JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

◆Madina Munawwara

Madina Munawwara

Nooriyo'n  Ke Jalwo Main Noori Sawaari Par Noore Khuda Sawaar Hokar Chale To Duno'n  Jahaan Hi Noor Ke Saa(n)che Main Dhal Gaye.
Asnaaye Raah Aapka Guzar Ek Aisi Sar-Zameen Par Huwa Jaha Sar-Sabz -o-ShaaDaab Nakhlistaano'n Main Sar-o-Qaa'mat Khajoor Ke Darakht Nihayat Shaane Dil-Rubaayi Se LehLaha Rahe The.
Hazrat Jibra'eel Alaihissalam Ne Us Maqaam Par Arz Kiya : Ya Rasool'Allah ﷺ
Yaha Du(2) Rak'at Namaaz Ada Farma Lijiye.
Ye Wo Maqaam , Rashke Jannat He , Jaha Aap Hijrat Karke Tashreef Laayege ,
Chunanche TaajDaare Madina ﷺ
Ne Waha Du(2) Rak'at Namaaz Ada Ki Phir Safar Ke Liye Aage Rawana Huwe.




Qabre Hazrat Musaa Alaihissalam


Phir Huzoor Aqdas ﷺ Isi Safare Meraaj Shareef Main Hazrat Musaa Alaihissalam Ki Qabre Mubarak Se Guzre,  Jiske Mutalliq Aapak Irshaade Giraami He.... :

رايت موسى يصلى فى قبره .
[ Ham Ne Dekha Musaa Alaihissalam Apni Qabr Main Namaaz Padh Rahe Hain]

(📙 Hujjatullahi Alal-Aalameen ,S:369)


Dosto ! Is Farmaane Mustafa ﷺ Se Ma'aloom Huwa Ke Aap Qabr Ke Qareeb Se Guzarte Waqt Uske Tamaam Haa'Laat Ka Mushahida Kar Sakte Hain ,
To Yaqini Amar He Ke Aap Qabr Ke Andar Jalwa Farma Hokar Ummatiyo'n Ke Tamaam Haa'Laat Se Baa-Khabar Hain....

● FARYAAD UMMATI JO KARE HAAL ZAAR PE ,
MUMKIN NAHI KE KHAIRE BASHAR KO KHABAR NA HO ●
(Kalame Aalahazrat RadiyAllahu Ta'aala Anhu)

Chunanche Shaikh Muhaqqiq Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rahmathullahi Alaih Farmate Hain   Ke....
Ambiyaa-E- Kiraam Alaihimussalam Zinda Hote Hain Aur Apne Rab Ta'Aala Ki Ibaa'dat Karte Hain , Jaisa Ke Ahle Jannat  , Jannat Main Bila-Takalluf Ibaa'dat Karte Rehte Hain.
(📙 Madarijun Nabuwah , J-2, S-195)

Isi Liye Sarkaar Aalahazrat RadiyAllahu Ta'aala Anhu , TaajDaare Madina Sarware Sina ﷺ
Ke Huzoor Arz Karte Hain....

● TO ZINDA HE WALLAH    TO ZINDA HE WALLAH ! ......
MERE CHASHME AALAM SE CHUP JAANE WALE ●

  Rasool'Allah ﷺ  Ne Farmaya Jab Ham Bait-ul-Muqaddas Pohche To Jibra'eel Alaihissalam Ne Apni Ungli Ka Ishara Kiya To Patthar Main Suraakh Hogaya Aur Uske Saath Barraaq Baandh Diya.

(📙 Na'eemi Khutbaat ,J-1,S-286 to 287)