JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

TAHAARAT KE BAARE ME MALUMAT..


 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      NAJAASAT ki qismein ( types )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 1
▪Har aaqil o baaligh musalmaan mard O awrat k liye tahaarat ( paaki ) k wo ahkaam siikhne FARZ E AIN hai jinse namaaz sahi ho sake.
▪Najaasat ( naapaaki ) ki 2 qismein ( types ) hai...
      ▪Najaasate Ghalizah...
      ▪Najaasate Khafifah...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
NAJASATE GHALIZAH kise kehte hai ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Insaan k badan se jo chiiz nikle ki usse ghusl ya wuzu waajib ho...wo chiiz..
      NAJAASATE GHALIZAH hai..
jayse...
🔸Peshaab...
🔸Paakhaana...
🔸Behta khoon...
🔸Piip...paroo...
🔸Munh bhar Vomit...
🔸Haiz..Nifaas..ka khoon...
🔸Istehaaza ( bimari ) ka khoon..
🔸Mani..Mazi..Wadi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
NAJASATE KHAFIFAH kise kehte hai ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Jin jaanwaron ka gosht halaal hai jaise..
★ Gaay.......★ Bel..
★ Bhens.....★ Bakri..
★ Uunt..wagaira..
      In sab ka peshaab..or ghode ka peshaab or Jis parinde ka gosht haraam hai...chaahe shikaari ho ya na ho..Jaise..
★ Kauwa.....★ Chil.....
★ Shikra......★ Baaz..or in ki biit ( paakhaana )..
     Ye sab...
      NAJAASATE KHAFIFAH hai...

BAHARE SHARIYAT
FATAWA AALAMGIIRI
FATAWA QAAZI KHAAN
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       MURDAAR kise kehte hai ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 2...Ghalizah...
▪Jo khoon zakham se baha na ho wo paak hai.
▪Dukhti Aankh se jo paani nikle wo najaasate ghalizah hai.
▪Naaf ( Dhooti ) se ya pistaan ( awrat k siine ) se dard k saath paani nikle wo najaasate ghalizah hai.
▪Zamiin k har jaanwar ka behta khoon..Murdaar ka gosht or Charbi...ye sab najaasate ghalizah hai.
▪Jis jaanwar me behta khoon ho or agar baghair sharai tariqe k wo mar jaye...use Murdaar kehte hai.
▪Majusi ( parsi ) butparast ( hindu ) ya murtad ( musalmaan tha koi aysa kam kiya k islaam se khaarij ho gaya..nikal gaya ) in sab ka zabiha ( in k haath se kata huwa janwar ) bhi Murdaar hai.

FATAWA RAZWIYAH
Jild 1 safa..269..270..280
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   SHARAAB..PARINDE..CHOPAAYE..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 3... Ghalizah...
▪Haraam chopaaye ( 4 pairon wale ) jaanwar...jaise...
 ★ Kutta.................★ Sher......
 ★ Lomdi................★ Billi......
 ★ Chuha................★ Gadha......
 ★ Haathi................★ Suwar...or...
 ★ Khachchar........
      in sab ka paakhana..peshaab or ghode ki liid ye sab najaasate ghalizah hai.
▪Har halaal chopaaye ka paakhana..jayse..
      ★ Gaay..Bhens ka gobar..
      ★ Bakre..Uunt ki mengni...
    ye sab bhi najaasate ghalizah hai.
▪Jo parinda uuncha na ude uski biit..jayse Murghi..Batakh..chhoti ho ya badi sab najaasate ghalizah hai.
▪Har tarah ki sharaab ( daaru ) or nashaa laanewali taadi najaasate ghalizah hai.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2  safa 112
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   MUNH BHAR VOMIT..BABY VOMIT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 4... Ghalizah...
▪Saanp ( snake ) ka paakhana peshaab..us jangli saanp or mendak ka gosht k jin mein behta khoon ho or unki Khaal...
     chaahe zebah kiya gaye ho...tab bhi sukha liya ho   tab bhi najaasate ghalizah hai.
▪Suwar ka gosht.. haddi..or baal...chaahe zebah kiya ho tab bhi najaasate ghalizah hai.
▪Chipkali ( sipkali ) or girgit ka khoon...
 ★ Dudh pite bachche ya bachchi ka peshaab..paakhaana..or...
 ★ Munh bhar vomit..bhi najaasate ghalizah hai.( Munh bhar vomit ka matlab...jis vomit ko taklif k baghair roka na jaa sake )

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2   safa..112..113
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   KITNI NAJASAT-NAMAZ NA HOGI ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 5... Ghalizah...
▪Najaasate ghalizah ka hukm ye hai k...Badan par aik dirham se "zyaada" lag jaaye to uska paak karna farz hai.
▪Agar baghair paak kiye namaaz padhli to namaaz na hogi..or..
▪Aysi haalat me namaaz padhna sakht gunah hai...or..
▪Agar namaaz ko halka samajh kar baghair paak kiye namaaz padhi to KUFR hai.
▪Agar dirham k "baraabar" kapde par ya badan par lagi ho to paak karna waajib hai.
▪Baghair paak kiye namaaz padhli to namaaz makroohe tehrimi hogi..or paak kar k firse padhna waajib hai...or...
▪Jaanbujhkar aysi haalat me namaaz padhna gunah hai.
▪Agar najaasate ghalizah dirham se "kam" kapde ya badan par lagi hai to use paak karna sunnat hai...
▪Baghair paak kiye namaaz padhli to ho jayegi..Magar khilaafe sunnat hai...aysi namaaz firse padh lein to behtar hai.
🔹" Dirham " ka matlab agle massage mein post hoga.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 111
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      DIRHAM KI TARIF...defination..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 6... Ghalizah

▪Najaasate ghalizah ka dirham ya usse kam ya usse zyada k matlab ye hai k...
▪Najaasate ghalizah agar gaadhi ho jayse paakhaana..liid..to dirham ka matlab wazan mein...saadhe chaar maashaa...( 4.374 gram )..to agar najaasat dirham se zyada ya kam hai to iska matlab....wazan me 4.5 maasha se zyada ya kam hona hai..
▪Agar najaasat patli ho jayse peshaab wagaira to iska matlab lambaai chodaai hai.
▪Matlab...hatheli ko khoob phailaakar siidhi rakkhe or us par dhire se itna paani daalein k ab isse zyada hatheli par na ruk sake..
     Ab jitna paani ka phailaaw hai utna badaa dirham samjha jayega.
▪Kisi kapde ya badan par kuch jagahon par najaasate ghalizah lagi or...kisi jagah bhi dirham k baraabar nahi...
      Lekin sabko milaakar dirham k baraabar hai to..diram k baraabr samjha jayega..agar dirham se zyada hai to zyada samjha jayega.
🔻Najaasate khafifah me bhi sabko milaakar hi hukm diya jayega.

BAHAARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 111..115
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     NAJAASATE khafifah ka hukm...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 7... Khafifah...

▪Najaasate khafifah ka hukm ye hai k kapde k jis hisse ya badan k jis uzwa mein lagi hai...agar uska chothaai ( 1/4 ) se kam hai to muaaf hai..
▪Jaise aastiin mein najaasate khafifah lagi hai to agar aastiin ki 1/4 se kam hai...ya daaman mein lagi hai to daaman ki chothaai ( 1/4 ) ...( matlab daaman k 4 hisse kiye jaye to usme ka 1 hissa ) se kam hai ya isi tarah haath me lagi hai or 1/4 se kam hai to maaf hai.
▪Matlab 1/4 hisse se "kam" lagi hai or namaaz padhli to ho jayegi...or..
▪Agar poore chothaai ( 1/4 ) me lagi hai to baghair paak ( baghair dhoye ) kiye namaaz na hogi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2  safa 111
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     JAANWAR ki JUGAALI ka hukm...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 8... Khafifah...

▪Har chopaaye ( 4 pair wale ) ki jugaali ka wahi hukm hai jo us k paakhaane ka hai.
▪Jaanwaron ka apne chaare ko pet se nikaal kar munh me do-baara chabaana....ise jugaali kehte hai.
▪Jaise Gaay..Uunt..Bakre apna munh chalaate rehte hai or un k munh se saabun ki tarah jhaag nikalta rehta hai.
▪Use jo jhaag nikalta hai jugaali me...ye najaasate ghalizah hai.

BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO
03/11/15, 2:27 AM - Qadri Faiz: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     JANWARON ka pitta..vomit..biit..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 9...jaanwar...

▪Har jaanwar k pitte ka wahi hukm hai jo us k peshaab ka hai..
 ★ HARAAM jaanwaron ka pitta najaasate ghalizah hai or..
 ★ HALAAL janwaron ka pitta najaasate khafifah hai.
▪Har jaanwar ki vomit us k biit ( paakhane ) ka hukm rakhti hai....matlab jiski biit paak uski vomit bhi paak....
▪Jaise chidiya..kabutar ki biit paak to uski vomit bhi paak...
▪Baaz..kauwe..ki biit najaasate khafifah hai to unki vomit bhi najaasate khafifah hai..or..
▪Jiski biit najaasate ghalizah hai uski vomit bhi najaasate ghalizah hai..jaise murgi ( chicken )..bataq ( duck ).

BAHARE SHARIYAT
DURRE MUJHTAAR
FATAWA RAZWIYA
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   DOODH YA PAANI mein gir jaye to...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 10... Behti chiz me..

▪Najaasate ghalizah or khafifah k jo alag alag hukm bataaye gaye ye usi waqt hai jab k badan ya kapde me lage...
▪Agar kisi patli chiiz... jayse doodh ya paani me gir jaaye...chaahe ghalizah ho ya khafifah dono surton me wo doodh ya paani jisme najaasat giri hai naapaak ho jayega chaahe aik tiipa hi najaasat giri ho..or...
▪Najaasate khafifah agar najaasate ghalizah me mil jaye to wo tamaam najaasate ghalizah ho jayegi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa ..112..113
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 DIWAR-JHAAD-ZAMIN kaise paak ho
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 11

▪Naapaak zamiin agar sookh jaaye or najaasat ka asar...matlab rang or baas baaki na rahe to wo zamiin paak ho gayi ...Chaahe wo naapaaki..
 ★ HAWA se sukhi ho...ya..
 ★ DHOOP se sukhi ho ya..
 ★ AAG se..sukhi ho.
▪Lihaaza ab aysi zamiin par NAMAAZ padh sakte hai...
      Lekin us zamin se TAYAMMUM nahi kar sakte hai.
▪Jhaad..Ghaas..Diiwaar.... Or aysi iinth jo zamin se judi hui ho ye sab sookh jaane se paak ho jaate hai...agar rang or baas jaate rahein...or...
▪Agar iinth judi hui na ho to dhoye baghair paak nahi hogi...isi tarah jhaad ya ghaas bhi agar naapaaki sookhne se pehle hi kaat liye gaye to dhoye bagair paak na honge...dhona zaruri hai.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2  safa 123
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ZAMIIN se judi hui chiiz k bare mein
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 12

▪Agar patthar aysa ho jo zamIin se juda hai or alag na ho sake to sookhne se paak ho jaayega...agar najaasat ka asar khatm ho jaye...warna dhone ki zarurat hai.
▪Jo chiiz zamiin se judi ( mili hui ) thi or naapaak ho gayi fir sookhne or najaasat ka asar khatm hone k baad alag ho gayi...to ab bhi paak hi hai.
▪Lekin jo chiiz sookhne ya ragadne waghaira se paak ho gayi...fir us k bad gili ho gayi to wo chiiz naapaak na hogi.( paak hi kehlaayegi )
▪Jaise zamin par peshaab padne se wo naapaak ho gayi...fir sookh gayi..or najaasat ka asar khatm ho gaya to wo zamin paak ho gayi.

BAHARE SHARIYAT Hissa 2
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 KHOON waali zamin-GOBAR ki zamin
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 13

▪Kisi bade ya bachche ne zamiin par peshaab ya paakhaana kar diya...ya zakham se khoon ya piip nikla...ya jaanwar zebah karte huwe zamiin par khoon gira...to...
▪Baghair paani k waise hi kisi kapde wagaira se ponch liya..or..
▪Agar sookh gaya...najaasat ka asar khatm ho gaya to wo zamiin paak ho gayi...us par namaaz padh sakte hain.
▪GOBAR se liipi gayi zamiin sookh gayi to bhi us zamin par direct namaaz jaaiz nahi...
▪Agar us par koi mota..jaada kapda bichhaa kar namaaz padhe to  namaaz durust hogi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa..126
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Parinde ki biit..★ Machli ka khun..
 ★ Gadhe ka thook..pasinaa..
 ★ Peshaab k baarik chinte...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 14

▪Chamgaadadh ki biit  ( paakhaana ) or peshaab dono paak hai.
▪Jo halaal parinde uunche udte hai...jaise Chidiya..Kabutar..Mainaa..Murghaabi..waghaira..... inki biit bhi paak hai...
▪Machli or paani k dusre jaanwar or Khatmal ( maankad ) or Machchar ka khoon..Or...
▪Gadhe ka luaab ( thook ) or Pasiina... Ye sab paak hai...
▪Peshaab k bohot baariik chiinte ...sui ki nok k barabar agar badan ya kapde par ude..lage..gire... To kapda or badan paak hai....
▪Jis kapde par peshaab ki aysi hi baariik chiinte pade hon...agar aysa kapda paani me pad gaya to paani bhi napaak na hoga...

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..113..114
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Gosht ka khun ★ Chuhe ki mengni
★ Janwaron ki sukhi haddiyan...
★ Haraam janwar ka doodh..
★ Makkhi..paakhaane par..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 15

▪Gosht..Tilli...Kaleji..mein jo khoon baaki reh gaya wo paak hai..or agar ye chiizein behte khoon me san jayein..lag jayein to naapaak hai..dhoye baghair paak na hogi.
▪Suwar k siwa tamaam jaanwaron ki wo haddi jis par murdaar ki chiknaai na lagi ho... Wo paak hai..or baal or daant bhi paak hai.
▪Haraam jaanwaron ka doodh naapaak hai....lekin ghodi ka duudh paak hai magar khaana jaaiz nahi..
▪Choohe ki mengni naapaak hai magar gehun ( ghaun ) me mil kar pis gayi ya tel me gir gayi... To aataa or tel paak hai...
      Lekin test..mazaa badal jaaye to naapaak hai...or agar roti k andar mil gayi to us k aaspaas se thodi si alag kar dein...baaki me kuch harj nahi..
▪Agar paakhaane par beth kar makkhi ude or kapde par bethe to kapda naapaak na hoga.....
      Or raaste ka kiichad..chaahe baarish ka ho ya koi or.... Paak hai... Jab tak uska naapaak hona maaloom na ho jaaye.

ALAMGIRI...1 jild
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa..114..115..117
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Sada huwa gosht - Khun ki shishi
★ Awrat..ratubat - Khun wala munh.
★ Murde k munh ka paani.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 16

▪Kisi k munh se itna khoon nikla k thook me surkhi ( laali...laal ho gaya ) aa gayi or usne foran paani piya to ye jhuta paani naapaak hai...
▪Jab ye laali jaati rahe to us par laazim ( zaruri ) hai k kulli kar k munh paak kare...
▪Ya agar paani piyega to paak ho jayega lekin aysi surat mein thook nigalna sakht naapaak baat  hai..or gunah hai.
▪Awrat k peshaab ki jagah se jo ratubat nikle wo paak hai...kapde ya badan me lage to dhona zaruri nahi...fir bhi dho lein to behtar hai.
▪Jo gosht sad gaya...badbu..baas aane lagi to uska khaana haraam hai..
Agarche wo naapaak nahi...
▪Aysi shishi jisme peshaab..khoon ya sharaab bhara hai or jeb ( pocket ) me rakkhi ho to namaaz na hogi...
      Khoon test karwaane k liye jaate huwe shishi jeb mein ho to namaaz k waqt nikaal dein...
▪Murde k munh ka paani naapaak hai.

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..63..117
FATAWA RAZWIYAH
Jild..1...safa..268
DURRE MUKHTAAR
Jild..1..saf..290
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Tawe par naapaaki...
 ★ Haraam janwar ka gosht or
       chamda kaise paak ho...
 ★ Bakre ka chamda...bichona...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 17

▪Tannoor ya tawe par naapaak paani ka chhiinta dala or aanch se uski tari jati rahi...ab jo roti lagayi wo paak hai.
▪Suuwar k siwa har jaanwar...halaal ho ya haraam or... Bismillah...keh kar zebah kiya ho or zebah k qaabil ho ( zinda ho )...to uska gosht or chamda paak hai....
      Yaad rahe k haraam janwar ka gosht O chamda paak hoga.... halaal na hoga...haraam hi rahega.
▪Darindon ka chamda sukha liya ho tab bhi us par bethna nahi chahiye...or namaaz bhi nahi padhni chahiye...k us par bethne se mizaaj me sakhti or takabbur paida hota hai.
▪Bakra...Bakri...Ghente..k chamde par bethne or pehenne se mizaaj me narmi or aajizi...khaaksaari paida hoti hai.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa..124..125
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Maraiiya...★ Ghair maraiiya...
 ★ Gaadhi napaaki wala kapda
       kaise paak karein...
 ★ Agar naapaaki ka rang kapde
       par baaki reh jaye to..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 18

▪Jo naapaaki dikhti hai use najaasate maraiiya.. Or jo nahi dikhti use najaasate ghair maraiiya kehte hain.
▪Najaasat agar daldaar ho matlab gaadhi ho..najaasate maraiiya ho..jaise Paakhaana..Gobar..Khoon..to dhone me ginti ki koi shart nahi...itna dhoye wo khatm ho jaye...
▪Agar aik baar dhone se khatm ho jaye to aik baar dhone se hi paak ho jayega...or agar 4..5..baar dhone se khatm hota ho to 4..5 baar dhona padega.
▪Agar 3 baar se kam me naapaaki khatm ho jaye to bhi 3 bar dho lena behtar hai.
▪Agar naapaaki duur ho gayi magar uska kuch rang or baas baaki hai to use bhi khatm karna zaruri hai....lekin agar uska asar taklif se jaata ho ( jaise..khoon ka dhabba ) to 3 baar dhole paak ho jayega....
Saabun..Khtaai..ya garm paani ki zarurat nahi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa 2...safa..119
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  PATLI NAAPAAKI waale kapde paak
            karne k 6 alag alag tariqe
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 19

▪PEHLA TARIQA...
      Agar naapaaki patli ho jaise peshaab ho to 3 baar dhone or har baar apni bharpur taaqat bhar nichodne se paak hoga...
▪Iska matlab ye hai k apni bharpur taaqat se itna nichode k ab nichodega to aik tipa bhi na tapkega...
      Agar kapde ka khayal kar k achchi tarah na nichoda to paak na hoga....
▪Agar dhone waale ne achchi tarah nichoda lekin koi dusra aadmi jo taaqat me usse bhi zyada hai..ab nichode to 2..1..tipe tapak sakte hai to....pehle nichodne waale k liye ye kapda paak hai....or dusre nichodne wale k liye naapaak hai.
▪Pehli or dusri baar nichodne k bad haath paak kar lena behtar hai tisri baar haath or kapda dono paak hai.
▪Pehli ya dusri baar haath paak nahi kiya or uski tari se kapde ka paak hissa bhig gaya to ye bhi naapaak ho gaya.
▪Kapde ko 3 baar dho kar 3 baar nichod liya..fir sukhane k liye latka diya to usse paani tapka to ye paani paak hai.
▪Ye zaruri nahi k aik saath 3 baar dho lein...agar alag alag waqton ya alag alag dinon me dhoya to bhi paak ho jayega..

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa..122
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    CHAALU NAL MEIN PAAK KARNA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 20

▪DUSRA TARIQA...
      3 baar dho kar har baar nichodna...ye hukm us waqt hai jab thode paani me dhona ho...
▪Agar....hoze kabiir...ya nadi ya naher ya  samandar waghaira mein dhoyein ya nal..pipe..ya lote se dhoyein...to...bohot sa paani bahaaein ya behte paani me dhoyein to nichodne ki zarurat ( shart ) nahi..

Fatawa Amjadiya...
Jild..1..safa..35...

▪Fuqha farmate hai dari ya taat ya koi naapaak kapda behte paani mein raat bhar pada rehne dein to paak ho jayega..or...
▪Asal ye hai k jitni der mein ye zann e ghaalib ho ( confirm ) ho jaaye k paani najaasat ko bahaa kar le gaya to paak ho gaya k...behte paani me paak karne mein nichodna shart nahi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..121
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 PAAK-NAPAAK SAATH MEIN DHONA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 21

▪Agar baalti...ya kapde dhone ki machine mein paak kapdon k saath aik bhi naapaak kapda daal diya to saare hi kapde naapaak ho jayenge...or shariyat mein aysa karne ki ijaazat nahi...jaaiz nahi.
▪Siyedi sarkaare Aalahazrat...alayhirrehmah...farmate hai....K..Baghair zarurat paak chiiz ko naapaak karna najaaiz O gunah hai...
      Aik jaga farmate hai...jism O libaas baghair zarurate sharaiiya k naapaak karna.... Ye haraam hai..
      Bahrurraaiq me hai...paak chiiz ko naapaak karna haraam hai.
▪Isliye zaruri hai k paak O naapaak kapde alag alag dhoyein...or agar saath hi dhona ho to naapaak kapde ka najaasat wala hissa pehle paak kar lein..
▪Fir tamaam kapdon ko saath mein washing machine mein aik saath dho sakte hai..

FATAWA RAZWIYAH
Jild..1...4...p...585
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  NAPAAKI DUUR KARNE ME ASAANI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 22

▪TISRA TARIQA...
       Kapde paak karne ka aik aasaan tariqa ye bhi hai k ...baalti ( dol ) me kapde daal kar uupar se nal khol dein
▪Kapdon ko Haath ya kisi lakdi waghaira se is tarah dubo kar rakhiye k kahin se kapde ka koi hissa paani k baahar ubhra huwa na rahe ...
▪Jab baalti k uupar se paani uubal kar itna beh jaaye k yaqiin ho jaaye k paani najaasat ko bahaa kar le gaya hoga to....
▪Ab woh kapde or baalti ka paani or haath ki lakdi ka jo hissa paani k andar tha wo paak ho gaya....
      Agar kapde par naapaaki ka koi asar baaki na raha to paak ho gaya.
▪Is kaam k doraan is baat ka khayal rahe k paak hone se pehle naapaak paani ka koi chiinta badan ya kapde ya chiiz par na pade...

MAAKHUA-AZ-BAHARE SHARIYAT
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    WASHING MACHINE mein kapde
                 paak karne ka tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 23

▪Washing machine mein kapde daal kar pehle paani se bhar lijiye or kapdon ko haath se paani me daba kar rakhiye k koi hissa paani k uupar ubhra huwa na rahe...
▪Uupar ka nal khula rakkhein ab tank k niche ka out flow bhi khol dein...is tarah uupar nal se paani aata rahega...or niiche se paani baahar niklta rahega..
▪Jab yaqiin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga....to kapde or machine k andar ka paani paak ho jayega....jab ki naapaaki ka asar kapdon par baaki na rahe..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻Ye baat yaad rakkhein k jin machines mein uupar se paani girne k doraan niiche se out flow chaalu rakhne ki system nai hogi to kapda paak na hoga..
      Paani ka uupar se girna or niiche se nikalna aik saath hoga to hi behte paani k hukm ki wajeh se napaak kapda paak hoga.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAAPAAK KAPDA OR GHAIR MUSLIM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻Kisi ghair muslim dhobi ko kisi musalmaan ne naapaak kapda dhulne k liye diya to kya wo kapda paak ho jaayega ?
🔹Agar kapde par najaasat ka asar ( najaasat ya uska ka rang ya baas ) baaki na rahe to wo kapda paak hai.

FATAWA AMJADIYA
Jild..1..safa...31
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAL K NIICHE KAYSE PAAK KAREIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 24

▪CHOTHA TARIQA...
      Is tariqe par paak karne k liye baalti ya bartan ki zarurat nahi...nal k niiche haath me pakad kar bhi paak kar sakte hai.
▪Jaise rumaal naapaak ho gaya ...to basin me nal k niche rakh kar itni der tak paani bahayein k yaqin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga to paak ho jayega.
▪Bada kapda ya uska naapaak hissa bhi isi trah paak kiya jaa sakta hai...magar is baat ka khayaal rahe k naapaak paani k chiinte kapde..badan..ya or chiizon par na pade...

MAAKHUZ-AZ-BAHARE SHARIYAT...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAAPAAK KAPDA OR GHAIR MUSLIM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻Kisi ghair muslim dhobi ko kisi musalmaan ne naapaak kapda dhulne k liye diya to kya wo kapda paak ho jaayega ?
🔹Agar kapde par najaasat ka asar ( najaasat ya uska ka rang ya baas ) baaki na rahe to wo kapda paak hai.

FATAWA AMJADIYA
Jild..1..safa...31
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Carpet..( ghaalicha ) ★ Chataaii..
 ★ Chamde ki chizein...
 ★ Ya wo chizein jo patli naapaaki
      ko chusne ki salahiyat rakhti hai..
      ko Paak karne ka tariqa...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 25

▪Carpet ka naapaak hissa aik baar dho kar latka dein..itni der tak k paani tapakna band ho jaaye...
▪Fir dobaaraa dho kar latkayein itni der tak k paani tapakna band ho jaye..
      Fir tisri baar bhi aysa hi karein...jab tisri baar bhi paani tapkna band ho jayega...to carpet paak ho jayega.
▪Chataaii..chamde k chappal..mittii k bartan waghaira....Ya...
      Wo chizen k jinme patli najaasat ( naapaaki ) ko choosne ki salahiyat ho usko bhi isi tarah paak karein.
▪Aysa naazuq ( kamzor ) kapda k nichodne se phat jane ka dar ho use bhi isi tarah paak karein.
▪Agar naapaak carpet ya kapda "behte paani" me itni der rakh dein k yaqiin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga tab bhi paak ho jaayega..
▪BEHTA PAANI...Ye hain...
 ★ Dariya..
 ★ Neher..
 ★ Ya pipe...
 ★ Ya tunti..
 ★ Nal....in sab k...
      Jaari ( chalte ) paani... Ye sab behte paani hain...
▪Yaad rahe K aik din k bachche ka peshaab bhi naapaak hai....
      Carpet par bachcha peshaab kar de to paani k chand chiinte maarne se paak nahi hoga.

MAAKHUZ-AZ-BAHARE SHARIYAT
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Napaak telwala kapda dhona.
 ★ Kapde ka kuch hissa naapaak ho
      kaise paak karein..
 ★ Naapaak rang kaise paak..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 26

▪Kapde ya badan mein naapaak tel laga tha 3 baar dho lene se paak ho jayega..chaahe tel ki chikaas maujood ho tab bhi...
▪Lekin agar murdaar ( mare huwe janwar ki ) ki charbi lagi thi to jab tak uski chikaas na jaaye paak na hoga..
▪Kapde ya haath mein naapaak rang lag gaya ya naapaak mehndi lagayi to itni baar dhoyein k saaf paani girne lage to ab paak hai chaahe kapde ya haath par rang baaki reh jaaye...
▪Kapde ka koi hissa naapaak ho gaya or ye yaad nahi k wo konsi jagah hai..to behtar ye hai k pura hi dho daalein...
      Jayse ye to yaad hai k aastin k kisi hisse par naapaaki thi..magar ye yaad nai hai k kis hisse par thi to puri aastiin dho dalein..or..
▪Agar andaaze se "soch" ( yaad karne ki koshish ) kar k uska koi bhi hissa dho lein to bhi paak ho jayega...
      Or baghair soche ( baghair koshish ) koi hissa dho liya to bhi paak ho jayega...
▪Lekin kuch namaazein...padhne k bad yaad aaya k naapaak hissa wo nahi tha jo dhoya tha to...ab dhoye or sab namaazein dohraayein...
      Or agar "soch" kar dhoya tha ab yaad aaya k naapaaki wala hissa nahi dhoya tha tab bhi namaazein ho gayi ...dohraane ki zarurat nahi.

BAHARE SHARIYAT..Hissa...2
Safa..119..120..121..122
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 MANI WALE KAPDE KAYSE PAAK HO
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 27

▪Mani kapde me lag kar sookh gayi to...sirf masal kar jhaadne or saaf kar dene se kapda paak ho jaayega...chaahe masalne k bad uska asar kapde mein baaki rah jaye.
▪Is masale me Awrat..Mard..Insaan..Haiwaan..Tandrust..Biimaar e jiryaan..sab ki mani ka aik hi hukm hai...
      Biimaar e Jiryaan...matlab kisi ki mani patli ho gayi k waqt be waqt be irada tapakti ho...
▪Badan me agar mani lag jaye to bhi isi tarah paak ho jaayega..
▪Peshaab kar k paaki na ki...na paani se na dhele ( patli chiz ko choos sake aysa iint ya patthar ka tukda ) se or mani us jaga par guzri jahan peshaab laga huwa hai...to ye masalne se paak nahi hogi bal k dhona zaruri hai...
▪Jis kapde ko masal kar paak kar liya ab agar paani se bhig jaye to naapaak na hoga.
▪Agar mani kapde mein lagi hai or ab bhi tar hai sookhi nahi to dhone se paak hoga..masalne se paak na hoga.

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa...119..122..123
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Dusre k naapaak kapde ki khabr dena
       OR..Ruui paak karne ka tariqa.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 28

▪Kisi dusre musalaman k kapde me najaasat lagi dekhi or yaqiin hai k usko baata diya to paak kar lega to batana WAAJIB hai..agar na bataya to gunahgaar hoga..
▪Lekin awrat ne agar ghair k kapde me naapaaki dekhi...jayse bhabhi ne dewar k kapde me dekhi to batana zaruri nahi.
▪Ruuii ka agar itna hissa naapaak hai k dhunne se naapaaki uud jaane ka sahih gumaan ( yaqin ho ) ho to dhunne se paak ho jaayegi...warna baghair dhoye paak na hogi....Or..
▪Agar malum nahi k kitni naapaak hai to bhi dhunne se paak ho jaayegi.

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..125..127
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 BARTAN-CHHURI-CHAAKU ki paaki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 29

▪Aysi chiiz jo najaasat ko chusti nahi jayse Chiini k bartan...Lohe k...Taambe ...Piital..waghaira dhaatuon ki chiizein...to use sirf 3 baar dhona kaafi hai...Or..
      Iski bhi zarurat nahi k use itni der tak latkayein k paani tapakna band ho.
▪Lohe ki chiiz jayse Chhuri...Chaaku...Talwaar...waghaira...jisme na zang..( kaat ) ho na kisi tarah ki naqsh o nigaar..( design )....
      Agar naapaak ho jaaye to achchi tarah se ponch lein....paak ho jayegi...chaahe naapaaki patli ho k daldaar ho...
▪Isi tarah Chaandi...Sone...Piital...Gilit or har tarah ki dhaat ki chiizein ponchne se saaf ho jaati hai agar design na ho....
▪Agar naqsh o nigaar matlab design waali hon ya lohe me zang laga ho to dhona zaruri hai..ponchne se paak na honge.

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2 safa..121..122
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   AAINA-JOOTA kayse paak karein
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 30

▪Aaina or kaanch ki tamaam chiizein or chiini k bartan ya mitti k wo bartan jin par kaanch ka patla pad chadha hota hai ya polish ki huwe lakde ki chiiz....kapde se is tarah ponch lein k naapaaki ka asar bilkul jaata rahe... To paak hai.
▪Magar yaad rahe k daraadh ( toote huwe ki faat ) ho...
 ★ Ya kahin se kuch ukhad gaya hai...
 ★ Ya kuch hissa tuuta huwa hai....
 ★ Ya kahin se polish nikal gayi hai...
      to ayse hisse ko sirf ponch lene se paak nahi hoga...dho kar paak karna hoga.
▪Chamde k moze ya joote me daldar ( gaadhi ) najaasat lagi ho jayse Paakhaana...Gobar...to khurachne or ragadne se paak ho jayega...chaahe naapaaki tar ho...or..
▪Agar peshaab ki tarah patli naapaaki ho or mitti ya raakh daal kar ragad daalein jab bhi paak ho jaayenge.... Or aysa na kiya yahan tak ki najaasat sookh gayi to baghair dhoye paak hai..

BAHARE SHARIYAT
Hissa...2..safa..122..123
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   KAAFIR KA ISTEMAAL KIYA HUWA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 31

▪Kuffaar k istemaal ( used...wapre huwe ) shuda Swetar...Carpet..or Puraane kapde....jab tak in par najaasat ka asar na ho paak hai...
      Baghair dhoye namaaz padhne me haraj nahi.... Lekin paak kar lena munaasib hai..
▪Bahaare shriyat hissa..2..me likhte hai...K...Faasiqon ( be namaazi ) k waapre huwe kapde jinka naapaak hona malum na ho...paak samje jayenge....
▪Magar be namaazi k payjaame waghaira me achcha ye hai k paak kar liye jaayein...k aksar ayse log paaki ka khayal nahi karte...

BAHARE SHARIYAT..Hissa..2
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Baarish k pani k masaail...
 ★ Chhat or naale ka paani...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 32

▪Chhat k parnaale se baarish ka paani gire wo paak hai chaahe chhat par jaga jaga najaasat padi ho....chaahe najaasat parnaale k munh par ho...
▪Jab tak najaasat se paani k kisi khoobi mein badlaaw na aaye ( Rang..Baas..Mazaa ) na badle tab tak...or..
▪Agar baarish ruk gayi or paani ka behna bhi ruk gaya..to ab wo thehra..ruka huwa paani hai or ab chhat ka paani najis..naapaak hai.
▪Ayse hi naaliyon se barsaat ka behta paani paak hai jab tak naapaaki ka Rang..Baas..ya Mazaa usme zaahir na ho..or..
▪Agar us paani me najaasate maraiiya matlab dikhne waali naapaaki k zarraat ayse behte jaa rahe hain k...
      Chullu liya jayega to us mein aikaad zarra us naapaaki ka bhi zarur hoga to ye paani haath me lete hi naapaak ho gaya Wuzu usse haraam..
      Or agar naapaaki k zarre nahi aate hai to jaaiz hai or bachna behtar hai.
▪Naalon ka paani k baaris k baad theher gaya ruk gaya.....
      Agar us mein naapaaki k zarre pata chalein ( mehsus ho ) ya uska Rang or Baas pata chale..( mehsus ho ) to naapaak hai....or agar aysa nahi ho to paak hai...

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..52
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Naaliyon me ruka huwa baaris..or..
 ★ Sadak par chhidke jaanewala...
                     paani k masaail.
 ★Dah dar dah ki taarif..( defination )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 33

▪Nichle ilaaqon ki galiyon or sadkon par baarish ka jo paani khada ho jata hai wo paak hai chaahe uska rang gadla ho jata ho...
▪Kabhi gutter ka paani bhi usme mil jata hai.... Lekin yahan bhi yahi qaeda hai....
       K naapaaki ki wajah se us paani ka Rang...Baas...Mazaa badal jaaye to naapaak hoga...warna paak hai...
▪Agar baarish ruk gayi or paani behna band ho gaya...Or dah dar dah se kam hai....
      Or usme koi najaasat ya us k zarre nazar aa rahe hai to ab ye paani naapaak hai...
      Isi tarah usme kisi ne peshaab kar diya to naapaak hai...
▪Dah dar dah matlab 10 *10 haath..lamba choda..
     { 100 square haath...aik haath ka matlab hai..k..biich ki badi ungli k naakhun se le kar kohni tak aik haath..or aaj k foot k hisaab se 325 square feet hota hai...
      Or agar golaai mein ho to 35 haath ki golaai se dah dar dah kahlaayega }
▪Chappal se ud kar kiichad k jo chiinte payjaame k pichle hisse par padte hai wo paak hai..jab tak uska naapaak hona yaqini tor par malum na ho..
▪Sadak par paani chhidka jaaraha tha..zamin se chhiinte ud kar kapde par pade..kapda naapaak na huwa magar dho lena behtar hai..

BAHARE SHARIYAT
Hissa...2..safa...116
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 ◾ QAADRI FAIZ ◾ TAHAARAT ◾
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     KUTTE OR BILLI K kuch masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪T 34

▪Kutta badan ya kapde se lag ( touch ) jaaye to...kapde ya badan paak hai chaahe kutta bhiga huwa ho.
▪Agar us k badan par najaasat lagi ho ya uska luaab ( thook..raal ) lage to naapaak kar dega.
▪Kutta...Suuwar...Sher...Chiita..Bhediya..Haathi..Giidadh...or dusre Darinde...k jinka thook naapaak hai....Ye agar aate me munh daale....to...
      Agar aata gundha huwa tha to jahan uska munh laga utni jaga ka nikaal kar pheink dein..
Or agar sookha tha to jitna us k thook se tar huwa wo pheink dein...
▪Kutte ne bartan me munh daala to...agar Chini...Dhaat...ya koi Chikna bartan ho to 3 baar dhone se paak ho jayega..or...agar bartan aysa nahi to har baar sukha kar paak karein..
▪Agar Chini k bartan baariik kotran kiye huwe ( embosed designed ) ho ya daraadh ( faant ) ho to 3 baar sukha kar paak karein...sirf dhone se paak nahi hoga.
▪Ghar me rehnewale jaanwar jayse Billi...Chuha...Saanp...Chipkali..ka jhuuta ( munh laga huwa ) makruh hai..
🔻KAHAA JAATA hai k agar chipkali kisi pine ki chiz me gir kar phat jaye to 100 insaanon k liye uska zehar kaafi hai..!!!!

BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa...117..64..65
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

🌋 QAADR FAIZ 🌋 TAARIIFAAT 🌋
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
              MANI - MAZI - WADI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ MANI...ka matlab...
       Wo safaid laisdaar maaddaa jo uzwu e tanaasul ( mard ki peshab ki jaga ) se inzaal ( chhoot ) k waqt uchhal kar josh se nikalta hai...
 ★ MAZI...ka matlab...
      Wo patla chikna maaddaa jo shehwat ( josh..masti ) k ghalbe k waqt nikalta hai..( sexul masti k waqt ...ya kisi ladki ya awrat ko buri nazar se dekhte waqt nikle..ya biwi se khaas mulaaqaat k shuru mein )..
 ★ WADI...ka matlab...
      Peshaab karne k baad kabhi safed chikna maadda nikle...use wadi kehte hai.

BAHAARE SHARIYAT
QAANUNE SHARIYAT
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

: 🌋QAADRI FAIZ🌋BAALIGH KON🌋
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       BAALIGH KISE KEHTE HAI...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ LADKE....ko 12 se 15 saal ki umar k darmiyan AHTILAAM hona...ye BAALIGH hone ki nishaani hai...
 ★ LADKI...ko 9 se 15 saal ki umar k darmiyaan HAIZ aana...ye BAALIGH hone ki nishani hai.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     AHTILAAM KISE KEHTE HAI..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Ladke ko nind ki haalat mein peshaab ki jagah se chikna gaadha maadda ( ragde ki trah ) shehwat k saath nikle.... Isko AHTILAAM kehte hain...
 ★ Chaahe koi khwaab dekh kar ho ya khwaab na dekha magar kapde par ayse nishan dekhe to bhi ye ahtilaam hai.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        HAIZ KISE KEHTE HAI...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ LADKI ko 9 se 15 saal ki umar mein peshaab ki jagah se kam se kam 3 din ya zyada se zyada 10 din khoon ka aana.... Ise HAIZ kehte hai...
 ★ Jitne waqt haiz ki haalat mein rahegi itne  waqt namaaz maaf hai jaise hi haiz se farigh hogi foran us waqt se fir namaaz padhna shuru kar de.....
 ★ Agar 3 din se kam ya 10 din se zyada hai to ye ISTIHAAZA ( bimaari ) hai....
 ★ Agar 10 din se zyada hai to 10 din k baad awrat ko namaaz padhni hai chahe khoon jari ho tab bhi..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar BAALIGH hone ki umar tak
       koi nishaani zaahir na ho to..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Agar ladke ki umar 15 saal ho gayi or AHTILAAM na huwa tab bhi BAALIGH kehlayega or islami qaanun k hisaab se ab tamaam ahkamaat par amal karna hoga warna gunahgar hoga...
 ★ Agar ladki ki umar 15 saal ho gayi or HAIZ na aaya tab bhi ab wo BAALIGH hai or islaam k tamaam qaanun us par naafiz ho jayenge....

HAMAARA ISLAAM
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO