JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

Afzal-ul-Ambiya

Chunanche Jab Khateeb-ul-Ambiyaa Sayyadul Mursaleen ﷺ Apne Rab Ta'Aala Ki Hamd-o-Sana Aur Apne Fazail -o-Muhamid Bayaan Karke Farigh Huwe To Sayyidina Hazrat Ibraheem Khalilullah Alaihissalam Ne Tamaam Nabiyo'n  Ki Maujoodgi Main Ye Farmaya :

 بهذا افضلكم محمد ﷺ .
(Yaani In Kalimaat Ke Sabab Hazrat Muahmmad (ﷺ) Tum Sab Main Se Afzal -o-Aala Hain)

 Tamaam Ambiya-E-Kiraam Ne Ye Suna Aur Tasleem Kiya.


• Sarkaar Aalahazrat (RadiyAllahu Ta'Aala Anhu) Iski Tarjumani Yu Farmate Hain....

● SAB SE AULAA -O- AALA HAMARA NABI ,
SAB SE BAALAA -O-WAALAA HAMARA NABI ﷺ ●

● APNE MAULA KA PYAARA HAMARA NABI ,
DUNO AALAM KA DULHA HAMARA NABI ﷺ ●

●KHALQ SE AULIYAA AULIYAA SE RUSUL ,
AUR RASULO'N  SE AALA HAMARA NABI ﷺ   ●

● MULKE KONAIN MAIN AMBIYA TAAJ-DAAR  ,
TAAJ-DAARO KA AAQA HAMARA NABI ﷺ ●


 *Masjide Aqsaa Se Aasmaan Ki Taraf Parwaaz* 


 Bait-ul-Muqaddas Se Faarigh Hokar Aap Barraaq  Par Sawaar Huwe Aur Aane Waahid  Main Aasmaan Par Ponhche. Qurbaan Jao Us Barq Raftaar Ke ....

● EK QADAM FARSH PE THA , DUSRA BAR-ADJE  FALAK .....
KYA KAHO NAU-SHA-E- MERAAJ KI RAFTAAR KI BAAT ●

Hazrat Jibra'eel Alaihissalam Ne Darbaane Aasmaan Se Farmaya Darwaza Kholo.
Usne  Pocha Tum Kon Ho?
Farmaya : Jibra'eel Hon.
Usne Kaha Kya Tumhare Saath Koyi He?
Farmaya: Haan !  Mere Saath Muhammad (ﷺ)  Hain.
 (📙 Mishkaat,S-529)

Chunanche Darwaza Khula Aur Rahmatul-Lil-Aalameen ﷺ Ne Pehle Aasmaan Ko Qadoom Mai'ma'nat Lazoom Se Musharraf Farmaya To Har Taraf Se Musarrat -o-ShaadMaani Ki Lehre Daur Gayi Aur Ba-Zuban Haal Ye Sada Buland Huwi...


● AMBIYA KO BHI JISNE HAIN KHUTBE DIYE ,
WO IMAAM AAGAYA , WO KHATEEB AAGAYA ●


Phir Waha Aapki Mulaqaat  Hazrat Aadam Alaihissalam Se Huwi. Aap Farmate Hain:
Ek Mard Waha Tashreef Rakhte The Jinke Daaye Taraf Kuch Log The Aur Kuch Baaye Taraf , Jab Daaye Taraf Dekhte To Khush Hote Aur Jab Baaye Taraf Dekhte To Rote.
(📙Mishkaat,S-529)

Aapko Dekhte Hi Unhone Farmaya :
مرحبا بالنبى الصالح والابن الصالح

  Huzoor Akram ﷺ Farmate Hain: Main Ne Hazrat Jibra'eel Alaihissalam Se Pucha Ye Kon Hain?
Unhone Kaha Ye Hazrat Aadam Alaihissalam Hain ! Aur Unke Daaye Baaye Unki Aulaad Ki Ruhe Hain. Daaye Taraf Jannati Hain Aur Jab Unko Dekhte Hain To Khush Hojate Hain Aur  Baaye Taraf Jahannami Arwah Hain , Jab Unko Dekhte Hain To  Ro Dete Hain.

Phir Aap Waha Se Dusre Aasmaan Par Tashreef  Le Gaye Jaha Aapki Mulaqaat Hazrat Yahya Aur Hazrat Eesaa Alaihimussalam  Se Huwi.
Tisre Aasmaan Par Hazrat  Yunus Alaihissalam Se Mile.
Chouthe Aasmaan Par Hazrat Idrees Alaihissalam Aur
Paanchwe'n  Aasmaan Par Hazrat Haroon Alaihissalam Se Mulaqaat Huwi.
Chatte Aasmaan Par Hazrat Musaa Alaihissalam  Ko Sharfe Ziyarat Bakhsha ,
Saatwe'n Aasmaan Par Hazrat Ibraheem Alaihissalam Se Mulaqaat  Huwi.

 *Dosto*  ! Jaisa Ke Pehle Bayaan Kiya Gaya He Ke Nabi Kareem ﷺ Ka Guzar Sayyidina Hazrat Musaa Alaihissalam Ki Qabre  Anwar Par Se Huwa Aur Aapne Dekha Ke Hazrat Musaa Alaihissalam Apni Qabar Main Namaaz Padh Rahe Hain Aur Phir Aapki Mulaqaat Unse Masjide Aqsaa Main Huwi,
Phir Chatte Aasmaan Par Bhi Unko Sharfe Ziyarat Bakhsha.
Isi Tarah Dusre Ambiya -E- Kiraam  Alaihimussalam Bhi Apne Apne Mazaraate Muqaddasa Main Bhi Maujood The.
Aur Masjide Aqsaa Main Bhi Unhone Aapki Iqtada  Main Namaaz Ada Ki , Uske Ba'd Aasmaano'n  Par Bhi Un Main Se Ulul-Azm Ambiya-E- Kiraam  Alaihimussalam Ne Aapse Mulaqaat Ki Sa'aadat Haasil Ki.

In Shuwahid Se Ma'aloom Huwa Ke Maqbolaane Bargaahe Aezidi Ko Khuda Wand Quddoos Ne Ye Taaqat Ata Farma Rakhi He Ke Wo Bek Waqt Muta'addid Maqamaat Par Jalwa Afrooz Ho Sakte Hain Aur Yahi Aqeeda Mazhabe  Muhazzibe Ahle Sunnat -o-Jama'at Ka He.

(📙Na'eemi Khutbaat, J-1,S-293 to 295)