JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

πŸŒ‡ QAADRI FAIZ πŸŒ‡ - AZAAN - πŸŒ‡

 πŸŒ‡  QAADRI  FAIZ  πŸŒ‡ - AZAAN - πŸŒ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
          AZAAN SUNE TO KYA KARE
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸ…°  1⃣

 ★ Azaan me kul 15 kalemaat hain.
 ★ MAFHUME HADIIS..
 ★ Juzwe hadiis..
 ★ Agar koi musalman awrat aik mukammal azaan ka jawab de to yani muazzin ( baangi sahab ) jo bhi kahe usko dohrati jaye to..
     ● 15,00,000...pandra LAAKH
          nekiyan milegi..
     ● 15,000 darajaat buland honge..
     ● 15,000 gunah muaf ho jayenge..
 ★ Or agar musalman mard ye jawaabat de to is sawab se double sawab milega..( kanzul ummaal )
 ★ Isi tarah andaaza lagaaye k 5 waqt ki azaan k jawab apne kaam kaaj chhod kar de dein to kitna sawaab mil sakta hai...?
 ★ Jo bhi azaan k waqt baaton me laga rahe uska khaatma bura ho sakta hai....( Bahaare shariyat )...
 ★ FAZILAT...mafhume hadiis..
     Aaqa...alayhissalaam...ne aik sahabi k intiqaal k baad farmaya K...Kya tumko malum hai k Allah ne use jannat mein daakhil farmaya..
      logon ko sun k taajjub huwa kyun ki zahir mein un ka koi bohot bada nek amal na tha...ye sun kar koi un k ghar walon se puchne pohnche to bataya gaya k...Un ka koi khaas amal to na tha lekin jab bhi azaan hoti apne tamam kaam kaaj chhod kar ghor se azaan sunte or jawab dete the.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        AZAAN K JAWAB KAYSE DEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Muazzin jo bhi kalima kahe usko doh-raate jaayein..
★ Jab muazzin...ASHSHADU ANNA MUHAMMDAR RASULULLAH...kahe to ye dohra kar ye kahe...
    ● Sallahu Alayka Ya Rasulallah..
        kahe...Or...Jab dusri baar
        kahe to...
    ● Qurratu Aini Bika Ya
        Rasulallah...kahe..
★ Jab...Hayya alassah...Hayya alal
       falah...kahe ise dohra kar...
    ● Laahawla Walaa Quwata Illa
        Billah...kahe...
★ Azaane fajr mein jab muazzin...Assalaatu Khairum Minan Naum...kahe to ye kahe..
    ● Sadaqta Wabararta Wabil
        Haqqi Nataqta
        kahe..

HAMAARA ISLAAM
AHKAAME NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒ‡  QAADRI  FAIZ  πŸŒ‡ - AZAAN - πŸŒ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       AZAAN K MUKH-TALIF MASLE
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸ…°  2⃣

 ★ Namaaz ki azaan k alawa dusri azaanon k bhi jawab dein jaise bachche k kaan me paida hote waqt ki azaan.
 ★ Raste par chal rahe the k azaan ki aawaaz aayi to behtar ye hai k ruk jaaye or azaan k jawab dein.
 ★ Azaan k waqt Salaam...kalaam...Salaam ka jawab...Quraan ki tilaawat...bhi rok dein or azaan k jawab dein.
 ★ Agar aik sath bohot saari azaanein ho rahi hon to sirf pehli ka jawab de dena kaafi hai..Or..behtar ye hai k sab ka jawab dein.
 ★ Muqtadiyon ko KHUTBE ki azaan ka jawab nahi dena chahiye.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     AZAAN K DUSRE MOQE YE HAIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Bachche ki paidaish par us k
      kaan mein.
 ★ Ghamgiin k saamne.
 ★ Mergi wale k kaan mein....Ye aik
      biimaari hai jis mein mariiz
      achanak behosh ho kar gir jata hai.
 ★ Ghusse war aadmi k kaan mein.
 ★ Badmizaaj jaanwar k kaan mein.
 ★ Aag lagne k waqt...
 ★ Maiyyat ko dafnanane k baad.
 ★ Jinnaat ki sharkashi k waqt.
 ★ Jungle mein raasta bhul jaaye or
      koi bataane wala na ho us waqt.
 ★ Wabaa....aam bimari k
      zamane mein.

HAMAARA ISLAAM
AHKAAME NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŒ‡  QAADRI  FAIZ  πŸŒ‡ - AZAAN - πŸŒ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        AZAAN SE PEHLE DURUD ❓
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸ…°  3⃣

 ★ WASWASAA...
      Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ki zaahiri hayaat me or Khulfa e raashidin..alyhimur ridwaan...k dor mein jab azaan se pehle durud sharif nahi padha jata tha...isliye ab aysa karna buri BID'AT or GUNAH hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     WASWASE KA DALIL SE JAWAAB
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar isi nazriye ko maan liya jaaye k jo kaam US dor me nahi hota tha wo ab IS dor me buri bid'at or gunah hai...To..
      Is dor ka pura nizaam..system..hi darham barham ho jayega..
  ★ Ayse kaam jo US dor mein nahi the..Ayse bohot se kaam ab is dor mein sabhi logon ne apnaaye huwe hai..misaal k tor par..
       ● Quraane paak par NUKTE or ZER...ZABAR...PESH...Hajjaaj bin Yusuf ne 95 Hijri mein lagwaye.
       ● Quaane paak ki printing ki system.
       ● Masjidon k biich mein imaam k khade rehne k liye MEHRAAB na thi...bad me ye system apply hui.
       ● 6 KALME...Aaj madarse mein jo padhaye jaate hai...pehle nahi the.
       ● Ilme SARF...NAHU...Ilme HADIIS....types of Hadis.
       ● SHARIYAT...TARIQAT k 4 silsile....ZABAAN se namaaz ki niyat..
       ● AEROPLANE se Hajj ka safar.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Ye SAARE kaam US mubaarak dor me nahi the lekin ab IS dor me koi GUNAH nahi kehta...To sirf  Azaan se pehle durud sarif padhna hi bid'at..?
 ★ YAQINAN...Yaqinan har wo nayi chiiz jo na sunnat k khilaaf ho na hi sunnat ko mitaane wali  ho or SHARIYAT ne us chiiz ya kaam se roka na ho BID'AT E HASANAH hai or MUBAH hai...Yani achchi BID'AT or JAAIZ hai..
 ★ Hadise paak ka mafhum...K..Jisne bhi musalmaano mein koi achcha tariqa shuru kiya or baad mein us tariqe par amal kiya gaya to us tariqe par amal karne walon ka AJAR bhi shuru karne wale ko milega Or amal karne walon k ajar me kami na hogi.
 ★ Ho sakta hai kisi k zahen mein ye sawaal aaye k...HADIIS mein hai k..
      MAFHUM..K..Har bid'at gumrahi hai or gumrahi jahannm me le jaanewali hai..( misHkat sharif )....
 ★ To isse murad BID'AT E SAIYEAH hai..Yani buri bid'at hai..Or Wo bid'at jo sunnat ko mitaane waali ho ya sunnat k khilaf ho wo YAQINAN buri bid'at hai.
 ★ Siyeduna SHAIKH ABDUL HAQ..MUHADDIS dehelwi....alayhirrahman...farmate hai k...Jo bid'at usul or qawaa-ide sunnat k muwafiq Or us k mutabiq QIYAAS ki hui hai...( Yani sunnat O shariyat se nahi takraati ho )...Usko BID'AT E HASANAH kehte hai or jo is k khilaf ho wo bid'at..gumrahi kehlati hai..
( ASHI-ATUL LAM-AAT )
 ★ Ab jo log ise BID'AT kehte hain wo bataaye k AZAAN se pehle durud sharif padhne se konsi sunnat takraati hai Ya sunnat ko mitaati hai..lihaza AZAAN se pehle durud sarif padh sakte hai.

HAMAARA ISLAAM
AHKAAME SHARIYAT
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO