JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

🌈 QAADRI FAIZ 🌈- NAMAAZ -🌈


 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
          NAMAAZ KI AHEMIYAT - A
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣ 🌹

 ★ Mafhume Hadis
      Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne farmaya..K..Qayaamt k din bande k aamaal mein sab se pehle NAMAAZ ka sawal hoga..agar wo sahi hui to us ne kamyabi paayi or..Agar us mein kami hui to ruswa huwa..or us ne NUQSAAN uthaya.
 ★ Mafhume Hadis
      Aaqa..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne farmaya..K.Jo bhi namaaz ki hifaazat kare us k liye namaaz qayaamat k din NOOR..DALIIL or NAJAAT..hogi or..Jo us ki hifaazat na kare us k liye qayamat k din na NOOR hoga or na DALIIL or na NAJAAT..or wo shakhs qayamat k din..
 ★ FIRON..............★ QAARUN...
 ★ HAMAAN..or....★ UBAI BIN KHALF..k sath hoga..( ye sab dusman e khuda the )..
 ★ Imam MUHAMMED zahbi..alayhir-rahman..naqal karte hai..k baaz Ulma e kiraam farmate hai k..NAMAAZ chhodne-wale ko in  4 k sath is liye uthaya jayega k aam tor par log..
 ★ DAULAT..........★ HUKUMAT...
 ★ WAZAARAT.....★ BUSINESS..ki wajah se namaaz ko chhodte hai..
 ★ Jo hukumat k kaam ki wajah se namaaz chhodega us ka HASHR firon k saath hoga..
 ★ Jo daulat ki wajah se namaaz chhodega us ka HASHR qaarun k sath hoga..
 ★ Jo wazaarat k sabab se chhodega uska hashr hamaan k sath hoga..
 ★ Or agar business..karobar ki wajah se namaaz chhodega to us ko MAKKA E MUKARRAMAH k bohot bade taajir ubai ibne khalf k sath qayamat k din uthaya jayega.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Hiras ( dusron se jalne wala ) karne wala hamesha taklif mein rehta hai.(1)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    NAMAAZ K MAK-RUH AW-QAAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 7⃣ 🌻

 ★ MAKRUH waqton mein namaaz nahi hoti..Wo 3 makruh awqaat ye hai..
       ● Magrib ki azaan se 20 minit
          pehle se azaan shuru hone
          tak ka waqt..
       ● Tulu aaftaab shuru hone se 20
           minit baad tak ka waqt..Or..
       ● Nisfun-nahaar..matlab..Dahwa
           E Kubra se zawaal e aaftab tak.
 ★ Aaj kal jantri mein is waqt ko..Zawaal Shuru..Zawaal Khatam..is tarah likha hota hai..is k biich ka waqt jo hai..is waqt mein koi namaaz nahi padh sakte..
 ★ In tino waqton mein koi bhi namaaz JAAIZ nahi..FARZ..WAAJIB..NAFL..QAZA..koi namaaz JAAIZ nahi.
 ★ Agar isi din ki asar ki namaaz nahi padhi thi to makruh waqt shuru ho gaya to bhi Ye namaaz padh lein..Ho jaayegi lekin itni der karna Haraam hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Sharafat..aqal or adab se pata chalti hai..maaldaari or nasab ( khandaan ) se nahi.(7)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
NAMAZ SAHI NA PADHE TO ANJAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣ 🌹

★ IMAAM BUKHAARI..alayhir-rahmaan..farmate hai k..Hazrte HUZEFA..radiyallahu anhu..ne aik shakhs ko dekha k namaaz padte huwe Ruku..Sajde pure ada nahi karta..To aap ne us se pucha k..tum kab se is tarah namaaz padhte ho..?.. Us ne kaha 40 saal se..sun kar kaha..K..Tum ne 40 saal se namaaz padhi hi nahi or agar isi haalat mein tum ko maut aa gayi to to Diine Muhammadi..ala sahiba hassalatu wassalaam..par nahi maroge.
 ★ Mafhume Hadiis
      Aaqa..alayhis-salatu was-salaam..ne farmaya..K..Logon mein bad-tarin chor Wo hai jo apni namaaz me chori kare..arz ki gayi..Ya Rasulallah namaaz ka chor kon hai..To farmaya..jo namaaz mein Ruku or Sajde puri tarah ada na kare.
 ★ Mufti Ahmed yaar khan naiemi..alayhir-rahman..is hadis k khulase mein farmate hai..K..
      Maalum huwa k maal k chor se NAMAAZ KA CHOR bad-tar hai..kyun k maal ka chor agar saza pata hai to kuch nafaa bhi haasil karta hai..magar namaaz ka chor saza bhi puri payega or fayda bhi kuch nahi.
 ★ IBRAT..Ye halat to un ki hai jo namaaz ko achchi tarah se nahi padhte..ab sochein k sahi na padhe to ye anjaam..To jo namaaz padhte hi nahi un ka kya hoga.
▪Allah ham sab k liye aasaani farmaye or 5 waqton ki namaazon ko un k waqton par sahi tarah se ada karne ki tofiq ata farmaye..AAMIN

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har naa-daan ( be-waqoof ) fitne mein padaa rehta hai Or har aqal-mand gham-giin rehta hai.(3)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
          NAMAAZ KI AHEMIYAT...B
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣ 🌹

 ★ Jab siyeduna UMAR Faaruqe aazam..radiyallahu anhu..par qaatilaana hamla huwa to arz ki gayi..K..Aye amirul muminin Namaaz ka waqt hai..to farmaya..Ji haan suniye jo shakhs namaaz ko barbad karta hai us ka ISLAAM mein koi hissa nahi..Or fir aap ne shadiid ZAKHMI haalat mein bhi namaaz ada ki..SUBHANALLAH.
 ★ Mafhume Hadis   
      Aaqa..sallallahu alayhi wasallam..ne farmaya..K..Jo bhi achchi tarah wuzu kare fir namaaz k liye khada ho us k Ruku..Sujud..Qirat..ko mukammal kare to namaaz kehti hai K..
 ★ Allah teri hifaazat kare jis tarah tune meri hifaazat kari..fir..us namaaz ko aasmaan ki taraf le jaaya jaata hai or us k liye Chamak or Noor hota hai to us k liye aasmaan k darwaze khole jate hai yahan tak k use Allah ki baargah mein pesh kiya jaata hai or wo namaaz us namaazi ki SHFAA-AT karti hai..Or..
 ★ Agar us k Ruku..Sujud..Qirat..mukammal na kare to namaaz kehti hai..K..Allah tuje chhode jis tarah tune muje barbad kiya..fir..us namaaz ko is tarah aasmaan par le jaaya jata hai k us par andhera-pan chhaya hota hai or us par aasmaan k darwaze band kar diye jate hain fir..us ko puraane kapde ki tarah lapet kar us namaazi k munh par maar diya jata hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har suleh pasand ( ladaai jhagdon se duur rehne wala ) insaan musibaton se bacha rehta hai.(2)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
             NAMAAZ KI SHARTEIN 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 6⃣ 🌻

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        PEHLI SHART  -  TAHAARAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Namaazi ka..Badan..Kapde..Jagah..jahan namaaz padh raha hai.. In sab chiizon ka har tarah ki naapaaki se paak hona zaruri..Ise Tahaarat kehte hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      DUSRI SHART- SATRE AWRAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ MARD k liye naaf ( pet par naal ka hole..suraakh jaysa nishan ) k niiche se le kar ghutne k saath..Ye badan ka hissa chhupa huwa hona zaruri hai.
 ★ AWRAT...k liye badan k 5 hisse..Munh ki tikli..Dono hatheliyan..Dono pairon k talwe..In tamaam chiizon ko chhod kar ( alaawa..siwa ) saara jisam CHHUPAANA laazim hai.
 ★ Ye jo hissa chhupaane ka hukm hai agar namaaz mein nazar aaye..Yaa Itna Patla..Baarik kapda pehna ho to namaaz na hogi.
 ★ Aysa kapda jisse RAAN ya sitar ka koi hissa chamkta ho..Aysa kapda awrat ko pehanna HARAAM hai..
 ★ Aysa mota..jaada..kapda jisse badan ka rang na chamke..Magar badan se aysa chipka huwa ho k dekhne se body ka shape zaahir hota ho..
      Ayse kapde se namaaz ho jayegi..Magar body k us hisse ki taraf dusron ko dekhna jaaiz nahi..Ayse kapde logon k samne mardon ko bhi  pehenna mana hai or orton k liye or bhi zyada sakht mana hai.
▪NOTE...Aaj kal jeans Pant or Jarsi pehnne wale is taraf tawajje dein..kabhi aysa hota hai k fit..tight kapdon ki wajah se sajde mein un ka sitar khul jata hai..or be pardgi hoti hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    TISRI SHRT - ISTIQBAALE QIBLA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Yani namaaz me qibla matlab
      KAABE ki taraf rukh karna..
 ★ Namaazi ne baghair sharai majburi k jaan buj kar qible se siina pher diya chhahe thodi der k liye..To bhi namaaz FAASID ho gayi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
           CHOTHI SHART  -  WAQT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Jo namaaz padhni hai us ka waqt hona zaruri hai..Yun samjo k kisi ko aaj ki asar ki namaaz padhni hai to zaruri hai k asar ka waqt shuru ho chuka ho..Agar asar ka waqt shuru hone se pehle hi padh li to namaaz na hogi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        PANCHVI SHART   -  NIYYAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Niyyat DIL k pakke iraade ko
      kehte hain..
 ★ Zabaan se niyyat karna zaruri
      nahi..kar lein to behtar hai..
 ★ Niyyat me zabaan se zyada dil ka ea-te-baar hai..Yun samjo k kisi ko zohor ki farz padhni hai iraada bhi zohor ka hai lekin zabaan se asar nikal gaya...To bhi namaaz zohor ki hi hogi..Chaahe zabaan se kuch bhi nikle.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  CHHATHI   -  TAKBIRE TAHRIMAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Namaaz shuru karne k liye ALLAHU AKBAR..kehna..ise Takbiire Tehrimah kehte hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Adab beh-tarin kamaa-laat mein se hai..Or..khairaat karna behtarin ibaadaton mein se hai.(6)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
19/09/16, 12:15 AM - QADRI FAIZ 2: 🌈 QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         NAMAAZ KA SAHI  TARIQA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣ 🌹

 ★ Sab se pehle wuzu kare..fir qible ki taraf rukh kar k is tarah khade ho k dono pairon k bIich mein 4 ungal ka gap rakhe..
 ★ Dono haath kaano tak le jayein or kaan ki lo ko lagayein or hatheliyan qible ki taraf hon..nazar sajde ki jagah ho..Ab jo namaaz padhni hai us ki niyyat kare..matlab Dil mein us ka pakka iraada kare..Zaban se bhi bol le to behtar hai..
 ★ Ab takbire TEHRIMA..ALLAHU AKBAR..kehte huwe haath niiche laaye or naaf ( dooti ) k niche is tarah baandhe k..Siidhe haath ki hatheli ulte haath k kande par or biich ki 3 ungliyan kalaai par or angutha or chhoti ungli se kalai pakad lein..
 ★ Fir SANA padhe..fir ta-au-wuz ( A-uu-zu )..fir tasmiya..( Bismillah )..fir..Sure Fateha..padhe..fir AAMIN kahe..fir 3 chhoti aayaat ya 1 badi aayat milaye..
 ★ Fir ALLAHU AKBAR kehte huwe RUKU mein jaayein..Is tarah k hatheliyan Ghut-no par or Ungliyan fayli hui..Piith bichii hui..Sar piith ki siidh mein..na uncha na nicha..or Nazar Qad-mon par ho..kam az kam 3 baar Ruku ki tasbih padhe..
 ★ Fir SAMI ALLA-HU-LIMAN-HAMI-DAH..kehte huwe ruku se khadaa ho jaaye.
 ★ Fir ALLA-HUMMA- RABBANA WA LAKAL HAMD..padhe fir ALLAHU AKBAR..kehte huwe is tarah sajde mein jaaye k..Pehle Guu-than Zamin par rakhe..fir Dono Haath..fir haathon k biich mein is tarah Sar rakkhe k..Pehle Naak fir Peshaani Zamin par rakhe..Peshaani jam jaye or Naak ki sirf Nok nahi bl k Naram Haddi dab kar Sakht Haddi zamin par Lag jaaye..
 ★ Ab 3 baar sajde ki tasbih padhe..sajde mein pairon ki dason ungliyon k pet zamin se lage rahein..( pairon ki ungliyon ka wo hissa k jo khade hone par zamiin se laga rehta hai use pet kehte hain )
 ★ Fir ALLAHU AKBAR kehte huwe sajde se sar utha kar siidha qadam khada kar k ulte qadam ko bichhaa kar us par beth jayein..dono haath raanon par ghut-no k paas  rakh dein.
 ★ Fir ALLAHU AKBAR kehte huwe dusre sajde mein chale jaaye..fir 3 baar sajde ki tasbih padhein..
      Fir ALLAHU AKBAR kehte huwe khade ho kar pehle ki tarah haath baandh lein..yahan se dusri rakat shuru hui..
 ★ Is rakat ko bhi pahle ki tarah mukam-mal ( puri..cimplete ) kare..
 ★ Ab dusre sajde se uth kar siidha qadam khada kar k ulte qadam ko bichhaa kar beth jaayein.
 ★ Fir TASHAHUD padhe..matlb..ATTAHIYAAT..padhe or jab ASHSHDU-ALLA ILAHA IL-LAL-LAH..par pohnche to..jab LA par pohchein to siidhe haath ki biich ki ungli or anguthe ka halqa ( round ) banaye..or chhoti ungli or us k baazu ki ungli ko hatheli se milaa dein..or LA kehte huwe kalme ki ungli uthaaein or fir aage padhte huwe ILLA par gira kar ungliyan siidhi kar lein..
 ★ Fir agar 2 se zyada rakatein padhni ho to ABDUHU WA RASULUH..tak padhkar..ALLAHU AKBAR kehte huwe tisri rakaat k liye khade ho jaye..Or..
      Agar 2 rakat ki niyyat baandhi thi to..ABDUHU WA RASULUH...tak padh kar..
 ★ Ab DURUDE IBRAAHIM padhe..fir dua e MASURAH padhe..
 ★ Fir NAMAAZ khatm karne k liye..siidhe kandhe ki taraf munh kar k..ASSALAA-MU-ALAY-KUM-WA RAH-MA-TULLAH..padhe..Fir ulte kandhe ki taraf munh kar k isi tarah padhe..Ye 2 rakat mukammal hui.
▪Ye mardon ki namaaz ka tariqa hai..Orton ( ladies )  ki namaaz mein kuch baaton ka farq hai..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     ORTON KI NAMAAZ MEIN FARQ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Maa..behnein takbire tehrimah ke waqt haath kandhon tak uthaein or chaadar se bahar na nikaalein..
 ★ Jab khadi hon to naaf k niiche nahi bl k siine par ulti hatheli chhaati k niche rakh kar us k ooper siidhi hatheli rakkhein..
 ★ Ruku mein sirf itna jhuke k haath ghutne tak pohonch jaye..Zor na dein..Mardon ki tarah piith bhi siidhi na karein..
 ★ Sajda simat kar karein..fayl kar na karein..
 ★ Jab bethe to pairon k panje siidhi taraf nikaal dein or ulte thaape par bethe..Baaqi tamaam ar-kaan oopar bataye huwe tariqe se hi ada karein.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       IS PAR KHAAS DHYAAN DEIN 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Mardon or orton k diye huwe is tariqe mein..
 ★ Kuch baatein..FARZ..hain k jis ko ada kiye baghair NAMAAZ hogi hi nahi..
 ★ Kuch WAAJIB..hain k jis ka jaanbuj kar chhodna gunah or tauba karna or namaaz ka fir se padhna WAAJIB hai or..Bhul kar chhutne se SAJDA E SAHW..WAAJIB hai..
 ★ Kuch Sunnatein Muakkadah hain k jis k chhodne ki aadat bana lena gunah hai..
 ★ Kuch MUSTAHAB hai jis ka karna sawaab or na karna gunaah nahi hai.
▪In tamam baaton ki tafsil agle 
      messages mein post ki jayegi.
      INSHA ALLAHUR REHMAAN

HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jis ko bhi ooncha maqaam mila..Log usse hasad ( jalan ) karte hain.(4)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
NAMAAZ KI SHARTEIN OR FARAAIZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 5⃣ 🌻

 ★ Namaaz padhne k liye kuch chizein namaaz se pehle zururi hai jin ko..
      NAMAAZ KI SHARTEIN..kaha jaata hai k jin k baghair namaaz shuru hogi hi nahi..Or..
 ★ Kuch chizein namaaz shuru hone k baad zururi hai jin ko..
      NAMAAZ K FARAIZ..kehte hai k jin k baghair namaaz hogi hi nahi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAMAAZ KI 2 TARAH KI SHARTEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Namaaz ki shartein 2 tarah ki hai.
  ■  Namaaz waajib hone ki shartein.
  ■  Namaaz sahi hone ki shartein.

 ★ NAMAAZ waajib hone ki
      shartein ye hai..
  ■  Musalman hona..
  ■  Aaqil hona..paagal na ho..
  ■  Baaligh hona..
  ■  Namaaz ka waqt hona..Or..

 ★ NAMAAZ k sahi hone ki
      shartein ye hai..
  ■  Tahaarat..Paaki..
  ■  Satre awrat..
  ■  Istiqbaale qibla..
  ■  Waqt hona..
  ■  Niyyat..
  ■  Takbire tahrimah..

 ★ Jab tak ye tamaam shartein nahi
      paayi jayengi namaaz shuru
      hi na hogi.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jis ne bhi shukar adaa kiya use aur zyada neamatein milegi.(5)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      NAMAAZ MEIN 7 - FARZ - HAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 8⃣ ❤

 ★ Takbire Tahrimah.
 ★ Qe-yaam..Khade hona.
 ★ Qirat..Quraan padhna.
 ★ Ruku..
 ★ Sujud...Sajde.
 ★ Qaa-dae akhi-rah..
 ★ Khuruj be-sun-ihi..
      salaam pherna..
▪NOTE...In mein se aik bhi farz chhoot jaaye to namaaz na hogi..fir se padhni hogi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 PEHLA FARZ - TAKBIRE TAHRIMAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Haqiqat mein Takbire Tahrimah..jo takbire oola bhi hai..namaaz ki sharton mein se hai..Or namaaz k faraaiz mein bhi iski ginti hai.
 ★ Allahu Akbar..keh kar namaaz shuru karte hain..is ko takbire tahrimah kehte hai.
 ★ Namaazi imaam k piiche jamaat mein ruku k waqt shamil huwa or.. Allahu akbar..kehta huwa ruku mein gaya..matlab..namaazi ki takbir..us waqt puri hui jab wo ruku mein pohonch gaya tha to namaaz na hogi..ayse moqe par namazi ko pehle khade khade takbir keh kar is k baad..Allahu akbar..kehte huwe ruku mein jana chahiye.
 ★ Agar ruku mein imaam ko itni der bhi paa liya k ruku ki aik tasbih bhi padh li to us ko rakat mil gayi..or namaazi k ruku mein jaane se pehle imaam khada ho gaya to rakat na mili..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         DUSRA FARZ  -  QE-YAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Namaaz mein siidhe khade hone
      ko qeyaam kehte hain.
 ★ Jitni der tak qirat hai..qeyaam
      utni hi der tak hai.
 ★ Farz...Witar...Eidain...or Fajr ki
      Sunnat mein qeyaam farz hai.
      ● Agar baghair sahih uzr k ye
         namaazein baith kar ada karein
         to na hogi.
      ● Khade hone se thodi si taklif
         hona ye uzr nahi.
      ● Khada na ho sake..
      ● Ya sajda na kar sake..
      ● Ya khade hone ya sajda karne
         me ZAKHM behta hai..
      ● Ya khade hone me peshab ki
         jaga se qatra tapakta hai..
      ● Ya khade hone se biimaari
         badhti hai..
      ● Ya bardast se zyada taklif hoti hai..To hi baith kar in namaazon ko padh sakta hai.
 ★ Agar itnni der khada ho sakta hai k..Allahu akbar..keh le..To Farz hai k khada ho kar ALLAHU AKBAR kehle fir baith jaye.
 ★ Khade ho kar padhne ki taaqat ho tab bhi baith kar nafl padh sakte hai..magar khade ho kar padhna afzal..behtar hai.
 ★ Baaz log nafl namaaz ko baith kar padhna zururi samjte hai..Ye ghalat baat hai Or..Ye baat sahi hai k Beth kar padhne se sawab aadha ho jata hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Awwal umar mein jo waqt bar-baad kiya hai..aakhir umar mein uska ilaaj kar ( Allah ki yaad se )..k tera anjaam achcha ho.(8)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
              TISRA FARZ  -  QIRAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 9⃣ ❤

 ★ Quraan e majid ko is tarah padhna k tamaam huruf apne makh-raj se sahi tor par adaa ho..Jaise..Jiim..Zaal..Ze..Daad..Zo..apni apni jagah se adaa hon..itni saaf tor par padhe jayein k sunne wala samaj le k konsa harf padha gaya.
 ★ Kam az kam itni awaaz se padhe k khud sun le.
 ★ Namaaz mein ya namaaz se bahar jo bhi chiiz padhni ho itni aawaaz se hi padhni chaahiye k khud sun le.
 ★ Farz ki 2 rakaton mein Witar..Sunnat..Nafl..ki har rakat mein kam az kam aik aayat padhna..Farz hai.
 ★ Imaam k piiche padhne wale ko Qirat jaaiz nahi..Na Surat..Na Alhamd sharif..Na SIRRI mein Na JAHRI mein..
▪SIRRI...Matlab aahista..dhimi aawaaz se padhi jaane wali namaazein..Jaise..Zohor or Asar ki..namaazein.
▪JAHRI...Matlab unchi aawaaz se padhi jane wali namaazein..Jaise...Fajr..Maghrib..Isha..ki namaazein.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            CHOTHA FARZ  -  RUKU
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Itna jhukna k haath ghut-no tak pohonch jaaye..Ye Ruku ka adna darjaa hai yani kam se kam..Or pura ye hai k piith ko siidhi bichaa dein.
      Mafhume Hadiis
 ★ Huzur..sallallahu alayhi waalihi wasallam..ne farmaya..K.Allah bande ki us namaaz ki taraf nazar nahi farmata jis mein ruku or sujud k biich-mein piith siidhi na kare.
 ★ Wo hazraat jo utaawal ki wajeh se ruku mein piith siidhi nahi karte is hadiis ko padh kar apni islah karein..Or..
 ★ Kuch log ruku se pura uthe baghair sajde mein chale jaate hain..aysa karne se un ka waajib chhut jaata hai..K ruku or sajde k biich mein siidhe khade hona..Itni der k aik martaba SUBHANALLAH keh sake rukna waajib hai.
 ★ Namaaz mein jab bhi waajib chhutega sajda e sahw ( sahu ) bhi waajib hai or sajda e sahw na kiya to namaaz ko fir se padhni padegi.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Ilam maal se behtar hai..kyun k ilam tum ko sambalta hai..Or..maal ko tumhein sambhalna padta hai.(9)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       PAANCH VAN FARZ  -  SAJDE
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣0⃣ ❤

     Mafhume Hadiis
★ Huzur..sallallahu alayhi waalihi wasallam farmate hai..K..Mujhe hukm huwa k 7 haddiyon par sajda karun..
     ● Peshaani.
     ● Dono haath.
     ● Dono goo-than.
     ● Dono pairon k panje..Or..
     ● Ye hukm huwa k kapde or baal
        na sa-me-toon.
 ★ Har rakat mein 2 sajde farz hai
 ★ Sajde mein peshani jamna zururi hai..Or jamne ka matlab ye hai k Zamiin ki Sakhti ko mehsus ( feel ) kare..Agar is tarah na jami to sajda na hoga.
 ★ Kisi naram chiiz jayse.. 
     ● Garden ki Greenary..Hariyaali..
     ● Ya cotton..rooi..Ya Qaalin..Ya Carpet waghaira par sajda kiya Or..Peshani jam gayi matlab itni dabi k ab dabaane se na dabe to sajda ho jayega..Warna sajda na hoga..
 ★ Aaj kal carpet aam ho gaya..to uupar bataaye gaye Me-aar..Standard..ko yaad rakkhein..Agar aysa carpet ho k peshaani na jame to sajda na hoga or sajda na hoga to namaaz hi na hogi.
 ★ Aysi chiiz jis par Peshaani na Jame..Naak ki sakht haddi na dabi to namaaz makruhe tahrimi hogi...Waajibul iaadah Hogi..Matlb fir se padhni hogi.

BAHARE SHARIYAT HISSA 3 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
CHHATHA FARZ QAADA E AKHIRAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Rakatein puri karne k baad itni der baithna k puri tashah-hud yani At-thiyyaat RASULUH tak padh li jaaye..Ye Farz hai..ise qaade akhi-rah kehte hai.
 ★ 4 rakat wale farz mein chothi rakat k baad qaada na kiya to jab tak paanchwi rakat ka sajda na kiya ho to beth jaaye..Or..
 ★ Agar panchwi ka sajda kar liya ya fajr ki namaaz mein dusri par nahi betha tisri ka sajda kar liya  to in sab haalaat me farz baatil ho gaye..Yani fir se padhe..Or..
 ★ Agar qaadae akhirah mein itni der betha tha k at-tahiyyat..Rasuluh..tak padh li jaay..Ya at-tahiyyat padh li thi..To Aysi surat mein aik rakat or mila kar 2 waali ko 4..Or 4 waali hai to 6 kar lein..Or..sajdae sahw kar lein..Farz ada ho jayega..Or Zaaid rakatein nafl ho jayegi.
 ★ Maghrib ki namaaz mein bhul kar chothi k liye khada ho gaya Or sajda bhi kar liya to is surat mein namaaz baatil ho gayi..Fir se padhe.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Khairaat kiya karo..k ye miizaane amal ka wazan ( qayamat mein neki-yon ka wazan ) badhati hai.(10)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
7 vaan FARZ-KHURUJ BE-SUN-EHI
                yani salaam pherna
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣1⃣ ❤

 ★ Namaaz k bahar nikalne k liye Siidhe or Ulte kandhe ki taraf munh kar k..

ASALAAMU ALAYKUM 
WARAHMATULLAH

kehna..ise Khuruje-Be-Sun-Ehi kehte hai.
 ★ Ye namaaz ka aakhri farz hai jis ko qasdan..Yani jaan-buj-kar karne k baad namaazi namaaz se baahar nikal jata hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 QURAN GHLAT - NAMAAZ NA HOGI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Jis ne raat din koshis ki k us ki quraan ki Qirat..Tilaawat..Sahi ho jaaye..Magar Naakaam raha..To..Jin dino mein wo koshis karta rahe un dinon mein Wo maa-zoor hai is liye un dinon ki namaazein ho jaayegi..Or..Agar koshis hi na kare or sahi bhi na padhe to namaaz hi na hogi..

Maakhuz Az Fatawae Razwiyah
Jild 6..safa..204..lahore

 ★ Dostaane mohtaram se guzaarish...Thoda sa ghor karein k ham apni duniya ko Sajaane Aabaad karne k liye to raat din ka Chain O Sukun..Qurbaan kar dete hai..Or..Fir Ye saraa sukh Faani hai..Itni qurbaniyan de kar bhi hamari zindagi bohot zyada ho to 100 ya us k aas paas..Fir aakhir MAUT hai..Or..
 ★ Wo Aakhirat ki Naemtein..Aysi namatein k..Hadise paak mein hai..K..( Mafhume Hadiis..K..Jannat ki inaam mein Aysi aysi naemtein hai k kisi ko khayal nahi guzra..na kisi dil me us ka waswasa guzra )..Or..
      Wo neamatein hamesha ki hogi..Jo aik baar jannat mein daakhil hoga fir kabhi na nikaala jayega..Na wahan par maut hogi.
 ★ Yahan dunya ki chizein paane k liye daulat ki zururat padti hai..To wahan jannat ki neamatein hasil karne k liye nekiyon ki zururat hogi..Yaqinan..Or Us ka intizam aaj duniya mein kar sakte hain..marne k baad..Aamaal ka silsila khatm ho jayega..Or Jitni bhi..
      Zaban se karne wali nekiyan hai tamaam mein huruf ki sahi adayegi laazim..zaruri hai..Agar koshis na ki to..Abhi uupar bataaya gaya k..Koshis ki or na kar sake to Allah taala maaf farmayega or qubul karega..Or..Kosis bhi na ki to ada bhi na hogi ibadtein or Allah ka fazl na huwa to Azaab ka bhi khatra hai.
AL AMAAN WAL HAFIZ

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Hiras karne ( jalan ) se rozi ( incomes ) nahi badhti..magar hiras karne wale ki izzat o qadar ghat jaati hai.(11)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         WAAJIB KIS KO KEHTE HAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣2⃣ πŸ’™

 ★ Waajib Yani Wo kaam k jin ko karna..Namaaz ko sahih karne k liye zururi hai.
 ★ Agar koi namaazi Waajibaat mein se aik Waajib bhi bhul ( chhoot ) jaaye..To..Sajda e Sahw..karna Waajib hoga..Or..Sajda e Sahw kar lene se namaaz ho jayegi..Or..Sajda e Sahw karna bhi bhul gaya to namaaz fir se padhni hogi..
 ★ Agar koi 1 waajib bhi jaan-buj-kar chhod diya to..Sajda e Sahw..karne se bhi namaaz na hogi..namaaz ko fir se padhna Waajib hoga.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
         SAJDA E SAHW KA TARIQA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Kisi bhi namaaz ki aakhri rakaat mein..At-tahiyyaat..k liye Jab baithe to..Rasuluh..tak padhne k baad 1 Salaam Yani siidhe kandhe ki taraf munh pher kar..As-salaamu-alykum-wa-rahmatullah..kahe or fir 2 sajde kare..Is ko..Sajda e Sahw..kehte hai..
 ★ Is k baad fir se..At-tahiyyaat..Durude Ibraahim..Dua e Maasurah padhe or dono salaam pher kar namaaz khatm kare.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            NAMAAZ K WAAJIBAAT 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Takbire tahrima mein lafz..
      Allahuakbar..Kehna.
 ★ Al-hamdu sarif puri padhna aik lafz bhi na chhute.
 ★ Is k baad aik badi aayat ya 3 chhoti aayat padhna.
 ★ Farz namaaz ki pehli 2 rakat mein..Al-hamdu sharif..k sath dusri aayatein bhi padhna.
 ★ Nafl sunnat or witar ki har rakat mein bhi..Al-hamd sharif k baad dusri aayatein padhna.
 ★ Al-hamd sharif ko pehle padhna..fir  aayatein padhna.
 ★ Al-hamdu sharif aik baar hi padhna..fir aayatein padhna.
 ★ Al-hamdu sharif or dusri aayton k biich mein..Aamin..or Bsmillah k siwa kuch bhi na padhna.
 ★ Al-hamdu sharif or dusri aayaton k baad foran ruku karna..der na karna.
 ★ Qouma..Matlab ruku k baad siidha khade hona.
 ★ Har rakat mein sirf  aik hi ruku hona.
 ★ Aik sajde k baad dusra sajda foran karna...der na karna.
 ★ Sajde mein dono pairon ki 3-3 ungliyon k pet zamin se lagna ( Khade hone mein ungliyon ka jo hissa zamin se lagta hai use pait kehte hai ).
 ★ Jalsa..matlab dono sajdon k biich mein siidha hokar baithna.
 ★ Har rakat mein 2 hi sajde hona..2 se zyada na ho.
 ★ Taadile Arkaan..Matlab..Ruku..Sajde..Qouma..Jalsa..In sab k biich mein kam az kam aik baar..Subhanallah..kaha ja sake..itni der rukna.
 ★ Dusri rakat se pehle..At-tahiyyaat..k liye na baithna.
 ★ Nafl mein bhi 2 rakat se pehle..At-tahiyyaat...k liye na baithna.
 ★ 2 rakat k baad bhi..Or 4 rakat k baad bhi..At-tahiyyaat..pura padhna.
 ★ Farz..Witar..Sunnate muakkadah..in sab..namaazon k 2 rakat par baith kar..At-tahiyyaat..Rasuluh...se zyada kuch bhi na padna.
 ★ 4 rakat wali namaaz mein tiisri par 2 sajdon k baad chothi rakat k liye khade ho jana.
 ★ Har JAHRI namaaz mein imaam ka Jahar se Yani Zor se Qirat karna.
 ★ Har SIRRI namaaz mein imaam ka Aahista..Yani dhire ( itni aawaaz k khud sun sake ) Qirat karna.
 ★ Witar mein tisri rakat mein..al-hamdu sharif or dusri aayaat padhne k baad Dua e Qunut ki  takbir Yani Allahuakbar..kehna.
 ★ Witar mein Dua e Qunut padhna.
 ★ Aayaate sajda padhi ho to sajda e tilaawat karna.
 ★ Sahw..sahu..ghalti hui ho to Sajda e Sahw karna.
 ★ Har farz or har waajib ka us ki jaga par hona.
 ★ 2 farz..2 waajib..Ya Waajib Or Farz..k biich mein itna na rukna k..3 baar SUBHANALLAH.. kehle.
 ★ Jab bhi or Jis namaaz mein bhi chaahe Sirri ho Ya Jahri uonchi aawaaz se ho ya aahista..Jab bhi imaam qirat kare to muqtadi ko chup rehna.
 ★ Qirat k siwa tamaam waajibaat..Imaam k sath muqtadi ko bhi karna..( adaa karna ).
 ★ Dono salaam pherne mein..ASSALAAM..kehna.
▪Eid ki namaaz k waajibaat..
      Eid ki namaaz mein 6 takbiren Zyada kehna..Or..Dusri rakat k ruku mein jaane k liye..Allahuakbar..kehna.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Be-waquf bolne k baad sochta hai..jab k..Aqal-mand pehle sochta hai fir bolta hai.(12)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 FARZ O WAJIB YAD HONE CHAHIYE
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣3⃣ ❤πŸ’™

 ★ Beshak tamaam Faraaiz O Waajibaat ko Yaad karna Laazim O Zururi hai.
 ★ FARAAIZ ko is liye k..1 bhi Farz Agar chhoot jaaye to namaaz hogi hi nahi..Is liye YAAD kar lena zururi hai k Agar ham ne yaad na kiya or kisi namaaz mein koi Farz chhoot jaye To..Namaaz hogi hi nahi Or ham ko pata bhi nai chalega k jis namaaz ko ham samaj rahe hai k padh lii...Wo namaaz ham par BAAQI hai.
 ★ WAAJIBAAT ko bhi Oraly..Zabaani Yaad karna is liye zururi hai k Waajib k chhoot jaane se hamari namaaz Waajibul iaa-dah..Matlb Agar Waajib chhutne k baad agar Sajda e Sahw na kiya To..Wo namaaz bhi fir se padhni hogi..Or Waajib adaa huwa Ya chhoot gaya ye usi waqt pata chalega K jab ham ko malum ho k konsi chiizein waajib hai.
 ★ Isliye Tamaam..Faraaiz Or Waajibaat ko Yaad kar lein..Ye aik sath yaad hona mushkil hai..isliye Divide..Taqsiim kar dein...7 faraaiz to aik saath yaad ho sakte hai..Lekin waajibaat 30 k qariib hai..Waajibaat ko taqsim kar lein..Pehle 5 waajibat Yaad kar lein fir 5 fir 5 is tarah se aasaani se yaad ho jayega.
INSHA ALLAHUR REHMAAN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Sab se achchi baat Wo hai Jo sunne wale ko taklif o fikar mein na daale.(13)

AQWAALE HAZRAT ALI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Aye Allah Tu Apne Fazl se ham sabhi iimaan walon ko samaj Amal ki tofiq de Or Dil O Nazar ki paakiizgi ata farma...Aameen
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
SUNNATEIN KITNI-KYA AML ZARURI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣4⃣ πŸ’š

 ★ Namaaz ki kul  sunnatein taqriban 96 hai.
 ★ Sunnat ka karna zururi hai or karnewala ajar o sawab paayega.
 ★ Sunnat k baghair namaaz kaamel nahi hogi Or namaaz ka sawaab bhi kam ho jayega.
 ★ Sunnat ko jaan-buj kar chhodne wala shariyat ki nazar mein bohot bura hai.
 ★ Sunnat ko hamesha chhodne ki aadat daalne wala azaab ka haqdaar hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  TAKBIRE TAHRIMAH-SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Takbire tahrimah k liye 
      haath uthana.
 ★ Haathon ki ungliyan apne haal
      par chhodna..na kadak kare
      na bilkul milaye.
 ★ Hatheliyon or ungliyon ka pait ka
      rukh qible ki taraf hona.
 ★ Takbir kehte waqt sar ko na
      jhukana.
 ★ Takbir shuru karne se pehle hi
      dono haath kaano tak utha lena.
 ★ Takbire Qunut or dono eidon me
      bhi isi tarah kare.
 ★ Imaam ka Unchi Aawaaz se..
      Allahuakbar..Samiallahuliman 
      Hamidah..Or Salaam kehna.
 ★ Takbir k baad foran haath
      bandh lena.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
           QE-YAAM KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Mard naaf k niiche haath baandhe..Siidhe Haath ki Hatheli Ulte haath ki kalaai k joint par chhoti Ungli Or Anguthe se kalaai pakad le or baaki 3 Ungliyan kalaai ki Piith par rakhein.
 ★ Pehle..Sana fir A-oo-zu..Fir Bismillah..Padhna ..Or..tiino ko aik k baad aik Foran padhna..Or sab ko itni aawaaz se padhna k khud sun sake.
 ★ Aameen kehna..Or Aahista
      kehna.
 ★ Takbire k baad foran Sana
      padhna.
 ★ A-oo-zu..Sirf Pehli rakat me hi
      padhna.
 ★ Bismillah..Har rakat k Shuru mein
      padhna.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Umar daraz ( boodhe ) aadmi ka mash-wara..Jawaan ladkon ki taaqat o zor se zyada achcha hai.(14)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
               RUKU KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣5⃣ πŸ’š

 ★ Ruku k liye..Allahuakbar..kehna.
 ★ Ruku ki tasbih 3 martaba kehna.
 ★ Mard ka Ghut-no ko haath se pakadna..Or Ungliyon ko khuli rakhna..Or..Taangon ko siidhi rakhna.
 ★ Ruku mein piith ko bichaa dena..Ayse k paani ka piyala piith par reh jaaye..
 ★ Ruku mein Sar Uncha Niicha na ho..Piith ki siidh mein ho..Hadise paak hai..K..( Mafhum..Us ki namaaz naa kaafi hai jo ruku or sajdon mein piith siidhii nahi karta ).
 ★ Ruku mein jaate huwe..Allahuakbar..shuru kare Or ruku mein pohonchne tak khatm kare..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            QAUMAH KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Ruku se uthein to haath
      latka dein.
 ★ Ruku se uthne mein imaam k liye..Samialla-Huliman-Hamidah..kehna.
 ★ Muqtadi Yani imaam k piiche wale..ka..Allahumma-Rabbanaa-Wa-Lakal-Hamd..kehna.
 ★ Akele padhne wale ko dono kehna sunnat hai.. 
 ★ Akela padhne wala..Samialla-Huliman-Hamidah..kehta huwa ruku se uthe..Jab siidha khada ho jaaye to ab..Allahumma-Rabbana-Wa-Lakal-Hamd...kahe.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
               SAJDE KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Sajde mein jaane or us se uthne
      k liye..Allahuakbar..kehna.
 ★ Sajde me kam az kam 3 baar
      sajde ki tasbih padhna.
 ★ Sajde mein hatheliyan zamiin par rakhna..Or haathon ki ungliyan mili hui qible ki taraf rakhna..
 ★ Sajde mein jaaye to Pehle Ghutne Fir Haath Fir Naak Fir Peshani rakhna Or..Jab sajde se Uthe to iska Ulat karna Yani Pehle Peshani Fir Naak Fir Haath Fir Ghutne Uthana..
 ★ Mard k liye sunnat hai k sajde mein baazu ko karwaton se or raan pait se juda hon.
 ★ Kalaaiyan zamiin par na bichaaye..Jab saf mein ho to baazu karwaton se juda na rakkhe..
 ★ Sajde mein dono pairon ki 10 ungliyon ka pait is tarah zamiin par lagaaye k sab ungliyan qibla rukh rahe.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jo ibaadat guzar logon se duur ho..Us ko tum talaash karo ( is ki sohbat se fayda hoga )..Or..Jo ibaadat guzar..logon ko talaash kare..us se duur bhago.( is ki sobat nuksan mein daalegi )(15)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            JALSAH KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣6⃣ πŸ’š

 ★ Dono sajdon k biich mein baithne ko jalsah kehte hai.
 ★ Jalseh mein siidha qadam khadaa kar k ulta qadam bichaa kar us par baithna.
 ★ Siidhe pair ki ungliyan qibla rukh karna..Or dono haath raano ( jaangon) par rakhna.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
DUSRI RKT K LIYE UTHNE KI SUNNT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Jab dono sajde kar lein to dusri rakat k liye panjon k bal ghutno par haath rakh kar khadaa hona.
 ★ Kamzori ya pairon mein taklif ki wajeh se zamiin par haath rakh kar khade ho sakte hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
             QA-EDE KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Mard ka dusri rakat k sajdon k baad ulta pair bichaa kar dono thape us par rakh kar baithna..Or siidha qadam khada rakhna..Or siidhe qadam ki ungliyan qibla rukh karna.
 ★ Dono haath raano par or ungliyan apni haalat par..Na phayli hui...Na tani hui..Or ungliyan ghutno k paas hona.
 ★ At-tahiyyat mein shahaadat par kalme ki ungli utha kar ishaara karna.
 ★ Dusre qa-ede mein bhi isi tarah baithe..Or..At-tahiyyaat..k baad durud sharif padhe fir dua padhna.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jab Allah kisi bande se muhabbat karta hai to us bande ko tofiq deta hai k..Wo zamane k waaqeaat o haalaat dekh kar ibrat hasil kare ( sikhe ).(16)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 SALAM O US K BAD KI SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣7⃣ πŸ’š

 ★ Assalaamu Alaykum Warahmtullah..in alfaaz k saath dono taraf Salaam Pherna..Pehle Siidhi ( right ) fir Ulti ( left ) taraf Munh Pherna.
 ★ Imaam k liye dono salaam unchi aawaaz se kehna.
 ★ Imaam ne jaise hi..SALAAM..kaha..Kehte hi Namaaz se Bahar ho gaya..is k baad agar koi jama-at mein shaamil huwa to iq-ti-da sahih nahi hui..matlab Us ki Namaaz Shuru hi na hui.
 ★ Imaam or Muqtadi dono apne dono taraf k logon Ki..Or..Kiraaman Kaatibin..ki niyyat kare.
 ★ Salaam k baad imaam k liye sunnat or afzal ye hai k siidhe haath ki taraf rukh kar k dua padhe.
 ★ Akela padnewala rukh badle ya wahin dua mange to jaaiz hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   AURATON KI KHAAS SUNNATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Behnein ( ladies..khawaatiin ) Takbire Tahrimah or Takbire Qunut mein Kandhon tak haath uthayein.
 ★ Qeyaam mein awrat or khunsa.( hijdaa..kinnar )..ulte haath ki hatheli siine par chhaati k niiche rakh kar us par siidhei hatheli rakkhe.
 ★ Awrat ko ruku mein Ghutnon par Haath na rakhna or Ungliyan na Phelaana sunnat hai.
 ★ Ruku mein sirf itna jhuke k Haath Ghutno tak pohonch jaye..Piith mardon ki tarah siidhi na kare or Ghutno par Zor na dein Ungliyan mili hui rakkhe..Pair jhuke huwe rakkhe.
 ★ Simat kar sajda kare Baazu Karwaton se..Pet Raanon se..Raanein Pindliyon se..Pindliyan Zamin se milaa dein..
 ★ Qaade mein..At-tahiyyaat..k liye jab bhi baithe to dono pairon ko siidhi taraf nikaal kar ulte thaape par baithein.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jo banda dusron se khush rehta hai..Wo hamesha aaraam mein rehta hai.(17)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
             QIRAT K MASAAIL ( A )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣8⃣ πŸ’š.

 ★ Imaam k piiche padhne wale namaazi  ( muqtadi ) ne takbire tahrima ka lafz..Allahu Akbar..is tarah kaha k.. ALLAH..imaam k saath kaha magar..AKBAR..imaam se pehle khatam kiya to us muqtadi ki namaaz na hui.
 ★ Muqtadi or akele padhne wale ko takbire tahrimah jahar se ( zor se ) kehne ki zarurat nahi..sirf itni aawaaz zaruri hai k khud sune.
 ★ Agar koi aysa bimaar ya kamzor hai k nokar ya diwaar ya kisi chiiz ka sahara le kar ya Tek laga kar khada ho sakta hai to us par FARZ hai k Tek laga kar khada ho kar padhe.
 ★ Quraan padhne mein tajwiid zaruri hai..kam az kam itni k huruf  sahih ada hon or ghalat padhne se bache.
 ★ Namaaz k sahih hone k liye tajwiid ka fan ( hunar ) janna zururi nahi.
      Bas huroof sahi adaa hona zaruri hai..Bohot se ayse log bhi hote hai jo sun sun kar sahi padhte hai..Agar un se huruf k ma-khaa-rij ( matlab har harf ko us ki jaga se adaa karna ) k baare mein pucha jaaye to makhaarij bataa nahi sakte lekin wo quraan sahih padhte hai.( itna bhi agar kisi ne jaan liya to namaaz sahi ho jaayegi )
 ★ Sure Faateha..Yani Alhamdu-Sharif..padhne mein agar aik lafz bhi bhule se reh jaaye to sajda e sahw kare..Agar sajda e sahw bhi bhul jaaye to namaaz fir se padhe.
 ★ Agar koi Sure Faateha k baad dusri aaytein milaana bhul gaya to sajda e sahw kare or ye bhi bhul jaaye to namaaz fir se padhe..Or..
 ★ Koi Sure Faateha padhna bhul jaaye..baad ki aaytein padhli to bhi sajda e sahw kare or ye bhi bhul jaaye to namaaz firse padhe.
 ★ Jamaat k saath namaaz padhne wale namaazi yani muqtadi ko namaaz mein Qirat padhna jaaiz nahi..Na sure Faateha..Na koi dusri aayat padhe..Or Zohar..Asar mein Or Magrib..Isha ki Tisri or Chothi..rakat mein bhi na padhe..Imaam ki Qirat Muqtadi k liye kaafi hai.
 ★ Imaam ne Zor se Qirat Shuru kar di ho to Muqtadi Sana na padhe bl k Chup reh kar Qirat sune kyun k qirat ka sunna FARZ hai.

FATAWA RAZWIYAH
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har aadmi ki raay ( salaah..suggestion ) us k zaati taj-rube ( self experience ) k mutaa-biq hoti hai.(18)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
              QIRAT K MASAAIL ( B )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 1⃣9⃣ πŸ’š

 ★ Hazrate Saad bin Waqaas..alyhir-rahman..ne farmaya k..Mein is baat ko pasand karta hun K..Jo Imaam k Piiche Qirat kare us k munh mein Angaara ho..Or..
      Siyedena Farooqe aazam..alyhir-rahman..farmate hai k..Jo imaam k piiche qirat karta hai..Kaash us k munh mein patthar ho.
 ★ Jahar ( imam ka zor se padhne ) padhne ka matlab ye hai k dusre log..kam az kam pehli saf wale sun sake..Or Aahista ( dhire ) padhne ka matlab ye hai k khud sun sake.
 ★ Namaaz mein zor se AAMIN kehna makruh or khilaafe sunnat hai.
 ★ Munfarid ( akele padhne wala ) ko Jahri Namaaz..Fajr..Magrib..Ishaa..mein ikhtiyaar hai k..Chaahe to Aahista Qirat kare ya Zor se kare.
      Lekin afzal ye hai k Zor se padhe..Agar adaa padh raha ho..Or Agar Qaza padh raha ho to dhire padna waajib hai.
 ★ Imaam k liye zaruri hai k Bimaar..Budhe..Kamzor or Kaam par jaane wale zarurat-mand muqtadiyon ka lihaaz karte huwe Lambi Qirat na kare k..Un ko taklif pohnche..bl k Qirat Chhoti kare.

FATAWA RAZWIYAH
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har kaam karne se pehle soch liya karo..taa k ghalti se bach sako..Or..
    Zaalim ko us ka zulam hi munh k bal giraata hai.(19)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
              QIRAT K MASAAIL ( C )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣0⃣ πŸ’š

 ★ Quraan ulta padhna..Pehli rakaat mein baad waali surat padhna..Or.. Dusri rakaat mein us se pehle waali surat padhna..Jayse pehli mein Sure Kaafiroon padhi..Or..Dusri mein Sure Kausar padhi..Aysa karne ki sakht waied aayi hai ( aysa jaan-buj kar na kare ) 
  ★ Hazrate Abdullah bin Masuud..alayhir-rahman..farmate hai..K Jo Quraan ulat kar padhta hai Wo is baat se darta nahi k Allah us ka DIL ulat de ? ( Darta nahi ? )
 ★ Agar bhul se ulta padha to na gunah hai na sajda e sahw hai.
 ★ Dono rakaaton mein aik hi surat padhna makruhe tanzihi hai..Agar koi majburi na ho..Or..
      Agar majburi ho to bilkul karaahat nahi..jayse Pehli rakaat mein Sure Naas padhi or Dusri mein bhi yahi padhi..Ya dusri mein irada nahi tha lekin wahi surat nikal gayi..
      Ya kisi ko aik hi surat yaad hai to in tamaam haalaat mein dono rakaat mein aik hi surat padhna jaaiz hai.
 ★ Sure Faateha padhne k baad namaaz mein kya padhe..Ye sochne mein itni der ho gayi k..3 baar..SUBHANALLAH..keh liya jaaye..To Qirat mein der ki wajah se waajib chhuta..To sajda e sahw karna waajib hai.
 ★ Agar Takbiire Tahrimah k baad Sana..Aoozu..Bismillah...padhna bhul gaya or Qirat shuru kar di to ab waapas padhne k liye na lote..Or Agar Sana bhul gaya Aoozu shuru kar di to ab waapas na lote aage badh jaaye.
 ★ Agar dhire padhne wali namaaz..Zohor..Asar..mein imaam ne bhul kar aik aayat bhi zor se padh di to sajda e sahw waajib hoga or sajde sahw bhi bhul gaya..Salaam pher diya to namaaz fir se padhna waajib.
 ★ Agar kisi ne farz namaaz ki pichli do rakaat..k jis mein sirf Sure Faateha padhi jaati hai bhul kar ya jaan-buj-kar Sure Faateha k baad aik Surat milayi to..
      Us ki namaaz mein kuch khalal nahi or sajda e sahw ki zarurat nahi..namaaz ho jayegi.

FATAWA RAZVIYA
AHKAAME SHARIYAT
HAMARA ISLAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Bure kaamon ki wajeh akelaapan hai..Or..buraai ki wajeh sheh-wat ( sexual thoughts..gande-nange khyalaat ) ka zyada hona hai.(20)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        QIRAT OR RUKU K MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣1⃣ πŸ’š

 ★ Ruku mein kam az kam aik baar..Subhaanallah..keh lein..itna waqt the-herna waajib hai.
 ★ Ruku mein ruku ki tasbih kehte waqt..Azeem..ki Zo ko khub ahtiyaat se sahi adaa kareiin..Kuch log Zo k badle jiim adaa karte hai..matlab azeem k badle ajim padhte hai or ye sakht gunah hai..Kyun k..Azeem..ka matlab Azmat-wala..Or Ajiim ka matlab Gunga..is liye Quraan sahi padhne walon se mashkh ( practice ) kar lein or mumkin ho to tajweed padh lein.
 ★ Agar koi Zo adaa na kar sakta ho to us ko..Subhana Rabbiyal Azeem..k badle..Subhana Rabbiyal Kariim..padh lena chaahiye.
 ★ Imaam ne ruku se khade hote waqt..Samiallahu-liman Hamidah..k badle..Allahu Akbar..kaha to namaaz ho jayegi..sajda e sahw ki zarurat nahi.
 ★ Agar kisi ne ghalti se ruku mein sajde ki tasbih or sajde mein ruku ki tasbih padhli to namaaz ho jayegi..sajda e sahw ki haajat nahi.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Jo aadmi apni taklifon ko dusron par zaahir karta hai..Wo apni be-izzati or ruswaaii ka khud zimmedaar hai.(21)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 SAJDE OR TRKE WAJIB K MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣2⃣ πŸ’š

 ★ Sajde mein dono pairon ki dason ( 10 ) ungliyon k pet zamiin par lagna sunnat hai..Or har pair ki 3..3..ungliyon ka zamiin par lagna waajib hai.
 ★ Sajde mein kam az kam aik baar..Subhanallah...keh lein itni der the-her-na waajib hai.
 ★ Dono sajdon k bich mein yani jalse mein.. Allahum-magfirli..kehna mustahab hai.
 ★ Kisi ne 2 k badle 3 sajde kar liye or salaam pherne se pehle yaad aa gaya..To sajda e sahw kare kyun ki waajib chhutaa..Farz ada ho gaya.
 ★ Aik MAS'ALA zehen mein baytha lein k..Jab bhi koi waajib chhutega to sajda e sahw waajib hoga..Or..sajda e sahw bhi na kiya chahe bhul kar ya jaan buj kar to namaaz fir se padhni hogi..Or..
 ★ Jab bhi farz ki adaayegi mein itni der ho jaaye k 3 baar..SUBHANALLAH..keh lein to sajda e sahw waajib hoga.
 ★ 2 Farz..2 Waajib..ya Waajib or Farz k biich mein itni der ho k jitni der mein 3 baar..SUBHANALLAH..kaha ja sakta hai..To..sajda e sahw waajib ho jaayega or sajde na kiye to namaaz fir se padhni hogi.
 ★ Isliye Dostaane mohtaram NAMAAZ k FARAAIZ or WAAJIBAAT ko yaad kar lein.
      Jab tak ye yaad na honge hamein pata hi na chalega k hamari namaaz hui ya dohraane ki zarurat hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Agar Allah ki rehmat chahte ho to kamzoron par rehem karo.(22)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      QADA-E-AKHIRAH K MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣3⃣ πŸ’š

 ★ Namaaz ki rakatein puri karne k baad qaa-dae akhii-rah mein itni der baithna farz hai k jitni der mein puri TASH'HUD..yani At-tahiyyaatu..se lekar..Rasuluh..tak puri padh li jaaye.
 ★ Qaa-dae akhii-rah mein puri
      tasha-hud ( at-tahiyyaat )
      padhna waajib hai.
 ★ At-tahiyyaat padhte waqt Huzur..Sallallahu alyhi waalihi wasallam..ka tasawwur apne dil mein kar k fir..As-salaamu-alayka-aiyuhan-nabiu..arz kare or yaqeen kare k mere Aaqa mere salaam ka jawaab apni shaan k laaiq ata farmate hai.
( IHYAA'UL'ULOOM.. Hazrat imaam huj-jatul islaam Muhammed ghizaali..alayhirrahman )
 ★ Wo muqtadi jis ki kuch rakatein chhoot gayi ho wo qaa-dae akhii-rah mein sirf..At-tahiyyaat..hi..Rasuluh..tak padhe or theher theher kar padhe  k imaam k salaam pherne k waqt tak puri..At-tahiyyaat..se faarigh ho ...or agar salaam se pehle faarigh ho jaaye to Kalmae Shahaa-dat padta rahe.
 ★ Kisi namaaz mein muqtadi ki..At-tahiyyaat..puri na hui or imaam khada ho gaya..yaa salaam pher diya to..Muqtadi..At-tahiyyaat..puri padh kar salaam phere chaahe kitin bhi der ho jaye.
 ★ Agar sajda e sahw waajib huwa hai to..qaa-dae akhii-rah mein..At-tahiyyaat..k baad aik salaam pher kar sajda e sahw karna chaheiye.. agar dono salaam pher diye to namaaz ko fir se padhna waajib hai.
 ★ Farz..Witar..Snnate mu-ak-ka-dah..k qaa-dae uula mein ( 2 rakat par bethne waqt ) At-tahiyyaat..k baad itna keh diya k..Allahumma Salliala Muhammed...Yaa...Allahumma salliala siyedena..Agar bhul se kaha to sajda e sahw kare to namaaz ho jayegi or..agar jaan buj kar kahe to namaaz fir se padhe.
 ★ Farz namaaz mein imaam qaa-dae uula bhul gaya or..Allahuakbar..keh kar khada ho gaya to kisi muqtadi ne luqma diya..to imaam beth gaya..To sab ki namaaz jaati rahi..tamam  muqtadi or imaam fir se namaaz padhe.
 ★ Pehla qaa-da  chhod kar imaam pura khada ho gaya to use luqma dena jaaiz nahi..Or agar khada hone k baad kisi ne luqma diya to dene wale ki namaaz jaati rahi..Or siidha khada hone k baad imaam ko qaa-dae uula mein wapas lotna haraam hai.

FATAWA RAZVIYAH
HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Aqal-mand ki salaah salaamti or chhutkaara dilaati hai..Or..Jahil o be waquf ki salaah musibat o nuqsaan mein daalti hai.(23)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SALAAM K BAARE ME MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣4⃣ πŸ’š

 ★ Qaa-dae akhii-rah k baad..Salaam ya baat chiit waghaira koi aysa kaam karna jo namaaz mein karna mana ho..Lekin Salaam k siwa koi "mana" kaam karne se namaaz waajibul e-aa-dah hogi yani fir se padhni hogi ( Bahaare Shariyat )
 ★ Dono Salaam mein lafz..
      ASSALAAM..kehna
 ★ Muqtadi ko imaam k pehle
      SALAAM pherna jaaiz nahi.
 ★ Jab imaam Salaam phere to muqtadi bhi salaam phere lekin agar muqtadi ne..At-tahiyyaat..puri padhi na ho to imaam ka sath na de bal k waajib hai k..At-tahiyyaat..puri kare fir Salaam phere.
 ★ Jin farzon k baad sunnatein hai un mein farz k baad baatchit na kare..k sunnatein ho to jaayegi lekin sawab kam ho jayega..Farz o Sunnat k darmiyaan bade bade waziife bhi na kare..aw-raad o wazaa-if ki bhi ijaazat nahi.( Raddul mohtaar )..
 ★ Behtar ye hai k jahan Farz padhe hon us jaga se hat kar daayein ya bayein aage piiche ( left-right-front-back side ) padhein ( Aalamgiri )
 ★ Baad namaaz dua maangna sunnat hai..Or haath utha-kar dua maangna..baad mein munh par pherna ye bhi sunnat hai.

FATAWA RAZVIYAH
HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har bande ko rozi us ki niyat k mutaa-biq dii jaati hai.( kahaawat - jaysi niyat waysi barkat )(24)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣5⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - A

 ★ Wo kaam or baatein jis ki wajah se namaaz faasid ho jaati hai or fir se padhna laazmi..zaruri hota hai.
 ★ Wo kaam ya baatein k jin ki wajah se namaaz faasid ho jaati hai or sajda e sahw karne se bhi namaaz sahih nahi hoti.
 ★ Isliye namaaz ko faasid karne wali baatein or kaam bhi janna zururi hai.
 ★ Namaaz mein kisi ko salaam kiya ya kisi k salaam ka jawab diya ya sirf..SALAAM..hi kaha to namaaz faasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ 4 rakaat wali namaaz padh raha tha or 2 rakaat waali padh raha hun..Ye samaj kar 2 par hi salaam pher diya to namaaz faasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Kisi ko chhiink aayi or namaazi ne us ka jawab dete huwe..Yar-hamu-kallah..kaha to namaaz faasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Khushi ki khabar sun kar..Alhamdulillah..kaha Ya buri khabar sun kar..Inna lillahi wa innaa ilayhi Raajiuun..kaha to namaaz faasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Allah taala ka naam ALLAH ya koi sifaati naam sun kar..Jalla Jalaa luhu..Ya Huzur..sallallahu alyhi waalihi wasallam..ka Naam e paak sun kar durud padha to namaaz faasid ho jayegi..fir padhni hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Insaan ki aqal ka imtihaan khushi or ghami k waqt malum ho jaata hai.(25)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣6⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - B

 ★ Namaaz ki haalat mein baat karne se namaaz faasid ho jayegi chaahe bhul kar kii ho..Jaan buj kar kii ho..Ya anjaane mein kii ho..namaaz fir se padhe.
 ★ Imaam qaa-dae uula mein bethna bhul gaya Or tisri rakaat k liye khada ho gaya or muqtadi ne bataane k liye kaha K..Baith jaao..Ya sirf..Hun..hi kaha to bhi muqtadi ki namaaz faasid ho gayi..ab fir se padhe.
 ★ Namaaz mein..na'am..Are..Haan..Jaise alfaaz bole ya nikal gaye to namaaz faasid ho gayi..ab fir se padhe.
 ★ Muqtadi k siwa kisi dusre ka luqma lena..Jaise imaam ne qirat mein ghalti kii Or kisi ayse shakhs ne luqma diya jo jama-at mein shaamil nahi or imaam ne us ka luqma le liya to namaaz faasid ho jayegi..fir se padhni hai.
 ★ Koi akele namaaz padh raha hai or koi ghalti ho gayi or kisi ne ghalti bataayi yani luqma diya or namaazi ne qubul kar liya to namaaz fasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Aah..Uuh..Uf..Tuf..Hay..Ye sare alfaz dard ya taklif ki wajah se munh se nikle..Yaa aawaaz se roya..To in sab surton mein namaaz fasid ho jayegi...fir se padhni hai.
 ★ Agar rone mein sirf Aansu nikle..Aawaaz..Yaa huruf na nikle to namaaz faasid na hogi or agar Allah k khauf se roya or aawaaz nikli to namaaz faasid na hogi.
 ★ Chiink..Khaansi..Jamaahi yani bagaasa..Or dakaar-ne mein jitne huruf nikalte hai majburi mein wo muaf hai..Us se namaaz faasid nahi hoti.

DURRE MUKHTAAR
BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har bande ko us k amal k hisab se badla diya jayega..Or..
    Har bimaari ka ilaaj hai..siway bure akhlaaq k.(26)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣7⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - C

 ★ Namaaz mein Zorse..Aawaaz se hasaa..Itni Aawaaz se k qariib wala sun sake ( liya )..To namaaz faasid ho jaayegi Or wuzu bhi toot jaayega.
 ★ Agar namaaz mein itni kam aawaaz se hasaa k khud suna qariib waale ne na suna..To bhi namaaz faasid ho gayi lekin wuzu nahi tutega.
 ★ Namaaz ki haalat mein khaana piina jaan buj kar ya bhul kar thoda ho ya zyada yahan tak k aik til bhi baghair chaabe nigal liya ya koi paani ka tiipaa k us k munh mein giraa Or namaazi ne nigal liya to namaaz faasid ho jayegi...fir se padhni hai.
 ★ Daanton k biich mein khaane ki  koi chiiz phansi thi or namaaz mein use nigal liya..agar wo chiiz chane jitni na thi to namaaz faasid na hogi..Or Agar chane k baraabar ya us se zyada hai to namaaz faasid ho jayegi.
 ★ Phunk ( to blow air ) maarne mein aawaaz paida na ho to namaaz faasid na hogi..magar jaan-buj kar phunk-na makruh hai..agar phunkne ( to blow a current of air ) mein 2 Harf paida huwe jaise..Uff..Huff..Taff..Hush..To namaaz faasid ho jaayegi..fir se padhni hai.
 ★ Namaaz mein quraan dekh kar padhne se namaaz faasid ho jayegi.
 ★ Muqtadi imaam k aage khada ho gaya to muqtadi ki namaaz fasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Namaaz ki haalat mein 2 saf jitna chalaa to namaaz faasid ho jayegi...fir se padhni hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Har chiiz aqal ki mohtaaj hai..Jab k aqal khud adab ki mohtaaj hai.(27) 

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣8⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - D

 ★ Haalate namaaz mein daanton se khoon nikla or halaq me khoon ka maza ( taste ) mehsus huwa to namaaz faasid ho jayegi..fir se padhe.
 ★ Aysa baarik kapda ya tehband bandh kar namaaz padhna..k us se badan ki surkhi ( chamdi ki rangat )  yani rangat chamke ya agar baarik kapde se satar ka koi uzw ( part of a body ) ki haiyyat ( shape ) nazar aa jaaye to namaaz faasid ho jayegi..isi tarah aurton ( ladies ) ka aysa dupatta k jis se sar k baalon ki siyaahi..kaalaa-pan chamke..Is se bhi namaaz faasid ho jayegi.
 ★ Siine ko qible se pherne se namaaz faasid ho jaayegi yani khaana-e -kaaba ki khaas jehet ( rukh ) se 45 darja..degree phir jaaye to namaaz faasid ho jayegi.
 ★ Naapaak jaga par baghair haail ( aysi chiiz jo namaazi or naapaaki k bihch mein ho ) naapaaki ho to namaaz faasid ho jaayegi..Isi tarah haath ya guthan sajde mein naapaak jaga par rakkhe to namaaz faasid ho gayi..fir se padhe.
 ★ Namaaz mein quraan padhne mein aysi ghalti karna k jis ki wajah se maane ( meaning..matlab ) badal jaaye..To namaaz faasid ho jaayegi..fir se padhe.
▪Note...Isiliye ulma farmate hai k namaaz mein quraan ka wo hii hissa padho jo aap ko pakka ( perfect ) yaad ho..Aysi ghalti-yon se bacha jaaye.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Diin ki paa-bandi aadmi ko musibaton se bachati hai..Or..Duniya ki laalach aafat mein daalti hai.(28)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 2⃣9⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - E

  AMALE KASIIR - AMALAE QALIIL

 ★ AMALE KASIIR...Aysa kaam karna k jo namaaz k kaamon mein se na ho or na hi wo amal namaaz ki islah ( sudhaarne ) k liye ho..Yani aysa kaam karna jis kaam k karne wale namaazi ko duur se dekhne wale ko Confirm..Yaqiin..ho jaaye k ye sakhsh namaaz mein nahi hai to aysa kaam Amale Kasiir kehlata hai..Or Amale Kasiir namaaz ko faasid kar deta hai..namaaz fir se padhni hogi.
 ★ Namaaz ki haalat mein Kafni..Kurta..Pajaama..Pent..Pehna ya Utaara ya Teh-band ( lungi ) ko baandha to namaaz faasid ho jayegi..fir se padhni hai.
 ★ AMALE QALIIL...Aysa kaam jo aamaale namaaz se ya namaaz ki islaah k liye na ho or jis kaam k karne wale namaazi ko dekh kar dekhne wale ko confirm Na ho k ye aadmi namaaz mein nahi hai..bl k shak ho k ye namaaz mein hai ya nahi..?..To aysa kaam Amale Qalil hai..Or Amale Qalil karne se namaaz faasid na hogi.
▪NOTE...Kuch log namaaz mein sajde mein jaate waqt dono haathon se pajaama uuper ki taraf khinchte hai..Ya Qaa-de mein baith-te waqt Kurta yaa Qamiis ka daa-mn dono haathon se siidha kar k bichhaate hai..In harkaton se namaaz faasid hone ka andesha ( khatra ) hai kyun k ye dono kaam dono haathon se kiye jaate hai..Is liye isse bachna zaruri hai kyun k ye makruhe tehrimi to hai hi..Or jo namaaz makruhe tehrimi ho us ko fir se padhna laazim hai.

DURRE MUKHTAAR
FATAWA RAZVIYAH
HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Maaf kar dena sharifon ka shewa ( aadat o khaslat ) hai..Or..Badla lena kaminon ki khaslat hai.(29)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣0⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - F

 NAMAZ MEIN KHUJLI - BE-HOSHI

 ★ Agar namaaz ki haalat mein badan k kisi maqaam par khujli aa jaaye to behtar ye hai k sabar kare or zabt na ho sake to 1 rukn mein zyada se zyada 2 baar khuja sakta hai..Aik rukn ka matlab..Qe-yaam..Ruku..Sajda..Qaedah..ye sab aik aik rukn hai..In mein se kisi bhi aik rukn mein 2 baar khujaane ki ijaazat hai..Agar 3 baar khuja liya to namaaz faasid ho jaayegi..fir se padhni hogi.
 ★ Aik baar khujane ka matlab..Aik baar khuja kar haath hata liya fir du-bara khuja kar haath hataa liya fir tisri baar khujaya to namaaz faasid ho jayegi..Or..
 ★ Agar aik baar haath rakh kar chand baar harkat di to ye aik hi baar huwa..Jaise kisi ko chehre par khujane ki haajat hui to chand baar harkat di abhi haath hataaya nahi k chehre k dusre hisse par khujane ki haajat hui to haath rakhe huwe hi wahan bhi khuja le to ye aik baar hi huwa..Kuch logon ko daadhi barabar karne ki aadat hoti hai to baghair zarurat k karne se bachna chahiye fir bhi agar aik baar daadhi chhu-kar haath hataa liya to ye aik baar huwa..Lekin kisi ne namaaz mein pehli baar Siidhi taraf k baal sarkhe kiye fir Ulti taraf k baal sarkhe kiye to ye 2 baar to ho hi gaya ab tisri baar kisi bhi taraf ya saamne k baal sarkhe kiye to uski namaaz faasid ho jayegi..fir se padhni hogi.
▪Allah apne hifz o amaan me rakkhe..har us kaam se jisse hamein dunya ya aakhirat ka nuksaan ho..Aamin.
 ★ Behosh ho jaane se ya wuzu ya ghusl tutne se namaaz faasid ho jaati hai..firse padhni hai.

DURRE MUKHTAAR
FATAWA RAZVIYAH
HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Hiras..mohtaaji ka leader hai ( matlab hiras karne wale par sab tarah ki mohtaaji aati hai )..Or..Tamam buraiyon ki buniyaad ( har buraai ki jad hiras hai ) hiras hai.(30)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Wo kaam ya baatein k jinki wajah se
namaaz faasid ho jaati hai or sajda
       e sahw karne se bhi namaaz
                    sahih nahi hoti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣1⃣ 🍁 - MUFSIDAAT - G

 ★ Namaazi k pair rakhne ki jaga se..agar sajda karne ki jaga aik baalisht bhar unchi ho to namaaz hi na hogi.
 ★ Namaaz mein aysi dua karna k jis ka sawaal bande se kiya ja sakta hai..to namaaz ko faasid kar degi..Jaise ye dua kare k..Allahumma at'em-ni ( Ay allah muje khaana khila ) Yaa fir..Aye Allah mera nikah kar de..Is tarah ki dua namaaz ko faasid kar degi..fir se padhni hogi.
 ★ Namaaz ki haalat mein Aayaton..Surton..Or Tasbi-haat ko Zaban se ginne se namaaz faasid ho jayegi..fir se padhe.
 ★ Muqtadi ne imaam ki qirat sun kar..Sada-qaAllah Wa Sadaqa Rasuluh..kaha to namaaz faasid ho gayi...fir se padhe.
 ★ Namaaz shuru karne k baad baghair kisi sharai wajah k namaaz tod dena HARAAM hai.

DURRE MUKHTAAR
FATAWA RAZVIYAH
HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Wo aadmi aqal-mand hai..Jo apni zabaan ko band rakhe..kam bole..Or..Hoshiyaar wo hai Jo zamaane k hisab se chale.( matlab logon ki aqal or haalaat ko samaj kar chale )(31)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - A
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣2⃣ 🌷

 ★ Wo kaam jo haalate namaaz mein karna mana hai or jin k karne se namaaz makruhe tehrimi hogi.
 ★ Jo namaaz makruhe tehrimi hoti hai us ka e-aa-dah waajib hai..matlab us namaaz ko du-baara padhna waajib hai.
  ★ Jin kaamon k jaan buj kar karne se namaaz makruhe tehrimi hoti hai..Sajda e sahw karne se bhi namaaz sahi nahi hogi bl k aysi namaaz fir se padhna waajib hai.
 ★ NAMAAZ k maruhaate tehrimiyah ye hai..Ye kaam agar namaaz mein kiye to namaaz fir se padhni hogi.
 ★ Kapde ya daadhi ya badan k saath khelna.. be-kaar O be-maani harkat karna.
 ★ Kapde sa-met-na..Sajde mein jaate waqt aage ya piiche se daaman ya dusra koi kapda uthaana..Ya pajaame ko dono haath se khinchna.
 ★ Aadhi kalaai se zyada aastin chadhaana..Chaahe pehle se ho ya namaaz mein chadhaai ho.
 ★ Namaaz mein aastin ko uuper is tarah chadhaana k haathon ki kohni khul jaaye..Isse namaaz makruhe tehrimi hogi or fir se padhni hogi..agar fir se na padhi to gunahgaar hoga.
▪NOTE...Uuper jitne kaamon ka zikar huwa aysa kiya to namaaz makruhe tehrimi hogi..firse padhni hogi.

BAHARE SHARIYAT
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Tamam mominon mein sab se achcha momin wo hai..Jiska lena or dena..Ghussa or khushi..sab kuch sirf Allah k liye ho.(32)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - B
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣3⃣ 🌷

 PESHAAB-PAAKHAANA-RIYAAH

 ★ Shiddat ka paakhaana matlab zordaar paakhaana ya khub zor ki peshaab ki haajat ho ayse waqt..Ya riyaah k ghalbe k waqt..matlab khub zor ki hawa chhodne ki haajat ho..to ayse waqton mein namaaz padhna makruhe tehrimi hai.
 ★ Agar namaaz shuru karne k waqt in chiizon ki haajat ho or namaaz ka waqt bhi khatm na hota ho to pehle in kaamon se faarigh ho jayein bhale jamaat chhut jaaye..fir namaaz shuru karein..Or..
 ★ Agar in kaamon ko karne mein Or wuzu karne mein namaaz ka waqt nikal jayega aysa lage to namaaz padh lein Or..
 ★ Agar namaaz padhne k darmiyan..biich mein..in kaamon mein se kisi kaam ki haajat ho jaaye..Or namaaz ka waqt bhi ho to namaaz tod dena waajib hai..Kyun k in chiizon ki shiddat k waqt namaaz padhna mana hai..Or..Agar padh lii to gunahgaar hoga..Namaz makruhe tehrimi hogi..fir se padhni hogi.

BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Insaaf tamam nekiyon ki jad ( buniyaad..foundation ) hai..Or..Zulam karne se tabahi or barbaadi aati hai.(33)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - C
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣4⃣ 🌷

 ★ Kurta ya Pajaama hote huwe sirf paajaama pehen kar uupar ka badan nanga rakh kar sirf paajaama ya sirf tehband ( lungi ) pehen kar namaaz padhna makruhe tehrimi hai..fir se padhe.
 ★ Sajde ki jaga se haalate namaaz mein kank-riyan hataana makruhe tehrimi hai lekin..Agar nahi hataane se waajib tariqe se sajda adaa na hoga to hataana waajib hai chaahe aik se zyada baar hataani pade.
 ★ Ungliyan chatkhana ungliyon ki qenchi bandhna matlab dono haathon ki ungliyin ko aik dusre me pirona makruhe tehrimi hai.
 ★ Kamar par haath rakhna makruhe tehrimi hai bl k namaaz k alaawa bhi kamar par haath na rakhna chahiye.
 ★ Aasmaan ki taraf nazar utha kar dekhna makruhe tehrimi hai.

BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Laalach insaan ko ghulaam banaa deti hai..Or..Be parwaaii or kisi se ummid na rakhne mein aazaadi hai.(34)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - D
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣5⃣ 🌷

 KISI K CHEHRE K SAMNE NAMAZ.
 MANDIR-GIRJAA GHAR MEIN.
 TASWIR - KAPDE-DIWAAR PAR.
 DHOBI KAPDA BADAL DE TO.

 ★ Idhar udhar munh pher kar dekhna chaahe thoda chehra firaye ya pura..makruhe tehrimi hai..Or Agar sirf diide ghuma kar dekhe to karaa-hate tanzihi hai yani namaaz ho jayegi.
 ★ Kisi k chehre ki taraf namaaz padhna makruhe tehrimi hai.
 ★ Kisi qabar k saamne munh kar ke namaaz padhna..Agar namaazi or qabar k biich mein koi chiiz na ho to makruhe tehrimi hai.
 ★ Kuffaar or mushrikin k but-khaanon mein namaaz padhna makruhe tehrimi hai..bl k un mein jaana bhi mana hai.
 ★ Ulta kapda pehen kar ya odh kar namaaz padhna makruhr tehrimi hai.
 ★ Chori ka kapda pehen kar namaaz padhna makruhe tehrimi hai.
 ★ Dhobi ko kapde dhone k liye diye or dhobi kapda badal kar laaya..Kisi aur k kapde le aaya..to un kapdon ko pehenna Mard O awrat sab ko HARAAM or Wo kapda pehen kar namaaz padna makruhe tehrimi hai.
 ★ Jis kapde par jaandaar ki taswiir bani ho use pehen kar namaaz padhi to fir padhni padegi..Or namaaz k siwa bhi ayse kapde pehenna jaaiz nahi.
 ★ Isi tarah namaazi k sar par matlab chhat par ya aage ya piiche ya sidhi taraf ya ulti taraf  kisi bhi  jaandaar ki taswir fix ya latki hui ya diwaar mein khutar kar banaayi hui taswir hai to namaaz makruhe tehrimi hogi..fir se padhe.

AALAMGIIRI
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Achche or naram suluk se aadmi ghulaam ho jaata hai..Or..Ilam [ information..malumaat..jaankaari ( diini-dun-yavi )] jahaalat ko mitaa deta hai.(35)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - E
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣6⃣ 🌷

 FLOOR PAR TASWIR HONA.
 CHLTE HUWE RAKAT BANDHNA.
 CHEHRA-NAAK CHHUPANA.
 BAGAASA..WAJIB CHHODNA.

 ★ Jaandaar ki taswiir wala kapda  pehne huwe hai or us par dusra kapda pahen liya k taswir chhup gayi to namaaz ho jayegi.
 ★ Jis jaga sajda kiya us jaga Farsh ( floor ) par agar Taswir bani hai Ya   Ya Carpet Qaalin par chhapi hui hai Or Taswiir ki jaga par sajda ho raha ho to bhi namaaz makruhe tehrimi hogi.
 ★ Agar jaandaar ki taswir farsh par zillat ki jaga ho jaise jutiyan utaarne ki jaga ho Or log us par chalte ho or pairon se rondte hon to namaaz makruh nahi lekin ye k sajda taswiir par na ho.
 ★ Muqtadi ne jama-at mein shamil hone ki jaldi mein saf k piiche se hi..AllahuAkbar..keh kar fir saf mein daakhil huwa to namaaz us ki makruhe tehrimi hui..fir se padhe.
 ★ Namaaz mein jaan buj kar bagaasa ( yawn ) lena makruhe tehrimi hai..Agar khud ba khud aajaye to harj nahi lekin ise rokne ki koshish karna chaahiye.
 ★ Namaaz ki haalat mein naak or munh ko chhupaana matlab..Naak Or Chehre ko kisi kapde ya chiiz se chhupana k nazar na aaye..To namaaz makruhe tehrimi hogi..fir se padhe.
 ★ Kisi waajib ko chhod dena..Jaise ruku sajdon mein piith siidhi na karna ya ruku k baad siidhe khade huwe baghair sajde mein chale jana..Or..2  sajdon k biich mein siidhe na baithna waghaira se namaaz makruhe tehrimi hogi.
 ★ Qe-yaam k siwa kisi aur mauqe par Quraan sharif padhna ya ruku mein qirat khtam karna..Quraan padhte huwe ruku mein chale jaana..Ye sab makruhe tehrimi.

HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Ilm se buzurgi milti hai..Jahaalat se gumraahi aati hai..Or Hiras ( jalan ) insaan ko zaliil karta hai.(36) 

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    Wo kaam Jin kaamon k jaan buj
     kar karne se namaaz makruhe
     tehrimi hoti hai..Sajda e sahw
     karne se bhi namaaz sahi nahi
        hogi bl k aysi namaaz fir se 
                 padhna waajib hai
       MAKRUHATE TEHRIMIYA - F
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣7⃣ 🌷

 MUQTADI IMAM SE PEHLE.
 SAJDE ME KALAAI ZAMIN PR.
 MARD-AWRAT AIK DUSRE K KPDE.
 SONE-CHANDI K ALAWA GEHNE.
 IMAM K QARIB HI 3 MUQTADI.
 KAAFIR KI ZAMIN ME NAMAZ.

 ★ Muqtadi ka imaam se pehle ruku ya sajde mein jana..Ya imaam se pehle ruku ya sajde se sar uthana makruhe tehrimi hai.
 ★ Mard ka sajde mein haath ki kalaaiyon ko zamin par bichaana makruhe tehrimi hai.
 ★ Jin chiizon ka pehenna shar-an na-jaaiz hai un ko pehena to us ki namaaz makruhe tehrimi hogi.
 ★ Isi tarah mard ne zanaani ( ladies ) or awrat ne mardane kapde pehen kar namaaz padhi to makruhe tehrimi hai..fir se padhe.
 ★ Sone Chaandi k siwa Lohe..Piital..Taambe..Raang..Waghaira ka Zewar pehnna awrat ko bhi mubaah nahi to mard k liye kaise jaaiz ho sakta hai..Agar in chiizon k Zewar pehen kar awrat ya mard ne namaaz padhi to makruhe tehrimi hogi..fir se padhe.
 ★ Jama-at se namaaz padhte waqt imaam k barabar 3 muqtadiyon k khade hone se imaam muqtadi sabki namaaz makruhe tehrimi hogi.
 ★ Fuq-haae kiraam ne kaafir ki zamiin mein namaaz padhne se itni sakhti se roka hai k..musalmaan ki zamiin mein us ki ijaazat k baghair padh le..magar kaafir ki zamiin se bache or agar musalmaan ki zamion mein Kheti..Fasal hai tab to nahi padh sakta to..aysi surat mein raaste mein padhe..Lekin Kaafir ki zamiin mein na padhe..Agar-che raaste mein padhna makruh hai magar ye karaahat kaafir ki zamiin mein padhne ki karaahat se halki hai.

FATAWA RAZVIYA
HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
      Tawaazo ( khud ko dusron se chhota samajna ) se aadmi ka rutbaa ooncha hota hai. Or..Takabbur ( khud ko dusron se badaa samajna ) se aadmi k rutbe mein kami aati hai.(37)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            MAKRUHATE TANZIHIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣8⃣ 🌴

 ★ Haalate namaaz mein wo kaam karna jo shar-an naa pasandida hai.
 ★ In kaamon k karne k baa wujud bhi namaaz ho jayegi or sajda e sahw karne ya namaaz dohraane ki zarurat nahi..
      Kyun k in kaamo ki wajah se farz ya waajib chhut-ta nahi.
 ★ In kaamon ka karna gunah nahi lekin namaaz k sawaab mein kami ho jaati hai.
 ★ Ruku..Sajde mein 3 Tasbih se kam padhna..jaldi jaldi ruku  sajde karna..Agar waqt ki kami hai ya train nikal jaane ka dar ho to kam padh sakte hai..ya muqtadi ne 3 tasbih na kahi or imaam ne sar utha liya to imaam ka saath de.
 ★ Peshaani se dhool ya ghaas chhudana makruh hai..Agar taklif deh hon ya un ki wajah se khayal batta hai to chhuda lein.
 ★ Farz ki aik hi rakat mein kisi aayat ko baar baar padhna ya kisi surat ko baar baar padhna makruh hai or Agar aik hi surat yaad ho to makruh nahi.
 ★ Sajde mein jaate waqt ghutne se pehle haath zamiin rakhna or uth-te waqt haath se pehle ghutne uthana.
 ★ Sajde mein ungliyon ko qible se pher dena..ruku mein sar ko piith se uncha ya niicha karna.
 ★ Koi majburi na ho fir bhi diwaar ya kisi chiiz se tek lagana..Haalate qe-yaam mein dono taraf jhumna.
 ★ Namaaz mein aankhein band rakhna makruh hai..Agar khuli rakhne mein dil nahi jamta band karne mein khushu milta hai to band rakh sakte hain.

HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Neki naram dili se hasil hoti hai..Or..Kisi k ehsaan k badle mein ehsaan karne se aazaadi milti hai.(38)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   SAJDA-E-SAHW or USKA TARIQA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 3⃣9⃣ πŸ’›

 ★ Kisi bhi namaazi se namaaz mein kabhi aysi ghalti ho jaati hai k namaaz naa tamaam or naa durust ( incomplete & improper ) ho jaati hai.
 ★ Ghalti ki wajah se ho jaane wali kharaabi sajda e sahw kar lene se duur ho jaati hai or namaaz sahi ho jaati hai.
 ★ Jin ghaltiyon ki wajah se sajda e sahw Waajib hota hai Wo Ghaltiyan..YE HAIN...
      ■ Kisi waajib k adaa karne mein der ho jaane ya chhoot jaane se.
      ■ Namaaz k arkaan k adaa hone me tartib ( serial ) tuut jaana..Aage piiche ho jaana.
      ■ Namaaz k kisi farz ya rukan k adaa hone mein der ho jaana.
      ■ Kisi bhi farz ya rukan ko us k waqt se pehle adaa kar lena.
      ■ Kisi bhi farz ya rukn ko zyada karne se Jaise..ruku 2 baar ya sajde 3 baar kar liye.
      ■ In tamaam baaton ko chand lafzon mein kahein To..
      ■ Namaaz k jitne bhi waajibaat hain un mein se aik bhi waajib chhutega To..
         Yaa kisi bhi farz ki adaayegi mein der ho jaye To..
         Sajda e sahw karna Waajib ho jayega..Isliye waajibaat ko yaad karna lazim o zururi hai.
 ★ KHAAS BAAT...
      Ye ghaltiyan agar bhul se hui to hi sajda e sahw se kharaabi duur hogi Or..Agar sajda e sahw na kiya to fir se padhni hogi..
      Or agar kisi ne jaan buj kar ghalti ki..To sajda e sahw se bhi kharaabi duur na hogi..Namaaz ko do-baara padhni padegi.
 ★ Kisi bhi namaaz k qaa-da-e akhirah mein..At-tahiyyaat..K baad siidhi taraf salaam pher kar 2 sajde karna or fir.
      At-tahiyyaat..durude Ibrahim..dua e maasurah padh kar dono taraf salaam phere.
 ★ Agar aik k bajaay dono salaam pher diye to ab namaaz fir se padhe.

HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Be-moqe hayaa ( sharm ) se aadmi mehroom reh jaata hai..Ghalat kaam se sharmin-dagi uthani padti hai..Duniya walon se be-parwaaii ( ummid na rakhna ) sab se badi maaldaari hai.(39)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SAJDA-E-SAHW K MASAAIL - A
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣0⃣ πŸ’›

 ★ Farz or nafl dono namaazon mein sajda e sahw Waajib hone ka aik hi hukm hai..Nafl mein bhi waajib chhute to sajda e sahw waajib hai.
 ★Taa-diile ar-kaan Jaise..Qauma..Jalsa..Bhul jaane se bhi sajda e sahw waajib hota hai.
 ★ Agar aik namaaz mein aik se zyada waajib chhute to bhi aik hi sajda e sahw kaafi hai.

      QIRAT KI GHALTIYAN - A

 ★ Farz namaaz ki pehli 2 rakat mein..Witar mein..Sunnat o Nafl namaaz ki kisi bhi rakat mein..Al-hamdu sharif..ki aik aayat bhi padhna bhul gaya..To..
  ● Ya surat se pehle 2 baar Al-hamdu sharif..padhi..To..
  ● Ya Al-hamdu sharif..k baad dusri aayatein milaana bhul gaya..To..
  ● Ya Al-hamdu sharif..se pehle surat padhi or Al-hamdu sharif..ko baad mein padha To..
 ★ Alhamdu sharif..padhna bhul gaya or surat shuru kar di To.. agar aik aayat jitna padh chuka tha fir yaad aaya to Al-hamdu sharif padh kar surat padhe or fir..
 ★ Agar..Al-hamdu sharif.. padhna bhul gaya or surat padh kar ruku mein chala gaya or ruku mein ya ruku se khada hone k baad yaad aaya to..Al-hamdu sharif..padh kar fir surat padhe fir ruku kare or aakhir me..
 ★ Uupr bataayi gayi sab haalaton mein aakhir mein sajda e sahw karna waajib hoga.
 ★ Namaaz mein Qe-yaam k siwa Ruku..Sajde..Qa-edah mein kisi jaga Quraan ki koi aayat Ya..Bismillah sharif..padhna bhi jaaiz nahi..Or agar padhli To..
 ★ Al-hamdu sharif..k baad surat sochne mein itni der lagaayi k 3 baar.. Subhanallah..keh liya jaaye To..
 ★ Agar Qe-yaam mein.. Al-hamdu sharif..aik se zyada baar padhi To..
 ★ Imaam ne uunchi aawaaz waali namaazein Jaise..Fajr mein dono rakaton..Magrib-isha mein pehli dono rakaton mein aik aayat  bhi dhire ( mann-me..bina aawaaz k ) padhli..To..
 ★ Uupar batayi hui In sab haalaton mein sajda e sahw Waajib hai.

HAMAARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KU NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Insaan ki ziinat ( khubsurti ) aqal se hai..Martaba himmat ( nekiyon mein koshish ) se hai..Kaam dil ki mazbooti k hisab se hote hai..Or..Aakhirat mein iimaan k hisab se rutba milega.(40)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SAJDA-E-SAHW K MASAAIL - B
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣1⃣ πŸ’›

 TAA-DIILE AR-KAAN - QUNUT

 ★ Namaaz mein  jo kaam ki tar-tib tay hai ( sequence ) wo Waajib hai..Agar kisi se tar-tib se hat kar kaam huwa To..
 ★ Witar mein Dua e Qunut bhul gaya..Ya Qunut ki takbir bhul gaya To..
 ★ Witar mein Qunut padhe baghair Ruku mein chala gaya..Ab use jaaiz nahi k fir ruku se Qunut k liye palte..bl k baaqi namaaz puri kare Or..
 ★ Uupar batai gayi haalaton mein aakhir mein sajda e sahw waajib hoga.

 RUKU - SAJDE KI GHALTIYAN

 ★ Kisi ne ruku ki jaga sajda ya sajde ki jaga ruku kiya To..
 ★ Agar kisi ne aik rakat mein 2 baar ruku kiya To..
 ★ Isi tarah kisi ne aik rakat me 2 k badle 3 sajde kiye To..
 ★ Uupar bataayi gayi tamam haalaton mein aakhir mein sajda e sahw waajib hai.

 QE-YAAM KI GHALTIYAN

 ★ Farz..Witar..Or sunnate muak-kadah ke pehle qaaede mein..At-tahiyyaat..k baad agar sirf..Allahumma salle ala muhammad..Ya.. Allahumma salle ala siyedena..Padh liya..Agar bhul kar aysa huwa to sajda e sahw waajib hai..Or agar jaan buj kar kiya to..namaaz fir se padhe.
 ★ Agar kisi ne pehle Qaaeda mein..At-tahiyyaat..k baad kuch bhi padha nahi sirf itni der chup baitha raha to bhi sajda e sahw waajib hai.

HAMARA ISLAAM
NAMAAZ K AHKAAM
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Sakhaawat ( khule haath logon par kharch karna ) dosti ka biij daalti hai..Kanjoosi aib paida karti hai.(41)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SAJDA-E-SAHW K MASAAIL - D
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣3⃣ πŸ’›

 MASBUQ MUQ-TADI K MASAAIL

 ★ MASBOOQ MUQTADI..Matlab aysa muqtadi jiski kuch rakatein ya aik rakat hi chhut gayi ho..Or fir Wo jamaat mein shamil huwa ho.
 ★ Agar namaaz mein imaam se aysi ghalti hui k sajda e sahw waajib huwa to muqtadi par bhi waajib hai chaahe masbooq muqtadi hi kyun na ho tab bhi..
 ★ Lekin masbooq muqtadi salaam phere baghair hi sajda e sahw kare..Agar masbooq muqtadi ne sajda e sahw ka salaam phera to uski namaaz jaati rahegi.
 ★ Aik aham juzya yaad rakkhein..K..Masbooq muqtadi imaam k sajda e sahw mein saath dega magar sajda e sahw k salaam mein imaam ka saath na dega.
 ★ Masbooq muqtadi ne imaam k saath sajda e sahw kiya fir..Jab apni baaqi rakatein padhne khada huwa to un rakaton mein bhi koi aysi ghalti hui k sajda e sahw waajib huwa to fir se sajda e sahw kare.
 ★ Agar muqtadi se imaam k piiche koi ghalti hui jisse sajda e sahw waajib hota ho to muqtadi ko sajda e sahw karna waajib nahi or namaaz bhi fir se padhna us k zimme nahi.

DURRE MUKHTAAR
BAHARE SHARIYAT
BEHRUR RAAIQ
FATAWA HINDIYA
MAANIYUL AASAAR
FATAWA RAZWIYAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Insaano ko jin chiizon ki khabar ( maalumaat ) nahi hoti..Wo un chiizon k mukhaalif ( pasand nai karte..Rad kar dete hain ) ho jaate hain.(43)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SAJDA-E-SAHW K MASAAIL - C
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣2⃣ πŸ’›

 QA-EDE KI GHALTIYAN

 ★ Agar pehle qaa-ede mein aik se zyada baar..At-tahiyyaat..padhli To..
 ★ Har qaa-ede mein puri..At-thiyyaat..padhna Waajib hai chaahe farz ho k nafl ho..Agar aik lafz bhi chhuta To..
 ★ Farz..Witar ya sunnate muakkadah ka pehla qaa-eda bhul gaya Or tisri rakat k liye khada ho gaya to waapas na lote namaaz k aakhir mein..
 ★ Uupar bataaye tamaam halaaton mein sajda e sahw waajib hoga..Or..
 ★ Farz namaaz mein agar aakhri qaa-eda bhul gaya or khada ho gaya to jab tak us rakat ka sajda na kiya ho to qaa-ede mein waapas lot aaye or sajda e sahw kare.
 ★ Agar Imaam aakhri qaa-ede mein..At-tahiyyaat..padhne k baad bhul kar siidha khada ho gaya to muq-tadi us ka saath na dein bl k baithe huwe intizaar karein k imaam waapas aa jaaye..Agar imaam waapas lot aaye to imaam ka saath dein or agar waapas na aaye or us rakat ka sajda bhi kar le to muqtadi salaam pher kar apni namaaz puri kar lein.

DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Tehriir ( likhaawat ) insaan ki niyat ko zaahir karti hai..Or..Insaan ka kaam us k iraade ka pataa deta hai.(42)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    SAJDA-E-SAHW K MASAAIL - E
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣4⃣ πŸ’›

 MASBUQ MUQ-TADI K MASAAIL

 ★ Imaam par sajda e sahw waajib na tha or us ne bhul kar sajda e sahw kiya To..
 ★ Imaam or Wo muqtadi jinki koi rakat chhuti na ho un ki namaaz ho jaayegi.
 ★ LEKIN..Masbooq muqtadi jis ki kuch rakatein chhuti us ki namaaz na hogi.
 ★ Wo masbooq muqtadi jo sajda e sahw mein jaane k baad shaamil huwa us ki bhi namaaz na hogi.
 ★ Aakhri qaa-ede mein aysa laga k ye pehla qaa-eda hai or khada ho gaya to foran qaa-ede mein beth jaaye Or foran At-tahiyaat padhe baghair hi sajda e sahw kare or baad mein..At-tahiyyaat..Durud..Dua padh kar salaam phere..Or..
 ★ Agar masbooq muqtadi se un rakaton mein jo us ne imaam k saath padhi hai..Koi aysi ghalti hui jis se sajda e sahw waajib ho jaata hai..To sajda e sahw waajib nahi.
 ★ Sajda e sahw waajib ho chuka lekin namaazi aakhri qaa-ede mein..At-tahiyaat..k baad Durud o Dua bhi padhli fir yaad aaya k sajda e sahw karna hai..At-thiyaat..k baad salaam se pehle kabhi bhi kare sajda e sahw ada ho jaayega.

BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
FATAWA RAZWIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Shukar adaa karne se neamatein hamesha baaqi rehti hain..Or tawaazo ( aajizi ) karne se bulandi milti hai.(44)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - A
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣5⃣ πŸ’—

 ★ Har aadmi ko kahin na kahin safar karna padta hai..Namaaz ko har haal mein padhna hota hai..Lekin safar ki namaaz mein kuch aasaaniyan hai.
 ★ Safar ( travelling ) mein Zohar..Asar or Isha..Matlab 4  rakat waali farz namaazon mein QASR ka hukm hai..Matlab 4 k badle 2 rakat farz padhne ka hukm hai.
 ★ Sunnatein puri padhi jayengi..agar ujlat hai ( afra tafri hai..kam waqt mein zyada kaam niptaane ho ) aysi haalat mein sunnatein muaaf hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      MUSAAFIR KIS KO KEHTE HAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Shariyate mutah-harah ki nazar mein Musaafir ( traveller ) Wo hai jo 3 din ki duuri tak jaane k iraade se apni basti se safar k liye nikle.
 ★ 3 din ki duuri ka matlab hai 57.50 mile ki duuri k iraade se apni basti se nikle wo MUSAAFIR hai Or..Aysa shakhs Namaaz 4 rakat wali  QASR matlab 2 padhega.

  ■ 57.5o mile..Matlab 92.54 kilo
      meter huwa.
  ● 1 mile = 1.60934 k.m.
  ● 57.5 mile = 92.53705 k.m....=
      92.54 k.m.

MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Insaaf karne se dosti ( talluq ) hamesha qaayem rehte hai..Or..Wa-az or nasihat karne se ghaflat ( susti ) duur ho jaati hai.(45)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - B
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣6⃣ πŸ’—

 AGAR QASR NA KI TO GUNAH

 ★ Musaafir par waajib hai k wo 4 rakat farz waali namaazon ko  2 rakat padhe..Agar zyada sawab ki niyyat se puri 4 padhega to gunah-gaar hoga azaab ka haq-daar hoga.
 ★ Jis par shar-an namaaz qasr hai..Or us ne be-khabri ki wajah se puri padhi to us namaaz ka pherna waajib hai..fir se padhe.
 ★ Sirf Zohar..Asar..Isha..ki farz qasr hai..Maghrib or Fajr ki farzon mein qasr nahi..puri padhe..Or sunnaton mein bhi qasr nahi.

 AIK HI CITY K 2 RASTE HO TO ?
 NON-STOP 92.54 km K SAFAR
 SE HI MUSAFIR HOGA

 ★ Agar kisi jaga jaane k 2 raaste hai..Aik raste se jao to 92.54..k.m. hota ho Or dusre raste se jao to us se kam hota hai..To jis raste jayega usi raste k hisaab se hukm hoga.
 ★ Agar pehle wale raste se gaye to Musaafir..Or dusre wale raste se..to Musaafir nahi honge.
 ★ 92.54 k.m. Ki Musaafat ( distance ) Musalsal ( non-stop ) tay karne se hi musafir hota hai.

AALAMGIIRI
BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
FATAWA RAZWIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Iisaar ( dusre ki zarurat ko apni zarurat se zyada zaruri samajna..Dusre k liye khud chhod dena ) se aazaad log bhi ghulam ho jaate hain..
     Logon par ehsaan karne se qadar ( izzat ) badhti hai..Or..Khaa-moshi se izzat O waqaar ( haibat o dab-dabaa ) badhte hain.(46)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - C
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣7⃣ πŸ’—

 KITNI DUURI PAR MUSAFIR ?
 KAB SE QASR PADHEGA ?
 KITNE DIN K QEYAAM SE MUQIM ?

 ★ 92.54 k.m. Ya us se zyada duuri..distance k safar k iraade se nikalne wala apne she-her ki aabaadi se baahar hote hi us par musaafir k ahkaam lag jayenge.
 ★ Apne sheher ki aabaadi se nikal kar wo qasr namaaz padhega.
 ★ Jahan jaa raha hai wahan 15 din se kam the-her-ne ka iraada hai to musaafir hai.
 ★ 15 din ka ya us se zyada ka iraada hai to wahan ki aabaadi aate hi Wo muqiim ho jayega matlab namaaz puri padhega.
▪KHAAS NOTE..
     Agar 92.54 k.m. ke iraade se safar kare..To saare raste wo qasr hi padhega chaahe apni manzil par pohonchne k baad 15 din ka iraada ho ya us se kam ka ho.

 AGR SAFAR K TUKDE KARE TO ?

 ★ Agar koi safar k tukde karte huwe safar kare..Or Un tukdon mein koi bhi tukda 92.54 k.m. Ka nahi To..Chahe fir Wo kayin 100 k.m. Safar kare..Wo musaafir nahi hoga.
 ★ Jayse koi apne city se chala 75 k.m..Or aik sheher mein aik din k liye ruka..Apna kaam kiya..
      Fir wahan se 80 km duur dusre sheher mein ruka wahan apna kaam kiya..
      Is tarah hazaaron k.m. bhi safar kiya to Wo musafir nahi hai..Chaahe hazaaron k.m. is tarah ghume..
 ★ Wo musaafir k hukm mein nahi..Or namaaz bhi puri hi padhega.

AALAMGIIRI
BAHAARE SHARIYAT
JUZIYA-MAA-KHAZ-AZ-GHUNIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Narmi karne se apne maqsad mein kamyabi milti hai..Logon par ehsaan karne se gunah maaf ho jaate hain..Or..Gunah maaf hone se buzurgi milti hai.(47)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - D
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣8⃣ πŸ’—

 ★ WATAN 2 tarah k hote hain..

           ■ WATAN e asli.
           ■ WATAN e iqaamat.

 ★ WATAN-e-asli..Matlab wo jaga jahan us ki paidaaish hui..Yaa us k ghar k log..Biwi-Bachche hon jahan mustaqil ( permanent ) tor par rehte hon or jahan us ne permanent settelment kar liya ho Or ye iraada hai k isi jaga hamesha rahunga or yahan se na jaunga.
 ★ WATAN-e-iqaamat..Matlab wo jaga k jahan musaafir ne 15 din ya us se zyada din the-her-ne ka iraada kiya ho.

 AGAR 2 CITY MEIN 2 BIVIYAN HO

 ★ Agar kisi ki 2 biwiyaan alag alag city mein permanent rehti hon to wo  dono sheher us k liye watan e asli hai..Un jagahon par pohonchte hi wo muqim ho jayega or namaaz puri padhega..Or..
 ★ Agar koi apne ghar waalon ko apne watan e asli se le kar chala gaya or dusri jaga sukunat ikhtiyaar kar li ( rehne laga ) or pehli jaga mein us ka makaan or asbaab waghaira baaqi hai to wo pehla maqaam bhi us k liye watan e asli hai or dusra bhi watan e asli hai.

 AWRAT MAYKE MEIN QASR PADHE

 ★ Awrat biyah kar k susraal chali gayi or susraal mein hi rehne lagi to ab us ka mayka us k liye watan e asli na raha..
      Matlab agar susraal 92.54 k.m. Ki duuri par hai or wo apne mayke aayegi or 15 din se kam ka irada hai to namaaz qasr padhegi.
 ★ Musaafir apne safar se apne watan e asli pohonchte hi safar khatm ho gaya or wo muqiim hai..Chaahe aik din hi k liye rukna ho tab bhi..Ab puri namaaz padhega

RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Taklifein bardasht karne se izzat milti hai..Kaamyaabi ( success ) hoshiyari se hai or Hoshiyari ( cleverness ) tajrubon ( experince ) se milti hai.(48)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - E
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 4⃣9⃣ πŸ’—

  TRAIN MEIN NAMAZ K MASAAIL

 ★ Chalti hui sawaari ( vehicle ) par namaaz padhne k masaail ko achchi tarah samajne k liye aik ahem juziya zehen mein rak-khein k..Namaaz k liye..Istiqraar-Alal-Ard..Shart hai..Matlab sawaari ka zamiin par the-her-na shart hai.
 ★ Agar sawaari zamiin par hai or theh-ri hui nahi hai..Ya theh-ri hui hai magar zamiin par nahi hai..bl k paani par hai..Jayse chalti hui Train..Ya kinaare lagi hui Kashti Ya Naaw..In par baghair sharaii uzr ( majburi ) k namaaz sahih nahi.
 ★ Farz..Waajib..Or Sunnate-fajr Chalti hui Train mein nahi ho sakte..Agar Train na theh-re or waqt nikal jaa raha hai to train mein padh le or fir the-her-ne par i-aa-dah kare..Yani fir se padhein.

 AEROPLANE - STEAMER PAR
 NAMAAZ PADHNE K MASAAIL

 ★ Aeroplane ( hawaai jahaaz ) agar airport par khada hai to us par..Istiqraar-Alal-Ard...k juziye ki bina par namaaz sahih hai..Or agar hawaai jahaaz hawa mein ud raha ( flying ) hai to bhi us mein namaaz durust hai.
 ★ Isi tarah chalti hui Kashti Ya Steamer par namaaz padhi jaaye to durust hai.
 ★ Uupar bataayi hui soor-ton mein in dono par namaaz durust isliye hai k..Chalti hui Kashti ko rok kar Paani par utar kar namaaz padhna mumkin nahi..Isi tarah udte huwe Aeroplane se bahar nikal kar hawa mein bhi namaaz padhna  mumkin nahi.

FATAWA RAZVIYA
NUZHATUL QAARI 
SHARHE BUKHAARI
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
    Anjaam ki fikar ( andaazaa ) sochne se pata chal jaata hai..Or..Fikar sochne se milti hai.(49)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒˆ QAADRI  FAIZ  🌈- NAMAAZ -🌈
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MUSAAFIR (traveller) ki NAMAAZ - F
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ⓜ - 5⃣0⃣ πŸ’—

 CAR - BUS MEIN NAMAAZ KAYSE

 ★ Agar bus yaa car se travellig kar rahe hai or use rok kar namaaz padhna possible hai..Authority hai To..Rok kar padhe Or..
      Agar state transport yaa private transport ki bus se safar kar raha hai or use rokna apne ikhtiyaar mein nahi to bus jahan thehre wahan utar kar namaaz padhle.
 ★ Agar bus k theherne k intizaar mein namaaz ka waqt nikal jaane ka Imkaan..chance..Dar.hai to chalti hui bus mein hi namaaz padhle.
 ★ Agar bus mein bhiid na hone ki wajah se jaga hai to khade ho kar padhe Or..Mumkin nahi to beth kar Ruku Sajde kar k namaaz padh sakta hai To isi tarah padhle.
 ★ Agar bus mein bhiid hai or apni seat se khada na ho sakta ho..Yaa hil nahi sakta hai to apni seat par baithe huwe ishaare se padhle or baad mein us namaaz ka e-aa-dah zurur kare..yani fir se padhe.
 ★ Uupar bataye hue  haalaat aa jayein..To agar wuzu hai to behtar..Or..Agar wuzu nahi to Tayam-mum kar le...Tayam-mum k liye bus ki body par jo dhuul ki teh chadhi ho..Usi se kiya jaa sakta hai.

 AWRAT - NOKAR - BETA - SHAGIRD

 ★ Awrat ko baghair Shohar ( husband ) k 3 din ki..Matlab 92.54 k.m. Yaa zyada ki duuri jaana jaaiz nahi..Bl k aik din ki duuri ki bhi ijaazat nahi.
 ★ Naa-baaligh bachcha yaa nim paagal ( half mad ) k saath bhi safar nahi kar sakti..Safar k doran baaligh meh-ram ka saath hona zaruri hai..Meh-ram k liye zaruri hai k sakht faasiq or be-baak na ho.
 ★ Aysa meh-ram ladka jo baaligh hone k qarib ho us k saath awrat safar kar sakti hai.
 ★ Nokar Seth k taabe hai..Beta farma-bardaar..Apne baap k taabe hai..Shaagird apne Ustaad k taabe hai..Iska matlab ye huwa k..
 ★ Seth ki safar ki jo niyyat hogi wahi nokar ki hogi..Ayse hi Baap ki safar ki jo niyyat hogi wahi bete ki..Or Ustaad ki safar ki jo niyyat hogi wahi shaagird ki hogi.

 IMAM - MUQTADI - MUSAFIR

 ★ Agar imaam musaafir hai or muqtadi muqiim ho to 4 rakat waali namaazon mein imaam 2 rakat par salaam k pherne k baad..Muqim muqtadi apni baaqi 2 rakat namaaz ada karein Or ab in 2 rataton k qe-yaam mein ( khade ho tab ) muqtadi kuch bhi nahi padhenge..Sirf..Sure Fatehaa padh li jaaye itni der chup chaap khade raheinge..Baaqi namaaz puri kar k salaam pher dein.
 ★ Musaafir imaam ko chahiye k namaaz shuru karne se pehle is baat ka ae-laan kare k..Mein musaafir hun or 2 rakat par salaam pher dunga..Muqim muqtadi apni baaqi namaaz puri kar lein.
 ★ Agar muqiim imaam k pichhe musafir 4 rakat waali namaaz padhe to 4 rakat puri padhe.

RADDUL MOHTAAR
FATAWA AALAMGIRI
BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
     Neki ( achche kaam ) karne se buzurgi-leader-ship milti hai or shukr karne se neamatein badhti hai.(50)

AQWAALE HAZRAT ALI
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 ■ QAADRI FAIZ - 9227946348

QAADRI FAIZ K...NAMAZ..topic
ki sabhi post eik sath padhne
ke liye is link par visit karein.

https://m.facebook.com/QADRI-FAIZ-NAMAZ-470829373089947/
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO