JOIN SUNNI ISLAMIC KNOWLEDGE WHAT'S APP GROUP

Q/A -- Mea'raaj Sharif

🔷Sawaal: Jo Shakhs Hzuoor ï·º  Ke Jismaani Meraaj   Ka Inkar Kare Uspar Kya Hukm Hai?


Jawaab
Huzoor Sayyede Aalam  ï·º Ko Jaagte Main Jismani Meraaj Hona BarHaq Hai. Makka MuAzzamah Se Bait-ul-Muqaddas Ki Ser Ka Inkaar Karne Wala KAafir Hai...... Aur Aasmano'n Ki Ser Ka Inkaar Karne Wala Gumrah Baddeen Hai.

Ash'atul LamAat , J:4 , S:527 Main Hai.
Tarjuma: Masjide Haraam Se Masjide Aqsa Tak Israa Hai Aur Masjide Aqsa Se Aasmaan Tak Meraaj Hai. Isra Nasse QurAani Se Saabit Hai Uska Inkaar Karne Wala KAafir Hai Aur Meraaj Shareef Ahadees  Mash'hurah Se Saabit Hai Uska Inkaar Karne Wala Gumrah Aur Baddeen Hai.

Aur Sharah Aqaa'id Nasfi , S:100 Main Hai.
Tarjuma: Yaani Haalate Bedaari Main Jism AtHar Ke Saath Aasmaan Aur Uske Uppar Jaha Tak Khuda-E- Ta'Aala Ne Chaha Sarkare Aqdas ï·º  Ka Tashreef Le Jana Ahadees Mash'hurah Se Saabit Hai. Iska Inkaar Karne Wala  Baddeen Hai.

Aur Isi Kitaab Ke S:101 Par Hai.
Tarjuma:  Masjide Haraam Se Bait-ul-Muqaddas Tak Raat Main Ser Farmana Qat'ee Hai QurAan Majeed Se Saabit Hai (Iska Munkir Kaafir Hai) Aur Zameen Se Aasmaan Tak Ser Farmana Ahadees Mash'hurah Se Saabit Hai. (Iska Munkir Gumrah Hai)

Aur Sayyadul Fuqaha Hazrat Mulla Jeewan RahmatullAhi Ta'Aala Alaih Farmate Hai
Tarjuma: Masjide Aqsa Tak Meraaj Qat'ee Hai QurAan Se Saabit Hai Aur Aasmaane Duniya Tak AHadees Mash'hoor Se Saabit Hai. Aur Aasmano'n Se Uppar Tak Aahaad Se Saabit Hai To Pehle Ka Munkir Qat'ee Kaafir Hai Aur Saani Ka Baddeen Gumrah Hai Aur Tisre Ka Munkir Faasiq Hai.
(Tafsiraate Ahmadiya , S:328)

Huzoor Sayyede Aalam ï·º Ko HaaLate Bedaari Main Jism Athar  Ke Sath Ek Bar Aur Khwaab Main Kayi Baar Meraaj Huwi.

Ash'atul Lam'Aat , J:4 , S:527  Main Hai
Tarjuma: Meraaj Khwaab Main Huwi Thi Ya Bedaari Main Aur Ek Baar Huwi Thi Ya Baar Baar ?
Is Baab Main Ulma Ke Aqwaal Mukhtalif Hain.
Saheeh Aur Jamhoor Ulma Ka Mukhtaar Ye Hai Ke Meraaj Kayi Baar Huwi Thi.
Ek Baar Bedaari Main Aur Kayi Baar Khwab Main.
Phir 2 Satre Ke Ba'd Farmaya Ke
Tarjuma: Tehqeeq Ye Hai Ke Meraaj Ek Baar HaaLate Bedaari Main Jism AtHar Ke Saath Huwi. Masjide Haraam Se Masjide Aqsa Tak Aur Waha Se Aasmaan Se Jaha Tak Ke Khuda-E-Ta'Aala Ne Chaha. Agar Waqiah Meraaj Khwaab Main Hota To Is Qadar Fitnah -O- Fasaad -O- Shoor-O- Ghogha Ka Baa'is Na Hota Aur Kaafiro'n Ke Jhagadne Aur Ba'az Musalmano'n Ke Murtad Hone Ka Sabab Na Banta.
(Ash'atul Lam'Aat , J:4 , S:527)

Aur Tafseer Khaazin  Main Hai.
Tarjuma: Haq Wahi Hai Ke Jis Par Kaseer Sahaba Akabir Taba'een Aur Aama-E- Muta'akhireen Fuqaha Muhaddiseen Aur Mutakallimeen Hain Ke Sarkaar Aqdas ï·º Ko Rooh Aur Jism Ke Saath Meraaj Huwi.

Aur Hazrat Mulla Jeewan RahmatullAhi Ta'Aala Alaih Farmate Hain.
Tarjuma: Saheeh Ye Hai Ke Meraaj Jaagte Main Jism Athar Ke Saath Ma'a Rooh Ke Huwi.

AhleSunnat -O- Jama'at Ka Yahi Maslak Hai. To Jisne Kaha Ke Meraaj Sirf Rooh Ke Saath Huwi Ya Sirf Khwaab Main Huwi To Wo Baddeen , Gumrah , Gumrah Gar , Aur Faasiq Hai.
(Tafsiraate Ahmadiya , S:330)

(Ref>>>> Anwarul Hadees , S:471)