JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

◆Farishto Ka Istaqbaal

Farishto Ka Istaqbaal

Huzoor Nabi Kareem Alaihissalaat Wa Tasleem Irshaad Farmate Hain : Ke Jab Ham Masjide Aqsa Main Tashreef Le Gaye To Dekha Ke Hamare Istaqbaal Ke Liye Malaayeka-E- Kiraam Aaye Huwe He ,  Chunanche In Sab Farishto Ne Hamari Is Karaamat -o- Buzrugi Ki Khush Khabri Sunayi Jo Khaaliqe Kaayenaat Allah Rabbul Izzat Ke Darbaare Aqdas Main Hamare Liye Makhsoos He. Phir Farishto'n Ne Hamari Khidmat Main Is Tarah Salaam Arz Kiya:

السلام عليك يا اول  يا اخر ياحاشر.

Huzoor Akram ﷺ   Farmate Hain Ke Farishto'n Ka Ye Salaam Sun Kar Main Ne Jibra'eel Ameen Se Pucha Ke Un Farishto'n  Ne Hame   In Alfaaz Ke Sath Kyun Salaam Kiya He?
To Hazrat Jibra'eel  Alaihissalam Ne Arz Kiya Yaa Rasool'Allah ﷺ  Farishto'n Ne Aap Ko
"Awwal" Isliye Kaha He Ke Aap Sab Se Pehle Shafa'at Karne Wale Hain.
Aur   "Aaakhir" Isliye Kaha He  Ke Aap Sab Se  Aakhir Nabi Hain.
Aur  "Haa'shir" Isliye Kaha He Ke Qayamat Ke Din Tamaam Makhlooq Ke Qabro'n Se Othne Ki Ibtida Aap Hi Farmayege.

Chunanche Jibra'eel Ameen Ki Is Baat Ki Tasdeeq Huzoor Sarware Kaayenaat ﷺ Ke Is Farmane Aaliya Se Bhi Hoti He:

 Aur Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Riwayat Kerte Hain Ke Rasool'Allah ﷺ Ne  Farmaya Ke Main Qayamat Ke Din Aulaade Aadam Ka Sardaar Hon Aur  Main Pehla Wo Hon  Jinki Qabar Khulegi Aur Main Pehla Shafa'at Farmane Wala Aur Pehla Mushaffa  Hon ( Yaani Jin ki Sabse Pehle Shafa'at Qubool Ki Jayegi)

( Muslim , Mishkaat, S-511)

(📓Khutbaate Na'eemi, H:1 )