JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡


 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     MASJID KI AHEMIYAT O FAZILAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 1⃣

 ★ Har city ( sheher ) mein aik jaama masjid banana waajib hai...Or har mohalle me aik masjid banane ka hukm hai.
      Mafhume Ahaadis...
 ★ Huzur...sallallhu alayhi wasallam...irshaad farmate hai...K...
 ★ Har mohalle me aik masjid banayi jaaye or usko khoob saaf suthra rakkha jaaye.
 ★ Allah k liye jo masjid banaaye Allah us k liye jannat me motiyon or yaaqoot ka ghar banata hai.

 ☆ Sabse afzal masjid Masjide
       Haram-Makkaa Sharif..
 ☆ Fir Masjide Nabavi-Madine Sharif..
 ☆ Fir Masjide Aqsa-Baitul
       Muqaddas...
 ☆ Fir Masjide Quba-Madine sharif..
 ☆ Fir jaama masjidein...
 ☆ Fir mohalle ki.

FATAWA RAZVIYAH
RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  MASJID-KAROBAR-DUNYA KI BAAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      Mafhume Ahaadiis...
 ★ Huzur..sallallahu alayhi wasallam..farmate hai k...
 ★ Mard ki namaaz masjid me jamaat k sath padhna ghar me or bazaar me padhne se 25 guna zyada hai..
 ★ Allah taala k nazdik sabse pyari jaga masjidein hai..Or sabse buri jagah baazaar hai..
 ★ Jo masjid se taklif dene waali chiz duur kare Allah taala us k liye jannat me aik ghar banaye..
 ★ Jab kisiko masjid me le-bech ( business ) karte dekho to kaho..Allah tere karobaar me nafa na de..
 ★ Aik zamana aysa aayega k masjidon me dunya ki baatein hogi...tum un k saath na baithna Allah ko unse kuch kaam nahi.
Sallallhu alayhi waaalihi wasallam

BAYHAQI SHARIF
TIRMIZI...IBNE MAAJAH
SAHI MUSLIM...BUKHARI
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      MASJID CHHAT-JUNUBI-WUZU
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 2⃣

 ★ Masjid ki chhat par baghair zarurat k chadhna makruh hai..Jo adab masjid ka hai wahi adab masjid ki chhat ka hai..
 ★ Junubi..matlab jis par ghusl farz ho use masjid me jaana haraam hai..
 ★ Masjid ko aysi chizon se bachaana zaruri hai jisse karaahat ho..Aaj kal dekha jaata hai k wuzu k baad paani ponchhe baghair masjid k farsh par paani tapkate huwe dakhil ho jaate hai...Ye naajaaiz or haraam hai.

DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZVIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     MASJID-BHIIK-DENA-DHUNDNA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Masjid me sawaal karna ( bhiik mangna )  haraam hai..Or maangne waale ko dena bhi mana hai..
 ★ Masjid me apne liye mangna jaaiz nahi or ayse ko dene se bhi ulma ne mana farmaya hai..Hazrte Ismaail zaahid..alyhirrahman..farmate hai k...
      Masjid mein mangne waale ko aik paisa de use chahiye k 70 paise Allah k naam par aur de k us aik paisa dene ki bhul ka kaffaara ho..
 ★ Jo chiiz masjid mein goom ho gayi use dhundhna mana hai.. Hadise paak ka mafhum hai k..K Jo kisi ko dekhe k masjid mein goom hui chiiz ko dhundh raha hai..To sunnewale par waajib hai k usse kahe..Allah kare k teri chiiz tuje na mile...masjidein is k liye nahi hai.

BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZVIYA
AHKAAME SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      MASJID - BUISNESS - MUSAFIR
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 3⃣

★ Masjid me kaarobaar karna jaaiz nahi..Aaqa..sallallahu Alayhi Wasallam..farmate hai..K Jab tum kisi ko masjid mein kaarobaar karte dekho to kaho..Allah tere kaarobaar me nafa na de..
 ★ Maajid me Khana..Pina..Sona..Motakif yani jisne aetikaaf ki niyyat ki ho use or pardesi yani musaafir k siwa kisi ko jaaiz nahi..
 ★ Agar masjid me khaane.piine.sone ka iraada ho to aetikaaf ki niyyat kar k masjid me jaaye kuch der zikr O durud O ibaadat kare fir khaaye piye ya soye.

BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZVIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    MASJID-LASSAN-KHANA-PIINA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Masjidon me kachcha lahsan ( lassan ) or piyaaz khaana ya khaa kar jaana jaaiz nahi jab tak munh me baas baaqi ( aa rahi ) ho..
 ★ Aaqa...sallallahu alayhi wasallam..ne farmaya..Jo is badbudaar jhaad se khaaye wo hamaari masjid k qariib na aaye k farishton ko is chiiz se taklif hoti hai jisse aadmi ko taklif hoti hai..
 ★ Masjid me is tarah khaana piina k masjid me gire or gandagi ho mutlaqan haraam hai..Motakif O musafir ko  is baat ka khaas khayal rakhna chahiye.

AHKAAME SHARIYAT
BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZWIYA
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      SEHNE MASJID OR JANAAZAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 4⃣

 ★ Motakif ko haalate aetikaaf mein masjid k sahen me aana jaana baithna rehna yaqinan jaaiz hai..
 ★ Masjid ka sehan masjid ka hi hissa hai or sahen mein namaaz padhna masjid me padhne jaisa hi hai..
 ★ Masjid k pate huwe ( covered ) hisse ko mosame sarma ki..Or khule huwe ( open to sky ) hisse ko mosame garma ki masjid kehte hai..
 ★ Masjid k in dono hisson me namaaze janaazah padhne ki shar-an ijaazat nahi.

FATAWAE RAZWIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    HUJRA-SAFAAI-KACHRA-BATEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Masjid ka hujra fenaaye masjid hai or fenaaye masjid k liye masjid jaysa hi ahteraam hai..
 ★ Masjid ki safaai k baad jo kachra nikalta hai use aysi jaga na daale jahan beadabi ho..
 ★ Mubah baatein bhi masjid mein karne ki ijaazat nahi or na aawaaz buland karna jaaiz hai.

SAGHIIR
AALAM GIIRI
DURRE MUKHTAAR
BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZVIYA
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   MASJID ME SHOR-DUNYA KI BAAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 5⃣

 ★ Masjid me shor O fasaad karna haram hai or dunyawi baat k liye masjid mein bethna haraam or namaaz k liye jaa kar dunyawi tazkira mana hai..
 ★ Masjid me duniya ki baat..ye kaam nekiyon ko ayse khaa jaata hai jayse aag lakdi ko..Or ye to mubah baaton ka hukm hai..to agar buri baatein ho to wo sakht haraam dar haraam or sakht azaab ka dar..
 ★ Mafhume hadis..Jo masjid me duniya ki baatein karte hai un k munh se aysi badbu ( baas ) nikalti hai k uski taklif ki wajah se farishte Allah se unki shikaayat karte hai..
Sallallahu Alayhi Waalihi Wasallam

FATAWA RAZVIYA
GHAMZUL UYOON
HADIQSTUN NADIYAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    MASJID KO RASTA NA BANAYEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Masjid ko raasta banana matlab usme se ho kar guzarna naajaaiz hai..agar aysi aadat daale to faasiq hai..
 ★ Aysa hota hai k masjid kayin darwaaze alag alag  gali sadak par nikalte hai..log aik taraf se dakhil ho kar dusri taraf nikal jate hai k unko lamba rasta na kaatna pade..ye shar-an naajaaiz o mamnu hai.

DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    NAA-SAMAJ BACHCHE OR PAGAL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 6⃣

 ★ Masjid me naa samaj bachchon or paaglon ko le jaana mana hai..
 ★ Wajah ye hai k unko peshaab paakhana wagaira ka shu-ur nahi hota...islye masjid ka farsh ganda naapaak hone ka dar hai or shor o ghul bhi ho sakta hai..
 ★ Mafhume hadis...
      Aaqa...sallallahu alyhi wasallam...farmate hai k... Apni masjidon ko naasamajh bachchon or paagalon se or kaarobaar or jhagdon se or uunchi aawaazon se bachaao..
Sallallahu Alayhi Wa aalihi Wasallam

RADDUL MOHTAAR
BAHARE SHARIYAT
FATAWA RAZWIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HASNA-MASJID ME HAWA CHHODNA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Masjid mein hasne se qabar me andhera hota hai..ahaadis me iski sakht muma-ne-at aayi hai..
 ★ Masjid mein hadas ( paakhane ki jaga se hawa chodna ) makruh hai..jo motakif nahi use...Ayse waqt masjid se bahar jaye or hafas se faarigh ho kar aajaaye..
 ★ Kuch logon ( aksar logon ko ) ki ye hawa bohot zyada badbudaar hoti hai...ayse logon ko ayse waqt masjid me bethna jaaiz nahi..
 ★ Masjid ki milkiyat ki koi chiiz qimat ada kiye baghair khaana ya lena jaaiz nahi..jayse darakht ka fal ya fuul..flower..

FATAWA RAZWIYA
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  TUGHRE-CALANDER-TAKLIF DENA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 7⃣

 ★ Aysi chizon ( Tughre..Calander ) ko qible ki diwaar me na lagaein na latkaein k jisse namaaziyon ka dhyan bhatke..or itni nichi na ho k khutbe me imaam ki piith uski taraf ho ye or bhi naa-munasib hai...
 ★ Agar buladi par ho k sar uthaye baghair na dikhe to harj nahi..k namaaz me aasmaan ki taraf nazar uthana  jaaiz nahi..
 ★ Masjid aa kar logon ko iiza denewale...ko masjid se nikaalna baqadre taaqat waajib hai..Lekin....Baghair wajah kisi sunni musalman ko masjid me aane se mana karna haraam hai.

UMDATUL QAARI
DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
FATAWA RAZVIYAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  MASJID KA MAAL-PAISA OR TRUST
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Aik masjid ki chiz or aamdani dusri masjid mein kharch karna hargiz jaaiz nahi..
 ★ Yahan tak k aik masjid mein lote haajat se zyada ho or dusri me na ho tab bhi dusri me bhejne ki ijaazat nahi..
 ★ Masjid ki income dusre awqaaf me kharch karna haraam hai chaahe masjid ko haajat na ho..
 ★ Agar kisi masjid ka maal dusre waqaf ya masjid mein de diya or wo maal waisa hi pada huwa hai to waapas le lein..or agar kharch ho gaya to uska harjaana trusty hazraat par laazim hai..or wasul karne k baad un trusty hazraat ko hataa ( badal ) dena waajib hai...wo ghaasib o khaain hai..

FATAWA AFRICA
DURRE MUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
FATAWA RAZVIYA
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
▪NOTE...Matlab ye hai k masjid ka maal..paisa kisi bhi dusre trust k kaam mein lene or istimaal karne ki ijaazat nahi..Yahan tak k aik masjid ka maal..paisa dusri zarurat mand masjid mein bhi waaparne ki shariyat ijaazat nahi deti.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 MASJID KA HISSA DUKAAN BANANA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 8⃣

 ★ Masjid k kisi hisse ko kaarobaar ki dukaan kar dena haraam..haraam..sakht haraam or mazhabe islaam mein mudaa-khilat hai..
 ★ Un dukaanon mein kisi dunya k kaam k liye bethna ya uska kiraaya lena ya wahan koi chiiz bechna ya bechne kharidne k liye jaana haraam hai..
 ★ Un dukaanon ko khatm kar k khaas masjid bana dena waajib hai..
 ★ Musalmano par us jaga ko masjid k tor par baaqi rakhne k liye har jaaiz tariqe par koshish karna farz hai..Or susti kare to Allah k azaab k haqdaar hai.

DURRW MUKHTAAR
BAHRUR RAAIQ
RADDUL MOHTAAR
FATAWA RAZVIYA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    AZAAN K BAD MASJID SE NIKLNA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Azaan ho jaane k baad masjid se nikalne ki ijaazat nahi..
 ★ MafhumeHadis...
      Aaqa..farmate hai..k Masjid se azaan k baad wohi nikalta hai jo munaafiq ho..lekin Wo k jo kisi kaam k liye gaya or waapsi ka iraada rakhta ho..
 ★ Agar koi kisi masjid me namaaz padh chuka hai or dusri masjid me maujud hai k azaan ho gayi..to masjid se bahar jaa sakta hai...
 ★ Lekin agar Zohar or Isha k waqt hon to behtar ye hai k nafl ki niyyat se jamaat me shamil ho jaaye...
 ★ Or Fajar..Asar..Maghrib ho..or ye padh chuka ho to bahar nikal jaye..
Sallallahu Alayhi wa aalihi Wasallam

BAHARE SHARIYAT
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    MOHALLE KI MASJID OR JAMAAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 9⃣

 ★ Agar mohalle ki masjid mein jamaat na mili or dusri masjid me mil sakti ho to wahan jamaat se padhna afzal hai..Or wahan bhi ho chuki ho to akele apni masjid me padhna achcha hai..
 ★ Mohalle ki masjid ka imaam bad aqidaa hai ya zaani hai ya suud-khor ( wyaaj..intrrest lenewala ) ho ya us me aysi khaami hai k imamat ka ahel nahi to  mohalle ki masjid chhod kar sahi imaam waali masjid ko jaa sakta hai..
 ★ Sunnatein or nafl namaazein apne ghar mein padhna afzal hai..
      RASULULLAH...ki yahi aadate karima rahi..Or yahi hukm.bhi farmaya..
Sallallahu alayhi waaali wasallam

FATAWA RAZVIYAH
BAHARE SHARIYAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    MASJID ME NAPAAKI KI HAALAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ★ Koi masjid mein so gaya or use Ahtelaam ho gaya...Pajaama bigad gaya..Ghusl farz ho gaya to us par farz hai k masjid se foran nikal jaaye kyunki haalate janaabat ( naapaaki ) mein masjid mein theherna haraam hai...Chalna bhi haraam hai..
 ★ Us par waajib hai k apni jaga par hi tayammum karle..
 ★ Agar us k paas mein koi matti ka bartan rakkha ho or diiwaar duur hai to waajib hai k bartan se tayammum karle or agar diiwaar qarib hai or bartan duur hai to diiwaar se tayammum karle..
 ★ Agar diiwaar or bartan dono duur hai to jahan betha hai..wahin zamiin se tayammum karle..Use ijaazat nahi k sarak kar diiwaar tak jaaye..
 ★ Agar masjid k 2 ya 3 darwaaze hai to Jo darwaaza sabse qarib hi usse nikal jaaye.

FATAWA RAZWIYA
IMAM QAZI KHAN
ZAKHIRAH..MUHIT
AL-IKHTIYAR-FI-SHARHIL-MUKHTAAR
MOMIN KI NAMAAZ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO

 πŸŽ‡QADRI FAIZ πŸŽ‡ MASJID-ADABπŸŽ‡
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   KABA SARIF OR GUMBDE KHAZRA
          KI TASWIR WALE MUSALLE
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
πŸŽ‡ - 1⃣0⃣

 ★ Ayse musalle jin par Kaabatullah sharif Ya Gumbade Khazra..bana huwa ho unko namaaz mein istemaal karne se bache..
 ★ Sajde mein jaate waqt us muqaddas taswir par ghutne padh sakte hai..
 ★ Is tarah k musalle ka adab bhi khoob karein k bichha reh jaaye or us taswir par pair na reh jaaye..Is k alaawa wo  musalle bhi..K Jin par koi taswir nahi..Us ka bhi adab kare idhar udhar na phekein bal k adab se unchi jaga rakkhe k..Is par Allah ki ibaadat ki jaati hai..beadabi se bachein.

FATAWA AHLE SUNNAT