JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

◆ Meraaje Ummat

Khuda Wande Aalam Jalla Majdahul Kareem Ne Aapki Ummat Ke Liye Jo Khaas Tohfa Ata Farmaya , Wo Namaaz Thi ,
Chunanche Sayyadul Mursaleemﷺ Farmate Hain :

 فرضت على الصلوة خمسين صلوة فى كل يوم.
(Yaani Meri Ummat Par Har Rooz Main Pachchaas(50) Namaaze Farz Huwe)

Sarkaar Du Aalam ﷺ Jab In Pachchaas(50) Namaazo'n Ka Tohfa Lekar Wapas Tashreef Laaye To Chatte(6) Aasmaan par Sayyidina Musaa Alaihissalam Se Mulaqaat Huwi ,
To Unhone Ne Arz Kiya , Aapki Ummat Par Kya Farz Huwa ?
Farmaya : Raat Din Main Pachchaas(50) Namaaze'n.
Hazrat Musaa Alaihissalam Ne Arz Kiya :
ان امتک لا تستطيع خمسين صلوة كل يوم.
(Beshak Aap Ki Ummat Har Rooz Pachchaas(50) Namaaze Na Padh Sakegi.

 KalimullAh Alaihissalam Ke Mashure Ko Qubool Farmate Huwe Aap Chatte Aasmaan Se Phir BarGaahe Khuda Wandi Main Hazir Huwe Aur Namaaz Main Kami Karne Ke Liye Arz Kiya.
Rabbe KaayeNaat Ne Das(10) Namaaze Muaf Farma Di.
Aap Chalees(40) Namaaze Lekar Wapas Huwe To Chatte Aasmaan Par Phir KalimullAh Alaihissalam Ne Arz Kiya:
Huzoor ﷺ Ye Bhi Zyada Hain Aur Kam Karwa Lijiye ,
Hatta Ke Kam Hote Hote Paanch(5) Reh Gaye.

Ek Riwayat Main Das(10) Das(10) Muaf Karne Ka Zikr He.
Aur Ek Riwayat Main Paanch(5) Paanch(5) Namaaze Muaf Ka Mazkor He.

Aakhir Kaar Jab Paanch(5) Namaaze Reh Gayi To Hazrat Musaa Alaihissalam Ne Arz Kiya Aapki Ummat Iske Padhne Ki Bhi Taqat Na Rakhegi.
Ek Bar Mazeed Tashreef Lejaiye Aur In Main Se Bhi Kuch Kam Karwa Lijiye.

Saayadul Mursaleen Khatimun Nabi'yeen ﷺ Ne Farmaya : Main Ne Apne Rabbe Kareem Se Yaha Tak Arz Kiya , Ab Mujhe Mazeed Arz Karte Huwe Haya Mahsoos Hoti He , Main Raazi Ba-Raza Hon.

Dosto  ! Pachchaas(50) Namaaze Hazrat Musaa Alaihissalam Ke Wasile Se Huwe , Isliye Ke Unhone Bar Bar Huzoor ﷺ Ki Khidmat Main Arz Karke Pachchaas(50) Se Paanch(5) Karwa Di.

To Ab Jo Log Wasila Ke Qayil Hain , Unhe To Paanch(5) Namaaze Ada Karna Chahiye Aur Jo Wasile Ke Munkir Hain , Unhe Pachchaas(50) Namaaze Padhna Chahiye.

Is Maqaam Par Kuch Log Aetaraaz Karte Hain Ke Allah Ta'Aala Ne Pachchaas (50) Namaaze Ata Karke Phir Paanch(5) Karna Thi ,
To Wo Aalimul-Gaib Se Pehle Hi Paanch(5) Ata Kar Deta , To Iski Hikmat Ba'z Buzrogo'n Ne Bayaan Farmayi He Ke Hazrat Musaa Alaihissalam Ne BarGaahe Khuda Wandi Main Didaar Ka Sawal Kiya Tha.
Allah Ta'Aala Ne Meraaj Shareef Ki Raat Apne Kaleem Ko Chatte Aasmaan Par Bithaya Aur Mahbube Aqdas ﷺ Ko Apne Paas Bula Kar Didaar Se Musharraf Farmaya Aur Phir Hazrat Musaa Alaihissalam Ko Bar Bar Ziyarat Ka Sharf Bakhsha.
Goya Mansha Khuda Wandi Yahi Tha Ke Mera Habeeb ﷺ Mujhe Dekhe Aur KalimullAh Alaihissalam Mere Dekhne Wale Ko Dekhe.

Dosto ! Huzoor Akram ﷺ Raat Ke Thode Se Hisse Main Makaan -o-Laa-Makaan Ki Sair Farma Kar Didaare Khuda Ta'Aala Se Musharraf Hokar Jab Wapas Tashreef Laye , To
Hunooz Aapka Bistar Mubarak Nind Ke Asar se Sard Na Huwa Tha...
(Ruhul Ma'ani , J-15, S-12)

Tehqeeq Huzoor ﷺ Meraaj Par Gaye Aur Wapas Aaye , Halanke Aapke Kuzah Se Jo Paani Wazu Ke Waqt Gira Tha , Puri Tarah Na Baha Tha.
(Ruhul Bayaan, J-2, S-404)

Aur Zanjire Hujrah Abhi Tak Hil Rahi Thi.
(Tawarikhe HabibullAh ,S-28)

● Sakaar AalaHazrat RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Yu Bayaan Farmate Hain ...

● KHUDA KI QUDRAT KE CHAAND HAQ KE ,
KARODO(N) MANZIL MAIN JALWAH KAR KE.....
ABHI NA TAARO(N) KI CHAAO(N) BADLI ,
KE NOOR KE TADKE AALIYE THE ●


Qurbaan Jao'n Aap Par Ke Itna Taweel Safar Tay Farma Kar Wapas Tashreef Laaye, Magar Aapka Bistar Mubarak Garam Tha, Paani Chal Raha Tha Aur Zanjeer Hil Rahi Thi ....

● ZANJEER BHI HILTI RAHI , BISTAR BHI RAHA GARAM .....
EK PAL MAIN SARE ARSH GAYE AAYE MUHAMMAD ﷺ ●

Subah Ke Waqt Aapne Logo Ke Samne Meraaj Shareef Ka Waqi'ah Bayaan Farmaya Ke Main Ne Raat Main Hi Laa-Makaan -o- Laa-Makaan Ki Sair Ki.
Momino Ne Ise Dil -o-Jaan Se Tasleem Kiya Aur Munkiro Ne Inkaar Kar Diya.

● MOJIZA YE MUHAMMAD KA TEHQEEQ HE ,
JIS NE TASDEEQ KI HE WO SIDDEEQ HE....
AUR JO MUNKIR HE JAAHIL HE ZANDEEQ HE ,
WO ADWE KHUDA AAJ KI RAAT HE ●

Ek Jama'at Mushriko Ki Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ke Paas Gayi Aur Unse Kaha Ke Aaj Tumhare Aaqa ﷺ Farma Rahe Hain Ke Wo Raato'n Raat Baitul Muqaddas Gaye Aur Wapas Aaye.
Tumhari Iske Bare Main Kya Raay He?

 Siddiqe Akbar RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya : Agar Mere Mahboob ﷺ Ne Farmaya He , To Bilkul Sach He , Main Iski Tasdeeq -o- Taa'yeed Karta Hon.
(📙 Siratun Nabwi , S-292)

و ما علينا الا البلاغ المبين.

(📙Na'eemi Khutbaat , J-1, S-300 to 303)