JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

◆Khutbaate Rusul

Khutbaate Rusul


Namaaz Se Farig Hokar Jalilul Qadar Awwal Wal-Azam Paighambaro'n Ne Allah Ta'Aala  Ki Sanaa Ke Ba'd Tehdise Neamat Ke Taur Par Apne Apne Fazail -o- Muhamid Khasaa'is -o- Muhasin Bayaan Kiye  Aur In In'aa'maat Ke Tazkire Kiye Jo Allah Ta'Aala Ne Unhe Ata Kiye.


● 1) Hazrat Aadam Alaihissalam Ka Khitaab :
Sabse Pehle Hazrat Saayyidna Hazrat Aadam Alaihissalam Ne Khitaab Karte Huwe Farmaya: Allah Ta'Aala Jalla -o-ULaa Ki Hamd -o-Sana Ke  Ba'd Us Khaaliqe Kaayenaat Ka Be-Had Ahsaan He Ke Usne Mujhe Mitti Se Banaya , Phir Apna Khalifa Bana Kar Masjode Malaayika Hone Ka Sharf Ata Kiya   ,
Hazrat Hawaa RadiyAllahu Ta'Aala Anhu  Ko  Mujh Se Paida Farma Kar Mera Juft Banaya , Aur Baheshte Baree(n) Ki Be-Shumaar Neamato(n) Se Sarfaraaz Farmaya.

● 2) Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Khitaab:-
Tamaam Tareefe Us Zaate Baari Ke Liye Hain Jisne Mujhe Sharfe Dosti Bakhsha Aur Mujhe Mulke Azeem Ata Farmaya Aur Mujhe Muqtada Aur Sahabe Qunoot Banaya Ke Mera Iqtada Kiya Jata He Aur Mujhe Aatishe Namrood Se Bacha Kar Mere Liye Aag Ko Thanda Kar Diya.

● 3) Hazrat Musaa Alaihissalam Ka Khitaab:-
Tamaam Tareefe Us Zaate Khudawandi Ke Liye Hain Jisne Mujhe Sharfe Ham-Kalaami Ata Farmaya Aur Mujhe Barguzida Kiya, Mujh Par  Tauraat Naazil Ki , Fir'on Ki Halakat Aur Bani Israa'eel Ki Najaat Mere Haath Par Zahir Ki Aur Meri Ummat Ko Aisi Quom Banaya Ke Haq Ke Muwafiq Hidayat Karte Hain Aur Uske Saath Adl Karte Hain.

● 4) Hazrat Daawood Alaihissalam Ka Khitaab:-
Hazrat Musaa Alaihissalam Ne Apna khutba Mukammal Farmaya To Unke Ba'd Sayyidina Hazrat Daawood Alaihissalam Ne Khitaab Karte Huwe Farmaya:..
Hamd -o-Sana He Us Zaate Aqdas Ke Liye Jisne Mujhe Zaboor Ka ILm Ata Farmaya Aur Ta'aLeeme Zaboor Se Buzrugi Bakhsh Kar Mujh Par Ahsaan Farmaya Aur Meri Aawaaz Ko Dil Kashi Bakhshi , Mere Haatho'n  Main Wo Quwwat Rakh Di , Jiski Waja Se Luha Mere Haatho'n  Main Moom Hojata He , Pahado(n) Aur Parindo'n  Ko Mere Liye Musakkhar Kar Diya , Yaani Mera Taa'Ba Aur Farma Bardaar Kar Diya , Jaloot Jaise Sarkash Ko Mere Haatho'n  Se Hilaak Karwaya.

● 5) Hazrat Sulemaan Alaihissalam Ka Khitaab:-
Hazrat Daawood Alaihissalam Ke Ba'd Unke Sahabzaade Sayyidina Hazrat Sulemaan Alaihissalam Ne Apne Khutbe Ka Aagaaz Karte Huwe Farmaya:
Sab Ta'arife Allah Tabarak-o-Ta'Aala Ke Liye Hain Jisne Mere Liye Hawa'o(n) Ko Taaba Kar Diya , Jinno Aur Shaytaan Par Mujhe Mukammal Tasallut Ata Farmaya Aur Mujhe Parindo'n  Ki Boliya Samajhne Ka ILm Inayat Kiya , Mujhe Bahot Badi Saltanat Ki Haa'kimiyyat Ka Aezaaz -o-Ikraam Bakhsha , Itna Bada Mulk Diya Jo Pehle Kisi ko Na Diya Gaya.

●  6) Hazrat EEsaa Alaihissalam Ka Khitaab:
Hazrat Sulemaan Alaihissalam Ke Ba'd Sayyidina  Hazrat EEsaa Alaihissalam Ne Allah Ta'Aala Ki Hamd-o-Sana Karne Ke Ba'd Khitaab Farmaya:
Allah Ta'Aala Ne Mujhe Apna Kalma Aur Ruh Hone Ka Aezaaze Marhamat Farmaya , Yaani Mujhe "Kalimatullah" Aur "Ruhullah" Banaya Aur Us Khaliq-o-Maalik Ne Sayyidina Hazrat Aadam Alaihissalam Se  Meri Takhleeq Ki Tashbiya Di , Isliye Ke Usne Mujhe Baghair Baap Ke Paida Farmaya.
Mujhe Meri Walidah Muhtarma Ke Shikme Anwar Hi Main Kitaab Ka ILm Ata Farmaya , Hikmato'n Ke Khazane Jo Tauraat Aur Injeel Main Maujood The , Un Par Mujhe Itlaa Bakhshi.
Mujhe Ye Quwwat Ata Farmayi Gayi Ke Main Mitti Ke Parinde Bana Kar Un Main Phonkta Tha , To Allah Ta'Aala Ke Hukm Se Odne Lagte The , Andhe , Kodhi Aur Bars Ke Marizo Ko Allah Ta'Aala Ke Azaan Se Shifa Deta Tha Aur Mujhe Allah Ta'Aala Aasmaan Par OthaaLe Gaya.
Mujhe Aur Meri Walidah Majidah Ko Shaytaan Ke Shar Se Mukammal Taur Par Apni Hifazat Main Rakkha.

● 7) Imamul Ambiya ﷺ  Ka Khitaab:-
Ambiya-E-Kiraam Alehimussalam Ke Khitaab Ke Ba'd Aakhir Main Imamul Ambiya Paighambare Aakhiruz-Zama , Khaatimul Mursalaa(n) ﷺ  Ne Irshaad Farmaya :
Sab Taarife  Rabbe Kaayenaat  Ke Liye Hain. Shukr He Us Zaate Aqdas  Ka Jine Hame Duno'n  Jahano'n   Ke Liye Rahmat Bana Kar Bheja Aur Saari Kaayenaat Aur Tamaam Makhluqaat Ke Liye Nabi Bana Kar Bheja ,
Saari Duniya Ke Liye Basheer -o-Nazeer Banaya Aur Mujhe Kitaabe Muqaddas QurAan Majeed Ata Farmaya Jis Main Tamam Chizo Ka Bayaan He.
Meri Ummat Ko Tamaam Ummato'n Main Se Behtareen Qaraar De Kar Khairul Umam Ke Laqab Se Sar'Faraaz Farmaya Aur Mera Insharah Sadar  Farmaya , Mere Naam Ko Buland Kiya , Mujhe Fateh Aur Khaatim-ul-Ambiya Ke Laqab Se Ma'aroof Farmaya.

Ek Aur Riwayat  Main He Ke Huzoor ﷺ  Ne Farmaya:
Sab Taarife Us Khaaliq -o- Maalik Ke Liye Hain jisne Mujhe Saari Kaayenaat Se Buland -o-BaaLaa Aur Faayiq Banaya.
Qayamat Ke Din Sabse Pehle Meri Hi Qabare Anwar  Ko Khola Jayega ,  Mujhe Hi Khaatim-ul-Ambiya Banaya Aur Mujhe Hi Allah Ta'Aala Ne Awwal -O- Aakhir , Shahid -o- Muzakki  Banaya  Aur Mujhe Hi Jannat Ki Basharat Dene Wala Mubashshar Aur Duzakh Se Darane wala Nazeer Banaya Gaya Aur Mujhe Hi  دَاعِی اِلَی  اللہِ   Aur  سِرَا جًا مُّنِیرا Ke Laqab Se Mulaqqab Farmaya.


Mujhe QurAan Majeed Main Muhammad (ﷺ) Farmaya.
Aur Injeel Main Mera Naam Ahmad (ﷺ)  He.
Kutbe  Sabiqa Main Mera Naam Haamid  Aur Zaboor Main Mehmood Rakkha ,
Phir Rahmatul-Lil-Aalameen  ﷺ  Ne Farmaya: Shukr He Us Zaate Waalaa Ka Jisne Mujhe Tamaam Roye Zameen Ko Mere Liye Masjid Bana Diya , Mitti Ko Tayamum Ke  Liye Paani Ka Darja Diya.
Mere Liye Fatuhaat Main Hidye Aur Amwaale Ganimat Ko Jaa'iz Qaraar Diya , Aur Malaayika  Kiraam Ko Meri Ma'aawanaat Ke Liye Muqarrar Farmaya.
Meri Ummat Ke Liye Taa-Qayamat Tauba Ka Darwaza Khool Diya Aur Mujhe Hauze-Kausar  Ata Farmaya. Meri Shafa'at Se Ahle_Kaba'ir Ki Bakhshish Ki Jayegi.

(📙Na'eemi Khtbaat ,J-1,S-289 to 292)