JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

Sawaneh-O-Irshadaat Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaihi

Tasneef:Hazrat Allama Mufti Faiz Ahmed Awaisi Sahab Qibla

Hasab-O-Nasab
 Sayyeduna Hazrat Khawaja Moinuddeen Ajmeri Gharib Nawaz Qudda Sirrahu Walid Masjid Ki Taraf Se Husaini Aur Walidah Mohtarma Ki Taraf Se Hasani Hain. Apka Silisila-E-Nasab 9Vi'n Pusht Me'n Sayyeduna Imam Kazim RadiyAllahu Ta'Aala Anhu  Se Ja Milta Hai - Ap Ke Walid e Girami Hazrat Sayyad Ghayasuddin Hasan RahmatullAhi Alaih  Hai -

Wiladat  Ta'aleem-O-Tarbiyat
Gharib Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Wiladate Ba-Sa'adat 4 /Rajab-ul-Murajab Hijri-537 Peer Sharif ) Ko ILaqa Sajistan (Sistan) Qasba Sanjar Me'n Huwi. Walide  Girami Ne Apka Naam Hasan Rakha Magar Allah Ta'Aala Ne ApKo Khawaja Gharib Nawaz Moinuddeen  Ke Naam  Se Dunya Me'n Mash'hoor Kiya. Hazrat Khawaja RahmatullAhi Alaih  14 Sal Ke The Ke Ap Ke Walide Girami Ka Intiqal Ho Gaya. Unke Tarka Se Kuch Naqdi Aur Baagh Miraas Mila Naqdi Ko Raahe  Khuda Me'n Kharch Kar Diya. Baagh Guzar Auqaat Ke Liye Baqi Rakha Chand Roz Ke Baad Ek Allah Waale Ki Nigah Pad Jane Se Dunya Se Mutanaffir ( Nafrat Karne Wala ) Ho Kar ILm-O- Amal Aur Zohd-O-Taqwa Ki Taraf Raghib Huwe Aur Watan Chhod Kar Husool e ILm Ke Liye Safar Ikhtiyar Farmaya. Sab Se Pahle Aap Khurasaan Tashrif Laaye. Hazrat Maulana Husamuddeen Bukhari RahmatullAhi Alaih  Ke Yaha'n QurAa'n Hifz Kiya. Phir Arbi Farsi Ke Tamam Murawwija Uloom-O-Funon Padhe. Uske Baad Tafseer , Hadees Aur Fiqah-E-IsLami Ki Takmeel Ke Liye Kayi Saal Mukhtalif Shehro'n Ki Taraf Paidal Chal Kar Muta'ddid (Har Tarah) Ke Ustad (Teacher)Ki Shagirdi Ikhtiyar Farmayi.


Huzoor Ghause Aazam  RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ke Zere Tarbiyat  Rahe
Mo'tabar Riwayaat Ke Mutabiq Hazrat Khawaja Gharib Nawaz Ne Huzoor Sayyeduna Ghause Azam RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Baatini Fuyooz-O-Barkaat Bhi Haasil Ki'n. Ap Ko Ye Sa'adat Bhi Haasil Hai Kam-O-Besh 5-Maah Tak Shahanshahe Auliya , Mahboob-E-Subhani As Shaikh Sayyeduna Abdul Qadir Jilani RadiyAllahu Ta'Aala Anhu  Ki Khidmat Me'n Rahe Aur Baatini Uloom-O-Ma'rif Ke Khazano'n  Se Malamaal Hote Rahe.

Is Arsa Me'n Apko Ye Sa'adat Hasil Huwi Ke Ap Sarkar Ghause Paak Ke Sath Ek Hujra Me'n Taqriban 57 Din Tak Muqeem Rahe. Is Dauran Hazrat Muinudeen Chishti Ko Ruhani Madarij Tay Karane Khawaja Gharib Banane Me'n Ghause Paak Ka Ahem Kirdar Hai. Yahi Waja Hai Ke Jab Huzoor Sayyeduna Ghause Aazam RadiyAllahu Ta'Aala Anhu   Ne Aelaan Farmaya Ke....

قدمى هذه رقبة كل ولى الله

Yani " Mera Qadam Tamam Auliya Ki Gardan Par Hai "

To Us Waqt Hazrat Khawaja Gharib Nawaz Ajmeri Manazil-E-Sulook Tay Karne Ke Liye Khurasaan Ke Pahado'n Me'n Khilwat Nasheen  The Yu'n Hi Apne Ye Farmaan Suna To Fauran Apni Gardan Jhuka Kar Arz Kiya

"بل قدماك على راسى و عينى "

Yani " Balke Ap Ke Dono'n Qadam Mere Sar Par Aur Meri Ankho6n Par Hain "

( Is Ki Mazeed  Tafseel Huzoor Faiz-E- Millat Mufassir-E-Aazam Pakistan RahmatullAhi Alaih  Ki Tasneef تحقيق الاكابر فى قدم الشيخ عبدالقادر Me'n Mulahiza Kare2n )

Hazrat Khawaja Ne Bohat Saare Ulma Aur Sulha Se Iktisaab-E-Faiz Kiya. Bil khusus Apne Murshid-E-Sadiq Hazrat As Shaikh Usmane Harooni RadiyAllahu Ta'Aala Anhu  Ki Nigrani Me'n Baatni Uloom Aur Sulook-O-Marifat Ki Bohat Saari Manzile'n Tay  Ki'n.
 
Roza Anwar Se SalamKa Jawab Aaya
Apne Murshide Kaamil Ke Hamrah Aap Hajjul Bait Ki Sa'aadat Se Nawaze Gaye. Jab Mahbube Khuda Sayyadul Ambiya Aaqa-E-Kaayenaat Ke Roza-E-Aqdas Par Hazir Huwe To Muwajaha Shareef Ke Samne Hazrat Usmaan Haruni RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Apne Mureed Saadiq Ko Farmaya "Mu'eenuddeen Bargahe Risalate Ma'Aab Me'n Salam Arz Karo" Us Waqt Khwaja Ghareeb Nawaz Ki Kya Haalat Hogi Is Aaalme Shauqe Wajd Me'n Aap Ne Nihayat Hi Adab-O-Aehtaram Se Jaliyo'n Ke Samne In Alfaaz Ke Sath Salam Arz Kiya
"الصلاة والسلام عليک يا سيدالمرسلين و خاتم النبين"
Mazar Pur Anwar Se Jawab Aaya
"وعليكم السلام يا قطب المشائخ"
Ye Srif Salam Ka Jawab Hi Na Tha Is Sare Zamane Ki Barkate'n Azmate'n Khwaja Ghareeb Nawaz RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ki Jholi Me'n Daal Di Gaye'n. Salam Ka Jawab Sunte Hi Murshide Kaamil Ne Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ko Duroode Paak Padhne Ki Hidayat Farmayi. Aap Durood Shareef padhte Rahe Namaze Isha Ke Ba'd Nind Ka Ghalba Huwa Aankh Lagi To Khwab Me'n Aaqa Kareem Ra'ufurRaheem Ki Ziyarat Ki Sa'aadat Haasil Huwi .. Aap Ne Faramya Mu'eenuddeen Hamne Tumhe'n Ba-Hukme ELaahi Aaj Se Sultaan-ul-Hind Muqarrar Farma Diya Hai Apne Murshid Se Ijazat Lo Aur Hindustan Jakar Hamare Deen Ka Khoob Charcha Karo. Aapne Ye Khwab Apne Murshide Kaamil Ko Arz Kiya Unhone'n Wahi'n Bethe Aankhe'n Band Kara Ke Pure Hindustan Ki Sair Karayi. Bargahe Khuda Wandi Se Qubuliyat Ki Sanad Aur Rasule Paak Ki Taraf Se Sultan-ul-Hind Ka Taqarrur Naama Ata Huwa.


Ek Aur Riwayat Hai Ke Uloome Shar'eeyah Ki Takmeel Ke Ba'd Sulooke Tariqat Tay Karne
Ke Liye Shaikh-ul-Mashayikh Hazrat Khwaja Usmaan Haruni RahmatullAhi Alaih Ki Khidmate Baa-Barkat Me'n Haazir Huwe Unke Haan Ek Arsa Reh Kar Kharqa-E- Khilafat Haasil Kiya. Apne Shaikh Se Ijazat Lekar Haramain Sharifain Ki Ziyarat Ke Liye Tashreef Le Gaye Waha'n Ke Bade Bade Mashayikhe Kiraam Ke Fuyooz -O- Barkaat Se Mustafeez Huwe. Aur Madinah Tayyaba Me'n Imamul Ambiya-E- Wal Mursaleen Ki Ziyarat Se Musharraf Huwe. Aapne Hazrat Khwaja Ko Farmaya, "Aye Qutbul Mashayikh Tum Mu'eenuddeen Ho Is Jaha'n Ko Zulmate Kufr Ko Noore Eemaan Se Roshan Karo". Mumkim Hai Ek Bar Apne Murshide Kareem Se Ijazat Le Kar Hindustan Aate Huwe Aapne Hazrat Daata Ganje Bakhsh Ali Hijweri RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ke Mazaar Pur Anwaar (Lahoor) Par Haazir Hokar Chillah Kashi Farmayi. Faiz_YaaBi Ke Ba'd Ye Mash'hoor Zamana Shear Kaha.

گنج بخش فیض عالم مظہر نور خدا
ناقصاں را پیر کامل کاملاں را رہنما


Chillah_Gah
Huzoor Daata Ganje Bakhsh Ali Hijweri RadiyAllahu Ta'Aala Anhu (Lahor) Ke Qadmo'n Me'n Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ki ChillAh_Gah Maujood Hai Ahle_Mohabbat Iski Ziyarat Karke Ruhaani Kaif-O-Suroor Mahsoos Karte Hain Faqeer Ko BaarHaa Haziri Ka Mauqa Mila.


Ajmer Shareef Rawangi
Lahor Se Barasta Saa'Maa'na Dehli Aur Waha'n Se Ajmer Gaye Jaha'n Jaha'n Se Guzre Laakho'n Ghair Muslimo'n Ko Daamane Islam We Waabasta Karte Gaye Pyare Mustafa Kareem Ki Ghulami Se Sarfaraz Farmte Gaye.

Hazrat Khwaja Roza-E-Rasool Se Rukhsat Huwe Aur *Bilade* Islamiya Ke Mash'hoor Auliya-E-Kiraam , Maslan.... Najmuddeen Kubra, Hazrat Sarkar Ghause Aazam Dastageer Shaikh Abdul Qaudir Jilaani Aur Sayyidina Ali Hijweri Daata Ganje Bakhsh RahmatullAhi Alaihim Ajma'een Se Fuyooz -O- Barkaat Haasil Karte Huwe Ba-Tareekh 10 Moharram-ul-Haram San Hijri-561 Me'n Ajmer Shareef Tashreef Laaye.

Tere Muh Se Jo Nikli Baat Wo Hoke Rahi
Hazrat Khwaja Ke Hamrah Aqeedat Mando'n Aur Murido'n Ki Jama'at Bhi Thi Unke Sath Ek Khule Maidaan Me'n Ek Darakht Ke Niche Beth Gaye Lekin Us Jaga Ajmer Ke Raaja Parithwi Raaj Ke Oont Charne Ke Ba'd Betha Karte The Isliye Uske Shutr Banu'n Ne Kaha: Yaha'n Na Betho Ye Raaja Ke Oonto'n Ke Bethne Ki Jaga Hai Hazrat Waha'n Se Qareeb Talaab Ke Kinare Taahreef Le Aaye Aur Uthte Hi Farmaya Lo Ham To Yaha'n Bethte Raaja Ke Oont Hi Isi Jaga Bethe Rahe'n. Chunanche Shaam Ke Qareeb Raaja Ke Oont Charte Charte Us Jaga Aakar Bethe To Bethe Hi Reh Gaye. Har Chand Shutr Banu'n Ne Uthane Ki Koshish Ki Lekin Oont Waha'n Se Uth Na Sake Unhone'n Yaqeen Kar Liya Ke Ye Usi Faqeer Ki Baat Puri Huwi Hai Chunanche Wo Hazrat Se Muafi Ke Taalib Huwe.

Tableeg-E-IsLaam Par Saabit Qadam Rahe
Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Tableegh-E-Islam Ka Nasab-ul-Ain Lekar Hindustan Me'n Laye The. Apne Is Nasab-ul-Ain Ke Husool Ki Khatir Unhone'n Mazboot Kirdaar Aur Jadd-O-Jahad Ki Jo Misaal Pesh Ki Wo LaaSaani Hai. Aapko Har Qism Ki Mushkilaat Ka Saamna Karna Pada. Aapke Raste Me'n Beshumar Rukawate'n The'n. Kayi Taqatwar Mukhalifo'n Ka Muqabla Karna Pada. Waali Ajmer Prithwi Raaj Bhi Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ka Mukhalif Tha. Koyi Mushkil Aur Koyi Mukhalifat Aapke Samne Na Thaher Saki. Apka Naa-Qabile Shikast Jazba Daqeeq Nazar, Buland Tasawwur, Aahani Azm, Pakizah Dil Aur Aala Ruhani Quwwat Har Mushkil Par Ghaalib Aati Chali Gayi. Ye Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ki Shakhsiyat Hi Thi Jo In Mushkilat Par Qadir Huwi Warna Agar Koyi Dusre Unki Jaga Hota To Himmat Haar Deta.

Khwaja Gharib  Nawaz Urdu Zaban Ke Baani
Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ke Samne Sab Badi Mushkil Zuban Ki Surat Me'n Maujood Thi Aapki Zuban Farsi Thi Lekin Wo Usse Pareshan Nahi Huwe. Hindu'o'n Ke Sath Rabta -O- Meel Jool Ne Ek Nayi Boli Ko Janam Diya Jo Ba'd Aza'n Ek Zuban Ke Darje Tak Jaa Pohchi Ye Zuban Urdu Thi In Ma'ano'n Me'n Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Urdu Zuban Ke Baani Qarar Diye Ja Sakte Hain.

 90 Laakh Insan Musalmaan Huwe
Hazrat Sultan-ul-Hind Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ke Zariye Taqriban Nawwe(9) Laakh Ghair Muslim Halqa Bagoshe IsLam Huwe. Aaj Unhi'n Ki Nasle'n Barre Sagheer Me'n Sacche Deene Islam Ke Daaman Se Wabasta Hain Ye Ek Haqiqat Hai Ke Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Sultan-ul-Hind RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Nihayat Buland Martaba Ruhani Shakhsiyat Hain Aapki Zaate Baa-Barkaat Ki Shohrat Na Sirf Hindustan Balke Dunya Bhar Me'n Hai. Himalaya Ki Dusri Taraf Cheen-O-japan, Samandar Paar Indonesia, Malaysia Aur Urup Tak Aap Ke Lutf-O-Karam Aur Inayat Ka Charcha Hai. Har Rang-O-Nasal, Mazhab Aur Mulk Ke Logo'n Me'n Aapke Naam Lewa'n Ki Ta'adaad Hazaro'n Me'n Maujood Hai. Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ki Zaat Mubaraka Ka Aehtaraam Unke Rag-O-Resha Me'n Racha Huwa Hai Aur Unki Ummido'n Ka Markaz Aap Hi Hai.

Wisaal Baa-Kamaal Aur Mazar Shareef
Musaddiqa Riwayaat Ke Mutabiq Aapka Wisaal Baa-Kamaal 6/Rajjab Hijri-627 , Sana-1229 Ko Huwa. Chananche Jis Din Hazrat Khwaja RahmatullAhi Alaih Ka Wisaal Huwa Usi Shab Ko Hazrat Khwaja Namaze Isha Ada Karke Apne Hujra-E-Mubaraka Me'n Tashreef Le Gaye Aur Khilaafe Ma'mool Darwaze Ke Kiwaad (Lakdi Ka Takhta Jisse Darwaza Band Karte Hain) Band Kar Diye. Subah Ko Darwaza Khola Gaya To Hazrat Khwaja RahmatullAhi Alaih Ka Intaqal Ho Chuka Tha Wo Din Tha 6/Rajjab-ul-Murajjab San Hijri-627 Ka. Hazrat Khwaja RahmatullAhi Alaih Ki Tareekh
"شدز دنیا چوور بھشت بریں مرشد مقی معین الدین"
Wafaat Likhi Lekin Hazrat Surmad RahmatullAhi Alaih Ne Jo
"گفت تاریخ رحلتش سرمد محرم دل معین الدین"
Tareekh Nikali Wo Qabile Zikr Hai. Aapka Mazaar Shareef (India) Me'n Marja'ae Khalayiq Hai Laakho'n Bandgaane Khuda Waha'n Haazir Hokar Apni Murado'n Se Bharte Hain.


Mazare Khwaja  Par Hazaro'n  Ki Ta'daad  Me'n  Aqidat  Mando'n  Ka Hujoom
Mazare Khwaja Ghareeb Nawaz Par Haziri Dene Wale Dekhte  Hain Ke Door-O-Nazdeek  Se Hazaro'n  Log Ek Sath Shab-O-Roz  Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih Ke Roza-E-Mubarak  Par Izhaare  Aqidat Ke Liye Haazir Hote Hain Ye Log Paise  Kharch Karte Hain, Safar Ki Saubate'n  Uthate Hain Aur Har Qism Ki Mushkile'n  Bardasht Karte Hain Aakhir Aisa Kyun Hai?
Yaqinan  Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Shakhsiyat  Ki Kashish  Aur Ruhani  Quwwat  Ki Karamat  Hai.

Ye Ek Talkh Haqiqat Hai Ke Zamana  Ke Halaat  Me'n  Tabdiliya'n  Aur Inqalabaat  Un  Aqidat Bhari Riwayaat  Par Zarra Barabar Asar Andaznah  Hosake Jo Ibtada Se Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Dargah  Me'n  Anjaam  Di Jati Hai. Sadiyo'n Se Har Shauba-E-  Hayaat  Me'n  Inqalabi  Tabdiliyo'n  Ke Bawajood  Inqalaab  Ka Ye Dhara  Roza-E-Mubarak  Me'n  Ada Ki Jane  Wali Riwayaat  Me'n  Koyi Tabdili Na Laa  Saka.

Ye Aqidat  Bhari Riwayaat  Aaj Bhi Dargah Shareef Me'n Nihayat  Pabandi  Aur Sihat Ke Sath Ada Ki Jati Hain. Ye  Haqiqat  Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Ruhani Azmat Aur Quwwat Ke Wazeh Daleel  Hai. Isme  Koyi Shak Nahi Ke Senkkdo'n  Saal Guzarne Ke Bawajood Log Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Zaat Par Pukhta Eemaan Rakhte Hain Aur Unhe'n  Apna Haajat  Rawa Samajhte Hain. Ye Mamba Faiz-O-Noor  Laazawal  Hai. Aqidat Mand Isse Hamesha Faizyaab Hote Rahenge  Aur Is Par  Aqidat-O-Aehtaraam Ke Phool  Nichawar  Karne  Ke Liye Haazir Hote Rahe'nge.

Sufiya  Ka Khayal Hai Ke Roza-E-Mubarak  Saaf Karne Se Dar Asal wo  Apne Dilo'n  Ki Safayi  Karte Hain. Wo  Kehte  Hain  Ke Yaha'n Roshni  Karna  Apne Dilo'n  Me'n  Roshni  Karna Hai Aur Yaha'n Pyaso'n  Ko Paani Pilana  Apne Dilo'n  Ki Pyaas  Bujhana  Hai. Wo  Yaqeen Rakhte  Hain Ke Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ke Marqad  Mubarak  Par Sar Jhukane  Se Unhe'n  Buland  Maratib  Haasil Honge.

 Mera Khwaja Sultan-ul-Hind  Hai
Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Zindagi Me'n  Har Haisiyat Aur Har Tabqe  Ke Log Khidmat Me'n  Haazir Hote Hai  Awwam-O-Khaas Aap Se Waalihana Mohabbat  Karte Hain Amra-O-Hakimo'n  Salateene  Zamana  Ka Bhi Yahi Haal  Hai Aap Ki Sawaneh  Padhne  Se Pata Chalta Hai Ke Har Daur Ke Haakim  Aur Shahanshah  Bhi Aap Ke Samne Baa-Adab  Aur Sarango'n  Rehte. Shahbuddeen Ghori  Aur Sultaan  Altamash Aapke Mamuli  Khadimo'n  Ki Tarah Musta'id (Haazir) Rehte Aap Ke Wisaal   Ke Ba'd Bhi  Adab-O-Aehtaran  Aur Aqidat  Ka Ye Silsila  Jari Raha Aur Ab Tak Jari Hai. Aur In Shaa Allah Qayamat  Tak Jaari  Rahega.

Hazrat  Khwaja Ghareeb Nawaz RahmatullAhi Alaih  Ki Dargah  Ke Darwaze  Ghareeb -O- Ameer, Aala-O-Adna, Shah-O-Gada, Mohtaaj-O-Ghani   Sab Ke Liye  Har Waqt Khule Hain.