraam lene k liye baithna mustahab hai k jitni der mein 4 rakat padhi hai.. is theherne ko Tarwiiha kehte hain.
 ★ Tarwiiha k doraan ikhtiyaar hai k chup betha rahe ya Allah ka Zikar.. Durood sharif.. ya Tilaawat kare ya akele nafl padhe. *( DURRE MUKHTAAR )* 
Ya raaij tasbih bhi padh sakte hai.
 ★ Kuch namaazi bethe rehte hain.. Jab imaam ruku karne wala hota hai to us waqt khade hote hain.. Ye munaafiqiin ki mushaabihat ( tariqa ) hai..
      Suratun Nisaa ki aayat number 142 mein is baat ka zikar hai.
 ★ Ramazaan mein Witar ki namaaz jamaat se padhna afzal hai.. *Magar jis ne isha ki namaaz jamaat se na padhi ho wo Witar bhi akela hi padhe.*
 ★ *Hazrat Umar.. radi-yallaho anhu.. farz O Witar ki jamaat karte the aur Hazrat Ubai bin Kaab.. radiyallaho anhu.. taraawih padhate the.*

*AALAMGIIRI*
*DURRE MUKHTAAR*
*BAHAARE SHARIYAT*
*FAYZAANE RAMAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ZAKAT K FAYDE O TARIF..defination*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣4⃣ ๐Ÿ’ฐ

      *MAFHOOME AHAADIIS*
▪Huzur.. sallallahu alayhi wa aalihi 
      wasallam.. farmate hain..
 ★ Islaam ki buniyaad 5 
      baaton par hai..
 ★ Allah k aik hone ki gawaahi dena.. K *Allah k siwa koi ibaadat k laayeq nahi.. Aur.. Muhammed.. sallahu alayhi wasallam.. Us k Rasool hai.*
 ★ *Namaaz qaayem karna.*
 ★ *Zakaat adaa karna.*
 ★ *Hajj karna.*
 ★ *Ramazaan k rozeh rakhna.*
  ●  { zakaat ki ahemiyat ka andaaza isse bhi laga sakte hai.. K.. *Quraane majiid mein namaaz aur zakaat ka aik saath 32 jagah zikar aaya* } 
  ●  { zakaat 2 hijri mein ramazaan
        k rozon se pehle farz hui } 
  ●  { zakaat farz hai.. ye Quraan se saabit hai.. *agar koi is baat ka ( zakat k farz hone ka ) inkaar kare to kaafir hai* } 
 ★ Aaqa farmate hai.. Tumhare islaam ka poora hona ye hai k.. *Tum apne tamam maal ki zakaat ada karo.*
 ★ Farmate hai.. Jo Allah k Rasul par iimaan rakhta ho use laazim hai k apne maal ki zakaat ada kare.
♣{ Quraan mein Muttaqiyon ki nishaniyon mein se aik nishaani bayan kii gayi..
      *AUR  HAMAARI  DII  HUI  ROZI  ME SE  HAMAARI RAAH MEIN UTHAAEIN.*( matlab kharch karein ) }
  ■  Aaqa farmate hai.. Apne maal ki zakaat nikaal.. k Wo paak karne waali hai.. Tuje paak kar degi.
  ■  Farmate hai.. Sadqe se maal
        kam nahi hota.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Zakaat farz hai.
 ★ Iska inkaar karnewala kaafir hai.
 ★ Na dene wala faasiq aur Qatal ka mustahiq ( qatal kar diya jaye agar islaami hukumat ho ).
 ★ Is ko adaa karne mein der karnewala gunahgaar aur mar-doo-dus- shahaa-dat hai. ( gawaahi qubool nahi ).
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Zakaat kis ko kehte hai..?*
 ★ Allah k liye maal k aik hisse ka.. Jo sharaa ne muqarrar ( 100.. rupye par 2.5 rupye yani zaroori-yaat aur qarz ko baad kar k kul maal ka 2.5 % ) kiya hai.
      *Itne maal ko baghair kisi shart ya badle k ya kisi bhi tarah ka nafa na lekar  kisi musalmaan faqiir ( sharai faqiir ) ko maalik bana dena.. Ye zakaat hai.* (aage zyada tafsiil aayegi ) 

*AALAMGIIRI*
*QURAANE PAAK*
*FATAWA HINDIYA*
*ATTRGHIB WATTARHIIB*
*MOJAMUL KABIIR*
*MUSNAD IMAAM AHMED*
*MOJAMUL AWSAT*
*BAHAARE SHARIYAT*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            *ZAKAAT DENE K FAYDE*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣5⃣ ๐Ÿ’ฐ

     *MAFHOOME AHAADIIS*
▪Huzur...sallallahu alayhi waalihi
     wasallam.. farmate hain..
 ★ *Jis ne apne maal ki zakaat ada kar di beshak Allah ne us se shar ( nuqsaan.. buraai.. kharaabi ) ko duur kar diya.*
 ★ Jo kisi bande ki haajat rawaai kare.. *Allah diin o duniya mein us ki haajat rawai karega (us k kaam bana dega ).*
 ★ Jo kisi musalmaan ki duniya ki taklif duur kar dega.. *Allah qayamat k din usse musibat ko duur kar dega.*
 ★ Tum ko Allah ki madad aur rizq.. *zaiifon ( kamzoron ) ki barkat aur un ki duaaon se milta hai.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     *ZAKAAT NA DENE K NUQSAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *MAFHOOME AHAADIIS*
▪Huzur.. sallallau alayhi wa aalih
     wasallam.. farmate hain..
 ★ Khushki ( zamin ) aur Tari ( samandar O dariya ) mein jo maal bhi barbaad huwa hai.. zakaat na dene ki wajeh se barbaad huwa hai.
 ★ *Zakaat ka maal jis maal mein mila hoga.. use tabah O barbaad kar dega.*( matlab.. *jis par farz hai wo na dega to us k maal ko..*
      *Aur jo haqdaar nahi wo lega to us k maal ko halaak.. barbaad kar dega )*
 ★ Jo qaum zakaat na degi.. Allah use qahet ( sookha padna.. baarish ka na hona ) mein mubtila farmayega. 
 ★ *Jab log zakaat dena chhod dete hai.. to Allah baarish ko rok deta hai..*
      Agar zamiin par chopaaye ( jaanwar ) na hote to aasmaan se aik qatra bhi paani na girta.
 ★ Zakaat na denewala qayamat k din jahannam mein hoga.
 ★ *Jahannam mein sab se pehle 3 log jaayenge.. Un mein se aik wo maaldaar hoga jo apne maal se Allah ka haq ada nahi karta.*

*MOJAMUL AWSAT*
*ABU DAUD SHARIF*
*MUSLIM SHARIF*
*JAAME TIRMIZI*
*BUKHAARI SHARIF*
*MAJMAUZ ZAWAAID*
*SHOBUL IIMAAN*
*SUNANE IBNE MAAJAH*
*SAHIH IBNE KHUZAIMA*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         *ZAKAAT KIS PAR FARZ HAI*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣6⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Zakaat dena har us musalmaan..
 ★ Aaqil ( paagal na ho )..
 ★ Baaligh ( naa baaligh na ho )
      musalmaan par.. Farz hai..
      Jis mein niiche dii hui shartein
      paayi jaayein..
 ★ Nisaab ka maalik ho.
 ★ Ye nisaab naami ho.
 ★ Nisaab us k qabze mein ho.
 ★ Nisaab us ki haajate asaliya
     (zaruriyate zindagi) se zyada ho.
 ★ Nisaab dain ( dewa.. qarza ) se
     faarigh ho.
 ★ Nisaab par aik saal guzar gaya ho.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
          *SHARAAIT KA KHULASA* 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Maalike Nisaab hone ka matlab*
     ye hai k us k paas..
 ★ *Saade saat ( 7.5 ) tola sona..* Ya..
 ★ *Saade baawan ( 52.5 ) tola chaandi.. Ya itna Cash ( Rokde ) raqam k itni chaandi kharid sake..* Ya..
 ★ Itni raqam ka *maale tijaarat ( jis maal ka kaarobaar karta hai wo maal itni raqam ka ho )..* Ya..
 ★ Itni maaliyat ( value ) ka *haajate asaliya ( zururiyate zindagi ) se zyada saamaan ho..*
      *To ayse shaks ko jo ooper batayi soorton mein se kisi bhi soorat mein ho.. Use Maalike Nisaab kehte hai.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Ye Nisaab naami ho..*
 ★ *Matlab.. aysa maal jo badhnewala ho.. Jayse Maale Tijaarat.. Ya Sona.. Chaandi..* ( aam log ulajh na jaayein isliye ikhtisaar se kaam liya.. Ahle ilm hazraat tafsil jaante hain ) 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Haajate asaliya..* 
     ( zururiyate zindagi )
 ★ Wo chiizein jin k baghair guzara
     karna mushkil hota hai.. Jayse..
  ●  *Rehne k liye ghar..*
  ●  *Pehenne k liye kapde..*
  ●  *Sawaari.. Vehicles..*
  ●  *Dini kitaabein..*
  ●  *Peshe k awzar..* waghira.. jayse..
  ●  *Public relation k liye*
        *Tel.. Mobile..*
  ●  *Composing k liye computer..*
  ●  *Nazar kamzor ho to*
        *chasma.. lens..*
  ●  *Behrepan k liye ear phone..*
  ●  *Motor cycle.. car..*
        *Ya wo tamaam chiizein jin k baghair zururat mand ka guzaara mushkil ho jaata hai. Ye sab haajate asaliya mein shumaar hai.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Nisaab us k qabze mein ho..*
 ★ Matlab jo maal bhi ho cash ho *us par mukammal ( completely ) apna qabza aur control ho.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Nisaab dain se faarigh ho..*
 ★ Matlab.. aysa maal jis par kisi ka bhi koi haq na ho.. *Koi maang-daar na ho.. Saare qarze aur udhaar ko baad ( less ) kar k jo maal bache use dain se faarigh maal kehte hain.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *Nisaab par aik saal guzarna..*
 ★ Jis Taarikh ( date ) aur Waqt par aadmi pehli baar Saahibe Nisaab huwa aur Nisaab ( utna maal ) baaqi rahe Aur..
      *Wahi taariikh aur waqt saal guzar kar jab aayega to Usi minit us ka saal poora hoga.*
 ★ Saal guzarne mein Qamri Mahino ka etbaar hoga ( matlab.. Chaand k hisaab se.. Islaami Mahino k hisaab se )..
      *Shamshi mahino ( English Calander.. Angrezi mahine ) se ginna haraam hai.*{ Fatawa Razviyah.. jild.. 10 } 

*AL HIDAAYA*
*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA HINDIYA*
*FATAWA RAZVIYA*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**  

QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       *SONE-CHAANDI  KI  ZAKAAT*
 *RUPYE  SE  NIKAALNE  KA  TARIQA*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣7⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Sone chaandi ki zakaat mein qiimat ( cash.. rokde ) de dena bhi jaaiz hai. 
๐Ÿ”ปAgar sone-chaandi ki zakaat rupye se nikaalna chahte ho to is tariqe se nikaale..
 ★ Sone aur chaandi ka current market ka rate.. bhaaw malum karein aur *jitni maaliyat ( value ) ka sona chaandi banta hai us raqm ka 2.5 % nikaal dein aur haqdaar ko maalik bana dein.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ป Qiimat ( bhaaw ) kis waqt ki lein ?
 ★ Qiimat na to banwaane k waqt ki.. na to zakaat dene k waqt ki lein.. *Bl k jab saal poora hota hai.. Us waqt ki qiimat se hisaab lagayein.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปRate ( bhaaw ) kis maqaam ( jagah.. sheher.. city ) ka nikalein..?
 ★ *Jis maqaam par chiizein ( sona.. chaandi ) jahan maal ho wahin k rate ( bhaaw ) se ginein.*
 ★ Jis maqaam par chiizon k rate bhaaw hukumat k control mein ho wahan usi rate se.. Aur 
      Jis maqaam par hukumat k aur bazaar k rate mein farq ho *wahan bazaar k bhaaw se hisaab jodein.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปAgar sona chaandi k Rate.. Bhaaw.. Bechne aur Kharidne k alag alag hon.. to kis bhaaw se apne sone chaandi ki qiimat ( value )  lagayein..?
 ★ Jo qiimat ( raqam ) apne sona chaandi bechne se milti hai *Us qiimat se sone chaandi ki value nikaalein..* Aur kharidne k bhaaw se nikalein to behtar hai..
      *Aur behtar ye hai k jo qiimat zyada ho.. Us qiimat se apne sone chaandi ki value ( qiimat ) nikaalein.*

*DURRE MUKHTAAR*
*FATAWA AMJADIYA*
*BAHARE SHARIYAT*
*MAAKHUZ AZ FATAWA-*
 *-RAZVIYAH ( mukharraja )*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       *SONE-CHAANDI K ZEWRAAT* 
 *( gehnein.. jinas ) OR BARTAN AUR*
        *JAHEZ.. GIRVI.. K MASAAIL* 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣8⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Saare zewaraat par zakaat hai.. *Pehenne k zewraat par bhi zakaat farz hai.*
 ★ Sone Chaandi k zewar aur bartan ki zakaat bhi.. *Us ki qiimat k hisaab se nikalenge.*
 ★ Jahez ( dahez ) awrat ki maaliki ka hota hai.. *Agar us par zakaat banti hai to wo awrat ko zakaat dena hogi.*
 ★ Agar shohar ne bivi ko zewar bana kar diya ho to.. *Sirf pehenne k liye diya to shohar zakaat dega..* Aur..
      Agar bivi ko de diya.. Maalik bana diya to *zakaat bivi degi.( jo maalik hai usi par zakaat farz hai.. Na de to jo maalik hai wahi gunahgaar hoga.. hogi )* 
      { Biwi ki zakaat wahi degi.. Ab agar us ki alag se aamdani ( income ) nahi.. *To bivi ki ijazat se shohar de sakta hai..* Aur agar..
      Ye Under Stood ho k har baar shohar hi deta hai aur *is dene par shohar bivi dono raazi hai to ye bhi aik tarah se ijazat hi kehlaayegi }*
 ★ Rehen ( girwi.. giro rakhna ) mein diye huwe zewar ki zakaat *na girwi rakhne wale par hai na girwi rakhwaane wale par hai.*
 ★ Agar kapde par Sone Chaandi k taar ki kadhaai  karwaai to us par bhi zakaat hai.
 ★ Safare Hajj O Ziyarate Madine sharif k liye jama kii jaane waali raqam par bhi.. *Agar zakaat waajib hone k sharaait paaye gaye to zakaat deni hogi.*
 ★ Hiiron ( diamonds ) aur Moti ( pearl ) *par zakaat waajib nai.. Chaahe hazaaron.. laakhon k hon.*
      Agar bechne ki niyat se liya ho to *in par bhi bazaar ki value k mutaabiq zakaat nikalni hogi.*

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FATAWA AMJADIYA*
*MAAKHUZ AZ FATAWA-*
*-RAZVIYAH ( mukhrraja )*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*MAALE TIJAARAT AUR USKI ZAKAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 2⃣9⃣ ๐Ÿ’ฐ

๐Ÿ”ปMaale tijaarat kis ko kehte hai..?
 ★ Jis maal.. chiiz ko bechne ki niyat se kharida gaya.. *Us maal ya chiiz ko maale tijaarat kehte hain.*
 ★ JAYSE.. kisi ne Bike is niyat se kharidi k ise bechunga aur nafa kamaaunga.. *To ye maale tijaarat hai..* aur..
      Agar khud apne istemal ( waaparne ) k liye kharidi to *ye maale tijaarat nahi.*
 ★ Maale tijaarat par bhi zakaat farz hai aur zakaat deni hogi.. Agar zakaat waajib hone k sharaait paaye gaye.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปMaale tijaarat ki zakaat kis tarah
      nikali jaaye..?
 ★ Tamaam maale tijaarat ( saamaan ) ki qiimat ( saal k khatm ki value k hisaab se ) nikaale aur fir saare ka hisaab jod kar.. Jo Raqam bane us mein se 2.5 % nikaal dein.
 ★ JAYSE..
 ★ Apne paas maujood maal
      ki raqam..
 ★ Cash.. Rokde rupye.. Raqam..
 ★ Kisi ko udhaar di ho to wo raqam..
 ★ Udhaar diye huwe saamaan ki raqam.. In chaaron raqam ko aapas mein jod lein ( + ) 
      *Ab jo bhi raqam banti hai total.. { A } is raqam ko..*
 ★ Udhaar liye huwe rupye ki raqam.. aur.. Udhaar liye huwe saamaan ki raqam..
     *In Dono raqam ko jod ( + ) lein.. Jo bhi raqam banti hai.. total.. { B }.. ko..*

*Matlab { A } waale total raqam mein se { B } waale total ko minus ( - ) kar dein.. ( kam kar dein.. less karein ).. Aur.. Ab jo raqam bachegi us raqam ki 2.5 % zakaat nikaal dein.*

 ▪ *{ A } - { B } = RAQAM..{ C }* 

*Ab is RAQAM { C } mein jo bhi raqam aaye us raqam ka 2.5 % nikaal dein.*

★ Is tariqe se whole sale wale us rate k hisaab se.. Aur retail wale us rate k hisaab se nikale.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*MAAL KI KUCH QISMEIN ~ MASAAIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Kaarobaar k liye dukaan kharidi.. Us par zakaat nahi.. *( dukaano aur jaagiron mein ( zakaat nahi ) fatawa shaami )*
 ★ Dukaan ya makaan lene k liye *advance diya ho to us advance raqam ki zakaat deni hogi.*
 ★ Kiraaye se dene k makaanaat.. *Chaahe 50 crore ( karod ) k hon.. Un par zakaat nahi.. Us ki aamdani ( aawak.. income ) par zakaat deni hogi.*
 ★ Bhaade se chalnewaali Basein.. Gaadiyein.. Un par zakaat waajib nahi.. *Un ki aamdani par zakaat deni hogi.*
 ★ Jis k paas TV.. Computer.. Fridge.. Aur Washing Machine.. AC.. Oven waghaira hon to us maal par zakaat waajib nahi hogi.. k ye sab gharelu saamaan hai aur ye maale naami nahi.
 ★ *Makaan ki sajaawat ki chizein.. Jayse.. Taambe.. Chiini k bartan waghaira par zakaat nahi.. Chaahe laakhon rupye k hon.*
 ★ Bay'aana ( biyaana.. token ) kisi chiiz k kharidne bechne k waqt diya jata hai.. Jis ka matlab ye hota hai.. k jis ne byaana diya ab ye chiiz wahi kharidega.. *Is biyaane ki raqam par bhi zakaat deni hogi.*
 ★ Agar kisi ne koi chiiz kharidi aur us ka qabza na mila to kharidne wale par us maale tijaarat ki zakaat nahi.. Isliye k us k paas Qabza nahi.. aur.. Qabza Shart hai.. Aur..
      *Bechne wale par bhi zakaat nahi.. Isliye k wo chiiz bik chuki hai.. Aur ab ye us ka maalik nahi or iski na rahi..* Lekin.. Jab kharidne wale ko qabza milega.. *Us waqt kharidaar is saal ki bhi zakaat nikalega.*

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*FATAWA AMJADIYA*
*WAQAARUL FATAWA*
*FATAWA FAQIHE MILLA*
*FATAWA RAZWIYA*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*CURRENCY (cash.. rupye) ki ZAKAAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣0⃣ ๐Ÿ’ฐ

๐Ÿ”ปCASH PAR ZAKAAT KA TABLE
  ●  100 rupye par................2.5
  ●  1000 rupye par...............25
  ●  10000 rupye par...........250
  ●  100000 lakh par..........2500
  ●  1000000 lakh par......25000
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*CASH CURRENCY(rokde) ki QISMEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Betiyon ki shaadi k liye raqam jama ki aur *un k baaligh hone se pehle un ki Milk kar diya ( maalik bana diya ) to baaligh hone tak un par zakaat farz nahi.. k naa baaligh par zakaat nahi.. Baaligh hone par sharaait paye gaye to un par bhi zakaat waajib hogi.*
 ★ Saahibe nisaab ki raqam *insurence mein jama ho to us par bhi zakaat hogi.*
 ★ Sahibe nisaab ki agar *Provident fund mein raqam jama hai to jab se ye raqam jama hona shuru hui usi waqt se us raqam ki zakaat farz hoti rahegi..* Lekin adaayegi us waqt hogi jab us k qabze mein raqam aajaayegi.
 ★ Sarkaari ya private companies mein nokri karne walon ko saal k aakhir mein salary ( pagaar ) k alaawa bonus diya jaata hai..
      *Ye aik tarah ka inaam hai.. Agar ye bonus jise mila wo Saahibe nisaab hai to is bonus ki raqam par bhi zakaat dega.*
 ★ Bank mein fix deposite ya current account ya saving account.. mein rakkhi hui raqam ka maalik.. *agar saahibe nisaab hai to us raqam par bhi zakaat deni hogi.*
 ★ Agar saahibe nisaab  BISI ( comety.. chitthi.. B.C... VC..alag alag jaga alag alag naamon se chalti hai ) mein member hai aur agar us ka number khul chuka hai to..
      Jo raqam us ne us comety mein ya chitthi mein bhar chuka hai utni raqam par zakaat dega.. baaqi raqam us par qarz hai.. Aur..
      *Agar is ka number khulna baaqi hai to bhi jitni raqam wahan jama karwa chuka hai utni raqam ki zakaat deni hogi.*

*FATAWA AMJADIYA*
*FATAWA RAZWIYAH*
*FATAWA FAQIHE MILLAT*
*FATAWA AHLESUNNAT*
*JADIID MASAAIL*
*FAYZAANE ZAKAAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *KHAAS NOTE..*
      Oopar batayi hui raqam ki jitni bhi qismein hai jin par zakaat dene ko kaha gaya.. us mein qabza shart hai.
      *Agar raqam apne qabze mein nahi to us par abhi zakaat ada karna waajib nahi.. Lekin jab ye raqam qabze mein aayegi.. us waqt jitne saal ki baaqi hai tamaam saalon ki zakaat aik sath deni hogi..*
      Isliye Ulma farmate hai k aasaani isi mein hai k jitni bhi raqam kahin bhi jama ho rahi ho.. *uski zakaat har saal ada kar dii jaaye.*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO
**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     *QARZ KI QISMEIN OR MASAAIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣1⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Koi saahibe nisaab hai aur saal us ka kal poora ho chuka aur aaj wo itna maqrooz ( dewedaar ) ho gaya k khud saahibe nisaab na raha..
      *Tab bhi wo zakaat us k paas jitna maal kal tha us ki wo zakaat dega ( deni hogi )..* k ye qarz naye saal mein huwa..
      *Agar saahibe nisaab saal poora hone se pehle itna maqrooz ho jaye k khud sahibe nisaab na rahe to ab us par zakaat nahi.. k wo khud faqiir ho gaya.*
       { ■ Isiliye Ulama farmate hai k.. *Har saahibe nisaab ko apne zakaat nikaalne k saal ka aakhri din aur waqt malum hona chahiye..*
      Agar yaad nahi to naye sire se apne saal ka aakhri din aur us din k saal khatm hone ka waqt tay ( nakki ) kar lena chahiye..
      *Taa k ayse haalaat k peshe nazar " Qarz ( dewa ) ya Aawak ( income ) " ko guzre saal mein ginein yaa k naye saal mein ginein aaasaani se jis taraf us "Qarz ya Aawak" ki jaga hai use wahan joda jaa sake. }*
 ★ Shohar chahe jitna bhi qarzdaar ho agar bivi k paas itna maal.. cash ya zewar ( apne ghar ka diya huwa ya shohar ka diya huw ya jahez ka ) hai k *zakaat waajib hone k sharaait paaye jaate hain.. To bivi par zakaat waajib hai.*
 ★ Hamne kisi ko udhaar paisa diya hai aur wo.. k jis ko udhaar diya tha laapata ho gaya.. Ya us ne is baat se hi inkaar kar diya k wo hamara maqrooz hai.. Aur hamare paas gawah bhi nahi..
      *Algarz ye k udhaar diya huwa paisa waapas aane ki koi ummiid nahi.. To ab us udhaar dii hui raqam ki zakaat ham par waajib nahi.*
      Fir ittifaaq se kuchh saal k baad wo raqam qarzdaar ne ham ko waapas kar di.. To ab guzre huwe saalon ki zakaat ham par farz nahi.

*DURRE MUKHTAAR*
*FATAWA RAZWIYAH*
*RADDUL MOHTAAR*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ZAKAAT K HAQDAAR KON KON OR* 
 *ZAKAAT KIS KISKO DENI CHAAIYE*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣2⃣ ๐Ÿ’ฐ

  ★ Zakaat k Haqdaar ye log hai..
  ■  Faqiir..
  ■  Miskiin..
  ■  Aamil..
  ■  Riqaab..
  ■  Ghaarim..
  ■  Fii sabilillah..
  ■  Ibne sabiil..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*HAQDAARON KI TARIF ( defination )*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *FAQIIR..* Matlab.. Wo k jis k paas kuchh na kuchh ho.. Magar itna na ho k nisaab ko pohonch jaye ( Matlab.. Zururiyate zindagi k alaawa 52.5 tola chaandi kharidne jitni maaliyat ki haysiyat ya itna cash ho k jisse wo Saahibe nisaab ho jaaye ) *us ko Shariyat ki istilah mein Faqiir kehte hai..* Aur..
      Faqiir ko k jis k paas aik din ka khaana aur pehenne k liye ( kapde ) maujood hai.. Baghair zarurat aur majboori.. Sawaal ( mangna ) karne ki ijaazat nahi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *MISKIIN..* Matlab.. Wo k jis k paas kuchh na ho.. Yahan tak k Khaane aur Badan chhupaane k liye ( kapde ka ) bhi mohtaaj ho.. K logon se sawaal ( bhiik maangna ) karna pade.. Aur *ayse ( miskiin ) logon k liye sawaal karna halaal hai.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *AAMIL..* Matlab.. Wo hai k jis ko Baadshahe Islaam ne zakaat wasool karne k liye muqarrar kiya ho.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *RIQAAB..* Matlab.. aysa ghulaam jise us k aaqa ne ye kaha ho k itni ( jo bhi nakki hui ) raqam muje tum doge to aazaad ho. ( ab is dor mein ye nai hai ) 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *GHAARIM..* Matlab.. Aysa qarazdaar k jo logon ka udhaar chukaaye to khud Faqiir ho jaaye.. Chaahe us ka bhi logon se  lena ho magar wasool karne ki taaqat na ho.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *FII SABILILLAH..* Matlab.. Raahe khuda mein kharch karna.. jayse..
 ★ Koi mohtaaj hai.. jihaad karna chahta hai.. Magar raaste ka kharch nahi.. Chaahe kamaane ki taaqat rakhta ho..
 ★ Koi Hajj ko jaana chahta hai magar raaste ka kharch nahi.. Lekin ayse ko sawaal karne ki ijazat nahi..
 ★ Koi taalibe ilm hai.. padhne ka shokh hai.. Magar ikhraajaat ki raqam nahi.. Ayse ko sawaal karne ki bhi ijazat hai..
      *In saare logon ko zakaat de sakte hai.. Lekin Maalik bana dena zururi hai.. Maalik na banaya to zakaat ada na hogi.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ *IBNE SABIIL..* Matlab.. Wo musaafir jis k paas safar ki haalat mein maal na raha.. Chaahe khud wo saahibe nisaab ho.. *Lekin use sirf itna lene ki ijazat hai k zarurat poori ho jaye aur ghar pohonch jaaye..*
      Aur agar us k talluqaat ki wajeh se qarz mil sakta hai to behtar hai k qarz le kar kaam nikaal le.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *KHAAS NOTE..*
       Ooper bataye gaye zakaat k haqdaaron mein jitne bhi hai.. *In sab k liye shart ye hai k ye Faqiir hon.. Saahib nisaab na ho..*
 ★ Ibne sabiil ka faqiir hona
     shart nahi.
 ★ Aamil ka bhi faqiir hona
     shart nahi.

*FATAWA HINDIYA*
*RADDUL MOHTAAR*
*BAHAARE SHARIYAT*
*DURRE MUKHTAAR*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ZAKAAT K HAQDAAR KO*
                       *KAYSE PEHCHHANEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣3⃣ ๐Ÿ’ฐ

๐Ÿ”ปHam jis ko zakaat de rahe hain ye haqdaar hai ya nahi.. Kayse pehchaanein..?
 ★ Is baat ki mukammal tehqiiq bohot mushkil hai.. Isliye jis ko de rahe ho us k baare mein gumaane ghaalib ( yaqiin ki manzil ) ho k ye haqdaar hai to us ko de dein..
      *Is k liye aik tariqa ye batate hai k Tehri karein..( Sochein.. Ghor karein.. Us ki Zaaheri haalat se ) agar dil mutmaiin ho jaaye to zakaat de dein.. ada ho jaayegi..* aur.. Gumaane ghaalib na ho to na dein.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปGumaane ghaalib k baad zakaat di thi k.. Haqdaar hi hai.. *Fir baad mein maloom huwa k Ghani tha.. Faqiir na tha.. to zakaat ada hui..?*
 ★ Agar Tehri kar k dii thi to adaa ho gayi *aur baghair Soche Samje dii thi to ada na hui.. Isliye zakaat Tehri kar k hi dein.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปKya madrase k safiron ko zakaat
      de sakte hain..?
 ★ Zakaat wasool karne k liye Aamil muqarrar karne ka ikhtiyaar Baadshahe islaam ko hai aur wo na ho To.. Sharai Qaazi ko..
      Aur wo na ho to sheher k sab se bade Aalim ko.. K Jis k paas log apne diini muamlaat k liye rehnumaayi k liye aate hon ayse Aalim ko ikhtiyaar hai.. *Agar safiir un k muqarrar kiye huwe hon to ye Safiir AAMIL hone k qaayem maqaam hain.. In ko zakaat de sakte hain.*

*FATAWA AMJADIYA*
*FATAWA HINDIYA*
*FATAWA FAQIHE MILLA*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*KIN LOGON KO ZAKAT NI DE SAKTE*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣4⃣ ๐Ÿ’ฐ

๐Ÿ”ปKin musalmaano ko zakaat
      nai de sakte...?
 ★ *Banu Haashim.. chaahe dene waala khud Siyed ho ya ghaire Siyed ho.. Siyed ko zakaat nai de sakte.*
{ ■ BANU HAASHIM... aur BANU ABDUL MUTTALIB ka matlab.. Ye 5 khaandaan hain..
 ★ Hazrate Ali.. ki awlaad.
 ★ Hazrate Abbaas.. ki awlaad.
 ★ Hazrate Jaafar.. ki awlaad.
 ★ Hazrate Aqiil.. ki awlaad.
 ★ Hazrate Haaris bin Abdul Muttalib.. ki awlaad.. Ridwaanullahi taala alayhim ajmaiin.. In ko zakaat dena Haraame Qatai hai.. K..
 ★ Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam..ne farmaya k..
     *Ye sadqaat ( zakaat ) logon k mail hain Na ye Muhammad ko halaal hai.. Na Muhammad ki aal ko.. Sallallahu alayhi wasallam.* }
 ★ Apni asal ko.. matlab.. k khud jin ki awlaad mese ho.. Jayse.. *Maa.. Baap.. Dada.. Dadi.. Nana.. Nani.. Waghaira.. ko nai de sakte.*
 ★ Apni furu ko.. matlab.. k jo khud hamaari awlaad mein se ho.. Jayse.. *Beta.. Beti.. Pota.. Poti.. Nawaasa.. Nawaasi.. Waghaira.. ko nai de sakte.*
 ★ Miya Bivi aik dusre ko zakaat
      nai de sakte.
 ★ Ghani ( jo faqiir na ho ) k naa baaligh bachchon ko nai de sakte.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *KIN RISHTE DAARON KO*
                   *ZAKAAT DE SAKTE HAIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ In rishte daaron ko zakaat de sakte hai.. Bl k sab se zyada haqdaar yehi rishte daar hain.. Agar ye zakaat k mustahiq hon..
  ■  Behen..
  ■  Bhai..
  ■  Chacha..
  ■  Foofi..
  ■  Khaala..
  ■  Maamoo..
  ■  Daamaad..
  ■  Bahu..
  ■  Sotela Baap..
  ■  Soteli Maa..
  ■  Shohar ki taraf se soteli awlaad.
  ■  Bivi ki taraf se soteli awlaad.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar shohar apni bivi ko talaaq de chuka ho aur bivi iddat guzaar chuki ho to de sakte hain.
 ★ Ghani ( maaldaar.. saahibe nisaab ) Maa k naa baaligh bachchon ko zakaat de sakte hain agar un ka Baap mar chuka ho.
 ★ Ghani ( maaldaar.. saahibe nisaab ) ki bivi ko zakaat de sakte hain agar wo saahibe nisaab na ho.
 ★ Ghani ( maaldaar.. saahibe nisaab ) k Baap ko de sakte hai agar wo Faqiir ho.
 ★ *Masjid k Imaam sahab aur Muazzin sahab agar Sharai Faqiir hon to in ko bhi zakaat de sakte hain.*
 ★ Aalime Diin agar zakaat k haqdaar hon to un ko bhi zakaat dii jaa sakti hai.. *Bl k aalim ko dena afzal hai.. Is tarah dein k jayse Badon ko koi tohfa.. gift nazar karte hain..*
      Fatawa Aalamgiiri mein hai k.. *Faqiir Aalim par sadqa karna Jaahil Faqiir par sadqa karne se afzal hai.*
 ★ Taalibe Ilm saahibe nisaab na ho to un ko bhi zakaat de sakte hain.

*DURRE MUKHTAAR*
*RADDUL MOHTAAR*
*FATAWA RAZWIYAH*
*FATAWA HINDIYA*
*FAYZAANE RANAZAAN*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *SIYEDON KO ZAKAAT KYUN NAHI*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣5⃣ ๐Ÿ’ฐ

▪Huzur.. sallallahu alayhi
      wasallam.. ne farmaya.. k..
      Ye sadqaat ( zakaat ) logon k mel ( mel kuchel ) hain.. *Na Ye Muhammad ko halaal hai.. aur Na Muhammed ki aal ko.. sallallahu alayhi wasallam..*
      Mufti Ahmed yaarkhaan.. alayhir-rehmah.. Is hadiis k khulaase mein likhte hain.. K.. Aaqa ki is hadiis ka mafhoom ye hai k..
      Mujhe aur meri awlaad ko zakaat lena isliye haraam hai k ye maal ka mel hai.. *Log hamare mel se sutre hon..Ham kisi ka mel kyun lein.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *SAADAATE KIRAAM KI* 
                         *KHIDMAT KA TARIQA*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Sab se pehli baat ye k maaldaaron ko chahiye k apne maal se tohfe.. Gift k tor par.. Is azmat waali nasl k shehzaadon ki khidmat.. apni Jaib.. Pocket se karein.. Aur us waqt ko yaad karein k jab in shehzaadon k NANA ( alayhis-salaam )  k siwa koi Madadgaar O Gham gusaar na hoga..
      *Aur fir.. Ye maal unhi ka to diya huwa hai.. Aur hamko bhi mar kar zamiin mein jaana hai.. Agar Un ki khushi k liye un ki Mubaarak O Paakizaa awlaad par kharch ho jaye to isse badh kar nasibe ki bulandi aur kya ho sakti hai..*
▪To chaahiye k zakaat k 2.5 % k siwa jo hamaare paas 97.5 % maal hai.. *Us maal mein se Saadaate kiraam ki Dil khol kar khidmat karein Aur in k NANA ( Aaqa.. alayhis-salaam ) ko raazi karein.. k Wo farmate hain.. k.. Allah deta hai aur mein baantta hun..*( mafhoom )..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Maa haashmi ho ya Siyedaani ho aur Baap haashmi na ho to awlaad haashmi nahi.. k.. *Nasab Baap se hai.. To ayse shaks ko zakaat de sakte hain.. Agar wo sharai faqiir ho.*

*MUSLIM SHARIF*
*MIR-ATUL-MANAAJIH*
*FATAWA AMJADIYA*
*BAHARE SHARIYAT*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*ZAKAT ADA-K SHARAAIT O MASAIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣6⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Zakaat ada hone k liye 
     2 shartein hai..
 ■ Niyat.. dete waqt hona..
 ■ Haqdaar ko maalik bana dena..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar zakaat mein wo maal diya jo pehle se alag kar rakkha tha to zakaat ada ho gai..
     *Aur agar alag kiya huwa nai hai to.. Fir dete waqt dil mein pakka iraada hona zururi hai..* Aysa pakka irada k.. koi poochhe to foran.. Bilaa taammul ( Soche Baghair ) bata do k.. Zakaat hai.
 ★ Saal bhar khairaat karne k baad.. Ab use zakaat mein nahi gin sakte.. ayse Zakaat ada na hogi.. *Kyun k kisi bhi faqiir ko dete waqt zakaat ki niyat karna shart ( zaruri ) hai..*
      Agar kuch maal pehle se zakaat ki niyat se alag kar k use faqiron ko dete rahe *to ab dete waqt niyat na ho tab bhi zakaat ada ho jayegi.*
 ★ Zakaat ki niyat se kuch maal alag kar diya.. aur maut ho gayi.. To ab Ye maal Waaras daaron mein taqsiim hoga.. zakaat mein nahi.
 ★ Zakaat lene wale ko jaanna *zururi nahi k ye maal zakaat ka hai.. Lekin dene wale ko niyate zakaat zururi hai.*
 ★ Qarz ( udhaar ) keh kar kisi ko zakaat dii to bhi zakaat ada ho gayi.. lekin jab wo.. k jis ko dii thi kuch waqt k baad waapas dene aaye to ab..
      *Dene wala use le nahi sakta chaahe wo khud mohtaaj O zarurat mand ho gaya ho.. Kyun k zakaat dene k baad waapas nai le sakte.*
 ★ Kisi ko qarz ( dewa ) maaf kiya aur zakaat ki niyat kar li to zakaat ada na hogi.
 ★ Kisi ki ijaazat k baghair us ka qarz zakaat se ada kiya to zakaat ada na hogi..
     *Behtar ye hai k us ko zakaat ki niyat se raqam de de.. Ab us ko ikhtiyaar hai k chaahe to qarz ada kare ya kahin aur kharch kare.*
 ★ Agar yatiim zakaat k haqdaar hon to un ko kapde banwa kar de sakte hain.. Un ko maalik bana dein.
 ★ *Kisi ko mithaai k dabbe mein raqam rakh kar zakaat ki niyat se dii.. Agar denewale ne faqiir ko mithaai aur raqam dono ka maalik kar diya aur lenewale ne us par qabza bhi kar liya to zakaat ada ho jayegi..*
      Chaahe faqiir ko ye malum na ho k dabbe mein raqam bhi hai.
 ★ Kisi ko mithaai k dabbe mein raqam rakh kar zakaat dene k baad us dabbe ko kuchh raqam de kar kharid liya to.. lenewale ko wo raqam jo dabbe mein hai wo lena haraam hai.. *Kyun k dabba bechne-wale ne sirf dabbe ka sauda kiya hai.. dabbe mein jo raqam hai us raqam ka sauda nahi kiya hai.*

*DURRE MUKHTAAR*
*FATAWA RAZWIYAH*
*RADDUL MOHTAAR*
*BUKHAARI SHARIF*
*FATAWA AMJADIYA*
*FATAWA FAYZUR RASUL*
*GHAMZUL UYUNUL BASAAIR*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   *ZAKAAT K MUKHTALIF MASAAIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣7⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Agar kisi ki shadi k moqe par kapde ya tohfe dene mein zakaat ki niyat karna chahe to.. *agar wo lenewala zakaat ka haqdaar hai to zakaat ada ho jayegi.*
 ★ Agar anaaj kharid kar gharibon mein taqsim kiya aur dete waqt unhein maalik kar diya to zakaat ada ho jaayegi.
 ★ Agar khaana paka kar haq-daaron mein taqsim kar diya aur maalik kar diya *to bazaar k rate k hisaab se pake huwe khaane ki qiimat gin kar jitni raqam banti hai utni zakaat ada ho jayegi..* Aur..
      *Agar maalik na kiya.. sirf baitha kar khila diya to zakaat ada na hogi..*
      khaana pakaane ka kharch zakaat mein shaamil nai hoga.
 ★ Agar shak ho k zakaat ada kii thi ya nahi.. *To aysi surat mein zakaat ada kare.( dein ).*
 ★ Agar be khabri mein zakaat kam ada kii to jitni dedi ada ho gayi.. *Baaqi ka hisaab laga kar ada kare aur der se dene ki wajeh se gunahgaar huwa us ki tauba kare.*
 ★ Kisi ko udhaar paisa diya hai.. Ab wo waapas nahi de raha hai.. *Agar wo zakaat ka haqdaar hai.. To use zakaat de kar us se waapas maang lein to zakaat ada ho jaayegi..*
      Agar ayse waqt wo dene ka inkaar kare to zabardasti chhiin lene ki ya sakhti se wasool karne ki ijaazat hai.
 ★ Kisi ko udhaar raqam dii hai ( 25000 ) aur waapas nahi lota raha hai.. to..
      *Kisi zakaat k haqdaar ko udhaar denewala ye keh de k.. mera us aadmi ( maqrooz ) se lena ( 25000 ) nikalta hai.. tum usse lelo wo raqam zakaat k tor par rakh lena..*
      *Aur jisse lena hai us ko khabar kar dii jaaye k wo raqam ka zimma mene falane shaksh ko sonp diya hai to wo raqam un ko de dena..*
      *Ab jab dusre shakhsh ne jo zakaat ka haqdaar hai us raqam par qabza kar liya to zakaat ada ho jaayegi.*

*FATAWA AMJADIYA*
*FATAWA RAZWIYAH*
*RADDUL MUKHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ    ZAKAAT  
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *ADVANCE MEIN ZAKAAT DENE KA* 
 *TARIQA (saal poora hone se pehle)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣8⃣ ๐Ÿ’ฐ

 ★ Agar koi apni zakaat advance ( saal guzarne se pehle.. ramzaan se pehle ) dena chahta ho to..
      Apne paas maujood...
  ■  Sona.................■ Chaandi...
  ■  Rokde..Rupye..■  Maale tijaarat..
      *Ka andaze se hisaab nikale aur jo bhi total.. kul raqam banti ho us ka 2.5 % zakaat ki niyat se alag kar lein.. Fir saal jab khatam ho to aakhir mein isi tarah hisaab lagaye.. Jo bhi kul raqam ginne k baad jitni kam nikli ho wo nikal kar ada kar dein.*
 ★ Agar advance dene mein zyada zakaat chali gayi to *zyada wali zakaat ko aanewale dusre saal mein gin ( adjust ) sakte hai.*
 ★ Agar advance zakaat nikaali aur saal k aakhir mein saahibe nisaab na raha to.. Jo kuch bhi diya wo nafl sadqa ho gaya.
 ★ *Jis par zakaat waajib ho usi k maal se zakaat dena zururi nahi.. Koi dusra bhi us ki ijaazat se uski zakaat de sakta hai.*
 ★ Agar kisi ne dusre ki ijaazat k baghair us ki zakaat ada ki.. *Ab jab dusre tak khabar pohnchi to us ne jaaiz bhi rakkha ( matlab koi ateraz na kiya ) tab bhi zakaat ada na hogi.* 
 ★ Agar zakaat dete waqt koi shart laga di.. Jayse yahan rahoge to deta hun warna nai.. Ya ye kaha k is maal ko masjid mein hi lagana to aysi shart ki paabandi zururi nahi..
      *Zakaat ada ho jaayegi kyun k zakaat aik sadqa hai aur sadqa faasid shart se faasid nahi hota.*

*FATAWA HINDIYA*
*FATAWA RAZVIYAH*
*RADDUL MOHTAAR*
*DURRE MUKHTAAR*
*FAYZAANE ZAKAAT*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

  QAADRI  FAIZ   - FITRA - 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *KUCHH FITRE K BAARE MEIN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 3⃣9⃣ ๐Ÿ’ต

▪Mufti Khalil khan barkaati.. alayhir rehmah.. farmate hain..
      *Sadqae fitar ramazaan k rozon ka sadqa hai.. k is k zariye hamaare rozon ki ( ghaltiyon ) se tahaarat.. paaki ho jaaye..* Aur..
      *Saath hi gharibon ki eid ka saamaan bhi ho jaaye.. Aur rozon k zariye milne waali naematon ka shukr bhi ada ho jaaye.*
 ★ Huzur.. sallallahu alayhi wasallam.. ne farmaya k.. Mafhume hadiis.. *Fitra ada karne mein 3 fazilatein hai..*
★ Rozeh ka qubul hona..
★ Sakraat mein aasaani.
★ Azaabe qabar se najaat.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *Fitra dena..Ye kya hai..?*
 ★ Sadqae fitar dena waajib hai.
 ★ Sadqae fitar Us musalmaan par waajib hai *jo khud maalike nisaab ho aur us ka nisaab haajate asaliya se faarigh ho.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *Fitra waajib hone ka waqt*
       *konsa hai..?*
 ★ Eid k din subha-saadiq hote hi ( sehri ka waqt khatm hote hi ) sadqae fitar waajib ho jaata hai.. Isliye *agar koi subha hone se pehle hi mar gaya.. Ya Faqiir ho gaya.. To us par fitra dena waajib nahi.*
      *Agar subha saadeq k baad bachcha payda huwa.. Ya faqiir tha ab ghani ho gaya to fitra waajib hai.. is mein saal guzarna shart nahi.*
 ★ Sadqae fitar dene mein bhi
      2 shartein hai..
 ★ Niyat karna..
 ★ Musalman faqiir ko maal ka maalik bana dena.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar Shohar ne Biwi Ya Baaligh awlaad ki Ijaazat k Baghair un ka Fitra ada kiya to fitra ada ho jayega.
 ★ Sadqae fitar waajib hai.. Is ka waqt umar bhar hai.. is ka matlab hai k.. Agar ada na kiya ho to ab kar de..
      *Ada na karne se khatm na hoga.. aur na ab dene se qaza hoga bl k ada hi hoga.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *Sadqae fitar kin chiizon*
       *se ada hota hai..?*
 ★ Gandum ( genhun.. ghaun.. wheat ) Ya us ka aata ( 2 kilo 50 gram ) taqriban..
 ★ Khajoor.. ( 4 kilo100 gram ) taqriban..
 ★ Munaqqa.. ( sukhi draax ) ( 4 kilo 100 gram ) taqriban..
 ★ Jaw.. Ya.. Us ka aata..( 4 kilo 100 gram ).. taqriban..
      *In mein se koi bhi aik chiiz Ya utni raqam de dein.. Ye aik sadqae fitar ki miqdaar ( wazan ) hai.. Matlab k Ye Aik aadmi ka Fitra hai.*
 ★ Oopar batayi hui fitre ki chiizon k badle *in chiizon k wazan jitni qiimat ( rokde.. cash ) bhi de sakte hain.. Fitra ada ho jaayega.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *Fitra ada karne k Waqt*
       *konsa hai.?*
 ★ Behtar ye hai k Eid ki subha saadiq hone k baad Aur eid gaah jaane se pehle ada kar dein.
 ★ Eidul fitar se pehle fitra ada karein to jaaiz hai.
 ★ Fitra ramazaan se pehle bhi ada kar diya to jaaiz hai.
 ★ AalaHazrat.. alayhir-rehmah.. Farmate hain.. k Fitra eidul fitar se pehle bhi de sakte hai aur baad mein bhi de sakte hai..
      *Lekin baad mein dene mein der nai honi chahiye.. Bl k behtar ye hai k namaaze eid se pehle de dein..* k Mafhume hadiis hai k..
 ★ *Saahibe nisaab k rozeh muallaq ( latke ) rehte hain jab tak k Fitra ada na karega.*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ *Fitra kisko diya jaaye..?*
 ★ Jin ko zakaat de sakte hain Un ko fitra bhi de sakte hain.. aur jin ko zakaat nai de sakte un ko fitra bhi nai de sakte hai.
 ★ Behtar ye hai k aik hi miskiin ya faqiir ko fitra diya jaaye.. Lekin agar aik fitra kayin miskiin ko diya to bhi jaaiz hai.. Aur..
      Aik hi miskiin ko kayin logon ka Fitra bhi diya jaa sakta hai..ye bhi jaaiz hai.

*HAMARA ISLAAM*
*DURRE MUKHTAAR*
*FATAWA HINDIYA*
*RADDUL MOHTAAR*
*FATAWA RAZVIYAH*
*BAHAARE SHARIYAT*
*FAYZAANE ZAKAAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*EID KI NAMAZ SE PEHLE KI SUNNAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Rasoollallah.. Sallallahu Alaihi Wasallam.. Eid ul Fitar ke din us waqt tak ( namaz ke liye ) nahi nikaltey jab tak kuchh khajurein khaa na lete.. aur..
      *Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq (...1,3,5,7…) khajurein khaaya karte the.*

*BUKHARI SHARIF*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                *EID K DIN KA AMAL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Huzoor.. Sallallahu Alaihi Wasallam.. Ne Irshad Farmaya..K.. Jis Ne Eid K Din 300 baar..
   *SUBHANALLAHI WABI HAMDIHI*
      Padhkar is ka Sawaab Fot Shuda ( guzre huwe ) Muslmano Ko Bakhsha To..
      *Har Qabr Me 1000 Anwaar Dakhil Honge Aur.. Jab Ye Padhne Wala Khud inteqal Karega ( marega ) To Us ki Qabr Mein bhi Allah Ta'ala 1000 Anwaar Dakhil Karega.*

*MUKASHIFATUL QULOOB*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

 QAADRI  FAIZ  -SPECIAL- 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  *ROZEH K JADIID ( naye ) MASAAIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
® 4⃣0⃣ ๐Ÿ”Ž

๐Ÿ”ปRozeh mein injection lagwana
      kaysa hai..?
 ★ Rozeh mein injection lagwaane se rozah nahi tootta.. lagwa sakte hai.
๐Ÿ”ปRozeh mein Glucose ya kisi bhi tarah ka bottel chadhwana kaysa hai ?
 ★ Rozeh mein Glucose ka ya koi bhi *bottel nas mein ya gosht mein chadhwaane se rozah nahi toot-ta.*
๐Ÿ”ปRozeh mein kisi bhi tarah k Vicks.. Jhandu.. Iodex ya kisi bhi tarah k Balm ( baam ) istemaal karna kaysa hai..?
 ★ Rozeh ki haalat mein kisi bhi tarah k *Balm ( baam ) badan par kahin bhi istemaal kar sakte hain..*
      Sirf is baat ka khayal rakkhein k *kisi baam ko naak k qarib le jaa kar sunghne se bachein k isse rozah faasid ho jaayega ( toot jayega )..*
      Isi tarah kisi bhi tarah k *inhelar ( band naak ko kholne wala naak k paas rakh kar sunghne wala baam ya liquid ) se bhi agar sungha to yahi hukm hai.( toot jaayega ).*
๐Ÿ”ปRozeh mein aankh mein dawaa
      daalna kaysa hai..?
 ★ Rozeh mein aankh mein dawaai
      daal sakte hai.
๐Ÿ”ปRozeh mein kaan mein dawaa
      dalna kaysa hai..?
 ★ Rozeh mein *kaan mein dawaa nai daal sakte.. Rozah faasid ho jayega ( toot jayega ).*
๐Ÿ”ปRozeh mein blood ( khoon ) test
      k liye dena kaysa hai..?
 ★ Rozeh mein Blood ( khoon ) test karwane k liye *khoon dene se rozah nahi tootta.. Lekin agar wuzu ho to wuzu toot jaayega.*
๐Ÿ”ปRozeh mein X ray machine se foto khinchwana Aur Sono graphy karwana kaysa hai..?
 ★ Rozeh mein X ray machine par *foto khinchwane se rozah nahi tootta.. Aur Rozeh mein Sono graphy karwane se bhi rozah nahi tootta.*

*FATAWAE FAYZUR RASUL*
*ULAMAAE AHLE SUNNAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
๐Ÿ”ปAik zaabta yaad rakkhein.. k *koi khaane piine ki chiiz jab tak pait mein na jaaye rozeh par koi asar nahi padega.*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-***

AL WADAAO AL WADAA AYE MAAHE RAMZAAN AL WADAA*

Aakhri roze hein dil ghamnak muztra jaan hai
Hasratan wa hasratan ab chal diya ramzan hai

Aashikane maahe ramzan ro rahe hein foot kar
Dil bada be chain hai afsurda rooho jaan hai

Dastane gham sunayein kis ko jaa kar aah ! ham
Ya Rasulallah ! dekho chal diya ramzan hai

Wakte iftaro saher ki ronakein hongi kahan
Chand din ke baad ye sara sama sumsam hai

Haaye sad afsos ramzan ki na ham ne kadr ki
Be sabab hi bakhsh de ya Rab ! ke tu rehman hai

Wasita ramzan ka ya Rab ! tu hame bakhsh de
Nekiyon ka apne palle kuchh nahin saman hai

Kaash aate saal hon Attar ko ramzan naseeb
Ya nabi ! meethe madine mein bada arman hai

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-***

AL WADAA AL WADAA MAAHE RAMZAAN.. QALBE AASHIQUE HUWA PAARA PAARAA..*

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, 
Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**

.....๐Ÿ”ป❤   DHYAN  DEIN  ❤๐Ÿ”ป.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Rozeh k masaail..
 ★ Kaffaare masaail..
 ★ Rozah tutne k masaail..
 ★ Rozah na tutne k masaail..
 ★ Rozeh k makruhaat..
 ★ Rozeh k jadiid masaail..
 ★ Taravih k masaail..
 ★ Fitre k masaail..
 ★ In sare masaail k kul 40 
      messages hain.

▪Agr aap members mein se koi in tamaam mesages ko hasil karna chahta ho mere is number se contacts kar k le lein.
▪92279 46348.. YAA TO.. ๐Ÿ‘‡๐Ÿผ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QAADRI FAIZ - ROZAH -  TARAAWIH - ZAKAAT AUR FITRA - IN SAB TOPIC
         k liye is link ko open karein

http://sik7405457791.blogspot.in/2016/05/qadri-faiz-ramzaan.html?m=1
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO

**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**-**